Anu (signature scene) as usual sobbing, wiping her nose, mouth with her pallu. Anuj comes, seeing her like this ( mann mei: ab kya dukh aa gaya iss aurat kyun.Kabhi khush kyun nahi reh sakti yeh, hamesha kisi na kisi dukh mei ghiri rehti hai yeh aurat, jab dekho 2 paise ke aansoo bahati rehti hain.)
Hiding his feelings
Anuj: kya ho gaya meri anu ko?? meri anu ki aankhon mei crore Rs ke aansoo.
Anu: Nahin,kuch nahi
Anuj:(thinking, ek baar mei toh batayegi nahi, bhav khana jaroori hai iska har baat par )
Anu, batao na, tumhe pata hai tumhari aankhon mei aansoo nahi dekh sakta
Anu: Mai,woh woh ……… ssab meri saadi mei aa rahe hai. Par toshu ke papa, mere baccho kepita nahi aayenge toh adhoora adhoora sa reh jaayega. Agar unka bhi aashirwaad mil jaata toh mai bohat bohat boht khush hoti.
Anuj: (mann mei, baccho ke pita ke jaap ne mera sar dird kar diya hai. Pata nahi meri kismet mei pita banna toh door pati bannna bhi hai ya nahin. kahan phas gaya mai iss aurat ke chakkar mei, mujhe bhi paagal karke choregi)
I understand Anu. Woh parivaar hai pehle tumhara. Tum pareshan mat ho, sab theek ho jaayega.
Anu: Aree maine dhyan hi nahi diya, aapko kitne paseene aa rahe hai n holds her pallu to wipe his face.
Anuj holding her hand and says, nahin, I m fine. (Mann mei pata nahin kya 2 pochti hai saara din iss pallu se, ab mera muh bhi saaf karegi. Covid ke cases bad rahe hai waise.. Bhagwan bachae iss devi se
Anuj takes her leave and goes to meet Vaanu.
On seeingAnuj, Vannu: Tum yahan kya kar rahe ho?? Tumhe toh naachna gaana chahiye.Tumhari toh shaadi hain.
Anuj:Vanraj, actually anu bahut upset hai, who chahti hai tum bhi shaadi mei aao.Uski khushiyan poori ho jaayegi.
Vannu:Pagal Aadmi, mai kyun aaonga?? Mujhe kya lena dena tum logo se??
Anuj:vanraj, agar tum nahi aaye toh mai tumhe utha ke le jaaonga. Mai apni anu kikhushi ke liye kuch bhi kar sakta hoon.
Vannu:haath laga ke toh dekh..
Anuj: yaar vannu, tu gussa kyun ho raha hai, tujhe aaj tak haath lagaya hai maine. Jaada se jaada 8-10 bottle tod doonga. 2-4 heavy dialogs bol doonga, 1-2 emotional bhi .Aur jaada hua toh 1 aad shaayari kar doonga. Isse jaada, bata kya karoonga??
Dekh yaar tu jaanta hai iss sanki aurat ko. Poori shaadi mei, muh banaye rakhegi ya phirlehnge se naak muh pochti rahegi, meri toh saari pics kharab ho jaayegi. Kya dikhaunga mai sabko. Tuje accha khasa experience hai inn aurato ka. Bhagwan ne kaan sirf earrings pehnne ke liye diye hai. Ab toh poore kaan mei piercing kara leti hai, diamond pehne rahegi,par sunegi kisi ki nahin.
Vaanu:Annu, baat toh teri sahi hai par pir bhi mai kyun aao?? Mujhe nahin aana.
Anuj: Dekhtu yahan karega kya, kavya tera sar hi khayegi. Faaltu mei uski shakal dekhnese accha haitu shaadi mei aaaja. Sochna kisi party mai aaya hoon. aram se Khana peena. mann kare toh naach bhi liyo.
Vannu: haanyaar, bahut din ho gaye accha khana khaye hue n dance kiye hue, thodi practicebhi ho jaayegi. Point hain teri baat mei. Tu intelligent hai.
Accha, yeh bata kuch program bhi hai ya phir sookha sookha hai
Anuj: aree Vannu, kaisi baat kar raha hai, mast program hai, samar ko bol kar sab arrange kar diya hai. Whiskey, scotch, beer, wine sab hai. Saara paisa yahi toh kharch kiya hai. Itne din se lavish wedding aise hi thodi na chilla raha tha. Baapuji ne bhi bola hai, aisa din baar 2 nahi aata. Isliye acche se peeyo.
Vannu: AREe pehle kyun nahi bataya. Shaadi toh kya saare function attend karoonga.
Aur koi kaam reh gaya ho to batana. Mithai waale se, tent waale se acchi jaan pehchan hai meri.
Anuj: Thanku yaar. Bus tu, time se pahunch jaayun
Vannu:jaroor, aur barat mei dance karoonga,
mere yaar ki shhadi hai,
lagta hai maano poore sansaar ki shaadi hain
1