Arjun: di aap pehle iske liye kuch khane ko layen ..baad main medicine dunga...
Ayesha room se gayi to wo uth ker riya ke paas aaker baith gaya
Arjun: (bht aaram se) aae larki...kya soch liya tha..jo itna teez bukhar chadha liya
Arjun ne riya ni nabz check kerte hue uske chehre ko dekha jo bukhar ki wajeh se or bhi zyada khoobsoort lag raha tha..
Arjun: bolo na riya...koi khaas baat hui hai kya? Haan ..bolo..batao kuch?
Wo is waqt hamesha se bht alag bht naram way main pooch raha tha
Jisse pyar ho..or wo samne ho...phir itne khoobsoort andaz se dard ki wajeh pooch raha ho to..to aanso khud ba khud beh niakl te hain...or yahi riya ke saath hua..lakh koshihs ke bawajood iski palke bheeg gayin..garm garm aanso..riya ke khoobssort chere per beh rahe the or arjun ko bechain ker gaye
Arjun: riya...kuch batao to sahi..main janta hun aansu un bewajeh nahi hote...
Arjun ne riya ke aanso saaf kerna chahe magr
Riya: aap ...aap jayen yahan se..aap ko kya in annsun ki koi bhi wajeh ho...aap ko to khush hona chahiye...achha hai na mar jaun jaan choot jaye gi aap ki...
Or wo sisak sisak ker rone lagi
Arjun: arree..dimagh to sahi hai tumhara..ye kesi baate ker rahi ho...tum nahi marogi..hargiz nahi..tum mar gayin to kya reh jayega meri zindagi main..
Arjun ne bht gehri nazro se riya ki tarf dekhte hue bht sanjeeda lehje main kaha..or halke se uska haath daba ker bahar chala gaya...riya bas use is terhan jata hua dekhti reh gayi..arjun ki aankho main aaj use apna kas nazar aaya to wo samjho khud ko poora mehsoos kerne lagi...
Iske baad phir wahi poorane halat the...arjun or karan ka riya ko tang kerna..riya ka chidhna..magr ye haqeeqt riya ko pata thi ke uske dil main arjun ki mohabbat ka gulab mehk raha hai..jo har pal uske wajood ko mehkata rehta hai..lekin use arjun abhi bhi samjh nahi aaya tha..ke kabhi wo apna apna sa lagta or kabhi wo bht dor begana sa lagta...
Arjun or karan itne important job or post per hone ke bawajood gahr per hamesha shararte kerte rehte...ek din karan ghabraya hua Ayesha ke paas aya
Karan: bhabi dekhe...mere baal safeed ho gayen hain...kuch to khayal Karen...kuch waqt or guzar gaya to kaun dega mujhe apni beti...
Karan ne ek safeed bal nikal ker Ayesha ke haath per rakhte hue kaha
Riya: (haste hue) dega to khair ab bhi nahi koi apni larki
Karan: riya ki bachhi...he baghwan ...andheer hai andheer..yani sagi behn ye keh rahi hai..ek zamana tha ke behne apne bhaiyun ke ser serhra bandhne ka sapna dekhti rehti thi..ek hamari behn hai...afsoos bht afsoos
Karan bht gumzada hone ki acting kerte hue bola
Arjun: bhai ye kis baat per afsoos kiya jar aha hai
Arjun usi waqt hospital se aaya tha
Ayesha: aaj bht deer kerdi..lagta hai bht kaam hai hospital main aaj kal
Ayesha ne pyar se thake hue bhai ko dekha
Arjun: arre chodiye di..jaldi aayen ya deer se..hamara yahan kaun intazar kerta hai jo jaldi aaya Karen
Arjun ne red colour ke kapro main chai banati hui riya ko gehri nazro se dekha..to shayd arjun ki nazro ka hi asar tha ke ..arjun ko chai dete hue riya ke haath laraz gaye..or arjun uska is terhan se kanpta wajood dekh ker apni nazro ka itna gehra asar dekh ker halke se muskura diya..
Ayesha: to tum log hame ye ehsaas dila rahe ho kea b tum log bade ho agye ho or koi bandobast hona chahiye..
Ayesha ne dono ki tarf muskora ker dekha
Karan: bagwan bhala kare aap ka..ab samjhi hai aap..lekin bht afoos ke aap ko ehsaas dilana padha ..kash ke aap ko khud ho jata to...
Karan isse zyada kuch or kehta ..samne se aate sameer ko dekh ker chup ho gaya
Sam: khoob ..to mehfil garam hai..kya baat chal rahi hai
scroll down
66