Waise.. Kaisi to irony hai ki RG proudly kahti hain ki she doesn't know how to cook. And cooking ek aisi cheez hai ki uski on screen acting karna majak nahi hai. Thik waise hi jaise dancing.
Singing me to aap dub kar sakte hain. Although mai koi dancer nahi hu but Art & culture subject ko achhe se padha hai. Mujhe hairani hue ki IF pe aaj tak kisi ne ye point out nahi kiya ki wo classical dance ke naam par jo moves karti hai wo sab galat hota hai. Dance academy kholkar Kathak sikhane ki baat karke Bharatnatyam ke steps sikhane lagti hai.
Lekin ab cooking ki baat kar lete hain. Aur thanks to our culture, Cooking ke baare me jyadatar women ko knowledge hoti hi hai. To you can clearly see.. ki aise kahani ke purpose se fatafat khana taiyar karke dikhaya ja sakta hai. Aur sahi bhi hai ki actor ko use pakane ki jarurt nahi. Lekin jab story cooking competition par focused hai tab to actor ko seekhna hi padega aur aise aap kuch bhi to nahi dikha sakte!
Lekin ITV par sab chalta hai. Dusre desho me kisi profession par based show karne se pahle Actors training lete hain. Yaha to kuch bhi dikha do!
Udhar Savi bina padhe likhe, family walo ki recent tragic death ka trauma, bahan ke coma, sasural me mental torcher, forced marriage, husband ki lover ko roj dekhkar, sabko rescue karne ke mission me lage rahkar, one sided love me padkar... Wo aise hi chutkiyo me UPSC crack kar legi (you know what Top kr legi)!
Kyonki padhai to joke hai! Wo to aise hi ho jati hai. Jo brilliant hota hai, use padhna nahi padta, use trauma nahi hota, wo aise hi bina padhe top kar sakta hai! By the power of sheer will (and of course by being a charity case)!
Usse pahle Sai MBBS (wo to jaise taise kiya so kiya) ke baad MD nahi ki.. na residency complete ki.. aur seedhe General Physician se leker Orthopedic/Obgyn/General Surgeon/Cardiothorasic surgeon/Dietician etc sab ban gai! Aur us par se IF ki educated janta frustrated hoti thi ki post leap ke baad Sai ke paas achhe kapde/ghar/car kyon nahi hai? They are like.. Doctors are supposed to be rich? I mean really! Sirf MBBS karke koi Medicine practice nahi kar sakta.. to yaha aise technical points endless hain.
Wahi dusri taraf Abhira (Although I like her character).. Ek to padhai nahi karti, dusra aise juvenile arguments deti hai, jo court me permissible nahi hain. Aur usme ye kya dikha dete hain ki ek firm ek intern ko high profile case pakda deti hai aur wo bhi first chair? Interns to kya... Law practice karne ke kai kai saal tak lawyers ko badi mushkil se second chair banne ka mauka milta hai.
Fir court me court proceedings aur Indian law ko follow karte nahi dikhate ye log.. bas melodramatic speech do, achanak se witness bula lo (jo nahi kiya ja sakta), koi video dikha do (jo present me admissible nahi hai, jo naye laws pass hue hain unke laagu hone ke baad hoga aur uske bhi kuch kayde hain) aur bas! Case close!
Pata nahi kaise... Etni thodi bhi mehnat nahi karna chahte makers! Kyonki audience (jisme jyadatar highly educated hain) ko Kitchen politics, Vamp ke lusty schemes me jyada interest hai!
Yahi hai ITV! Koi bhi show dekh lo!
Sirf ek show hai jisme FL ke professional qualification ka majak nahi bana, jismen kuch reality thi! Lekin wo show (TMD) to women ki "udaan" ya "aai baba ke sapno" ko pura krne ke liye nahi jahar bechne ke liye tha/hai, to wo bas violence ko hi love batakar dikhaye ja rhe!
I mean.. Sahiba bachpan se kaam karti aai, usne pita se seekha, ghar chalaya... Talent, bachpan se seekhna aur saalo ki mehnat ke baad she had every right call herself an artist! But story uske artist banne ke sapno ke liye thi hi nahi. She never got recognised, never finished her education. Uske talent ko limelight me aate dikhaya hi nahi. Ulta uske art ka majak hi banate dikhaya gya!
Isliye... Padhai-likhai aur sports se Judi technicalities ko chodo, ye log cooking tak me bhi basics ka dhyan nahi rakh rahe! Because audience ko fark nahi padta!
30