OS of AGNI (NAVI AND DIMPLE) last updated on page4 - Page 3

Created

Last reply

Replies

38

Views

3.3k

Users

8

Likes

57

Frequent Posters

shweta_yadav thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#21

Originally posted by: Anurna

Hi guys, this is OS of "AGNI" for u all jo NAVI aur DIMPLE ko miss kar rahe hai meri tarah...😭 LOVE IS FOREVER

N:-Nimrit
A:-Agam
ye maa bhi na kya jarurat thi hume bahar bhejane ki, Agam apane dil me soch raha tha... maa ne bhi pata nahi kyu hum dono ko bahar bhejane ka man bana liya hai, nimrit bhi apane mann me yahi soch rahi thi. nimrit ji aur meri shaadi to arranged marriage thi na mai unhe achhe se jaanta tha na woh. par kuch dino se meri aur nimrit ji ki dosti ho gayi hai aur maa ne ye nayi farmaish kar di ab kya soch rahi hogi nimrit ji mere baare me? agam khud se hi kah raha tha... agam beta packing ho gayi kya? ..."haan maa ho gayi bas aa rahe hai hum...
gaadi me bags rakhate huye A:- maine aapki baat maan li par gaadi mai hi chalaunga maa"...achha thik hai tu hi chala par apana aur meri bahu ka khyal rakhana samjhe...A:- haan maa...N:- aap chinta mat kijiye mummiji agan ji hai na mere saath wo mera pura khayal rakhenge... agam aur nimrit ne ek dusare ki taraf dekha aur halki si smile unke chehare par khill gayi...
N :-bye mummiji
A :- bye maa
bye beta , aaram se jaana...
A :- nimrit ji aapko garmi ho rahi hogi ek kaam kijiye window khol lijiye...
N:- ji thik hai .
nimrit se window nahi khulate dekh agam ne gaadi roki aur khud hi nimrit ki madad karne laga.agam ko pata hi nahi chala ki wo nimrit ke kitane kareeb tha jab uska dhyan gaya ki nimrit to use bas dekh hi rahi bina palake jhukaye... wo dono ek pal ke liye ekdusare ki aakhon me kahi kho gaye... ek hawa ke jhoke se nimrit ke baal usake chehare pe aa gaye agam ne halke se unhe apane fingers se nimrit ke chehare se hataaye. nimrit ne apani aakhein band kar li wo sparsh use bahot achha laga.. achanak horn ki aawaz se dono hosh me aaye.
N :- aur kitna door hai agam ji wo resort?
A :- bas 1 KM aur hai.
N:- ye to pura jungle ka area lag raha hai...
A :- haan. ye resort puri tarah se jungle se surrounded hai.
N :- kya hua agam ji aapne gaadi kyu rok di?
A :- wo lagata hai gaadi me kuch problem aa gayi hai isliye gaadi band ho gayi hai
N :- ab kya hoga agam ji ? yaha to door door tak koi gaadi bhi nazar nahi aa rahi dusari!
A :- aap tension mat lijiye nimrit ji. hume gaadi se utarana hoga...
A :- sach me yaha se hume lift nahi mill sakti hai... aur isase pahale ki andhera ho jaaye hume resort pahuchna hi hoga..par kaise?
N :- agam ji aapane hi kaha na ki resort sirf 1 KM door hai to hum chal kar bhi to jaa sakte hai na..
A :- kya?
N :- haan aur hum dono saath hai to rastayu hi kat jaayega baato me..
A :- thik hai nimrit ji.
agam aur nimrit raste par paidal hi nikal pade..
N :- to bataaiye aapko nature aur bahar ghumna firna kya pasand nahi hai?
A :- nahi aisi baat nahi hai par mai jyaada aisi jagah par aaya nahi hoon.
N :- mujhe to bahot pasand hai khubsurat vaadiya , ped paudhe, waterfalls , paani ki kalkal , birds ki awaaje. kitani khubsurati hati hai na iname..agam ji!!
nimrit baate kiye jaa rahi aur agam bas usake bhole se chehare ko dekhe jaa raha tha. aur soch raha tha ki kitani khubsurat hai ye , kitani maasumiyat, innoccence hai inaki baato me... ye mai kya soch raha hu... aakhir ye kaisa ehsaas hai??? jo mujhe nimrit ji ki taraf attract kar raha hai??
N :- wo dekhiye agam ji !!!
agam appne khayalo se bahar aa gaya...
N :- waha ek waterfall hai .. chaliye na hum waha chalate hai...
( TO BE CONTINUED... IF U ALL WANT PLZZ TELL ME)





Awesome yaaar plz be continued ..

Missing Badly Dimple and Navi cant even sleep from the day went dimple die . so plz conitued this kind of work for Dimple And Navi Fans...Love them alottt,
Wish a merical happen and Dimple is back but i know that not possible but missing them alot

725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#22
@shweta yaadav :- thank u soo much. I missed them too. Next update bhi padhana.
shweta_yadav thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#23

Originally posted by: Anurna

@shweta yaadav :- thank u soo much. I missed them too. Next update bhi padhana.





yaa sure i to dying to read the next only your poast make me to visit this fourm thanks
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#24

Originally posted by: shweta_yadav





<font size="3">yaa sure i to dying to read the next only your poast make me to visit this fourm thanks</font>

kya tumne 2nd & 3rd update padhi ? Kaisi lagi? Aur aage ke liye thoda intzaar karna padega.:-(
shweta_yadav thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#25

Originally posted by: Anurna

kya tumne 2nd & 3rd update padhi ? Kaisi lagi? Aur aage ke liye thoda intzaar karna padega.:-([/QUOTE



ha yaar 2nd and 3rd bhi pad liye hai or baake ka w8 kar rahe hu intazar nahi hota yaar itan miss kar rahe hu naa Dimple or Navi ko saath me ke baar baar is forum par aa jate hu sayad koi update mil jaye. Missing them a lot yaar ,ene to show bhi dekhana chor diya hai ab.

shanaya28 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#26
@Archu..so well written..awesome update..👏

Read both parts and you are so beautifully unfolding their love story.from friendship to the them realising a different feeling in their heart..agam was always caring about nimrit..could not see her in pain...nimrit also happy to see the care and feeling her pain in his eyes..

Waiting to read how they both realise it they are in love..

Do continue soon..
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#27

Originally posted by: saveeta24

@Archu..so well written..awesome update..👏


Read both parts and you are so beautifully unfolding their love story.from friendship to the them realising a different feeling in their heart..agam was always caring about nimrit..could not see her in pain...nimrit also happy to see the care and feeling her pain in his eyes..

Waiting to read how they both realise it they are in love..

Do continue soon..

thanks.
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#28
LAST UPDATE:- subah ki pahali kiran agam ke chehare par padi. roshani ki vajah se agam ki neend khul gayi. aur aankhe malate huye thoda aalas se agam ne apani aankhein kholi . jaise hi agam ne apane side me dekha to use ehsaas hua ki nimrit usake kitane kareeb soyi hui hai.. nimrit ka sir usake haath pe tha isaki vajah se wo uth bhi nahi paa raha tha kyunki agam nimrit ko jagana nahi chahata tha... ek hawa ke jhonke ki vajah se nimrit ke kuch baal usake chehare par aa gaye .. agam ne unhe sawar ne ke liye apana haath aage badhaya aur dheere se , bade pyaar se usane nimrit ke baalo ko usake gaalo se hata diya.. aur nimrit ka maasoom ,bhola sa , khoobsurat chehare ko wo dekhata hi rah gaya.. A :- kitani pyaari lag rahi hai nimrit ji sote huye!!! dill kar raha hai ki bas inhe dekhata hi rahu.. par tabhi nimrit ne apani komal palake dheere se kholi. aur agam ko itana paas dekhakar thodi ghabara bhi gayi par jab usane dekha ki wo khud hi agam ke haatho par sir rakhakar soyi thi to usane kaha N :- mujhe maaf kar dijiye agam ji wo mai neend me pata nahi kab aapake hatho par... aage usase kuch kaha hi nahi jaa raha tha hesitation ki vajah se. A :- koi baat nahi nimrit ji... utane me phir ek baar door bell baji ... agam ne darwaja khola... ek waitor haatho me tray liye huye khada tha... sir aapake aur madam ke liye chai laya hu. A :- mujhe de do... thik hai sir..
A :- achha suno...
ji sir ..
A :- yaha aaspaas koi acchi jagah hai ghumne phirane ke liye ??
haan sir ek nahi bahot saari hai. ye to pura ilaka hi behad khoobsurat hai sir . har jagah hariyali hi hariyaali hai.. par sabse khoobsurat hai ek chota par bahot hi khoobsurat lake jo yaha se kuch 2KM ki doori par hai. aur rasta bhi seedha seedha hai.
A :- achha to thik hai aaj hum wahi jayenge... thanks.
ji sir.
agam ne tray andar laaayi to dekha nimrit bed par nahi thi.. phir usane shower ki aawaz suni aur samajh gaya ki nimrit naha rahi hai... nimrit bahar aate hi agam ne use unke aaj ke programm ke baare me bataya.
dono tayyar hone ke aur nashta karane ke baad ghumane nikal pade ...
N :- agam ji par hum dono sirf?? agar rasta bhul gaye to??
A :- nimrit ji waitor ne kaha tha ki ye jo kaccha rasta hai na bas ussi par seedha seedha chalana hai.. aur lake zyaada door bhi nahi hai.. hum ek ghante me pahuch jaaynge..
N :- thik hai agam ji.
raaste me chalate huye unhe bahot saare khoobsurat fulo ke plants dikhai de rahe the , birds ki meethi taan sunayi de rahi thi, dhandi hawaye unhe chukar aur bhi romanchit kar rahi thi ,,,, upar se muasum bhi bahot suhana tha... dono ekdusare se baatein karate huye chal rahe the.
achanak nimrit ko zhaadiyo ke peeche ek hiran dikhayi diya .. wo itna khoobsurat tha ki nimrit ke kadam wahi par ruk gaye ... par agm ko iss baat ka pata nahi tha wa aage aage chalata raha ... use lag raha tha ki nimrit usake peeche peeche chal rahi hai.. par jab bahot der baad use nimrit ki aawaz nahi aayi to usane peeche mudakar dekha... nimrit waha nahi thi...agam shocked ho gaya..
A :- nimrit ji!!!! hey bhagwaan nimrit ji kaha chali gayi itane bade jungle me... usake to hosh hi udd gaye ... agam peeche duada nimrit ko dhoondhane ke liye jaha se wo aaye the us taraf...agam nimrit ko jor jor se awaaz dene laga..
A :- nimrit ji ... nimrit ji ...kaha hai aap ?????? kaha hai aap??? please jawab dijiye!!!! nimrit ji... kaha hai???
udhar jab nimrit ko ehsaas hua ki agam usake saath nahi hai to wo behad darr gayi.. usake to pairo tale ki zameen hi nikal gayi.. usane idhar udhar dekha par kahi bhi use agam nazar nahi aaya ... gum ho jaane ke aur agam se bichad jaane ke darr se nimrit ekdum saham gayi...wo zor zor se agam ko awaaz de rahi thi...
N :- agam ji ... kaha hai aap??? agam ji kaha hai aap??
nimrit agam ko dhoondhate huye wo rasta bhi bhul gayi jisase wo aaye the... ab nimrit ke chaaro or sirf ghani zhaadiya , bade bade ped aur sunsaan jungle tha aur wo akeli...
ab nimrit ke aankho se bahat saare aansoo nikal ne lage ... wo roye jaa rahi thi aur agam ko bulaaye jaa rahi thi
chalate chalate nimrit lake tak aa gayi jaha unhe aana tha par ab wo puri tarah akeli thi waha..
N :- agam ji kaha hai aap? please waapas aa jaaiye mujhe bahot darr lag raha hai...agam ji...
nimrit lake ki or kinare par khadi thi ki tabhi kisine usake kandhe par haath rakha nimrit saham gayi aur usaka balance chala gaya ... nimrit ne aankhe band kar li kyunki use laga ki ab woh paani me girane hi waali hai... par thodi der baad usane apani aankhein kholi to dekha ki wo paani me giri hi nahi... kkisi ne usaka haath pakad ke usse girane se bacha liya tha... jaise hi nimrit ne upar dekha to wo aur koi nahi balki agam hi tha.. jisane use girane se bachaya tha..
agam ko dekhate hi nimrit agam ke zorr se gale lipat gayi.. aur agam ne bhi use apani or kheecha aur apni baaho me bhar liya...
nimrit roye jaa rahi thi ... par agam ke gale lag kar use waapas zindagi ka, khushi ka ehsaas ho raha tha...
A :- nimrit ji kaha rah gayi thi aap?? pata hai mai aapko kab se pure jungle me deewano ki tarah dhoondh raha tha...
aisa kahate huye agam ki aankho se bhi aansoo nikalane lage...
N :- mujhe maaf kar dijaye agam ji sab meri galati hai...mujhe maaf kar dijiye!!
agam ne nimrit ki or dekha ..nimrit ke gaalo par aansu bah rahe the... agam dheere dheere nimrit ke kareeb gaya aur usake aansuo par kiss kiya jo nimrit ke gaalo par bhah rahe the...
nimrit ne apni aankhein band kar li...
agam nimrit ki forehead ko jaise hi kiss karane waala tha to achanak nimrit ko bahot dard hua..
N :- aahhh!!!!
agam ne dhyan se dekha tab use pata chala ki nimrit ki forehead par ghahari chot lagi hai..
A :- nimrit ji ye kya aapako to chot lagi hai?
N :- wo agamji shaayad pedo ki wajah se...
A :- chaliye jaldi resort chalate hai ... aapako medicine ki bahot jarurat hai... dekhiye na khoon bhi nikal raha hai!!!
agam ne apana rumaal nimrit ke maathe par baandh diya...
dono resort waapas aa gaye...loutate huye unhe kaafi raat ho chuki thi... agam nimrit ki patti khol kar usaki chot ointment laga raha tha ... nimrit ko hoone waala dard agam ki aankho me saaf saaf dikh raha tha...
dono ne ekdusare ki taraf dekha ... unaki ankhien bahot kuch kah rahi thi... agam ko pata hi nahi chala ki wo kab nimrit ke kareeb aa gaya , bahot kareeb ki unhe ekdusare ki saanse tak mahsoos ho rahi thi... par tabhi agam ko hosh aa gaya aur
A :- nimrit ji ... i .. i am sorry...
jaise hi wo uthane laga nimrit ne usaka haath pakad liya..
N :- sorry ?? kisliye agam ji??
agam ko jaise shock lag gaya...
N :- haan agam ji mujhe pata chal gaya wo kya hai jo hamaare beech mein hai... wo ehsaas , wo khushi, wo bechaini ... wo sab kuch aur nahi balki pyaar hai agam ji.. sachha pyaar ... wo bandhan jo amar hai , jo kabhi marata nahi, aur naa hi kabhi badalata hai...
agam ne zhat se nimrit ko gale lagaya aur kaha
A :- haan nimrit ji mai jaan gaya hu ki mai aapase kitana pyaar karata hu... aapake bina ek pal bhi nahi rah sakta mai..aapko kho dene ke darr se hi meri saanse ruk jaati hai ... aap meri zindagi ho , sabkuch ho... mai aapake bina adhura hu nimrit ji..
N:- mai bhi...
dono ko unake sachhe pyaar ka ehsaas ho gaya tha aur ab agam aur nimrit hamesha hamesha ke liye ek ho gaye the ... kabhi na juda hone liye...
tabhi to kahate hai love is forever
THE END OF OS BUT BEGNING OF LOVE
SONG FOR AGNI
KAISI HAI YE DEEWAANGI , KAISI HAI YE DILL KI LAGI,
DILL KAHATA HAI YAHI RUK JAAYE PAL TERE MERE PYAAR KA
SAAJANA...SAAJANA...
SAAJANA...SAAJANA...
DARD- E - DILL ME KITANA MAZZA HAI DEWAANE DILL JAANTE HAI
DILL DEEWANE HOTE HAI KAHANA NAHI MAANTE HAI...
DUBYE RAHATE HAI PYAAR ME...
KHOYE RAHATE HAI KHUMAAR ME...
DILL KAHATA YAHI RUK JAAYE PAL TERE MERE PYAAR KA
SAAJANA ...SAAJANA...
SAAJANA... SAAJANA...
THANKS FOR READING EVERY ONE...
FROM ARCHANA...
Edited by Anurna - 13 years ago
shanaya28 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#29
Archu very lovely part ..👏

Apt ending with both confessing their love..so beautifully written ..in fact could visualise that scene in the end..

enjoy reading it..😊


725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#30

Originally posted by: saveeta24

Archu very lovely part ..👏


Apt ending with both confessing their love..so beautifully written ..in fact could visualise that scene in the end..

enjoy reading it..😊


thank u so much. Ye sab for all AGNI fans. Will write more OS sometime in future. Till then thats it. Take care. Waise this song is my fav. Miss agni.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".