
EHSAAS
Jab tum hote ho mere aas paas
Duniya haseen lagne lagti hai
Zindagi ki har khushi
Apni si lagne lagti hai
Na jaane yeh kab hua
Kyun hua...kaise hua
Jaanu main bas itna hi
Tum ho mere dil ki dua
Tere har dard ka mujhe hai ehsaas
Teri har khushi hai mere liye khaas
Mere dil ki bas yahi chaahat
Tere dard se tujhe mil jaye rahat
Tera har gham guzre mujhse hokar
Har khushi mujh tak pahunche tujhse hokar
Jaanu main tere dil ka haal
Tumhe bhi har pal hai mera hi khayal
Yeh jo hum dono ka naata hai
Shabdon mein bayan nahi kiya jaata hai
Hum dono ki hai soch alag
Mijaz alag...andaz alag...
Phir bhi hote hain jab hum saath
Adhuri nahi lagti koi bhi baat
Hum dono karen ek duje ko poora
Rahe na koi sapna adhoora
Koi aur yeh samajh na paaye
Judi hain hum dono ki raahen
Mere dil ki sun lo pukar
Is dil par hai sirf tera adhikar
Mere dil mein jagah sirf tere liye
Tum ho bane sirf mere liye
Janti hu main sirf itna hi
Kar lo jatan tum kitna bhi
Door mujhse reh nahi paaoge
Pyaar ki dor se bandhe chale aaoge
Karu main usi din ka intezaar
Jab tum karo apne pyaar ka izhaar
Tab tak har kadam hu main tere saath
Chahe din ho ya ho phir raat
Wo subah kabhi to aayegi
Jo hume ek kar chali jayegi
Hum dono rahen sada saath saath
Thame ek duje ka haath
The End
Written by Manisha...in love with RaTri...
Sorry Uma I didn't know you had difficulty in understanding hindi poems...next time i'll try a RaTri poem in English...please try and read this and please try to bear with me till then...love all of you...