Originally posted by: HoneyBee7312
Muh khol kar kuch bhi bol dene woh sacch nahi ho jata.
BTW meri great grandmother ke 5 bacche the 2 daughters 3 sons
And she never had any issue raising 2 daughters equally.
My Nani was a nurse and her sister a teacher. They were both asked by my great grandmother what profession they want.
And they were both allowed to pursue it.
Their brothers all picked their professions similarly
Ye toh maa pe hai ki woh apne baccho ko kaise paal rahi hai.
Maa chahe toh 8 saal ki bacchi ki padhai bhi ho sakti hai and 21 saal ke bacchi ki shaadi bhi ho sakti hai
Par maa sirf 21 saal ki bacchi ke picche hi padi rahe and phir nautanki kare ki 8 saal ki bacchi usse nahi samajh rahi toh woh hi dogli hai.
Isme baccho ki koi galti nahi
Pehli baat, aap ek 21 saal ki shaadishuda ladki ke liye attention aur usse aadhe se kam ki, 8 saal ki bachchi ke liye attention ko compare kar rahe hain?
Agar Pakhi se Choti koi behan hoti toh kya tab bhi bade hone ke baad bhi Maa ke attention ke liye zidd karti? Kya maa khud apni sabse Choti beti ko zyada attention deti na. Forget that, Pakhi ke bachpan time bhi Paritosh aur Samar se zyada attention Pakhi ko mila hoga na? Nahin mila hoga toh Pakhi (jo abhi itni ziddi hain) usne bhi zidd nahin ki hogi? Har bachcha karta hain. How difficult is it to understand this?
Doosri baat, agar har shaadishuda ladki ko apne Maa ki constant attention ki zaroorat padti bhi hain toh isiliye ki woh Usi ke Maa ke saath reh rahi hain. Kisi aur ghar me bidaai hoti ya kisi aur desh me jaati like Kinjal toh kya karti?
Teesri baat, parenting and growing up itself means trying to make your "kids" to be self-sufficient, independent, take your own decisions and own up to your decisions and take the consequences.
Finally each to their own opinions.
So, if there words told to someone, the words will come back and people should be able to brace it.
Edited by Bodhianveshika - 1 years ago
13