Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 13th Sep 2025 - WKV
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
PARAYI AURAT 13.9
Aabeer Gulaal reviews and box office
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Tanya was fab today👏🏻
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
Anupamaa 13 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Who is this actor?
Silences Between Hearts ~ A Rumya SS ~ Chapter 4 on pg 1
Katrina won't announce her pregnancy, is she?
Prayansh Aransh Anpi FF: Swapnakoodu
Next morning all were present there & working in their usual manner.
Riya too was relaxed but Arjun was bit highper, he even yelled on Shree & Chotu for no good reason, Sameer was watching this & understood something was troubling him & poor Shree & Chotu became his soft targets.
Sameer called Arjun in his cabin & said, "Rawte kya baat hai, tum itna gusse main kyu hoo, koi pareshani hai kya?"
Arjun replied pissing his teeth, "gussa na karron to kya karron rathod, usa samar ki himaat dekho Riya ke maa aur baba ko leke Riya ko shadi ke liye manae aaya tha, disgusting mera mann kar raha tha ki wahi par samar ka kaam tamaam kar doon, par kanoon apne haath main nahi lena chahta tha main"
Sameer said, "Shant ho jaao Rawte main samajh raha hoon tum kya kehna chahte hoo, par aise logo ka kuch nahi sakta, tum chaahe jo kar lo yeh apni ghatiya thinking nahi badlengee"
Arjun said, "Haan par sabse zayada dukh ki bat yeh hai Rathod ki uski Maa aur baba ko bhi usne ghasita iss beech main, kal Riya ko kitni chot paunchi hai maine dekha hai, mere paas shabd nahi bache the usko tasalli deneke liye"
Sameer said, "Haan Rawte maine khud Riya se jaante hue kuch nahi poocha par yadi uss ne dubara kuch karne ki koshish ki toh main khud DIG sir ke orders leke usko ander karwa doonga, khair ab Riya kaisi hai?"
Arjun said, "haan abhi to normal hai par yeh loog usse normal rehne nahi denge aur yadi wakai maine inme se kisi ko bhi Riya ke aas paas dekha toh main inn logo ko chodounga nahi"
Sameer said, "Bilkul Rawte aiso ko chodna chaiye bhi nahi"
Arjun nodded & left the cabin after calming himself a bit by sharing it with Sameer.
In the evening when Sameer called the day off & all started to move.
Sameer too was packing his stuff & went outside the ETF after few steps he found Aisha waiting for transport to go back home & she was having a hard time in finding something at this late hour.
Sameer came near her & asked her to come in as it was late & if she waits for the transport she will be delayed more.
Aisha after initial hestitation took the lift, drive was total silent.
Sameer although wanted to speak to her but his hesitation & awkwardness stopped him from saying anything.
After a while they reached Aisha's place & as it was late hour some guys started teasing Aisha & passing comments on Sameer & Aisha.
Guy 1 "kya baat hai aajkal bosses pick & drop khud karte hai, kya special service hai female's ke liye?"
Guy 2 "waise hame bhi koi aitraaz nahi hai yeh sab karne main bas ek baar keh ke to dekhti"
Guy 3 "ab hum itne bure bhi nahi hai ki tumhara khayaal nahi rakh sakte"
Sameer was boiling in anger, he clentched his fist to give them answer but Aisha was smart enough she knew how to treat them, she holded his hand & Sameer looked at her with surprise.
She went to them & said in a stern voice clentching her palm, "Haan toh kya keh rahe the tum? Zara firse kehna" before guys started to speak Aisha gave a tight punch on his face & said, "tum jaise ghatiya loog samajhte kya hoo khud ko, tum jaise kuch aawara logo ki wajah se ladkiyaan raat ko nikalne se darti hai disgusting, dubara mere saamne se guzre to jaan se maar doongi"
Sameer was watching all this with shocked face.
Aisha ordered the security to take them into custody & both left for Aisha's place.
Sameer said, "Aisha yeh loog kya rooz aisa hi karte hai?"
Aisha said, "inn jaiso ke comments ka mujhpar koi asar nahi padta, sir inhe inka sabak mil gaya hai, khair chodiye hum ladikiyo ko aise comments aksar sunne padte hai"
After a pause she says, "aap ander aayiye na, sir woh Kabir aapko pooch raha tha aur maa bhi yaad kar rahi thi"
Sameer nodded & went inside with her.
Anwesha was happy to see Sameer he too wished her with joining hands & then touching her feet.
Anwesha welcomed him in.
Suddenly hearing voices of her mother, Kabir came in running & hugged Aisha saying, "mummy aap a gaye kitni deer laga di?"
Aisha smiled n went to change inside while Anwesha went inside to bring water for Sameer.
Kabir staired at Sameer cutely & after few moments breaking the silence he said, "Aap mummy ke friend ho na?"
Sameer nodded in positive, Kabir again said, "mujhe aapko thanks kehna tha, aapne mummy ko aur mujhe bachaya tha na us din"
Sameer said with a smile, "aapki mummy itni bahadur hai ki unhe kissi ki zarrorat nahi hai, woh aapko khud ko aur poore sheher ko bacha sakti hai "
Kabir nodded cutely & said, "haan mujhe pata hai, par aapne mummy ki help ki thi na isliye thanks kehna tha"
Sameer smiled at him & Anwesha entered with a glass of water & seeing Kabir talking to Sameer, she smiled at them & Kabir went inside to his mother.
Anwesha said, "Kabir kya keh raha tha aapse?"
He smiled & said, "kuch nahi bas apni mummy ko bachane ke liye thanks keh raha tha"
Anwesha said smiling, "Haan uss haadse se bahut darr gaya tha Kabir, apne liye nahi par Aisha ke liye woh chahe kahe na par woh Aisha par halki si kharooch bhi bardasht nahi kar sakta, uss din kaise bola tha aapse jab Aisha ko goli lagi thi, par beta darr toh mujhe bhi bahut lagta hai, par jab aap jaise loog aur poori team uske saath hai toh mann ko bahut shanty milti hai, ek beti toh main kho chuki hoon yadi Aisha ko kuch ..." her words trailed off after that.
Sameer said, "Aunty please aap aisa mat kahiye, Aisha bahut bahadur aur kabil hai, aapko toh uspar naaz hona chahiye, woh khud sabka muquabla kar sakti hai aur usse kuch nahi hoga, Karan pakda gaya hai aur ab Kabir bhi safe hai aur main aapse promise karta hoon ki mere rehte toh koi Aisha ka kuch nahi bigaad payega aur aapko yeh bhi bata doon ki ab woh Karan hamari hi custody main rahega, main baat Aisha ko batana chahta tha par mujhe laga ki usse batana sahi nahi hoga, woh fir se yeh sab sochne lagegi aur ab yeh case ETF ke paas hai isliye Karan Aisha ko pareshan nahi karega".
SCROLL DOWN FOR PART 9 B 😊
PART 9 B
Anwesha said, "beta aapne pehle hi bahut kuch kiya hai hamare liye, bahut kuch kiya hai Aisha aur Kabir ko bachaya, aur ab Karan ka case ETF main transfer kara ke .."
Cutting him short Sameer said, "please aunty maine aapse pehle bhi kaha hai na ki ETF meri family hai aur aap sab uska hissa hai toh aap baar baar thanks mat kahiye aur main toh aapke bete jaisa hoon toh aap mujhe Sameer keh kar hi bulaya kariye"
Anwesha smiled at him & Aisha came out after changing her clothes & Anwesha forced Sameer to have dinner along with them as Sameer was alone & it was quite late too.
Anwesha & Aisha served the dinner to him.
It was really bliss for Sameer having homemade food after such a long time & he was enjoying every morsel of his dinner today.
After finishing his dinner, he said to Anwesha, "aunty aap bahut accha khana banati hai, bahut saalo ke baad ghar ka khana kha ke bahut accha laga, thanks a lot"
Anwesha said "pehli baat toh yeh ki aaj ka khana Aisha ne banaya hai aur rahi baat ghar ke khane ki toh kalse main tumhare hisse ka ek bada Tiffin banake Aisha ke haath bijwa doongi, toh tumhe bhi ghar ka khana khane ko mil jaayega"
Sameer & Anwesha smiled & then turning to Aisha, he sai,d "Aisha mujhe lagta tha ki bandook aur guns hi accha chalati hoo par aaj pata chala ki tum khana bhi itna accha banati hoo"
Aisha smiled & then Sameer took leave & Aisha & Anwesha started to arrange kitchen & Anwesha said, "tera mood kyu kharaab hai, mooh latka ke kyu baithe hai?"
She said, "Kuch nahi maa woh ghatiya ladke aaj toh had ho gayi mujhe aur rathore sir ko dekhke comments pass karne lage mujhe itna gussa aaya ki maine bhi unki acchi dhulayi ki"
Anwesha said, "Tu kyu aisa karti hai beta? Tu jaanti hai na ki woh loog kaise hai fir ulajne ki kya zarrorat thi?"
Aisha said, "Maa please unhe pata hona chahiye ki unki hadd kya hai aur yadi aisa na kare toh inki himmat aur badti hai aur aaj toh waise bhi rathore sir saath main the, main yadi nahi kehti toh sir toh unhe maar hi daalte"
Anwesha said, "par Sameer bahut accha hai insaan hai aur woh logo ki izzat karna bahut acche se jaanta hai, usse dekhkar lagta hai ki upar waale ne kaash mujhe aisa beta diya hota"
Aisha said, "accha pehle toh kehti thi meri beti beto se badkar hai "
Anwesha smiled & said hugging her, "haan woh toh main abhi kehti hoon ki meri beti beto se bhi badkar hai, par lagta hai ki kaash mera ek beta hota toh meri betiyoo ko itna sehna nahi padta"
Aisha said in consoling way, "maa waise bhi toh tum mujhe yahi kehti ho ki bhagwaan se galti ho gayi, tujhe ladka paida hona chahiye tha, toh yahi samajh loo ki main aapka beta bhi hoon aur beti bhi aur yadi usse bhi aapko tasalli na hoo to aapka laadla hai na Kabir woh toh aapka beta hai na grand son aur waise bhi aap usse itna laad pyar karte hoo ki woh pakka bigad jaayega "
Anwesha said, "achha sirf main laad karti hoon aur tu jo rooz kuch na kuch laati hai, bina kahe uski har zidd poori karti hai usse woh nahi bigdta aur saara ilzaam mujhpe laga rahi hai" & both started laughing after a while both retired to bed.
Next morning it was usual day at ETF all were present except Liza.
Suddenly Chotu said, "are yaar 9:30 ho gaya aur Liza gayab hai abhi tak aayi kyu nahi? woh toh jaldi aa jaati hai"
Shree said, "accha hai jab tak nahi aayegi shanty rahegi"
Riya said, "Shree tum kyu aisa kehte hoo, woh kitni acchi hai aur tum dono toh saath padte na aur ab bhi itni ladayi karte hoo?"
Shree said, "Ri woh poori aflatoon hai, jab hum college main saath the toh mujhe bahut tang karti thi, hamesha hasti rehti thi, par jab se main usse mila hoon ETF main mujhe vakai yakeen nahi hota ki yeh wahi Liza hai jise main jaanta hoon "
Aisha said, "kyu Shree kya hua, tum aisa kyu keh rahe hoo"
Shree said, "yaar pehle woh hamesha muskurati rehti thi, sabko hasati thi aur aaj to aisa lagta hai ki woh jaise yeh sab bhool hi gayi hoo, jo ladki prank kiye bagair 1 din nahi reh sakti thi, aaj aise react karti hai jaise ki saamne koi hai hi nahi "
Riya said, "Shree toh fir tumhe usse baat karni chahiye, hum sab toh usse bahut kam samay se jaante hai, shayad hamse na share kare par tumse toh woh kar hi legi, aaj aaye to poochna usse "
Shree said, "Haan yaar kal ek aur ajeeb baat hui, woh parso raat ko der tak ruki thi, koi nahi tha aur uss din mujhe bhi rukna pada kuch important details nikaalne ke liye aur maine usse kisi se chillate hue baat karte suna, woh aise kabhi kisi se baat nahi karti pehle mujhe lagta tha ki shayad kuch aur hoga par jo uss din dekha uske baad lagta hai ki kuch bahut serious hai, uske saath maine bhi yahi socha tha ki usse bat karoonga par mujhe laga ki woh toh waise hi mujhse naaraz rehti hai pata nahi kya soche"
Their chat was disturbed by Arjun & Sameer's arrival at the conference room.
Sameer said, "guys apna paper work complete kar loo last case report aaj shayam bejni hai aur Liza kaha hai maine usse complete postmortem report aaj dene ke liye bola tha, aaj ki report ke saath woh report bhi jaani hai"
Shree said, "Sir Liza aayi nahi hai abhi tak, hum sab wait hi kar rahe the uska"
Sameer nodded & said, "theek hai aaye toh usse mere paas cabin main bhej dena aur kehna report tayyiyar hai toh woh bhi leti aaye"
All nodded & Sameer & Arjun were about to leave for their cabins when they saw Liza coming from the main door she had bruises on her forehead & she had tied a bandage around her wounds.
All were bit surprised to see Liza like that Sameer said in a worried tone "Liza kya baat hai tumhe kya hua?"
She replied, "kuch nahi sir bas thoda sa chot lag gaya main theek hoon"
Sameer said, "are u sure Liza"
She nodded in positive after few minutes when she was alone in lab & working Shree entered the lab & asked, "Liza yeh chot kaise lagi?"
Liza said, "Maine bahar sab bata diya tha specky toh please let me work"
Shree pissed his teeth & grabbed her wrist turning her towards himself & asked "yeh sab bolke tum team members ko buddhu bana sakti hoo, mujhe nahi, toh batao baat kya hai"
So how was it guys please drop in ur comments as I write for u guys so please do let me know all ur bashing, feedback & suggestions are more than welcome excuse for typing & formatting errors love u all
EDIT CREDIT : Sneha 😊 Good work dear 😃
Regards Goldie & Rimi 😊😊
unres...me first...🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳 🥳