After watching comparison of heera and Chaand in today’s episode, one thing crossed my mind what would be Chaand's thinking
Chaand hoon main, mehtaab hoon mai
Jitna noor hai, utna hi garoor hai
Sabka khwaab hoon mai, khitaab hoon mai !!
Kisi ke pyaar ka gawah hoon mai
Kisi ki tanhai ka sangi hoon mai
Kisi ke dard ka saaathi hoon
Kuch meri kasmein khate hai
Apne aap par bada itrate hai !!
Apni mohabbat, apna dard
Sabko dikha
Itne taaron ke beech mai kitna tanha
Yeh kya kisi ko samjha !!
Jajbaat sabke hote hai
Kuch ro dete hai
Koi alfazo ka sahara leta hai
Kuch khamoshi se
Sab seh jaate hain !!
Yuhi nahi bhatkata raaton ko mai
Nahi koi yeh itefaaq hai
Mujhe bhi kisi ki
Talash hai ,kisi apne ki talash hai
Par iska kisi ko kahan ehsaas hai !!
Waise bhi mai tab tak accha hoon
Jab tak mohabbat hai
Nahi toh sirf ek daag hoon
Ek dhabba hoon !!
Mai sadiyon se aasma ka hi hoon
Mujhe aasman ka hi rehne do
Sirf apne pyaar ke liye, ek angoothi ke liye
Mujhe dharti par laana chahte ho
Aashiyan se mere door karna chahte ho !!
Meri khamoshiyon mei mujhe rehne do
Sukoon se mujhe jeene do
Aasmaan ka hoon aasman mei rehne do
Aasmaan ka oon aasmann mei rehne do !!
P S Apni mehbboba ke liye mujhe kyun todna chahte ho, apna muh todo, apne daat todo, plz mujhe choro, aisa chaand ne mujhse request ki.