Originally posted by: Rainbow_Girl
I can imagine manisha's dialogues after maira's identity is revealed.
Manisha to abhira : "abhira beta, dekh maaf kar de na armaan ko. Maana ki usse galti hui hain but woh guilty hain sharminda hain apne kiye par. Areeyy usne tumhaari shaadi tak organize kar di yeh bolke ke woh tujhe khush dekhna chahta hain, jabki woh andar hi andar mara jaa raha tha.
Abhira tum dono soulmates ho beta, aise alag nahi ho sakte tum, agar separate hona tha toh anshuman se tumhaari shaadi ho gayi hoti uss din, but bhagwaan ko woh manzoor tha hi nahi kyunki tum dono hi ek dusre ke sukh dukh ke saathi ho.
Accha agar tum armaan ko maaf nahi karna chahti toh teek hain but maira ki taraf dekho, ismein uss bacchi ki kya galti? Woh kabse apni maa ke liye taras rahi hain. Tum aise kaise isse dur reh paogi beta? Armaan ne Geetanjali se sagai sirf maira ki zidd ke liye kiya tha woh abhi bhi tumse utna hi pyar karta hain. Maira bhi tum dono ke saath rehna chahti hain beta. Jo galti armaan ke kiya tha 7 saal pehle tum bhi woh repeat karne waali ho agar tumne armaan se dur jaane ka faisla le liya toh. Ek Bacche ko khushi uske dono parents ke saath hone se milti hain. Tu samaj na beta..... Please abhira. "
Maira will call abhira as mumma, : ho gaya reunion.
158