Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Aug 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 23 Aug 2025 EDT
THAKELA LOVE 22.8
Bluffmaster IF Season 1 (Sign-up Open)
SHAADI HOGAYI 23.8
Geetmaan finally got married 😍
Ranbir is accused of secretly following Deepika in social media 😆
When you’re in love with ddp
Vivek Agnihotri - Nobody Should Name Their Child Taimur
Rathores are here- Gen 5
Govinda Sunita Ahuja Divorce Case Update
🚨 Scheduled Downtime Notice 🚨
Pick one Emraan Hashmi song
Abhira: Life main problems ho chalega lekin Armaan na ho..
Anupamaa 23 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Important Notification regarding IF
i will try for it. If i get time will definately write sometime. Thanks for support.
</div><div>archu... it was such an emotionally overwhelming update... loved the way they were searching for each other ... and finally how agam saved her from falling into the lake ...wish they had shown the same in the show too... atleast our dimple wud still have been in the show...their confession of love was very sweet... so happy that our adorable AgNi finally with each other for ever...ur OS was too good... loved reading it and looking forward to many more from u...
thank u so much. Sabko pasand aaya ye mere liye khushi ki baat hai. Koshish karungi next likh pau.Originally posted by: akshaaya
Awesome update...
Loved their confession and your happy ending in OS...
Thanks for writing this OS...
Write more if you have time...😊
Amazing Work...👏
LAST UPDATE:- subah ki pahali kiran agam ke chehare par padi. roshani ki vajah se agam ki neend khul gayi. aur aankhe malate huye thoda aalas se agam ne apani aankhein kholi . jaise hi agam ne apane side me dekha to use ehsaas hua ki nimrit usake kitane kareeb soyi hui hai.. nimrit ka sir usake haath pe tha isaki vajah se wo uth bhi nahi paa raha tha kyunki agam nimrit ko jagana nahi chahata tha... ek hawa ke jhonke ki vajah se nimrit ke kuch baal usake chehare par aa gaye .. agam ne unhe sawar ne ke liye apana haath aage badhaya aur dheere se , bade pyaar se usane nimrit ke baalo ko usake gaalo se hata diya.. aur nimrit ka maasoom ,bhola sa , khoobsurat chehare ko wo dekhata hi rah gaya.. A :- kitani pyaari lag rahi hai nimrit ji sote huye!!! dill kar raha hai ki bas inhe dekhata hi rahu.. par tabhi nimrit ne apani komal palake dheere se kholi. aur agam ko itana paas dekhakar thodi ghabara bhi gayi par jab usane dekha ki wo khud hi agam ke haatho par sir rakhakar soyi thi to usane kaha N :- mujhe maaf kar dijiye agam ji wo mai neend me pata nahi kab aapake hatho par... aage usase kuch kaha hi nahi jaa raha tha hesitation ki vajah se. A :- koi baat nahi nimrit ji... utane me phir ek baar door bell baji ... agam ne darwaja khola... ek waitor haatho me tray liye huye khada tha... sir aapake aur madam ke liye chai laya hu. A :- mujhe de do... thik hai sir..
A :- achha suno...ji sir ..A :- yaha aaspaas koi acchi jagah hai ghumne phirane ke liye ??haan sir ek nahi bahot saari hai. ye to pura ilaka hi behad khoobsurat hai sir . har jagah hariyali hi hariyaali hai.. par sabse khoobsurat hai ek chota par bahot hi khoobsurat lake jo yaha se kuch 2KM ki doori par hai. aur rasta bhi seedha seedha hai.A :- achha to thik hai aaj hum wahi jayenge... thanks.ji sir.agam ne tray andar laaayi to dekha nimrit bed par nahi thi.. phir usane shower ki aawaz suni aur samajh gaya ki nimrit naha rahi hai... nimrit bahar aate hi agam ne use unke aaj ke programm ke baare me bataya.dono tayyar hone ke aur nashta karane ke baad ghumane nikal pade ...N :- agam ji par hum dono sirf?? agar rasta bhul gaye to??A :- nimrit ji waitor ne kaha tha ki ye jo kaccha rasta hai na bas ussi par seedha seedha chalana hai.. aur lake zyaada door bhi nahi hai.. hum ek ghante me pahuch jaaynge..N :- thik hai agam ji.raaste me chalate huye unhe bahot saare khoobsurat fulo ke plants dikhai de rahe the , birds ki meethi taan sunayi de rahi thi, dhandi hawaye unhe chukar aur bhi romanchit kar rahi thi ,,,, upar se muasum bhi bahot suhana tha... dono ekdusare se baatein karate huye chal rahe the.achanak nimrit ko zhaadiyo ke peeche ek hiran dikhayi diya .. wo itna khoobsurat tha ki nimrit ke kadam wahi par ruk gaye ... par agm ko iss baat ka pata nahi tha wa aage aage chalata raha ... use lag raha tha ki nimrit usake peeche peeche chal rahi hai.. par jab bahot der baad use nimrit ki aawaz nahi aayi to usane peeche mudakar dekha... nimrit waha nahi thi...agam shocked ho gaya..A :- nimrit ji!!!! hey bhagwaan nimrit ji kaha chali gayi itane bade jungle me... usake to hosh hi udd gaye ... agam peeche duada nimrit ko dhoondhane ke liye jaha se wo aaye the us taraf...agam nimrit ko jor jor se awaaz dene laga..A :- nimrit ji ... nimrit ji ...kaha hai aap ?????? kaha hai aap??? please jawab dijiye!!!! nimrit ji... kaha hai???udhar jab nimrit ko ehsaas hua ki agam usake saath nahi hai to wo behad darr gayi.. usake to pairo tale ki zameen hi nikal gayi.. usane idhar udhar dekha par kahi bhi use agam nazar nahi aaya ... gum ho jaane ke aur agam se bichad jaane ke darr se nimrit ekdum saham gayi...wo zor zor se agam ko awaaz de rahi thi...N :- agam ji ... kaha hai aap??? agam ji kaha hai aap??nimrit agam ko dhoondhate huye wo rasta bhi bhul gayi jisase wo aaye the... ab nimrit ke chaaro or sirf ghani zhaadiya , bade bade ped aur sunsaan jungle tha aur wo akeli...ab nimrit ke aankho se bahat saare aansoo nikal ne lage ... wo roye jaa rahi thi aur agam ko bulaaye jaa rahi thichalate chalate nimrit lake tak aa gayi jaha unhe aana tha par ab wo puri tarah akeli thi waha..N :- agam ji kaha hai aap? please waapas aa jaaiye mujhe bahot darr lag raha hai...agam ji...nimrit lake ki or kinare par khadi thi ki tabhi kisine usake kandhe par haath rakha nimrit saham gayi aur usaka balance chala gaya ... nimrit ne aankhe band kar li kyunki use laga ki ab woh paani me girane hi waali hai... par thodi der baad usane apani aankhein kholi to dekha ki wo paani me giri hi nahi... kkisi ne usaka haath pakad ke usse girane se bacha liya tha... jaise hi nimrit ne upar dekha to wo aur koi nahi balki agam hi tha.. jisane use girane se bachaya tha..agam ko dekhate hi nimrit agam ke zorr se gale lipat gayi.. aur agam ne bhi use apani or kheecha aur apni baaho me bhar liya...nimrit roye jaa rahi thi ... par agam ke gale lag kar use waapas zindagi ka, khushi ka ehsaas ho raha tha...A :- nimrit ji kaha rah gayi thi aap?? pata hai mai aapko kab se pure jungle me deewano ki tarah dhoondh raha tha...aisa kahate huye agam ki aankho se bhi aansoo nikalane lage...N :- mujhe maaf kar dijaye agam ji sab meri galati hai...mujhe maaf kar dijiye!!agam ne nimrit ki or dekha ..nimrit ke gaalo par aansu bah rahe the... agam dheere dheere nimrit ke kareeb gaya aur usake aansuo par kiss kiya jo nimrit ke gaalo par bhah rahe the...nimrit ne apni aankhein band kar li...agam nimrit ki forehead ko jaise hi kiss karane waala tha to achanak nimrit ko bahot dard hua..N :- aahhh!!!!agam ne dhyan se dekha tab use pata chala ki nimrit ki forehead par ghahari chot lagi hai..A :- nimrit ji ye kya aapako to chot lagi hai?N :- wo agamji shaayad pedo ki wajah se...A :- chaliye jaldi resort chalate hai ... aapako medicine ki bahot jarurat hai... dekhiye na khoon bhi nikal raha hai!!!agam ne apana rumaal nimrit ke maathe par baandh diya...dono resort waapas aa gaye...loutate huye unhe kaafi raat ho chuki thi... agam nimrit ki patti khol kar usaki chot ointment laga raha tha ... nimrit ko hoone waala dard agam ki aankho me saaf saaf dikh raha tha...dono ne ekdusare ki taraf dekha ... unaki ankhien bahot kuch kah rahi thi... agam ko pata hi nahi chala ki wo kab nimrit ke kareeb aa gaya , bahot kareeb ki unhe ekdusare ki saanse tak mahsoos ho rahi thi... par tabhi agam ko hosh aa gaya aurA :- nimrit ji ... i .. i am sorry...jaise hi wo uthane laga nimrit ne usaka haath pakad liya..N :- sorry ?? kisliye agam ji??agam ko jaise shock lag gaya...N :- haan agam ji mujhe pata chal gaya wo kya hai jo hamaare beech mein hai... wo ehsaas , wo khushi, wo bechaini ... wo sab kuch aur nahi balki pyaar hai agam ji.. sachha pyaar ... wo bandhan jo amar hai , jo kabhi marata nahi, aur naa hi kabhi badalata hai...agam ne zhat se nimrit ko gale lagaya aur kahaA :- haan nimrit ji mai jaan gaya hu ki mai aapase kitana pyaar karata hu... aapake bina ek pal bhi nahi rah sakta mai..aapko kho dene ke darr se hi meri saanse ruk jaati hai ... aap meri zindagi ho , sabkuch ho... mai aapake bina adhura hu nimrit ji..N:- mai bhi...dono ko unake sachhe pyaar ka ehsaas ho gaya tha aur ab agam aur nimrit hamesha hamesha ke liye ek ho gaye the ... kabhi na juda hone liye...tabhi to kahate hai love is foreverTHE END OF OS BUT BEGNING OF LOVESONG FOR AGNIKAISI HAI YE DEEWAANGI , KAISI HAI YE DILL KI LAGI,DILL KAHATA HAI YAHI RUK JAAYE PAL TERE MERE PYAAR KASAAJANA...SAAJANA...SAAJANA...SAAJANA...DARD- E - DILL ME KITANA MAZZA HAI DEWAANE DILL JAANTE HAIDILL DEEWANE HOTE HAI KAHANA NAHI MAANTE HAI...DUBYE RAHATE HAI PYAAR ME...KHOYE RAHATE HAI KHUMAAR ME...DILL KAHATA YAHI RUK JAAYE PAL TERE MERE PYAAR KASAAJANA ...SAAJANA...SAAJANA... SAAJANA...THANKS FOR READING EVERY ONE...FROM ARCHANA...
thank u so much for reading my every update.Originally posted by: adventure_gurl
awesome job!
its ok. Tumne padha aur achha laga ye jyaada imp hai.Originally posted by: hiri_piri
totally forgot to comment on your post archu! amazing story, and loved the cute little scenes and the realization of love between our original, one and only, true agni jodi!