Yaar maza aagya ...kasam se ..riya ki to halat hi buri thi...lagta tha ke bas abhi the end ho jaye ga...
...
Chapter 4
Dono buri terhan has rahe the lekin jese hi sameer ne gate khola to dono ki hassi ko brake lag gaya..phir kyat ha jo sameer ke moonh main aaya wohi suna dala
Sam: bachhi hai...masoom hai...iske dil ko kuch ho jata to...kya jawab deta main ma sa or baba sa ko..tum log behad jahil or battameez ho...
Phir wo arjun or karan ko kaan se pakdh ker riya ke room main le gaya take wo isse sorry boolen..riya abhi tak Ayesha se lagi ro rahi thi...or in dono ki halat dekh ker jaane kyun Ayesha ko hassi aagyi...
Sam: (bht gusse se)..ye sab kuch tumhari laad pyar ka natija hai..bajaye dantne ke ulta hass rahi ho...jese koi bht bada karnama anjam diya hai inhone...
Sameer ne ayesha ko bhi danta to us bechari ki bhi hassi band ho gayi...arjun or karan ne riya se sorry kaha..or dobara tang na kerne ka wada kara...aesa wada jo wo kabhi poora nahi karenge..or riya un dono ko is terhan dekh ker hass di...
Subha nashte per arjun or Ayesha hi the..sameer or karan ja chuke the...arjun ko aaj deer ho gayi thi..wo jaldi jaldi ready ho ker nashte ke liye aaya..riya jaldi se arjun ke liye poha banana ke liye uth gayi...
Arjun:ye ..ye poha hai janwer samjh rakha hai kya(bht gusse se)
Arjun kal rat ka badla lena cahta tha...
Ayesha: kya hua chand..kyun cilla rahe ho
Ayesha is terhan boli jese wo koi bachha ho
Arjun:di..di ye dekho aap ye khane ke layaq hai...
Arjun ne pohe ki plate Ayesha ke samne ker di
Riya: koi baat nahi dosra bana deti ho..khud hi to jaldi macha rahe the
Riya sehmi hui awaz main boli
Arjun: theek hai..jaldi main kachha hi kila deti maujhe ..itni mehnat ki bhi kya zaroort thi..jaane kis bad nassem ki qismat phoote ki is ke saath...
Wo continuously bol raha tha ..
Ayesha: kya khaber mere bhai ki hi qismat photo jaye is beechari ke saath..
Ayesha ne bade pyar se arjun ko dekha
Arjun: wese kya baat hai...aap si behn na dekhi na suni ..jo apne bhai ke liye aesa sooche...Mrs Ayesha Sameer Rathod aesa to mar ker bhi mat sooch na...main mazaq maqin bhi ye baat pasand nahi kerta...mujh se is terhan ki koi umeed bhi mat rakh na..
Wo to apna badh badh kerta bahr nikal gaya..lekin poha haath main pakde riya kanpti palko se use jata hua dekhti reh gayi...
Ek ajeeb sa anjana sa dard jaga tha dil main to palke khud ba khud bheeg ne lagi..to wo apne room main aagyi...kis terhan arjun ne use reject karat ha jese wo koi bht buri cheez ho..halanke wo ye ache se janti thi ki arjun ki adat hi gussa kerne ki hai...wo gusse main bina soche samjhe kuch bhi bol deta hai...lekin pata nahi kyun uski ye baat dard ban ker rago main uter gayi...wo bas aese he bed per lethi rahi...najane kyun ek anjana sa dard riya ke anag anag main bhr gaya tha...halanke isse pehle usne kabhi arjun ke bare main is andaz se socha nahi tha...na arjun ko cahne ki khwahish uske man main jaagi thi..to phir aaj is terhan reject ker dene per kyun wo achank se aese zard padh gayi thi...wo apne dil ko lakh dilasa deti ke agr kisi ko uski perwah nahi to wo kyun uske liye mari ja rahi hai...lekin phir bhi baar baar arjun ka khyal ajata to aanso khud ba khud aankho ki nazuk sarhad ko paar ker ke nikal jaate...
Use kuch ehsaas hi nahi raha tha ke wo kya sooch rahi hai...phir issi terhan wo sochte hue so gayi...
Ayesha kisi kaam se riya ke room main aayi to use is terhan dekh ker pareshan ho gayi...usne aage aaker uska matha chua to wo jal raha tha..wo or bhi ghabra gayi ke ye abhi to bilkul theek thi ye achanak isse kya hua...usne foorn arjun ko phn kara wo nahi mila to usne khud hi fever ki medicine de di..magr riya ka fever teez hota gaya...
Arjun ko jab phone ka pata chala to wo fhoorn gahr aaya..ayesha ne use riya ka haal bataya to wo or pareshan ho gaya ..ke ye subha to bilkul theek thi..
scroll down
Edited by ramshaasrar - 9 years ago
1.2k