Originally posted by: kshreya2002
if you were the writer/director of chabhi then describe your:
-dream s/u date
Sandeep is in his room sipping tea and reading a newspaper when he hears a knock on the door..he gets up and opens the door.. and there comes our Urmi looking gorgeous in a blue suit. Sandeep says "itni subah subah... kya tum mujhe chain se chai bhi nahi pene dogi".. Urmi: Kya Sandeep babu, mein itni pareshaan hu or aap mujhe phir se ched rahe hai... Sandeep: Tumhari pareshaaniya bhi na subah subah shuru ho jaati hai.. bolo ka baat hai.. Urmi: Main Zoya ko lekar pareshan hu.. Sandeep: Kya.. phir se fail ho gayi hai kisi exam mein? Is ladki ka kya hoga.. ab shaadi karlene do use.. Urmi: Nahi Sandeep babu.. fail nahi hui hai.. lekin uski Shadi ko lekar hi tho pareshaani hai.. Sandeep: Kya? Urmi: Yahi ki dulhe mia gaayab hai.. Sandeep: Urmi.. Shaadi tay kab hui? Dulha gaayab? Ye tum kya bolti jaa rahi ho? tumhe aise ghuma phireki baat karni hai to jaao.. un charo velon ke paas bahut time hai.. tumhare pareshani baantne ko bekarar hai.. mera time waste mat karo.. jao.. Urmi: Ye kya Sandeep ji.. aap samjhe nahi? haa.. main bhi kaisi buddhu hu.. aap tho kuch samajhthe hi nahi hai.. main Vaibhav ki baat kar rahi hu.. kitne din hogaya.. jo diwali ko kanpur gaya tho holi tak bhi ata pata nahi... humari baat tho bangayi is beech mein lekin Zoya ka kya hoga? sandeep: tho isme tumhe pareshaan honeki kya baat hai? unka mamla hai woh dekh lenge..agar vaibhav ko zoya pasand hai tho woh vapas aayega hi..Urmi: Aap kisi bahana leke Vaibhav ko yaha bulayiye naa please... Sandeep: Urmi.. Nahi.. bilkul nahi.. tum mujhe is baar is baat mein uljha nahi sakti.. kisko pata woh Zoya ko pasand karta bhi ho ki nahi.. khamukha hum usko pareshaan karenge... Urmi: Mujhe pata hai ki woh Zoya ko pasand karte hai.. Sandeep:Tumhe kaise pata.. usne tumhe bataya kya? Urmi: Are aisi cheese batayi nahi jaati samajhlenee chahiya... Sandeep: Acha? to mujhse kyu kahalvaaya.. jab tak maine tumhe nahi bataya tum kitna gussa thi mujhse... Urmi: Aapki baat alag hai sandeep babu.. aap itne buddhu hai ke mere itne saalon ke ishaare samajhnahi sake tho aur kya ummeed ki ja sakti hai..Sandeep: Acha theek hai.. lekin phir bhi main is mamle mein nahi padna chahtha.. Urmi: please Sandeep ji.. Sandeep: Nahi... bilkul nahi.. Urmi: Theek hai.. main hi kuch kar loongi.. Sandeep gets a little curious now and he is like.. Kya karlogi tum.. Urmi: Aap ko kyu? aap tho meri madad nahi karna chahthe na.. Sandeep:dekho Urmi tum kuch bewakoofi mat karna.. baat bigadna jaye..mujhe batao ki kya karne jaa rahi ho.. Urmi looks at him, throws her hair back and keeps walking when Sandeep gets hold of her and says.. Urmi...theek hai theek hai.. pehle chodiye.. sandeep leaves her.. chod diya... haan.. aap tho romantic ho hi nahi sakthe bhang ke bina.. Sandeep starts getting angry and is about to say something when Urmi cuts him short and asks.. Aap hi bataayiye aap bina bhang ke mere saath romantic kab hue the? Sandeep starts thinking and cant get an answer.. Urmi: Aap ne kabhi socha hai ki mujhe kya pasand hoga aur kya nahi.. mujhe kaha jaana acha lagega.. aap ko patha hai, jabse maine hosh samhale tab se aaphi ke baareme socha hai.. main hamesha soch thi thi, ki aap aur main kahin door jaayenge aur...aur mousam bhi hamare saath hogaa.. pehli pehli baarish aur pehla pehla pyaar.. aap baarish mein mujhe apni bike pe lejaay ya phir ek chaandni raat mein beech par le jaaye.. aur waha thandi hawaye mere baal lehraaye aur aap mere nazdeek aakar mere baal mere muh se hata ke... Sandeep comes near her and asks.. "aise?.." Urmi is lost in his eyes and Sandeep gives her an expression that kitni filmy ho.. and Urmi says "lekin meri kismat mein ye kaha.. main bhi kaise insaan ko pasand karti hu..chaliye main hi jaake kuch karke aati hu..."
That evening it starts raining and Sandeep calls zoya and tells her to bring Urmi to Plaza.. and not to tell Urmi about their little getaway... Zoya goes to Urmi and says
chal Urmi picture dekhne chalthe hai.. mausam kitna acha hai.. Urmi says "haan.. meri kismat me tho yahi likha hai ki main itni achi mousam mein bhi tere saath hi jaao.. kisi aur ko chinta hi nahi ki mujhe bahar le chale.. Zoya says.. "ab tu aise hi muh latkaayegi ki chalegi.. waise bhi aaj kal aapke paas hamare liye time kahan hota hai?".. Urmi feels a little guilty and says.. "Chal.. aaj ki shyam tere naam.." and quickly gets ready.. Zoya says.. Achi tarah tayar hona.. ki dekhne vaale dekhthe hi reh jaay.. Urmi thinks.. haan.. yahi acha mouka hai.. Sandeep ji ko lagna chaahiye ki main unke bina bhi enjoy kar sakti hu.. and she wears a really good saree and goes out... Zoya signals to sandeep and Urmi looks up and she tries to ignore him.. Sandeep says "Kaha jaa rahi ho baarish mein itni sajh dajh kar? tumhara shringaar bekar ho jaayegaa.." Urmi says: Aap fikar na kare.. main apni dekh baal kar sakti hu...".. sandeep lets them go and then rushes down to his bike and takes off...Urmi and Zoya reach Plaza and Urmi starts moving towards the ticket counter when someone pulls her back and she turns to see apna Sandeep babu... She's like.. "aap?.. aap yaha kya kar rahe hai.." she feels happy thinking that Sandeep uske peeche pada hai... Kya hua.. aap ko bura lag raha hai ki main kisi aur ke saath jaa rahi hu...? Then Sandeep says "mujhe kyu bura lagegaa.. jab tum mere saath ja rahi ho?.." Urmi is confused and Zoya comes and says.. "Ye sab sandeep bhaijaan ka plan tha.. tu enjoy kar meri jaan.." main waha fazila ke ghar pe tera intezaar karungi.. jaldi aana..".. Urmi is all confused and says "aap ne..." sandeep gives her a smile and says "master plan.." and then makes her sit on his bike.. and says Chale? urmi says haan.. lekin hum jaa kaha rahe hai? plaza mein nahi dekh rahe hai kya picture? Sandeep says Pehle Petrol tho bhar lu... and puts Urmi's hand on his shoulder.. The rain comes down to a drizzle now and the set out... After about 20-30 min, Urmi says "hum kaha jaa rahe hai.. ab tak tho tees petrol bunk guzar gaye..".sandeep says.. Tum chalo mere saath, bas... yaakeen nahi hai kya mujhpe.. main thode hi bhagakar lejaaoonga tumhe... Urmi says.. isi baat ki tho chinta hai.. ki aap bhagakar nahi le jaayenge... in the meantime, she realizes that its getting darker and they are leaving the city.. they finally come into some hills which are wet because of rain and there's fog all over..Urmi shivers in the cold and then comes a small clearing where Sandeep parks his bike.. She hears some sounds of water and gets down and says "aap kaha le aaye?.. she's a little scared now... why are they in a sunsaan place? sandeep takes her hand, looks into her eyes.. kya tum mujhe jaanti nahi ho.. ghabrao nahi, maine bhaang nahi pi hui hai.. and he takes her hand and tells her to close her eyes.. he closes her eyes with this hands and takes her someplace.. she can hear the water closeby and then he removes his hands.. there she is, right in front of a beautiful waterfall and the clouds are clearing now adn there's our moon spreading his light and she sees there's dinner set at a table closeby...she says.. Sandeep ji aap...ye sab... Sandeep says.. "kya main tumhare liye kabhi kabhi filmy nahi ho saktha.." and then they were lost in their eyes..