looking forward for this SS 😃
anything for ariya ❤️
but plz make sure riya ka no rona dhona
I would love to see her in strong character
continue soon
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 15th Oct '25
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 16th Oct 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 16, 2025 EDT
KARWA CHAUTH 15.10
NOODLES VRATH 16.10
Sonakshi Sinha Pregnancy Rumours
What will Yuvraj do?
Welcome Back 🥳
Pankaj Dheer Passes Away
This is concerning.
Pari and Mitali
Who is most loved character in gen 4?
Kyunki Detailed Written episode Oct 16. Pics attached (Hindi captions)
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 17, 2025 EDT
Acha wala gunda
Wanna see post leap trp ?????? Geetu vs Abhimaan romance who won??
i support farhana
Mental health club - Only Positivity allowed 🌟
Ariya
waiting to read..
Originally posted by: cuteariya
interesting SS
looking forward for this SS 😃
anything for ariya ❤️
but plz make sure riya ka no rona dhona
I would love to see her in strong character
continue soon
Chapter 1
Sameer: kya sooch rahi hain maa aap...?
Sameer ne soch me doobi hui maa ko dekhte hue kaha
Gayatri devi: sooch rahi hun bte ke suryakant bhai sa ne bht badi zimmedari de di...pata nahi main ise...nibha bhi sakungi ya nahi..
Suryakant rawte or Dhamsingh rathod dono bachpan ke dost the... koi bhai behn bhi nahi tha dono ka...or inki dosti atoot or bemisaal thi...ek dosre ko sage bhaiyu se bhi zyada pyar kerte the... ek dosre per mar mitne ke liye hamesha tayyar...jab dono ki shaadi hui to dono ke parents dunya se chal basse...suryakant to biwi or 2 bachho ke sath pardes ke ho ker reh gye...or... dhamsingh ke 2 bete or 1 beti thi...hassi khushi zindagi guzar rahi thi ke achhank ek dard naak hadse main dhamsingh rathod chal basse..or peeche apni biwi or bachho ko tanha bilakta hua choodh gye...suryakant ko jab pata chala to unhone bht koshish ki aane ki magar qismat ka khel dekho ...apne bhai se zyada azeez dost ko akhri baar bhi na dekh sake...or uska ghum liye bas London ke hoker reh gye...lekin qismat ko kuch or hi manzoor tha..ek hadse suryakant ki biwi apne phool se bachho ko taraptta hua chodh ker hamesha ke liye so gayen...
Suryakant ke bachhe bade ho rahe the..or London jesi azad jagha per bachho ki perwarish kerna unke liye mushkil ho gya ...to unhone apne azeez dost ki biwi(jinko unhone apni behn bana liya tha) ko apne bachho ki zimmedari de di.. or wo is zimmedari se pareshan si ho gyin
Sameer: maa...pareshani ki kya baat hai..ayesha or arjun baba sa ke dost ke bachhe hain...kya hua jo wo London me pale badhe hain...hain to wo Hindustani hi..aap ki parwarish unhe kundan bana degi..or wese bbhi wo maa ke pyaar oe maamta se mehroom hain..aap ki maamta unhe milegi to unki khaali zindagi sanwer jaye gi
Sameer khamoosh magar zaheen nojawaan tha...apne baba sa ki be waqt maut ne use bht samajh daar bana diya tha bht chooti si ummer me hi usne baap ka saara business sambhaal liya tha...
Gayatri devi: main is baat se thodha sa ghabra rahi hun bte... main to yahi cahti thi ke kisi dosri ke aane se pehle hi mere bachhe mere paas ajayen...khair ...jo karta hai bhagwaan bhale ke liye hi kerta hai...kitne baje ki flight hai mere bachho ki...
Sameer: kal 11 baje ki flight hai maa...main or karan jayen ge...aap or riya ghar per hi rehna kyunkisardi bhi bht hai or time bhi kaafi lag jaye ga..
Sameer ne Arjun or Ayesha ki pics ko dekh ker kaha...
Or agle din sameer karan ke saath time per airport chala gya...or wo dono ..flight mese utarne waale logo me se Ayesha or arjun ko talash kernel age...
Karan: bhai...wo rahe arjun...or...ayesha dii
Karan...light blue suit per red shawl wali larki...or...blue jeans white shirt with dark blue jacket pehne arjun ko dekh ker cheenkha..
Sameer: (ghoor se pics dekhte hue phir undono ko)...haan laagto rahe hain...
Phir dono unki taraf badhe..
Karan: Ayesha dii...arjun..hum aye hai aap dono ko lene ke liye
Karan bht josh me undono ki taraf badha magar wo dono jhijhak ker peeche hat gaye
Sameer: haan haan ...ayesha arjun.. hum tum dono ko lene aye hain...main hun sameer or ye hai karan mera bhai
Sameer undono ko hairet me doobe hue dekh ker jaldi se boola
Arjun: haan dii...lag ti rahen hain
Arjun kuch kuch peehchan gya tha
Ayesha: arre waah...aese hi wahin hain...ruko main pics dekhti hun..
Ayesha ne bag se nikal ker pics dekhi or nahi me gardn hila di
Sameer: Ayesha believe me...main sameer hun ye pics bht purani hain...jab main 12 class me tha us waqt ki hain..
Ayesha ko shaak me dekh ker sameer ne apni safayi peesh ki or use apni ghalti ka ehsaas hua ke use apni new pics send kerni chahiye thi..wo dil hi dil me karan ko maarne ki poori planning ker chukka tha..kunki pic karan ne hi send kari thi..bht mushkil se Ayesha ne yaqeen kara or bhagwaan ke bharoose per dono unke saath chal diye...ghar ja ker jab gayatri devi jesi maa...mamta bhari baaheen pheela di to saara shaak khatam ho gya or wo dono inke mamta bhare aanchal me sama gye..
Ayesha kaafi hasmukh nature ki larki thi...arjun karan or riya isse choote the..ayesha ne B A ke baad studies ka silsila khatam ker diya tha ...jabki...arjun medical or karan engineering college me the...riya bhi 10 class me thi...ye teeno mil ker Ayesha ke saang khoob shararte kerte ...or jese hi sameer ke aane ka waqt hota sab chup jaate...kabhi kabhi to Ayesha ko sameer se dant bhi padh jaya kerti thi...
Sameer: Ayesha... tumhare hi laad pyaar me ye sab bht teez ho gye hain... studies per to dhiyaan hi nahi dete..
Ayesha: aap ko kya lagta hai main unhe studies se rookti hun...bilkul bhi nahi...sab studies ker ke phir kheel kood ker lete hai zara sa...is per bhi aap jalte hain..
Ayesha aese booli jese wo sab choote bachhe hi to hon..wo gusse bool ker un teeno ke paas chali gyi..or bechara sameer to ye sooch ne me hi lag gya ke aesa usne kya kaha jop Ayesha ko itna gussa aya
Arjun: kya hua dii..
Ayesha ka mood off dekh ker arjun ne pooocha..
Ayesha: kuch nahi hona kya hai... kitne sadu or akdu hain inke sameer bhai...
Ayesha ne karan or riya ki taraf dekhte hue kaha..
Riya: mere bhai...ko aese na kahen Ayesha dii
Riya apne bhai ke khilaaf ek lafz bhi nahi sun sakti thi
Arjun: oohhooo...badi aayi bhai ki hamdard
Arjun ne riya ko moonh chida ker kaha..
Ayesha: buri baat arjun...chooti hai tumse... yahan aao mere riya...mere paas
Or riya Ayesha ke paas ja ker uske gale lag ker baith gyi or arjun ko zuban (tounge)dikhane lagti hai...or arjun is pyari si chooti si larki ko kin ankhyu se dekhta hai or haans ker nazre chura leta hai..ye pyaari si larki uske dil main pehli hi nazar main ghar ker gayi thi...
Karan: chore dii...bhai ki to adat hi aesi hai...aye hum sab carom khelte hain..
Or Ayesha bhi hassi khishi teeno ke saath carom khelne lawn me chali gyi..
Arjun or karan ka ye last year tha or riya bhi B A ker chuki thi ...gayatri devi ne use or padhne ki ijazat nahi di..or inki baat ka full full saath arjun or karan ne diya..
(arjun or Ayesha gayatri devi ko bua sa kehte the)
Arjun: waah bua sa kya faisla kiya hai aapne...mere khyaal meto larkiyun ko itna padhna chahiye ke wo likh or padh len
Arjun ne to kuch zyada hi education kam kerdi..or riya uski is baat per buri tarhan se chiidh gyi..
Riya: ye to koi baat nahi hui arjun bhai...aap khud to doctor ban rahe hain or mujhe studies se rook rahe hain..
Arjun: haan to theek haina ...bas main doctor ban jaun ...kaafi hai...zaroori to nahi ke tum bhi M A karo..
Arjun ki is baat ki gehrayi riya na samajh saki...
Suryakant rawte ka phone aaya tha gayatri devi ke paas ke wo Ayesha ki shaadi kisi ache khaandaan me ker de...or gayatri devi to bht tension me aagyin...wo Ayesha ko apne hi ghar me rakhna cahti thi...apne sameer ki bahu bana ker...lekin sameer ka rishta inke pati marne se pehle apne ek dost ki beti roshni se pakka ker chuke the...is liye wo majboor thi... to wo Ayesha ke liye kisi ache khandaan me rishta dhoondne lagi...
Sameer khamoosh nature ka bht agyakari(obedient) tha...ie liye wo Ayesha ke liye dil me pyaar ke jaazbe rakhne ke bawajood...kuch keh na saka...wo kisi ko kya batata ke ye pagal larki use dil ki gehrayo tak pasand thi...dosre ye ke wo apne baba sa ki ichha bhi janta tha is liye chup tha..lekin jab bhi Ayesha ke liye koi rishta aata to wo tadap jata...or jab baat khatam ho jaati to shant ho jaata...
Ayesha khud...ye job hi ho raha tha in sa baato se pareshaan thi...wo to is judaai ka khyal bhi nahi ker sakti thi...use to pata bhi nahi chala tha ke sameer ke chahat khusbu ban ker kab uske maan aangan me utar gaayi thi...wo jaanti thi ken a to sameer ne aesa ishaara kiya haior nahi aesi koi baat hui hai...or jab sameer engaged hai to kya hasil...
Karan or arjun ko pata chala to wo pareshaan ho uthe...arjun bhi behan ki judaai me gham me dooba hua tha..
Karan: aap kuch Karen Ayesha dii...kuch soochen ...koi tarqeeb batayen...
Ayesha: nahi karan...main is silsily me kuch nahi ker sakti...main bhi un laakho larkiyo me se hun jo apne saare sapnu ko dabaye...baado ke faislo per apna ser jhuka deti hain...or phir sameer or roshni pehle se engaged hain...pasand kerte hung e ek dosre ko..
(usne bht ahista se kaha)
Riya: aap chali jaayengi Ayesha dii..to is ghar me kya bache ga...saari khushiyaan...saari rooshniyaan...saari bahareen..sab is ghar me aap se hain aap ke pyar se hain...aap chaali gayin to..to...
Nazuk se dil ki riya to roo padi...use Ayesha se kuch zyada hi mohabbat thi..
Ayesha: aese nahi roote chanda...main chali jaun gi to kya hua tum to ho...
Ayesha ne rooti hui riya ko gale laga liya
Karan: ye bhi to chaali jaye gi aap ki tarhan..chood jaaye gi is ghar ko hum sab ko...
Karan ne bht ghum se kaha to arjun ne use chaunk ker dekha kese usne koi unhoni baat keh di ho...
tbc
Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...
Surprise!!! [NOCOPY] So before anybody asks; No, this is not the CID crossover story. That is still under writing and will hopefully be...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Naye Rishte The ETF office buzzed with an unusual energy that morning. The scent of freshly brewed coffee lingered in the air as Riya sat at her...
Prologue Raat ka aakhri peher tha. Mumbai ki galiyon mein aksar iss waqt shanti hoti hai, lekin ek ajeeb si khamoshi uss raat hawaon mein gungun...
66