Hey friends , I m here with my
New ONE SHOT
This is inspired by my fav. Album song "DIL KA AALAM" of "KUMAR SANU"
HOPE U ALL LIKE IT
" DIL KA AALAM"
INTRODUCTION :---- agam and nimrit are the two college students…….jo college ke hi hostel me hi rahate hai……….
Agam is very good singer of his college………aur gitaar bhi bahut achha bajata hai……..
Nimrit apane values , Indian culture me bahut yakin rakhane wali ek sweet and simple ladaki hai…….
STORY STARTS
Har subah ki tarah ek normal din ki shuruwaat huyi agam ke liye…………agam college jaane ke liye ready hau aur apane kuch dosto ke saath college aaya……….college me aane ke baad agam aur usake dost college ke ground ke bench par gapshap karate huye baith gaye………..agam sabse baat karane me bahut bussy ho gaya……..tabhi achanak usake haatho se ek kitaab (book) neeche gir gayi…….par agam ka dhyan hi nahi tha ispar……….
Tabhi ek naazuk haath ne us neeche giri huyi book ko uthaya ……….tab agam ka dhyan uspar gaya……….agam ne usaki taraf dekha………..do khubsurat aankein , ek pyaara sa chehara jispar maasumiyat jhalak rahi thi………..us ladaki ne book ko uthaya aur use apani dono aankho aur maathe se lagaya aur book par kiss kiya …... books students ke liye god ki tarah hoti hai aur unka kabhi apmaan nahi karana chahiye aisa nimrit ka maanana aur vishwaas tha……….isliye jab usane book ko neeche gira dekha to use utha liya ………..
Usane book ko agam ki taraf bathaya dene ke liye……..agam nimrit ki khubsurati aur usake nature ki goodness ko to bas dekhata hi rah gaya………..nimrit agam ko book deke waha se chali gayi………par agam ki nazare abhi bhi nimrit par hi thahari huyi thi……..nimrit usaki aankho ke saath saath usake dill me bhi utar gayi thi………..
Dil ka aalam mai kya batau tujhe
Ek chehare ne bahut pyaar se dekha mujhe
Dil ka aalam mai kya batau tujhe
Usake dusare din college me function tha like annual function…….us function me agam ne apani gitaar bajaane ke saath saath gana bhi gaya……….agam ka gana sunake saari audience jor jor se claping kar rahi thi………us saari bheed me nimrit bhi thi jo agam ka gana sun rahi thi…………nimrit ko bhi agam ka gana bahut achha laga…….and she also clap for agam with smile on her beautifull face…….
Agam ko to ab har jagah sirf nimrit hi nimrit nazar aa rahi thi……….nimrit usake dil me u bas gayi thi jaise dil ki dhadkan ho……..agam nimrit ka wait karne laga college ke ground par ki kab wo college aaye aur wo usaki ek jhalak dekh paaye……jaises hi nimrit college me aayi agam ped ke peeche chup gaya aur chupake se use dekhane laga…..par is baat ka nimrit kuch bhi pata nahi chala…..aisa agam har roz karane laga……..har subah jab nimrit college aati to wo chupake chupake use dekha karta……..
Ek din nimrit apani ek friend ke saath lake me boating karne ke liye lake par aayi………agam bhi usake peeche peeche lake par aaya…………nimrit aur usaki friend jis boat ki taraf badhi baithane ke liye agam us boat driver ki jagah khud baith gaya aur apana muh(face) dupatte se dhak diya taki nimrit use pehchaan na sake aur agam aasani se nimrit ke saath kuch time rah sake use dekh sake………..agam nimrit ke thik saamane baitha tha naav(boat) chalate huye……….nimrit ko ek baar aisa laga ki usane shaayad use kahi dekha hai par use kuch samajh me nahi aa raha tha…….. nimrit ke ball khule the…….wo baar baar apane khubsurat baalo ko sawaar rahi thi……..aur agam ki taraf bhi beech beech me dekhe jaa rahi thi……..ek pal aisa aaya jab agam ko laga ki use nimrit ko apani identity batani chahiye………..tab usane apane chehar se dupatta hata diya par tab nimrit ka dyaan nahi tha usaki taraf……….aur jaise hi nimrit ne agam ki taraf dekha agam ne phir se dupatte se apana chehara dhak liya dar ke vajah se……… use dar laga ki na jaane nimrit usake bare me kya sochegi…………
Wo mere saamane baithi hai magar
usase kuch baat na ho paayi hai
mai ishara bhi agar karta hu
usame ham dono ki ruswaayi hai
lake ka kinara aa gaya aur nimrit jab boat se utarane lagi tab use utarane me pareshaani ho rahi thi…………to agam ne nimrit ka haath apane haatho me pakada aur use boat se neeche utarane me help karane laga……….tabhi achanak nimrit ka balance gaya aur wo agam ki baaho me gir gayi par agam ne use neeche girane nahi diya…….par nimrit ke haath se anjaane me agam ke face ka dupatta usake chehare se nikal gaya…….aur nimrit ne agam ka chehara dekh liya………nimrit ko thoda sa shock laga agam ko waha dekhakar……….nimrit agam se kuch bhi nahi kaha aur Nimrit waha se chali gayi aur agam ne smile karate huye apane sir ke peeche halake se maara…….is andaaz me kyunki wo khush tha ki nimrit ne use aakhir dekh hi liya…………..
dusare din subah jab nimrit college aayi to agam ne use dekh liya aur college ki baalkani me khada ho gaya jaha se nimrit apane claas me jaane waali thi………jaise hi nimrit us raaste se gujari usaki nazar agam par padi kuch der ke liye wo ruk gayi……….agam ke haaatho me book thi ………..agam ne thik usi tarah se book ko aankho se lagaya aur book ko kiss kiya jaise pehali meeting me nimrit ne kiya tha…… .. agam aur nimrit ne ekdusare ki taraf dekha aur ek pyaari si smile di…….nimrit waha se chali gayi aur agam use jaate huye dekhata raha………nimrit ne peeche mudkar agam ki taraf dekha aur phir se smile dete huye waha se chali gayi……..
us din shyaam ko college ke hostel ke ground me saare college students ek saath jama huye………raat me waha par thodi sardi thi isliye lakdiyo se jalakar saare log usake side me ring banakar baithe huye the………..agam apane gitaar saath liye huye tha………..sab ne use gitaar bajane ke liye request ki………..tabhi nimrit waha par aayi aur agam ke side me aakar baith gayi………agam ne song gana shuru kiya………
wo to hatho se kuch bhi kahati nahi
usaki aankho me ek kahani hai
us kahani me naam hai mera
mujhape kudarat ki meharbaani hai
dil ka aalam mai kya batau tujhe
ek chehare ne bahut
pyaar se dekha mujhe
sitaaro bhari khubsurat raat aise hi pyaar bhare suhane muasum ke saath beet gayi……
dusare din subah subah agam college ke hi church me aaya……….agam ne band church ka gate khola aur andar aa gaya….church me koi bhi nahi tha…………..agam ne GOD YESHU ke CROSS ki taraf dekha ..apane dono haatho ko jod liya aur ghutane ke bal god ke saamane jhuk gaya………..prayer karane ke liye…….
Jaise hi agam khada hua usake peeche se nimrit waha aayi ……….agam ne nimrit ki taraf dekha…………nimrit ne dheere se peeche haath karake apane saath laya hau red roses ka gultasta(bunch of red roses flowers) agam ke haatho me diya……..aur agam ne use le liya………nimrit ne agam ka haath apane haatho me pakad liya……….aur dono ne ekdusare ki taraf dekhakar smile di……….phir dono ne milkar GOD se prayer ki ……..ki unaka pyaar aise hi sada sahi salamat rahe…………wo hamesah aise hi saath rahe………unka pyaar har pal badhata rahe……….
Pyaar ka ehsaas god ki di huyi un kuch anmol baato me se hai jo kuch hi khushnaseeb logo ko hi naseeb hoti hai………..aur AGAM aur NIMRIT khushnaseeb the ki unhe sachha pyaar mila tha………….
...
THE END
AND
PYAAR KI NAYI SHURUVAAT
Friends umeed hai ki aapko pasand aaye…….
From ARCHANA