DIARIES:ZAROON KASHAF*UPDATED LAST PART 08/11*PG 66

Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#1
HELLO GUYS. I HAVE WRITTEN SOMETHING ON ZAROON AND KASHAF.DO CHECK IT OUT


BANNER CREDITS: Riasa






Edited by Bhatakti_atma - 9 years ago

Created

Last reply

Replies

351

Views

45k

Users

26

Likes

702

Frequent Posters

Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#2
INDEX
PART1-PAGE 1
PART 2-PAGE 4&5
PART3-PAGE 7& 8
PART 4-PAGE 10
PART 5-PAGE 13
PART 6-PAGE 16
PART 7-PAGE 20
PART 8-PAGE 24
PART 9-PAGE 28
PART 10-PAGE 33
PART11-PAGE 36

Part 12-Page 41
PART 13-PAGE 44
part 14-page 49

part 15-page 54
part16-page 57
part 17-oage 59

part 18-page 62
part 19-page 64
last part -page 66
Edited by Bhatakti_atma - 9 years ago
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#3
KASHAF: 12 OCTOBER
Koi iskadar behis hosakta hai,mujhe andaza nahi tha. Magar aj is shakas se mil kar yakeen hogaya ki aise log bhi hote hai. Allah aise logo ko banata hi kyu hai? Dusro ko tang karne ke liye shayad. Aj yakeenan meri zindagi ka sabse kharab din tha. Kos rahi hoon us pal ko jab wo shaks mere pas akar baitha. Uski ek jhalak ne hi mujhe uske bare me kafi kuch bata diya tha. Jis tarah se mujhe dekh uske chehre pe muskurahat ayi mujhe andaza hogaya tha ki wo kaisa shaks hai. Beharhal maine use ignore karne ki puri koshish ki magar wo chup rehne walo me se nahi tha. Aise mard flirt karne ke siwa aur kuch kar hi nahi sakte. Taras to mujhe us bechari Air hostess par aa raha tha jo humare pas chai ko puchne ke liye ayi.
"Sir would like to have some tea?"
"Of course. I surely can't say a no to a girl who is as beautiful as you."
Ye lafz jab uski zubaan se nikle to na chahte huye bhi hairangi se main uske taraf dekhne lagi. Par phir maine apni narzrein us par se hata li.
"Sir how would you like the tea,with or without sugar and milk."
"Ah..umm..what do you prefer?"
"With Sugar and milk sir."
"Alright make it exactly the way you would like to have."
Main pehle to use bechari samjh rahi thi magar jab maine uske chehre par nazar dhali to dekha wo phule nahi sama rahi thi.Uske bad main todhi beparwah hogyi kyu ki aise hi ladkiyon ke karan us jaise mard ko badhawa milta hai. Aise shaks ko Sir bulana meri liye kisi tauheen se kam nahi hoti.
Chai peene ke kuch lamhe ke bad jab maine apni book kholi to maine mehsus kiya ki kisi ki nazrein meri taraf dekh rahi hai. Mujhe yakeen tha ki yeh wahi shaks hai magar maine use tavaju dena zaruri nahi samjha. Magar todhi hi dair bad usne mujhe toka
"Ye Ap Khaled Hosseini ki kite runner padh rahi hai?"
Maine uske taraf is tarah dekha ki usne apni nazrein jukha li. Hairangi hui mujhe ki us jaisa shaks apni ankhein bhi jhuka sakta tha.
Maine uski baat ka koi jawab nahi diya. Wo todha samay asmanjas me baitha raha aur phir apne laptop me masroof hogaya. Maine thandi sans li.
Lekin kuch lamhe ke bad wo meri taraf mura aur usne kaha
"Ap movies dekhti hai?"
Uski ye koshish ne mujhe phir hairan kar diya maine socha tha ki ab woh meri taraf aur tavajju nahi dega.
"Ji ap se matlab?"
Maine berukhi se usse pucha. Ek lamhe ke liye to woh zarur hichkichaya magar uske bad usne muskurakar jawab diya
"Woh maine bas socha ki hum ekhatte ja rahe hai to todhi jan pehchan bhi ho jaye. Waqt zada asani se kat jayega."
"Lekin mera aisa koi khayal nahi hai."
Maine bina uske taraf dekhte huye kaha.
"Apko baat karne se parhez hai?"
Usne kuch sochne ke bad mujhse pucha.
"Yehi samjh lijiye."
Yeh kehte huye maine apni kitab bandh ki aur dusri aur dekhne lagi. Uski besharmi ne mujhe tang kar diya tha. Itni berukhi se shayad hi maine kabhi kisi se baat ki ho lekin wo shaks kuch ajeeb hi tha ki chup hone ka naam hi nahi le raha tha.
"Apko nahi lagta apke saath kuch masla hai?"
Uske is sawal ne mujhe itna gussa chadha diya ki main uski aur mudhi aur kaha
"Ji haan aur wo masla ap hai."
Ye keh kar maine call bell bajaiye aur apni seat change kar wali kyun ki us shaks ko aur bardasht karne ki himmat nahi thi mujhme. Mere khayal se ye kaam mujhe pehle hi karawa leni chahiye thi.
Ye din ko main bhula dena chahti hoon aur Allah se yehi dua hai ki meri is shaks se wo aur mulakat na karwaye.
Kal mera office me pehla din hai transfer ke bad. Islamabad me to sab theek tha ab Karachi ka pata nahi. Agar abba ke sehat ka masla nahi hota to main kabhi apna transfer na karati. Ab so jati hoon kal ek aur thakwat bhara din hone wala hai. Good night Diary.

Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#4
ZAROON:12 OCTOBER
Sabse kharab safar tha meri zindagi ka aj. Kuch ajeeb hi bala thi wo ladki. Jaise muskurana ata hi na ho. Flight me maine jab use dekha to badi masoom si lagi aur main use dekh kar muskuraya magar uski masoomiyat to todhi dair bad dekhne layak thi. Meri muskurahat ka jawab bhi ek berukhi se shakal bana ke diya. Usi waqt maine soch liya ki aur tavajju nahi dunga use par jab maine dekha ki wo meri pasandeda kitabo me se ek padh rahi hai to main khud ko rok nahi saka.
Bada sadharan sa sawal pucha tha maine magar usne mujhe is qadar ghura jaise ki maine usse kuch galat baat keh di ho. Main ghabraya to nahi magar asmanjas me padh gaya. Sochta hoon aise log bhi hote hai. Ek sawal hi to pucha tha. Haan ya na me asani se jawab de sakti thi.
Yehi sochte huye main laptop me masroof hogaya magar phir pata nahi kis manhus ghadi me maine usse ek aur sawal kar diya. Uski berukhi ne mujhe nafrat sa kara diya usse. Lekin main bhi dheet hoon. Maine use aur tang karne ka soch liya. Jab tak usne apni seat change nahi kar wa li.
Dimag kuch saathwe asman pe tha uska. Ajeeb hi thi wo kuch.Keh rahi thi main uske liye ek masla hoon.Aisa kya keh ya kar diya tha maine?Mujhe to laga wo khud ek masla hai.
Khair ab kal se office shuru hai wapas, bohot chuttiyan hogayi. So jata hoon warna kal ankh khulne se rahi. Good night diary.


khamosshhh thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
#5
Awww very nice.👍🏼👏
Will wait for the next installment.😊
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#6

Originally posted by: khamosshhh

Awww very nice.👍🏼👏

Will wait for the next installment.😊

YOU LIKED IT???I AM GLAD..WILL UPDATE SOON 😃
khamosshhh thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
#7

Originally posted by: Bhatakti_atma

YOU LIKED IT???I AM GLAD..WILL UPDATE SOON 😃


Yeah😳 U have retained the essence of Zaroon and Kashaf and it was lovely reading it.⭐️⭐️
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago
#8
Loved it dear
Zaroon & Kashaf POVS were nicely written
Continue soon 😊
Edited by --GOLD-- - 10 years ago
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#9

Originally posted by: khamosshhh



Yeah😳U have retained the essence of Zaroon and Kashaf and it was lovely reading it.⭐️⭐️


thanks a lot :)
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#10

Originally posted by: --GOLD--

Loved it dear
Zaroon & Kashaf POVS were nicely written
Continue soon 😊


thanks a lot :)

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".