try to understand makers theory here
they wanted to show ki kayi gharo mein ek housewife ko kya tolerate karna padta h unhone acche se dikhaya
then unhone ye dikhana tha ki ek wife ko pata chale ki uska husband cheater h to use kya karna chahiye family pressure society pressure 3 baccho ki maa hone ke baawzood anu ne bina ruke vanraj ko divorce diya
then they wanted to show ki ek divorcee ko kya kya face karna padta h especially jab wo apne pairo par khade hone ki koshish kare uski family hi use jeene nahi deti aage nahi badhne deti kaise kaise ilzamo ko face karna padta h use aur phr wo aage badhti h wo bhi makers ne acche se dikhaya anuj ki entry hui
and usne anu ko ek much needed push diya and ek opportunity di
uske baad ek divorcee jab male friend banati h to society uski family uske bacche sabse use kaise kaise taunt and all aur kaise himmat se use un logo ko jawab dekar ya un par dhyan na dekar aage badhna padta h
now this is also done
now comes second chance in life which is very important they want to show ki growth ke liye second chance dena bhi aana chahiye it's not easy itne jakhm ke baad kisi par bharosa karna but phr bhi har insaan ek sa nahi hota ye samajhna padta h aur aage badhna padta h badhna chahiye bhi and makers ab yehi dikha rahe h that anu is giving second chance to herself now
professional growth wo dikha chuke wo ghar se bahar nikli office jane lagi ab isse jyada detail mein itv mein dikhana impossible h because yaha public ko drama chahiye tabhi trp aayengi aur show accha karega show se jude logo ke ghar chalenge
and waise bhi ek acchi life ke liye sirf professional nahi personal growth bhi important h
i m sorry if i offended anyone here