Hi friends this is the LAST PART of my SS...hope u all like it...ye safar mere liye bahut yaadgaar raha ...maine bhi bahut kuch seekha hai isase...mari writting skill me sudhar hua hai...maine kabhi shayaari nahi likhi thi par isase muhje wo bhi thodi bahot likhani aa gayi.š...thanks for reading and ur lovely comments...š
PART-10
PREVIOUS :- saare log finally shimala tour ke liya aa jaate hai...nimrit ko chodkar sabhi log bahar ghumane chale jaate hai...saare log waapas aa jaate hai par agam waapas nahi aata ...saare log use dhundhane lagate hai...ab aage...
CONTINUE :-
agam waapas nahi aaya hai ye baat sab me fail jaati hai...sab use dhundhane nikal padate hai...saare log agam ko dhundhane ka har koi jee jaan se koshish karata hai par kisi ko bhi agam ka koi surag nahi milata hai...kisi ko koi khabar nahi milati hai agam ke baare me...ye sab dekhkar nimrit ke dil me bure bure khayal aane lagate hai...
nimrit ko lagata hai ki kahi agam kisi musibat me to nahi hai...khai wo kisi khatare me to nahi hai...kahi wo usi tufan me fas to nahi gaya...nimrit ko lagata hai ki agam ki jaan ko khatara hai...
usaki aankhein sirf door ki or lagi thi ki shaayad ab agam aayega sahi salamat waapas...usaki aankho se bahane wale aansu rukane ka naam hi nahi le rahe the...usake dil ne to jaise dhadkana hi ban kar diya tha...usaki saanse ruk gayi thi...
" meri har saans tumhara naam leti hai
aankhen tumhara har pal intzaar karati hai
tum sahi salamat ho ye mujhe pata hai kyunki
mere seene me dil ki dhadkan abhi bhi dhadak rahi hai"
agam ka koi bhi pata nahi chalata dekh nimrit khud hi use bahar jaakar dhundhane ka fiasala karati hai...
nimrit apani jagah se uthi or tezi se door ki taraf badhi par door tak jaane ke baad usake kadam achanak wahi ruk gaye...nimrit ko apane saath hua wo haadasa phir yaad aaya ...use yaad karate hi nimrit ekdum sihar uthi...dar ke maare nimrit ne apani aankhein band kar li...usake kadam wahi thahar gaye...
par jaise hi nimrit ne apani aankhein band ki waise hi use agam ka chehara nazar aaya...hasata muskurata jo use baahe faila kar apani taraf bula raha tha...
nimrit ne zatake se apani ankhein kholi ...
"nahi agam mai tumhe kuch nahi hone dungi...mai aa rahi hu tumhe dhundhane ...mai apane agam ko , apane pyaar ko waapas sahi salamat laakar hi rahungi ..."
nimrit ne apane pyaar ko bacha ne ke liye apane dar ko side me kar diya...usane agam ko dhundhane ka decission liya aur door ke bahar apana kadam aage badhaya...
bahar bahut sardi thi par phir bhi nimrit sirf shwall odhe apane pyaar ko dhundhane nikal padi...
"jab pyaar kiya hai to tufaano se ghabrana kaisa
tufaano se dar ke haar maan jana kaisa
padi jarurat to jaan bhi apani denge ham
raahe pyaar ki to hoti hi hai kaato bhari
kaanto ki raaho ko dekh usape chalane se darna kaisa"
"agam ...agam ..."
nimrit agam ko zor zor se awaaz dete huye chali jaa rahi thi raaste par akele bina khud ki parwaah kiye...bina kuch soche ...use sirf agam ko dhundhana tha , sahi salamat use waapas lana tha ...yahi ek dhun uspar sawar thi...
"agam ...kaha ho tum?? mujhe awaaz do agam please...", nimrit rote jaa rahi thi aur agam ko awaaz bhi de rahi thi...
chalate chalate nimrit us jagah aa gayi jaha par past me usake saath wo haadasa hua tha...us jagah ko dekhate hi nimrit ke paav wahi thahar gaye ...maano jaise barf ki tarah wahi jam gaye ho...use wo saari baatein yaad aa rahi thi jo past me huyi thi...phir se us par usaka dar haaavi hone laga...dar ke maare nimrit shiver karane lagi...par phir himmat karake usane apane aknkho se aansu poche aur apane dar ko bhulkar agam ko dhundhane aage chal padi...
"agam !! agam...mujhe awaaz do ? kaha ho tum?
nimrit puri tarah se thak chuki thi...
" agar tum mujhe nahi mile to mai bhi apani jaaan de dungi agam...mai tumhare bina ek pal bhi apane zindagi jeene ke baare me soch bhi nahi sakati hu...agar tumhe kuch ho gaya, ya tum muhjase juda ho gaye to mai kabhi jee nahi paaungi agam...please waapas aa jaao ...please waapas aa jaao..." ,
"bin tumhare mai bilcul adhuri hu
mahfil me bhi tanha akeli hu
saanse ruk gayi hai , dil dhadakta nahi
tumhare bina ab ek pal bhi kahi dil lagata nahi
tum meri zindagi ho ,mai sirf tumse hi puri hu"
kahate kahate nimrit apane khutano ke bal neeche baith gayi...usaki aankhein ro ro kar suj gayi thi...laal ho gayi thi...
phir bhi usake aansu thamane ka naam nahi le rahe the...
ek aansu nimrit ki aanhko se nikala aur nimrit ke gaalo se hota hua zameen par girne wala tha ki achanak ek haath ne aage badhkar use apani muthhi me band kar liya aur use zameen par girane se bachaya...
nimrit ne ekdum shock se upar dekha...
nimrit ko laga ki jaise use usaki zindagi mill gayi ...usaki tutati saanse phir se chalane lagi...usaka dil phir se dhadkane laga...usaki aankho me ek chamak aa gayi aur usane kaha...
"agam!!!!! "
aisa kahate hi nimrit agam ke gale lag gayi...abhi bhi usake aansu ankho se bah hi rahe the...
"nimrit ! aankhein kholo nimrit" , agam ne nimrit ke sir ko sahalaate huye kaha.
"dekho mujhe kuch bhi nahi hua hai ...mai bilcul sahi salamat hu..."
nimrit ne ankhein kholi ...
"haan nimrit mujhe kuch nahi hua hai...aur naa hi mai kahi gum gaya tha...ye mera hi plan tha, tumhhare andar chupe dar ko bahar nikalne ke liye...tumhe hotel se bahar nilkal kar ye batane ke liye ki jo kuch bhi tumhare saath hua tha wo sirf ek haadasa tha ...wo bura time tha jo ab beet chuka hai...tumhe use ek bure sapane ki tarah bhulana hi hoga...zindagi me aage badhana hoga...aakhir kab tak tum aise hi dar apane dil me liye jeeti rahogi ...isliye maine ye sabkuch kiya taaki tum apani zindagi hasate muskuraate pahale ki tarah jee sako , naa ki dar dar kar...
mai jaan bujhakar waapas nahi aaya tha...par mai tumhe dukh nahi pahuchana hahata tha nimrit...", agam ne nimrit ke gaalo ko apane dono haatho se pakadate huye kaha.
nimrit ekdum se uth gayi...use to jaise jor ka shock laga...
"kya!!! ye sab tumne jaan bujhkar kiya tha...aur mai yaha tumhe paagalo ki tarah bina kisi cheej ki paravaah kiye dhundh rahi thi...", nimrit ne agam ke haath ko zor se zatak diya.
"par nimrit meri baat to ."
"mujhe tumhari koi baat nahi sunani hai" , nimrit ne agam ki baat ko beech me kaatate huye kaha.
aur nimrit waha se jaane lagi...agam ne tezi se nimrit ka haath pakada...
"chodo mera haath agam, ", nimrit haath chudane ki puri koshish kar rahi thi...
"nahi chodunga...kabhi nahi chodunga...ek baar ye haath maine thaam liya hai apani zindagi me ...ab kisi bhi kimat par mai ye haath nahi chodunga nimrit", agam ne nimrit ka haath aur tight pakada...
"kismat se tum hamko mile ho
ye haath ham ,ab na chodenge
chahe kar lo kitani bhi dur jaane ki koshish
saaya bankar tumhara, tumhare saath saath chalenge
ab ye saath kabhi ham na chodenge"
nimrit ne shocked hokar agam ki taraf dekha...usaki aankho me ek ajeeb si sachhayi nimrit ko nazar aayi...par nimrit ne khud ko sambhal liya aur apana haath agam ke haath se chuda liya...
"agar aisa tha to tum mujhe u chodkar kyu chale gaye the..."
"kyunki mai tumhe tumhare dar se bahr nikalana chahata tha nimrit ...tumhe khush dekhana chahata tha.."
nimrit ne agam ka collar pakad liya...
"khush ...tum mujhe khush dekhana chahate the?? par tumhe ye nahi pata agam ki meri khushi to sirf tumse hai... mera ye dil sirf tumhare liye dhadkata hai...tum nahi hote ho to zindagi bematalab lagane lagati hai...har pal tumhare bine suna lagata hai...aankho me bas tumhara hi intzaar rahata hai...", nimrit bas kahe chali jaaa rahi thi bina kuch soche...
agam palake jhukaye bina nimrit ko dekhe jaaa raha tha...nimrit ki baate sunkar use bahut bada shock lag raha tha...jo baate usake dil me thi aur wo nimrit se ab tak kah nahi paaya tha wo saari baate nimrit khud use aaj kah rahi thi...agam ko is baat par yakin hi nahi ho raha tha...
"haan agam , meri khushi sirf tum ho...kyunki...kyunki MAI TUMASE PYAAR KARATI HU... bahot bahot pyaar karati hu...khud se bhi jyaada...is pyaar se bhi jyaada...", aisa kahate hi nimrit ne agam ko gale laga liya...
agam ki aankho me paani aa gaya ye shabd sunkar... usane dheere se apane haath uthaye aur nimrit ko tight pakad liya apani baaho me...
"MAI BHI TUMSE BEHAD PYAAR KARATA HU nimrit ..."
"mile hai hum bichad bhi sakate hai
haatho se haath chut bhi sakate hai
is pyaar ki dori ko tutane nahi dena hai
ab mile hai ham , hamesha milkar rahana hai
kismat ko to ham nahi badal sakate hai
par is pyaar ko hamesha khud me zinda to rakh sakate hai"
ye sunate hi nimrit ki aankho se aansu chalak gaye ...par ye khushi ke aansu the...nimrit ke chehare par muskuraahat aa gayi...
agam aur nimrit ne ekdusare ki aankho me dekha ...dono ke chehare par smile thi , khushi se aankhe chamak rahi thi...phir ek baar agam ne nimrit ko gale lagaya...kabhi na bichadane ke liye...
agam nimrit ke thoda kareeb aaya , nimrit ke chehare par bikhari julfo ko dheere se uske chehare se hataya...nimrit ne apani aankhein band kar li...ab use pata tha ki ye ehsaas jo use ho raha tha wo pyaar hi hai...agam ka chuna ab use achha lag raha tha...agam ka sparsh usake gaalo se hote huye usake dil me utar raha tha...agam ne nimrit ke kandhe se usake baalo ko softly hataya aur dheere se kiss kiya...nimrit ne agam ke shoulder ko kaskar pakada...nimrit to jaise apane hosh kho rahi thi...usaka dil jor jor se dhadak raha tha... agam move his head towards her head and he kissed on her forehead, then on her cheecks, and hthen he move towards her lips...as soon as he went close towards her she started to melting...he kissed her softly and that was thier first kiss ever...
us raat aasmaan bilcul saaf tha...hawaye apani hi masti me zoom kar bah rahi thi...chand apani khobsurat chandani, ek dusare ke pyaar me khoye agam aur nimrit par aasmaan se barasa raha tha...aur unaka saath aise hi hamesha bana rahe ye duaye de raha tha...
"chand bhi barasa raha tha chandani us raat pyaar ki
sitaro ka bhi tha saath us raat pyaar ki
ek dusare ke ho gaye the aaj dono is tarah
ki zindagi hi ban gayi thi unaki ab suagaat pyaar ki"
THE END
but begning of the love of AgNi
Friends yahi tak mere SS ka safar tha aapake saath...umeed hai ki ye safar aapako achha laga hoga...maine apani taraf se puri koshish ki ise behtar se behtar likhane ki...aaj meri tabiyat thodi kharaab hai isliye maine jo mujhe achha laga , jitana yaad aaya utana likha hai...ab aap sab batayiye ki aap sab ko kaisa lagi ye endinng of my SS ...
aap sab ne ab tak ise padha aur itana pyaar diya , appreciation ki is sabake liye aap sabaka mere dil ki gaharai se mai shukriya ada karati hu...
THANKSSS A LOT
FROM ARCHANA