So after a long long time here goes ch4 of BHB
Adu and Kabir enter a house.
Adu: kaise hain janab?
(The man turns back and yes he is no other than that vaidhya g)
Vaidhya: Arey Tum yahan kaise,matlab kyon
Adu: Jee bass aapki yaad aa Rahi thi toh Milne Chali aayi.
(Adu sits on sofa)
Adu:Vaidhya g aap hi ka ghar hai. Baithiye na
Toh aap yeh bataiye k aapne kabhi Vikram ka Naam Suna hai?
Vaidhya: Vik..Vikram. nahin..nahin toh. Koun koun hai ye Vikram
Adu: Nahin,accha chalo Mahesh ka toh suna hoga.
Vaidhya: Nahin. Pata nahin kya bole jaa Rahi ho. Koun Vikram koun Mahesh?
Adu:Yaadasht kamzor hai aapki. Apna Naam hi bhul Gaye,Dr. Vikram Desai
Vaidhya: Tum..Tum kya bole Rahi ho?
Adu:Accha main aise hi bol Rahi hoon. Toh iss file mein,yeh Dr aap hi hai na Vaidhya g. Aur yeh,mahesh,isse toh bahut acche se jaante honge aap.
Vaidhya:Haan Haan Haan main hi hoon Dr.Desai aur main jaanta hoon Mahesh ko. Mahesh hi...
Adu:Vanraaj hai
Vaidhya:Haan
Adu:Itna toh main jaan chuki hoon k vanraaj kaise Bana kaise yahan aaya,aap uske baare mein bHut kuch jaante Hain. Mujhe woh sab jaan na hai. Abhi. Warna bulwane k aur tareeke aate Hain humein.
Vaidhya:Main...woh...main
Kabir:Lagta hai Vaidhya g ko demo dikhana padega
Vaidhya:Nahin nahin. Batata hoon. Sab Bata ta hoon. Mujhe aaj bhi woh manhoos din yaad hai. Main kuch Aisa karna chahta tha jiss se main iss duniya ka hi nahin balki doosri duniya ka bhi betaaj Badshah ban jaun. Par uske liye mujhe doosri duniya mein Jaana padta. Aur main apni saari research chhodke jaa nahin Sakta tha. Isliye miane Mahesh ko China. Maine doosri duniya ka darwaza khol k usse wahan bhej diya taa k woh vaapas aakar mujhe wahan k baare mein bataye. Par jab woh vaapas aaya toh..
Adu:Toh
Vaidhya:Woh Mahesh nahin Raha tha. Woh vanraaj ban Chuka tha.u sse apar shktiyan mil gayi thi. Woh shaitaan ban Chuka tha
Adu:Aapne yeh kisi Ko bataya kyon nahin?
Vaidhya:Aisi research par government ne ban lagaya hua hai. Agar kisi Ko pata chal jaata toh mujhe jail Jaana padta . Isliye main tab se vanraaj k liye hi kaam kar Raha hoon.
Adu:Kya?Par phir aapne Vikrant ko coma se bahar laane mein meri madad kyon ki?
Vaidhya:Kyon ki main jaan Chuka tha k Vikram t hi woh hai Jo mujhe aur isa duniya ko vanraaj se bacha Sakta hai.
Adu:Pad sirf Vikrant hi kyon?
Vaidhya:Kyon ki Vikrant aur vanraaj hude hue hain. Jaise kans aur Krishna,ram aur Ravan ki raashi ek thi waise vanraaj aur Vikrant ka janm ek hai. Woh donon ek hi waqt ek hi din paida hue the yaa phir ye kaho k jis waqt buraai paida hui ussi waqt acchai bhi paida hui.
Adu:Par uss din toh Kai log paida hue honge. Toh sirf Vikrant...
Vaidhya:Nahin woh din,poornima ki Raat,uss din sirf do log paida hue the,vanraaj aur Vikrant.
Adu:Abhi aapne kaha k aapne doosri duniya ka darwaza khola tha. Mahesh ko wahan bhejne k liye. Toh aap mujhe wahan bhej sakte hain kya?
Vaidhya:Haan par.
Baaki baad mein bye
Edited by viditifan - 7 years ago