Originally posted by: Not_James_bond
Faizi....
Kaafi na tha....
Sochta hu ,
Ke kaami reh gayi shayad kuch, yaa jitna tha woh kaafi na tha,
Are nahi samaj paaya toh samja diya hota,
Yaa phir tumhe jitna samjha woh kaafi na tha,
Har pal shikayat thi tumhari ka main jatata nahi,
Pyar hain agar toh zamane ko batata kyu nahi,
Are mohabbat ki main kya numaish karta ,
Meri aankhon main jitna tumhe nazar aaya kya woh kafi na tha,
Ab bas sochta hu ki kya kaami reh gaayi,
Kya jitna tha woh kaafi na tha........
Waah waah! Jiyo jiyo!
Faizi ke dil: Sambhal ja zara, Mohabbat karne chala hain tu😉.