-
-
-
-
Naksh brings Kartik to a secluded room.
Naksh: (pushing Kartik back from Naira) Kyun aise behave kar rahe ho mere behen ke saath!
Kartik: (pushing Naksh back) Aur vo kya jo tumne mere behen ke saath kia!
Naksh: (confused) Matlab?
Kartik: Maine tumhara aur Yash ka video dekha hai jissme tumne confess kia hai ki tum Kirti se pyaar nehi karte. Tumne mere behen ko dhoka dia hain!
Naksh: Kartik, meri baat suno. Tum jaisa soch rahe ho waisa bilkul bhi nehi hain. Tumne jo video dekha, vo...vo bohot pehle ka hain. Aur main ab...
Kartik: SHUT UP! Just shut up! Mujhe kuch bhi nehi sunna. Main Kirti ko sach bata ke hi rahunga!
Naksh: (stopping Kartik) Kartik, please meri baat ek bar sunlo.
Kartik: Maine tumhe kya samjha tha. Lekin tum mein aur Aditya mein fark hi nehi hain!
Naksh: Kartik, suno meri baat. Ye sach hain ki maine Kirti se shaadi ke liye hain kaha tha Naira ke wajah se. Lekin dhire dhire mujhe samakh mei aya ki ye mere life ka best decision hain.
Kartik: (raises his hand to slap Naksh) Apni mithi mithi baatein apne paas rakh!
But Naksh holds his hand just in time.
Naksh: Thik hain, tu ye hi chahta hain na ki mai Kirti ko sach bata du? Thik hain, chal mere saath.
Naksh drags Kartik to the hall where the party was going on. Naira gets tensed seeing both of them together.
Kirti: Kartik! (hugs him) Kaha tha tu?
Naksh: Kirti, ek minute. (taking the mic) Everyone, may I have your attention please?
Kirti: Kya baat hain, Naksh?
Naksh holds Kirti's hand, seeing which Kartik gets angrier. Then he gets on his knees, still holding her hand.
Kirti: Naksh, ye kya kar rahe ho?
Naksh: Kirti, mujhe aapse ek sach batana hain. Mujhe pata hain ki mujhe ye aapse shaadi se pehle hi bata dena chahiye tha. Lekin abhi bhi der nehi huyi hain. Aap ab bhi faisla le sakti ho... (taking a deep breath) Kirti, jab maine shaadi ke liye hain kaha tha...maine ek jhooth bola tha.
Kirti: Jhooth!
Naksh: Hum dost the, bohot achchhe dost. I liked you. Lekin maine kabhi shaadi ke bare mein nehi socha tha. Lekin...jaise jaise shaadi ki date paas aane lagi, jaise situations se hum guzre the...mujhe samajh mei aagaya ki ek rishta tabhi kamiyab ho sakta hain jab do log ek dusre ko achchhe se jante ho aur achchhe dost ho. Humara rishta bhi dosti se shuru huyi hain. Iss liye hum ek dusre ko bohot achchhe se samajh sakte hain. Aur mujhe pura pura yakeen hain ki humara rishta bhi kamiyab hoga. I promise you, mai kabhi aapko kisi baat ka shikayat hone nehi dunga. Please, mujhe kabhi chhod ke matt jana. Mujhe mere zindagi mein sirf aap chahiye.
Everyone were listening very attentively to him, even Kirti. Naksh leaves her hand, stands up and starts walking backwards. Naira gets worried.
Kartik: (to Naira) Ab dekhna Kirti kaise tumhare bhai ko chhod degi.
But Kartik is proved wrong as Korti runs towards Naksh amd hugs him very tightly, leaving no space between them for air. Everyone claps, Kartik's face falls, Naira excitedly claps, Kartik leaves the venue.
At night, Naksh has been impatiently waiting for Kirti in their room. But she's been taking a looong time. Finally, she arrived.
Naksh: Kirti, mujhe aapse baat karni hain.
Kirti: Party bohot achchhi thi na? Mujhe to bohot maza aya.
Naksh: Hain, vo sab thik hain. Mujhe aapse baat karni hain.
Kirti: (rummaging her closet) Naira ne bohot achchhi planning ki thi na. Vo ek genius hain, sach mein!
Naksh: Kirti! (pulling her by the hand and she holds on to his arms, his hands around her waist) Mai kabse aapse kuch kehne ki koshish kar raha hu. Aap ho ki khud hi baatein kar rahi ho. Meri baat sun kyun nehi rahi ho aap!
Kirti doesn't reply, she just caresses his cheeks softly which causes him to calm down.
Naksh: (relaxes) Main kabse kuch kehna chah raha hu.
Kirti: Mujhe pata hain aap kya kehna chahte hain. Aapko kuch kehne ki zarurat nehi hain. Aapne bohot kuch keh liye. Mujhe kuch kehna hain... Naksh, I love you. (hugs him) Lekin aapko kuch kehne ki zarurat nehi hain. Mai samajhti hu aapki feelings ko.
Naksh hugs her even more tightly as if he won't ever let her go from the embrace.