SAMAINA FF - FATE TWISTED BY LOVE - EPILOGUE UPDATED ON PAGE 30 - Page 19

Created

Last reply

Replies

231

Views

29.5k

Users

5

Likes

361

Frequent Posters

Dharapriya thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Nice update. Feeling really bad for both sameer and naina.. They both did a mistake. No one should keep a secret from other and also no one should jump to any conclusions directly. Let's see how the story unfolds. Will love to read sameer's redemption.

isha123asya thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Now this chapter has brought a turning point in the story .. which makes this story even more interesting to read. Want to know what happens next ASAP. Congratulations on completing 50 chapters and hoping to read many more . Update sooon😀

diku1302 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Dharapriya

Nice update. Feeling really bad for both sameer and naina.. They both did a mistake. No one should keep a secret from other and also no one should jump to any conclusions directly. Let's see how the story unfolds. Will love to read sameer's redemption.

Thank you so much dear...❤️

Yess.. it didnt end well & im sure you will like the story ahead...

Keep reading...

Posting the next chapter now...

diku1302 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: isha123asya

Now this chapter has brought a turning point in the story .. which makes this story even more interesting to read. Want to know what happens next ASAP. Congratulations on completing 50 chapters and hoping to read many more . Update sooon😀

Yess... the story has taken an unexpected turn & im sure that you will like the upcoming chapters too.

Thank you so much dear...❤️

Posting the next chapter now...

diku1302 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Hello friends...

I'm back with the next update...

Enjoy reading the update & do let me know the reviews...



FATE TWISTED BY LOVE

CHAPTER 51


Sameer got up with a jolt as he heard Ramdhari's voice. "Sameer Bhaiya... Aap yahaan study room mein kaise so gaye? Chaliye uthiye... subah ke dus baj gaye hai..." Sameer rubbed his eyes & saw his surroundings, he had indeed slept in the study room. Suddenly, he remembered all that had transpired last night & the reason behind his sleeping in this study room.

Shaking his head & pushing those thoughts away, he got up, "Tu subah subah yahaan kya kar raha hai? Jaa... neeche jaa... main fresh hokar aata hun." Ramdhari understood that his bhaiya's mood wasn't good this morning, so he left before Sameer could say something more & lost his cool over him again.

Sameer too left from there & walked towards his room slowly. After last night, he wasn't sure how he would react to Naina's presence from now on. Calming down his anger, he pushed open the door to only find it empty. There was no trace of Naina. He walked to his cupboard & collected his clothes, ignoring her absence. He was so busy in his thoughts that he didn't realise that Naina's clothes were missing too. But he still felt that something was missing. He had no idea that his room had lost the essence of his better half. He had no idea that his life had already lost its meaning with Naina's sudden disappearance. He had no idea that he had lost his love & life forever...

Without pondering much, Sameer freshened up quickly & joined Nanu downstairs for breakfast. When Ramdhari placed their respective cups of tea & coffee in front of them, Sameer instantly knew that his coffee wasn't made by Naina. He thought grudgingly, "Haannn haannn... ab mere liye coffee bhi kyun banaayegi? Ab toh sab uss Kabir ke liye banaana accha lagega na usse?" Nanu sipped his tea quietly & was observing his grandson. After few moments, Nanu asked, "Naina ki tabiyat thik toh hai naa Sameer, subah se dikhi nahi?"

Sameer's hand stopped midway & he paused. What did Nanu say??? Naina was upstairs, in his room??? But when he entered his room to freshen up, she wasn't there. He assumed that she would be helping Ramdhari in the kitchen. But he didn't find her at the dining table either.

Nanu was still watching Sameer while his grandson was lost in his thoughts. Where did Naina go was the first question that came to his mind? Sameer slowly moved his eyes around & then met his grandfather's gaze to see if he was joking. Looking at his posture, Sameer knew that he wasn't joking about Naina. "Sameer... kahaan kho gaya? Bol... Naina kahaan hai? Wohh room mein so rahi hai kya? Uski tabiyat thik toh hai naa?" Nanu's questions broke his thoughts & now, he wasn't sure how to respond to that.

Sameer gulped the hot coffee & burnt his tongue in the process. Nanu had observed his nervousness & he knew instantly that something was wrong. Keeping his tea cup away, he slammed the newspaper on the table. "Sameer... main pooch raha hun ki Naina kahaan hai?"

When Sameer didn't answer, Nanu turned around, "Ramdhari... Jaa... upar jaakar dekh Naina thik toh hai naa? Aur usse kehna ki main usse bulaa raha hun." Ramdhari who was quiet till now, replied in a low voice, "Nanaji... wohhh... wohhh... Naina Bhabhi apne kamre mein nahi hai... wohhh main kuch der pehle hi unhe bulaane upar unke kamre mein gaya tha, par... par... Bhabhi nahi thi kamre mein... fir... fir main unke puraane kamre mein bhi gaya tha dekhne, shaayad wahaan ho, par Bhabhi wahaan bhi nahi thi. Maine socha shaayad wohh study room mein hogi, isliye wahaan bhi gayaa, tab... tab dekha ki Sameer bhaiya study room mein so rahe the. Nanaji... maine puraa ghar dhoond liya par Naina Bhabhi kahin nahi hai..."

All the while, Nanu didn't stop glaring at his grandson while Sameer was hearing everything attentively. He couldn't believe that Naina was nowhere in the house. Where had she gone so early in the morning? Didn't she have any sense to inform anyone of them before going anywhere, he thought angrily.

"Sameer... Naina kahaan hai???", Nanu asked yet again in a stern voice making Sameer squirm in his seat. Sameer didn't know what to answer as he himself had no idea about Naina's whereabouts. He got up in the next moment & replied, "Main... main room mein dekhkar aata hun, shaayad usne koi note choda ho." "Kaisa note, kaunsa note??? Kya kehna chaahte ho Sameer, saaf saaf kaho?", Nanu asked angrily.

Without replying, Sameer ran towards his room taking two steps at a time. When he entered this time, he looked around & noticed each & everything keenly. He saw the laptop & mobile that he had gifted Naina was lying on the couch. He walked slowly towards the cupboard & opened it. He was shocked when he saw that all the dresses & sarees that he had gifted her were placed neatly in the lower shelf & her daily wear clothes were missing.

He searched around if she had left any note for him, but he found nothing. His heart sank further as he realized that Naina had left him, his house, his life without a word. His eyes misted but he blinked them off. He couldn't believe that Naina had taken such a drastic step in a single night. He got flashbacks of what all happened last night & his anger was back. He chuckled, "Gayi hogi apne Kabir ke paas, aur kahaan jaayegi???"

Wiping the corner of his eyes, he made his way downstairs where his grandfather was waiting. As he reached in the living room, he stood in front of Nanu speechless. He didn't have a heart to tell him that Naina had left the house. "Toh Sameer... mila koi note tujhe??? Ab bol... kahaan hai Naina???"

Sameer heard his Nanu's loud & clear voice & his heart sank further. How could he tell him that Naina had left the house forever? What will he tell his Nanu, under what circumstances Naina had left them? How could he say what all Naina had done? How could he tell him that Naina had cheated on him & that too with his own friend, Kabir?

His thoughts broke & he shivered when Nanu's voice boomed around the house, "Main aakhri baar pooch raha hun Sameer... Naina kahaan hai?" Without meeting his gaze, Sameer replied solemnly, "Wohhh chali gayi..." Nanu walked towards him & stood just a foot away from him. "Kya kahaa Sameer? Naina chali gayi? Kahaan chali gayi? Thik se bol... Kya hua tha kal raat tum dono ke beech? Kya kahaa tune Naina se? Bol Sameer..."

Meeting his gaze, Sameer replied, "Chali gayi Naina iss ghar ko aur hume chod kar... Chali gayi apne aashiq ke paas." Nanu held onto his anger & spoke, "Kya bakwaas kar raha hai Sameer? Bolne se pehle kuch soch toh liya kar. Tu Naina ke baare mein baat kar raha hai. Uss Naina ki jo teri biwi hai, teri ardhaangini hai... Aur yeh kya kahaa tune... Aashiq... Tu kiski baat kar raha hai Sameer? Naina ke baare mein aisi faaltu ki baat karne se pehle ek baar soch toh le ki kiske baare mein bol raha hai tu. Naina toh..."

Before Nanu could say more about Naina, Sameer cut his sentence midway, "Nanu... main ussi Naina ki baat kar raha hun jo meri wife thi. Aur main kuch galat nahi bol raha. Maine sab apni aankhon se dekha hai, aapki pyaari aur bholi Naina ko apne aashiq ke saath. Jab se aaya hun London se main dekh raha tha sab, maine bohot hadd tak usspar bharosa bhi kiya, par unn dono ne mera bharosa ek hi jhatke main tod diya Nanu."

Nanu held his shoulder & asked, "Tu kya bole jaa raha hai Sameer? Aur kiski baat kar raha hai? Dimaag toh thik hai naa tera, kahin paagal toh nahi ho gaya?" Sameer pushed his hands away & replied, "Main koi paagal waagal nahi hua hun Nanu, main wohi keh raha hun jo sach hai, jo maine khud dekha aur suna hai."

Turning away from him to hide his tears, Sameer continued, "Main London se jaldi aaya tha Naina ko surprise dene ke liye, tab maine usse Kabir ke saath dekha ek jewellery shop mein, wohh wahaan kuch jewellery banaane gaye the. Uss shop ka manager mera dost tha isliye Naina aur Kabir ke jaane ke baad main khud andar gaya yeh dekhne ki unn dono ne kya kharida tha. Mere dost ne mujhe sab bataaya aur dikhaaya jo Kabir ne Naina ke liye liya tha. Yeh sab hone ke baawajud maine Naina se poocha ki wohh uss shaam kahaan gayi thi, toh pataa hai aapki laadli ne kya kahaa? Usne kahaa ki wohh Kabir ke saath NGO ka koi important kaam kar rahi thi. Naina ne yeh sabse pehla jhooth bola mujhse..."

"Uske baad jab hamare ghar sab dinner ke liye aaye tab bhi wohh Kabir ko keh rahi thi ki usse mujhse jhooth bolna accha nahi lag raha, toh jo bhi hai wohh jald se jald hum sabko bataa dena chahiye. Tab lagaa ki wohh dono milkar kuch toh chupaa rahe hai humse. Uss raat maine Naina se directly poocha toh pataa hai usne kya kahaa Nanu? Usne kahaa ki kya main usspar bharosa nahi karta?"

He laughed softly, "Agar bharosa nahi hota toh main tabhi ussi shaam sabke saamne hi unn dono se sawaal naa karta? Nanu... mujhe Naina par bharosa tha isliye maine usse directly baat ki akele mein, shaayad mujhe itna vishwaas karna hi nahi chahiye tha, ussi time sabke saamne pooch leta toh abhi aaj yeh din naa dekhna padta. Khair... yeh sab hone ke baad bhi maine Naina par trust kiya, socha ki sahi time aane par sab sach saamne aa hi jaayega."

"Fir Naina exams mein busy ho gayi aur main office mein. Aapko yaad hai Nanu, main kuch din pehle ghar jaldi aaya tha. Uss din main Naina ko surprise dene jaldi ghar aaya tha Nanu, socha tha hum dono saath mein baahar dinner karenge, thoda waqt saath guzaarenge. Maine toh five-star restaurant mein hamare liye sab booking bhi kar li thi. Par ghar aate hi mujhe surprise de diya Naina ne, wohh toh Kabir ke saath uss shaam baahar chali gayi. Aapko toh yaad hoga naa Nanu, kyunki aapne hi unn dono ko koi NGO ke kaam ke liye baahar bheja tha. Uss din bhi mera dil toota tha Nanu. Main... main bas thoda time hi guzaarna chaahta tha naa Naina ke saath. Meri surprise waise bhi kya maayne rakhta NGO ke kaam ke saamne..."

Nanu's eyes watered as he could clearly see the pain that his grandson was going through. He knew he had spoiled his surprise that evening & he regretted it badly now. He had known all along that he had somewhat hurt his grandson that day. Sameer continued, "Uske baad maine soch liya tha ki main aage se kabhi aisa kuch nahi karunga jisse taklif mujhe hi ho. Par kya karu Nanu? Main... main Naina se pyaar karne lagaa tha, uske saath apni aage ki zindagi acche se, khushi khushi bitaana chaahta tha. Par main... main bhool gaya tha ki mere naseeb mein toh pyaar kabhi tikta hi nahi, meri zindagi mein kabhi pyaar jyada der rahaa hi kahaan hai Nanu, jo ab rehta???"

"Aaj meri aur Naina ki shaadi ki pehli wedding anniversary thi Nanu aur maine bohot saari taiyaariyaan bhi ki thi aaj ke liye. Socha tha ki main aaj ke din hi apne dil ki baat Naina se kahunga, usse kahunga ki main usse bohot pyaar karta hun aur uske saath meri poori zindagi bitaana chaahta hun. Maine toh party bhi organise ki thi Nanu. Kal shaam main waapis Naina ko surprise karne ghar jaldi aaya tha, uske liye nayi saari bhi laaya tha, jo wohh aaj party mein pehenti."

"Ghar aaya toh Naina ne waapis mujhe surprise diya, wohh ghar pe thi hi nahi. Ramdhari ne bataaya ki wohh Kabir ke saath NGO gayi hai. Aur bas... maine tabhi soch liya ki main Naina aur Kabir se sab jawaab lunga. Jab main NGO pohoncha toh pataa hai maine kya dekha Nanu?"

Nanu was already in tears as he heard Sameer's each & every word. Without waiting for Nanu's reply, he continued, "Kabir apne ghootno par baitha tha Naina ke saamne, uska haath pakad kar Naina se apne pyaar ka izhaar kar raha tha wohh... aur pataa hai aapki Naina ne usse kya jawaab diya? Naina ne usse wohh teen shaabd kahe jo sunne ke liye main mare jaa raha tha, jo sirf mere liye hone chahiye the Nanu. Naina ne uss Kabir ka pyaar accept kar liya... Naina ne usse kahaa ki wohh Kabir se pyaar karti hai. yeh sab... yeh sab... meri aankhon ke saamne hua Nanu, toh kab tak main Naina par trust karta? Jba bhi main Naina ke paas jaane ki koshish karta, wohh Kabir ke saath nikal leti thi. Aur har baar dheere dheere karke wohh mujhe hurt kar rahi thi."

Sameer could no longer hold onto his tears anymore & he cried, "Meri Maina Kabir se pyaar karti hai Nanu... Kabir se pyaar karti hai... Maine kahaa naa ki meri zindagi mein pyaar ke liye jagah nahi hai... main hi badkismat hun ki meri life mein koi pyaar jyada der rehta hi nahi. Pehle papa ne mujhe aur mummy ko chod diya, fir mummy bhi mujhe hamesha hamesha ke liye akela chod kar chali gayi aur ab... ab Naina bhi. Maine jis jisko pyaar kiya wohh sab ne mujhe akela chod diya Nanu... Kya main... main itna buraa hun ki koi mujhse pyaar kar hi nahi paata? Kya meri zindagi mein kabhi pyaar nahi aayega Nanu? Kya main itna buraa hun Nanu? Kya main itna buraa hun???"

Sameer fell down on his knees & cried his heart out while Nanu stood there shedding his own tears. He sat there next to him & pulled him in his arms. Nanu rubbed his back slowly & cried along. As his sobs subsided, Nanu stood up & made him stand too. "Sameer... kabhi kabhi aankhon dekha aur kaano suna galat bhi ho sakta hai. Mujhe poora yakeen hai ki Naina aur Kabir ke beech jaisa tu soch raha hai waisa kuch nahi hai. Chal... hum Naina ko dhoondne jaate hai, kahin jyaada dur nahi gayi hogi, shaayad Preeti ke saath hi ho?"

Sameer pulled his hand away & replied, "Main kahin nahi jaa raha Nanu. Aapko jaana hai toh jaaiye, main aapko rokunga nahi, par main aapke saath nahi aaunga. Waise bhi ab mere aur Naina ke beech koi rishta raha hi nahi hai, toh main usse dhoodne nahi jaaunga." Before Nanu could say anything, another voice boomed in the house, "Kya bakwaas kar raha hai Sameer? Naina ghar mein nahi hai subah se aur tujhe usse dhoodne nahi jaana?", Munna asked angrily.

Munna & Pandit entered the house & faced their best friend. "Humne sab sunaa Sameer aur hume lagta hai ki zaroor koi galatfehmi hui hai tujhe. Naina aur Kabir ke beech aisa kuch nahi hai jaisa tu soch raha hai. Wohh dono sirf acche dost hai aur kuch nahi.", Pandit said confidently siding with Naina & Kabir.

Sameer chuckled amidst his tears, "Tum dono toh hamesha se hi Naina ki side lete aaye ho, toh meri baat kaise maan loge? Mujhe koi galatfehmi nahi hui hai Pandit... main jo keh raha hun wohh maine khud dekha aur sunaa hai. Meri aankhon ke saamne Kabir aur Naina ne apne pyaar ka izhaar kiyaa hai, maine sab suna, sab dekha. Iske baawajud tum dono ko lagta hai ki mujhe koi galatfehmi hui hai?"

Munna & Pandit looked at each other & then at Nanu. Pandit spoke, "Nanaji... aap hi samjhaaiye isse, kahiye isse ki isne jo bhi dekha aur sunaa hai, wohh sab jhooth hai. Naina... Naina aisa kabhi kuch nahi kar sakti. Wohh toh Sameer se pyaar karti hai toh fir Kabir se pyaar ka izhaar kaise kar sakti hai? Aur Kabir... Kabir toh hamara dost hai... wohh bhi aise kuch nahi karega Sameer... kar hi nahi sakta, jab usse pataa hai ki tu aur Naina ek dusre se pyaar karte ho, toh wohh kyun Naina se pyaar karega?"

Sameer replied in a straight tone, "Kabir... uske baare mein toh main kya hi bolun? Munna... Pandit... tum dono ko shaayad maine kabhi bataaya nahi par Kabir ne bohot baar mujhse kahaa tha ki meri aur Naina ki shaadi ke ek saal baad wohh Naina se shaadi karega. Tab maine itna seriously nahi liya tha yeh sab, par ab lagta hai ki mujhe tab hi uske intentions samaj lene chahiye the. Aur Naina... mujhe bhi yahi lagaa tha ki wohh mujhse pyar karti hai, par shayaad wohh mera bhram hi tha, kyunki jab sach saamne aaya toh sabse jyaada hurt main hi hua hun. Unn dono ko toh koi taklif hui hi nahi hai, infact wohh dono khush honge ab ek saath jab maine Naina se apna rishta hamesha hamesha ke liye khatam kar diya hai."

Turning to Nanu, Sameer continued, "Aap fikar mat kijiye Nanu... Naina Kabir ke saath hi hogi, uske ghar pe... aapko itna hi mann ho raha ho toh jaaiye unn dono se mil aaiye aur haannn... apna aashirwaad bhi de dijiyega, kyunki aapko bhi yahi lagta hoga naa ki main Naina ko khush nahi rakh paaya, isliye wohh Kabir ke saath chali gayi."

Nanu spoke again, "Sameer... Main Munna aur Pandit ki baaton se sehmat hun. Tu jo keh raha hai wohh sach ho hi nahi sakta. Meri iss budhi aankhon se kuch chupta nahi hai Sameer... Maine dekha hai Naina ki aankhon mein tere liye pyaar toh main yeh maan hi nahi sakta ki Naina Kabir se pyaar karti hai. Naina jab se iss ghar mein aayi hai tab se hi tujhse pyaar karti hai. Bhale hi usne shaadi ke liye majboori mein haan ki ho, par uska pyaar jhootha nahi hai Sameer. Uska pyaar ekdum pavitra hai aur sirf tere liye hai Sameer aur kisi ke liye nahi. Tu kyun nahi samajh raha hai?"

Sameer looked at his Nanu & replied, "Nanu... main aapki bohot izzat karta hun aur main aapse abhi behes nahi karna chaahta." Turning to his best friends, he said, "Aap sabko yahi lagta hai naa ki main hi jhooth bol raha hun aur mujhe hi koi misunderstanding hui hai toh ruko aap sab, main abhi aapko inn sabka saboot dikhaata hun."

Sameer ran to his room again & brought the jewellery bag that Kabir had bought for his better half. Showing the jewellery especially the pendant, Sameer said, "Dekhiye iss pendant ko, kya likha hai isme? 'KN'... iska matlab samajte hai? KN ka matlab Kabir aur Naina... yeh banaaya tha Kabir ne apni Naina ke liye aur usse de bhi diya tha, isliye toh yeh bag Naina ke paas thi."

Munna, Pandit & his Nanu were shocked to see the pendant but still they trusted Kabir & Naina. "Agar yeh sab Kabir ne Naina ko diya tha toh fir Naina yeh sab apne saath lekar kyun nahi gayi? Kyun yahin chod ke gayi hai Sameer???", Pandit questioned keeping his tone firm. Munna continued, "Dekh Sameer... mujhe nahi pataa yeh KN ka matlab kya hai, par itna jaanta hun ki iska matlab Kabir aur Naina toh bilkul nahi hai. Itna toh bharosa hai mujhe unn dono par."

"Accha... toh tujhe kal ki aayi hui Naina aur Kabir par bharosa hai, par apne best friend par nahi? Bas yahi dekhna baaki reh gaya tha ki mere dost meri baat par yakeen nahi kar rahe aur dusron par trust kar rahe hai.", Sameer taunted. Munna & Pandit glanced at each other & then started.

"Dekh Sameer... ab hamari baat dhyaan se sunn... Kabir ne pehle plan banaaya tha ki wohh tujhe jealous feel karvaayega Naina ke paas aakar aur wohh bohot hadd tak usmein kaamyaab bhi hua. Jab bhi Kabir Naina ke aas paas hota toh tujhe problem hoti thi. Usne yeh sab sirf isliye kiya tha ki tu Naina ke paas aa sake, tujhe apni feelings realize ho. Aur... aur iss sab mein humne bhi uski help ki thi. Kabir jaan bujhkar Naina ke paas rehta jisse tu jealous ho aur tu Naina ke saath rahe, uske pyaar ko dekhe, samjhe. Hum sab sirf itna chaahte the ki tu aur Naina ek ho jaao. Bas... isse jyada Kabir ke dil mein koi feelings nahi thi Naina ke liye aur naahi Naina ke dil mein Kabir ke liye kuch tha. Hum sabne dekha hai ki Naina sirf aur sirf tujhse kitna pyaar karti hai Sameer, bas tujhe hi kuch dikhta nahi tha. Bas tujhe yeh sab ehsaas dilaane ke liye Kabir aur hum sabne yeh plan banaaya tha. Sameer... please... tu jaisa samajh raha hai waisa kuch nahi hai Naina aur Kabir ke beech. Naina sirf tujhse pyaar karti hai yaar..."

Nanu was listening to them quietly & was observing his grandson whose tears continued flowing. Nanu stepped forward & hugged Sameer... "Sameer... ssshhhh... pehle rona band kar aur shaanti se soch... tujhe sach mein lagta hai ki Naina, teri Naina aisa kuch kar sakti hai? Kya kuch nahi kiya hai Naina ne tere liye, hamare liye. Subah se lekar raat tak usne hamesha sirf hamare liye sab kiya hai, khaaskar tere liye. College ke saath wohh hamara ghar bhi acche se sambhaal leti hai. Teri favourite coffee se lekar tere mann pasand aloo parathe tak. Yahaan tak ki wohhh hafte mein se paanch din toh sirf tere pasand ka khaana banaati thi. Kal raat bhi banaaya tha, kyunki aaj tum dono ki shaadi ki pehli saalgiraah hai. Sameer... Naina sirf tujhse pyaar karti hai beta, kyun nahi dekh paa raha tu, kyun nahi samajh paa raha tu???"

Sameer unhugged him & wiped his tears. "Agar aisa hi tha toh kal raat jab maine Naina se sawaal kiye toh kyun koi jawaab nahi de paayi wohh... kyun kal raat hi mujhse nahi kahaa ki wohh mujhse pyaar karti hai, kyun chup rahi Naina, jab main uske character par itne sawaal uthaa raha tha? Kyun nahi boli kuch tabhi? Kyun nahi toka mujhe aur kahaa ki nahi Sameer... main sirf aapse pyaar karti hun? Bolti toh tab naa, jab wohh sach mein mujhse pyaar karti?"

"Jab kal raat sab sach baahar aa hi gaya toh socha hoga Naina ne ki ab iss ghar mein rehne ka koi faayda toh hai nahi, toh chali jaati hun apne biilioniare aashiq ke paas. Waise bhi mujhse jyaada kamaata hai, mujhse jyaada ameer bhi hai." "Kya bakwaas kar raha hai Sameer???", Nanu shouted.

Sameer continued, "Maine pehle jo socha tha naa Naina ke baare mein wohi sahi tha. Naina ek laalchi aur characterless ladki hai, jo kabhi kisiki nahi ho sakti. Accha hua maine pehle hi prenup agreement aur divorce papers sign karwa liye the, warna kya pataa mujhse kitni alimony demand karti. Naina jaisi ladki kabhi kisiki nahi ho sakti Nanu. Kal koi aur paise wala milega naa, toh Kabir ko bhi chod degi, dekh lena?"

Nanu could no longer hold onto his anger & he slapped Sameer on his right cheek making him stumble backwards. Munna & Pandit were shocked hearing their best friend's harsh words. How could he say all this in front of his Nanu? But Nanu wasn't done yet, he got hold of Sameer yet again & said, "Tune meri bacchi ko laalchi aur characterless kahaa? Arey tu ek saal uske saath rehne ke baad bhi Naina ko samajh hi nahi paaya. Accha hi hua Naina tujhe chodkar chali gayi, kyunki tu uske laayak hai hi nahi Sameer. Tu Naina ka pati kehlaane ke laayak hai hi nahi. Tune apni biwi ko charitraheen banaa diya. Kya kahaa tune ki wohh laalchi hai, agar laalchi hoti naa toh uske naam kiye hue papers wohh mujhe waapis nahi deti. Yaad hai naa tujhe wohh sab, ki bhool gaya? Accha hua Naina chali gayi yahaan se, kyunki tune usse uski hi nazaron mein itna gira diya hai ki wohh yahaan rehkar bhi kya kar leti? Main hi gunehgaar hun Naina ka, kyunki mere hi vaade ki wajah se tum dono ki shaadi hui aur ab yeh... Sameer... tune aaj mera sar sharm se jhooka diyaa... kya yahi sikhaaya tha maine tumhe? Tu ek ladki ki izzat nahi kar paaya, apni biwi ko yeh sab kahaa?"

"Main jaanta tha ki tujhe Naina se shaadi nahi karni thi, fir bhi majboori mein tum dono ne haami bhari aur shaadi ke liye taiyaar hue. Par mujhe yeh nahi pataa tha ki mera khud ka naati apni shaadi se pehle prenup agreement aur divorce paper banvaayega? Tune Naina se shaadi sirf ek saal ke liye ki thi? Chi... mujhe toh sochkar par bhi ghinn aa rahi hai... Maine... maine aisi parvarish toh nahi ki thi teri, aise sanskaar nahi diye the tujhe ki tu ek ladki se yeh sab karwaayega? Aaj ehsaas hua ki meri parvarish mein hi koi kami reh gayi hogi isliye tune yeh sab kiya Naina ke saath."

Pushing him away, Nanu stumbled on the chair nearby. As Sameer neared him to hold his hand, Nanu stopped him. "Nahi Sameer... mujhe... mujhe ab kisiki zarurat nahi hai... jitna dekhna tha utna dekh liya maine aaj. Bas bhagwaan se prarthna karta hun ki Naina jahaan bhi ho, wohh surakshit ho aur khush ho. Iss ghar mein toh usse khushi milne se rahi. Pataa nahi kahaan hogi, kis haal mein hogi meri bacchi?", Nanu cried in pain.

Munna & Pandit came forward & consoled Nanu, "Nanaji... aap chinta mat kijiye... hum... hum Naina ko dhoondke aate hai. Jaise hi kuch pataa chalega hum aapko call karenge. Chal Chenu... hum Naina ko dhoondne jaate hai.", Pandit glanced at Sameer once & was about to leave with Munna when he heard Sameer's voice, "Yeh bhi lekar jao aur Kabir ko de dena aur kehna ki Sameer ne congratulations kahaa hai for their wedding..." Saying that, he threw the jewellery bag in front of his best friends. Sameer turned on his heel & walked towards his room with the broken pieces of his heart & soul.

Munna & Pandit picked up that bag & looked at Nanu. "Hum pehle Kabir ke ghar jaakar dekhte hai, agar Naina wahaan hai toh nahi. Bhagwaan kare Naina wahin ho, warna pataa nahi usse kahaan dhoondenge. Pataa nahi Nanu, yeh sab aise achaanak kaise ho gaya? Sameer itna khush tha jab se usse apne pyaar ka ehsaas hua tha. Socha nahi tha ki unn dono ki pehli wedding anniversary ka din unhe hamesha ke liye alag kar dega.", Munna said sadly.

Nanu looked torn. He wasn't sure what to say any more. He just smiled a little & said, "Jahaan tak main Naina ko jaanta hun, wohh Kabir ke ghar nahi gayi hogi. Maine Jayanti se vaada kiya tha ki main Naina ka hamesha dhyaan rakhunga, usse surakshit rakhunga, usse khush rakhunga. Aaj wohh vaada bhi toot gaya. Bas bhagwaan kare Naina jahaan bhi ho, surakshit ho, khush ho." Pandit grabbed the jewellery bag & left with Munna after telling Ramdhari to take care of Nanu.

When Sameer entered his room again, he was again on the verge of crying. He didn't know why he was missing her so terribly even after knowing that she loved his friend. Why was he missing her? He should've hated her, but he couldn't do it, not in this lifetime. Even if she loved his friend, he loved her & only her. He had realized that he couldn't hate her for what she had done to him. He had already tried hating her last night after all that had happened, but whenever he closed his eyes, her smiling image would pop up in his mind which would sooth his heart & soul.

Sameer sat down on the couch & screamed, "Why Naina??? Why did you do this to me? Why you had to fall in love with my friend & not me?" He wiped his tears that had already started flowing down his cheeks. He sank further & slept on the couch like a baby. The tears continued & he spoke amidst them, "Kyun Naina? Kyun kiya tumne aisa? Mujhe lagaa tha ki hamari pehli wedding anniversary hamari nayi zindagi ki shuruwaat hogi. Meri zindagi ki shuruwaat toh hui par tumhare bina Naina... tum meri iss nayi zindagi ka hissa nahi hogi. Pataa nahi kahaan hogi Naina? Kya wohh sach mein Kabir ke saath hogi? Aur agar nahi toh kahaan gayi hogi akele?" With all these thoughts, he drifted to restless sleep.

After fifteen minutes of silent ride, Munna & Pandit reached Kabir's house. As they entered, they saw the siblings having their breakfast. When Kabir noticed them, he asked, "Arey... Munna... Pandit... tum dono itni subah subah yahaan kaise? Chalo aao... humara breakfast toh almost ho hi gaya hai, tum dono bhi hamare saath baithkar naashta kar lo."

Munna & Pandit denied politely & sat on the couch. They kept watching around if they could find Naina anywhere in their house. After finishing the meal, Kabir & Preeti joined them in the living room. "Bolo... kya hua hai? Tum dono itne shaant kyun ho?", Preeti asked as she sensed something was wrong with their silence.

Pandit handed over the jewellery bag to Kabir who was shocked seeing that bag with them. He asked, "Yeh... yeh bag tum dono ke paas kaise aaya? I mean... yeh bag toh maine... maine Naina ko diya tha." Munna & Pandit looked at each other shockingly & then asked, "Kya tumne yeh jewellery Naina ke liye banaayi thi?"

Preeti was confused with whatever conversation she was hearing, so she asked, "Yeh kaunsi jewellery ki baat ho rahi hai? Aur Naina se iska kya lena dena?" Kabir looked at Mundit & asked, "Kya hua hai yaar? Tum dono aisa kyun pooch rahe ho? Aur tum log pehle mujhe yeh batao ki yeh bag tumhe kahaan se mili? Aakhir hua hai kya hai?"

Taking a deep breath, Munna told everything that Sameer had told them before coming here. Shock was an understatement for Kabir & Preeti. They sat there motionless when they came to know that Naina had left the Maheshwari Mansion early morning. Preeti had gone silent totally while Kabir looked worried. He had not anticipated any of this.

Preeti turned to her brother & asked, "Aap Naina se pyaar karte ho bhai? Aapne mujhse kabhi kuch kahaa kyun nahi?" Kabir took his sister in a side hug & replied, "Naina meri sirf bohot acchi dost hai Preeti aur kuch nahi. Haannn... yeh sach hai ki mujhe Naina pasand thi pehle, par jab pataa chala ki wohh Sameer ki wife hai toh maine uska khayaal chod diya tha. Aur sach yeh bhi hai ki Naina married hai aur Sameer se pyaar karti hai, toh yeh sab jaante hue main Naina se pyaar kyun karunga?"

"Toh fir yeh pendant main 'KN' kiske liye likha hai Kabir? Iska kya matlab hai?", Munna asked impatiently. "KN ka matlab Kabir aur Nisha hai", they heard someone say from the entrance. Everyone looked at her curiously while Kabir walked towards his love. Kabir wrapped his hand around her shoulder & walked back to his friends & sister.

"Munna... Pandit... Preeti... yeh hai Nisha... Aur Nisha... yeh hai mere friends Munna aur Pandit." Kabir then turned to her sister & introduced, "Aur yeh hai Preeti... meri behen... meri zindagi... Preeti hi mere liye sab kuch hai Nisha..." While Preeti stood frozen to her place, Nisha walked to her & took her in a warm hug. Munna & Pandit just stood there & stared at the new person.

"Yeh... yeh Nisha kaun hai?", asked Pandit finally. Nisha turned to face them with a smile & replied, "Main Kabir ki girlfriend hun." Kabir coughed while others stared at her without blinking their eyes. Preeti didn't know how to react to this sudden news as she had never expected such a thing from her brother. Her brother was having a girlfriend & no one knew about it.

Preeti took a step towards her brother & asked, "Bhai... yeh aapki girlfriend kab se bani??? Mujhe toh kuch pataa bhi nahi hai ki aapki koi girlfriend bhi hai. Bhai... yeh sab kya chal raha hai?" Munna & Pandit too asked the same thing. Kabir didn't know what to say & from where to start, so Nisha came forward & replied, "Main bataati hun sab. Actually, hum ek conference mein mile the, tabse hum friends bann gaye. Fir main meri family ke saath yahaan Ahmedabad shift ho gayi aur yahaan main Kabir se ek party mein mili aur fir hum milte hi rahe."

"Preeti... tum toh tumhare bhai ko jaanti ho naa ki kitna shy hai. Kabir mujhe like karta hai aur yeh main bohot pehle hi samaj gayi thi aur mujhe bhi Kabir bohot pasand hai, uske saath mujhe time bitaana bohot accha lagta hai. Dheere dheere mujhe Kabir ki aankhon mein mere liye pyaar dikhaayi dene lagaa aur main wait kar rahi thi ki kab yeh mujhe propose karega. Par tumhara bhai naa bohot slow hai yaar. Kitne mahine ho gaye par aaj tak apne dil ki baat mujhe bataa nahi paaya."

"Waise Naina ne mujhe already bol diya tha ki Kabir ke dil mein mere liye bohot pyaar hai. Usne kahaa tha ki thoda time lega Kabir par kabhi na kabhi bol hi dega. Aur wohh din aaj tak nahi aaya hai." Nisha stood in front of Kabir & said, "Kabir... maine abhi sab suna jo Munna aur Pandit keh rahe the aur main samajh gayi ki yeh sab jewellery tumne mere liye li hogi. Aur yeh sab shopping mein Naina ne tumhari help ki hogi. Kyun, main sahi keh rahi hun naa Kabir?"

Kabir just nodded in reply while Nisha covered the distance between them & hugged him tightly. "I Love You Dumbo... Paagal... tumse itna nahi kahaa gaya ab tak, itna kehne ke liye tumne itne mahine nikaal diye yaar Kabir..." When Kabir didn't reply, she whispered, "Ab bol bhi do yaar jo main kab se sunna chaahti hun." Kabir blinked his eyes to control his tears & replied, "I Love You Nisha... I Love You too..."

Munna & Pandit clapped & Preeti smiled amidst her tears watching the couple hugging each other. Preeti had never seen her brother so happy till now. After few minutes when everyone settled down, Kabir spoke, "Wohhh... maine hi Naina ko hamare baare mein kisiko bataane ko manaa kiya tha. Naina ko mere aur Nisha ke baare mein sab pataa tha. Ussine meri bohot help ki. Mujhe aur Nisha ko sahi maayno mein kareeb Naina hi laayi hai. Maine hi Naina se promise liya tha ki wohh mere aur Nisha ke baare mein kisise kuch naa kahe."

Preeti remained quiet while Pandit asked, "Toh yeh sab humse chupaane ki kya zarurat thi Kabir? Tune kyun Naina se kahaa ki wohh Nisha ke baare mein hume aur khaaskar Sameer se chupaaye? Yeh sab misunderstanding ki wajah se aaj Naina aur Sameer saath nahi hai Kabir. Naina ghar chodkar chali gayi hai, kahaan gayi hai wohh bhi kisiko pataa nahi hai. Pataa nahi kahaan hogi, kis haal mein hogi Naina. Hume lagaa ki Naina yahaan aayi hogi, par wohh toh yahaan bhi nahi hai."

Kabir felt guilty that because of his promise, Naina had to lie to Sameer several times. Nisha held his hand understanding his turmoil. He fumbled for words, "Tum... tum sab jaante ho naa ki main choti umar mein hi Preeti aur meri zimmedari uthaane lagaa tha, islye kabhi kisi aur cheez ke liye meri life mein time hi nahi mila. College mein mujhe ek ladki pasand thi par wohh kisi aur se pyaar karti thi. Tab mera dil pehli baar toota. Munna... Pandit... tumhe toh Ayesha ke baare mein pataa hi hoga. Fir meri mulaakaat Naina se hui... haann... mujhe wohh pehli nazar mein hi pasand aa gayi thi par fir pataa chala ki wohh Sameer ki wife hai, toh maine pyaar ke baare mein sochna hi chod diya. Maan liya ki meri kismat mein pyaar hai hi nahi."

"Fir main ek conference mein Nisha se mila... iss baar mujhe pehli nazar mein hi Nisha se pyaar ho gaya tha. Par fir bhi maine mere dil ko sambhaala, socha ki yeh nahi ho sakta. Meri kismat itni boori hai ki jis bhi ladki se main pyaar karta hun, wohh kisi aur se pyaar karti hai. Isliye maine Nisha ke baare mein sochna chod diya. Fir ek party mein main Nisha se fir se mila aur iss baar meri kismat ne ne meri Nisha ko mere saamne khada kar diya tha. Jab mujhe pataa chala ki Nisha ab se Ahmedabad mein hi rahegi toh main bohot khush hua. Main iss baar kisi bhi haal mein Nisha ko khona nahi chaahta tha. Isliye maine iske baare mein kisiko kuch nahi bataaya. Main nahi chaahta tha ki agar Nisha mujhse pyaar nahi karti toh sab mera mazaak banaaye."

"Munna, Pandit... tum dono ko yaad hai.. jab Ayesha ke baare mein tum sabko pataa chala tha tab tumhare saath saath Sameer bhi mera kitna mazaak udaata tha. Bhale hi mere chehre par smile hoti thi par mera dil dukhta tha yaar. Jab hamara pyaar hamare hi saamne kisi aur ke saath hota hai naa, toh kitna hurt hota hai yeh tum sab nahi samaj sakte. Main pehle se hi shaant aur shy hun, isiliye main meri feelings jaldi express nahi kar pataa. Fir Naina ke saath bhi yahi hua, aur tab bhi bhale hi tum logon ne mera mazaak nahi banaaya ho, par tum log jo sympathy looks dete the naa, wohh mujhe accha nahi lagta tha."

"Jab Nisha meri life mein waapis aayi toh maine Naina ko sab bataaya, kyunki jaanta tha ki wohh bohot acchi hai, jo kabhi jaane yaa anjaane mein kisiko hurt nahi kar sakti. Isliye maine Nisha ke baare mein sirf usse bataaya aur usse promise liya ki wohh kisise kuch naa kahe. Agar iss baar mera dil tootta bhi toh tum sabke saamne kuch nahi hota kyunki tum sabko iss baare mein kuch pataa hi nahi hota."

"Par aaj main bohot guilty feel kar raha hun ki meri stupid promise ki wajah se Naina ne Sameer se sab sach chupaaya. Maine sach mein nahi socha tha ki meri wajah se unn dono ke beech problems bhi ho sakte hai. Actually, main Sameer aur Naina ki wedding anniversary wale din hi Nisha ko apne dil ki baat bataane waala tha, isliye maine yeh jewellery ki bag Naina ke paas rakhi thi. Mujhe nahi pataa tha ki meri wajah se Naina aur Sameer ke beech itni misunderstandings ho jaayengi. Yaar... mujhe bohot guilty feel ho raha hai. Sameer aur Naina ek dusre se itna pyaar karte hai aur meri wajah se wohh dono aaj saath nahi hai. Main... main khudko kabhi maaf nahi kar paaunga."

Preeti asked, "Maine toh aapka mazaak nahi udaaya tha naa kabhi toh mujhse kyun chupaaya yeh sab??? Main aapki behen hun bhai... aur aapne yeh sab mujhse bhi chupaaya? Main aapke saath saath Naina se bhi naaraaz hun kyunki aap dono ne mujhse sach chupaaya."

Munna turned to Preeti & said, "Preeti... abhi yeh time naaraazgi ka nahi hai, hume Naina ko dhoondna hai. Tujhe kuch pataa hai kya? Naina aur kiske ghar jaa sakti hai? Ek minute... main ek baar Anjali se bhi pooch leta hun agar usse kuch pataa ho." Munna called his girlfriend & enquired if she had any idea about Naina's whereabouts. Pandit sat next to Preeti & took her in a side hug. She turned wholly & hugged him tightly, "Pandit... please Naina ko dhoondo... wohh akele kahin chali gayi hai. Pataa nahi wohh sab akele kaise manage karegi? Iss baar Sameer ne apni saari limits cross kar di hai. Main uss Sameer ko kabhi maaf nahi karungi. Agar meri behen ko kuch hua naa toh main uss Sameer Maheshwari ko chodungi nahi."

Kabir, Nisha & Munna had tears in their eyes as they saw Preeti sobbing hard for her best friend cum soul sister. Her each & every word pinched hard on everyone as she cried terribly in Pandit's arms. "Pandit... chalo... hum ab time waste nahi kar sakte... hume Naina ko dhoodne jaana chaahiye."

Munna joined Kabir & Nisha & went to railway station to search for Naina while Preeti & Pandit went to bus station. All along the way, they kept asking everyone if anyone had seen Naina today. But to their dismay, they didn't find Naina anywhere. Anjali had gone to airport to find Naina. Though everyone knew that there were slight chances of Naina being at the airport.

When Pandit showed the picture of Naina at the bus booking counter, the person spoke, "Haa... yeh madam subah yahaan aayi toh thi... par maine unko kahaan ki ticket di, wohh mujhe yaad nahi aa raha. Ab itne log aate hai ticket lene toh yaad rakhna thoda mushkil ho jaata hai naa?"

Pandit & Preeti tried to make that person remember the place where Naina had gone, but it turned all in vain as the old man couldn't recollect anything about it. He just accepted that he had seen Naina but he didn't remember anything more. Pandit & Preeti came back to her place where everyone was waiting for them.

When Preeti saw Nanu at her place, she just ran to him & hugged him. She cried again & cursed his grandson for being the reason for hurting her best friend so badly yet again. Nanu rubbed her back & consoled her. "Preeti... bas kar ab... rone se kuch nahi honewala. Hume himmat rakhni hogi aur agar tum hi aise haar maan logi toh hum kaise Naina ko dhoond paayenge... Ab yeh sab rona dhona chodo aur hume Naina ko kaise bhi karke dhoondna hi hoga. Pataa nahi kahaan hogi aur kaisi hogi meri bacchi?" She quietened down in the next few moments & gathered herself. She knew she couldn't feel weak now, she had a tedious task of searching for her best friend who had left Ahmedabad alone.

Pandit updated the others about their talk at the bus station & now, everyone was sure that Naina had left Ahmedabad. Kabir asked, "Nanu... Kya Naina ki koi family hai jahaan wohh jaa sakti hai, agar yeh pataa chal jaata toh hum Naina ko aasaani se dhoond payenge." Nanu shook his head in negative, "Nahi Kabir... Naina ki koi family nahi hai. Bas uske Nanaji hi the aur wohh bhi ek saal pehle hi guzar gaye."

Kabir along with Munna & Pandit again visited the bus station & asked for all the buses that had left from Ahmedabad that morning. There were at more than ten buses that had gone to several places. How could they find Naina was the main question as they had no idea which bus, she had hailed? The chances were too scarce but yet the trio was going to find Naina.

The day ended but they had no idea about Naina's whereabouts. Nanu was back to the Maheshwari Mansion as it was already late night. When he reached home, he asked, "Ramdhari... Sameer ne kuch khaaya???" Ramdhari replied, "Nahi Nanaji... Sameer bhaiya apne room se baahar aaye hi nahi hai subah se. Main gaya tha teen baar unhe khaana dene par unhone manaa kar diya aur darwaaza bhi nahi khola. Bhagwaan kare bhaiya thik ho. Unhone shaayad kal raat se kuch nahi khaaya hai." Nanu felt bad but he was upset with his grandson's behaviour towards Naina. So, he didn't comment more & retired to his room.

Sameer on the other end had spent the entire day in his room with the memories of his lovely wife. He continuously kept going through her pictures that he had clicked on his mobile. Despite being angry on her, he was missing his love terribly. He cried all day long. In the middle of the day, he had thought of calling Munna & Pandit to check if they found Naina. But his ego came in between & he crushed that thought several times. He had seen Nanu leaving the house in the car & now, he was sure that Naina was staying at Kabir's house.

A week passed by, but Sameer didn't talk to his Nanu or his friends. He had wanted to ask them desperately if Naina was fine, that she was happy with Kabir but he couldn't let go of his ego & he diverted his mind on his business. Nanu & his friends too stayed aloof & didn't converse with him until it was important.

On the following Saturday, Kabir visited the Maheshwari Mansion to meet Nanu. Sameer too was seated in the living room when Kabir entered. Sameer's blood boiled again as he saw him approaching, but he remained silent. He concentrated on his mails but kept his ears open to hear his conversation with Nanu.

Kabir took blessings from Nanu & hugged him as usual. He did glance once at Sameer but didn't acknowledge his presence. He sat next to Nanu & said happily, "Nanaji... main aaj yahaan aapko ek khaas function ke liye invite karne aaya hun. Kal meri engagement hai aur aapko aana hi hoga. Aapke bina main apni life mein aage nahi badh sakta Nanaji... toh please aap zaroor aaiyega. Aap jaante hai naa ki hamara aapke siva koi nahi hai iss duniya mein. Meri life ke itne important din mein aapki maujudgi mere liye sabse upar hai. Main chaahta hun ki aap iss mauke par mere saath rahe, hamari iss khushi mein hamare saath khade rahe. Nanaji... aap... aap aayenge naa???"

Nanu hugged him again, "Main zaroor aaunga Kabir... tum nishchint raho. Arey tumhari khushi mein bhala main kyun nahi aaunga, aakhir tumhari sagaai ho rahi hai kal. Dusron ka pataa nahi par main zaroor aaunga. Maine hamesha bhagwaan se yahi maanga hai ki mere saare bacche khushi se rahe. Jab yeh khushi tumhari zindagi mein aayi hai toh main kaise manaa kar sakta hun? Main zaroor aaunga Kabir, tumhari khushi mein tumhara saath dene. Mera aashirwaad mere bacchon par hamesha rahega. Main bohot khush hun ki tumne aakhirkaar apne liye jeevan saathi chunn hi liya. Khush raho beta... Aaj tumhare maa baap bhi bohot khush honge, tumhare iss faisle se."

Nanu wiped his tears & blessed him again wholeheartedly. Sameer wasn't sure if he heard it right. Did Kabir just say that he was getting engaged the next day? The pain that Sameer was going through had no end. How could Kabir & Naina think of an engagement so soon, he thought painfully? Some part of his heart was fighting with his mind & he so wanted to trust Naina but this news had blown away that little hope too.

Sameer's eyes misted but he didn't cry, he blinked away his tears & continued reading some irrelevant mail on his laptop screen. He had no heart to look at the happy Kabir Sehgal who had come to his house to invite his Nanu for his engagement. His heart ached for her, for his love. He so desperately wanted to see her. It was over a week that he hadn't got a glimpse of his Maina.

After few moments, Kabir walked towards Sameer & saw his dishevelled features. Sameer hadn't shaven since a week. His hair was ruffled & had grown quite long & looked messy. Clearing his throat, Kabir spoke, "Sameer... kal meri engagement hai toh main tumhe bhi invite karne aaya hun. Main chaahta hun ki tum bhi meri iss khushi mein shaamil ho."

When Sameer didn't reply which Kabir had expected already, he continued, "Ek baar engagement mein aa jaana Sameer... yeh tere liye bohot important hai. Main abhi agar kuch bhi kahunga toh tu maanega nahi, isliye uss ek insaan ke liye aa jaana jisse tu bohot pyaar karta hai."

Sameer wanted to scream at him & wanted him gone, but he stayed mum & didn't even glance at him. Though he had heard his each & every word, he acted otherwise. He totally ignored Kabir & continued staring at his laptop. Kabir deliberately kept the invitation card in front of him on the table & left. He knew that Sameer won't talk to him, he had already anticipated all this, but yet he had to try one last time. While leaving, Kabir told Nanu to bring Sameer at any cost. He needed to know the actual truth. Whatever Sameer was thinking about him & Naina was all wrong & so, Kabir wanted Sameer to attend his engagement.

Kabir knew that Sameer won't listen to any of his versions of truth, so he & Nisha had decided to get engaged so that Sameer would see the truth by himself. But the bigger question was will Sameer attend their engagement & come to know the truth?



How was the update???


I know that there were no Samaina moments at all in this chapter, but I promise that they will be back soon...


So, do you think Sameer will attend Kabir's engagement?

What will happen if he does attend it?

Where is Naina?

Do you think in the one whole week, Nanu & the gang was able to trace Naina?


Next update on next Sunday...


Take care of yourselves & your loved ones...

Stay safe & stay blessed...


With Lots of Love,

Daksha...❤️

isha123asya thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Hey Dear,🤗

loved reading your update after so long.. I was waiting for this update eagerly. Though it was a sad one but an important one to build up the story. Loved the way you have described each scene and emotion... now I will keep thinking of Naina the whole week ..where did she go 🤔 how will Sameer react when he knows the truth!?!? Have they already found Naina ... Please give the next update sooner if possible 😌

P.S - keep up the good work that you are doing.. just keep going ❤️🤗don't worry about the responses.

Dharapriya thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

It's an awesome update. Even we feel the pain through ur writing same as the pain they r suffering. Will be eagerly waiting for sameer's reaction when he will know the truth about kabir and Nisha. Hope his friends haven't found about naina in the week. He should be able to find her after much efforts not earlier.

diku1302 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: isha123asya

Hey Dear,🤗

loved reading your update after so long.. I was waiting for this update eagerly. Though it was a sad one but an important one to build up the story. Loved the way you have described each scene and emotion... now I will keep thinking of Naina the whole week ..where did she go 🤔 how will Sameer react when he knows the truth!?!? Have they already found Naina ... Please give the next update sooner if possible 😌

P.S - keep up the good work that you are doing.. just keep going ❤️🤗don't worry about the responses.

Thank you so much dear...❤️

Yes the story has taken an unexpected turn & its going to be sad to read the next few chapters...

Well... Where is Naina, is a big question...

Sameer will surely regret what he did to Naina once he comes to knoe the truth...

I don't expect everyone to say good things about my story, everyone's perception & thinking is different & we can't change that...

Thanks again...😊

Keep reading...❤️

I'm updating the next part in few minutes...

diku1302 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Dharapriya

It's an awesome update. Even we feel the pain through ur writing same as the pain they r suffering. Will be eagerly waiting for sameer's reaction when he will know the truth about kabir and Nisha. Hope his friends haven't found about naina in the week. He should be able to find her after much efforts not earlier.

Thank you so much dear...❤️

I know the update was an emotional one & the next few updates would be the same...

Sameer will surely regret what he said to Naina once he knows the truth...

Lets see, who finds Naina first & will Sameer be able to find her?

Keep reading...❤️

I'm updating the next part in few minutes...

diku1302 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago

Hello friends...
I'm back with the next update...
Enjoy reading & let me know your reviews...


FATE TWISTED BY LOVE

CHAPTER 52


Sameer couldn't believe that Kabir & Naina were getting engaged the next day. He didn't know what to feel about all this. He glanced at the invitation card once & saw the first name... Kabir Sehgal... but he stopped right there after reading his so-called friend's name. He didn't have a strong heart to read the other name printed on it & he got up furiously.

Nanu saw his grandson walking towards his room angrily. He understood that Sameer hadn't read the invitation card. He thought, "Ek baar Sameer... ek baar tu wohh invitation card padh leta toh tera gussa apne aap shant ho jaata..." Looking heavenwards, Nanu prayed, "Hey Prabhu... mere bacche ko sahi raasta dikhaaiye. Jaanta hun wohh toot chuka hai, uska dard dekh sakta hun main. Bas kuch aisa kijiye, jisse mera Sameer Kabir aur Nisha ki sagaai mein jaaye... Uska jaana bohot zaroori hai, warna usse kabhi pataa nahi chalega ki usne Naina ke baare mein kitna galat socha hai, kitna galat kiya hai meri bacchi ke saath. Bhagwaan... meri Naina beti jahaan hai usse surakshit rakhna. Main jaanta hun wohh wahaan khush toh nahi hogi, par usse bhi shakti dena ki wohh iss kathin samay ka saamna akele kar paaye. Naina par apna aashirwaad banaaye rakhna bhagwaan, kyunki wohh wahaan akeli hai." Wiping the tears away, Nanu walked back to his room with a heavy heart.

In his room, Sameer paced furiously. He had already thrown few things around & created a mess of his room. He was angry with himself that he didn't see the love blooming between his friend & his wife earlier. How could he be so blind all this while? He sat down on the couch & shouted, "Kyun bhagwaan??? Yeh sab aapne mere saath hi kyun kiya? Main pehle akele khush tha naa? Fir kyun Naina ko meri zindagi mein laaye? Aur agar laaye hi the, toh kyun mere dil mein uske liye pyaar jagaaya? Aapne... aapne toh mujhse har baar mera pyaar chinn liya hai, toh fir aise logon ko aap meri zindagi mein laate hi kyun ho, jo mere saath meri zindagi mein rahe hi nahi?"

Wiping his tears, he looked at the photo frame of Naina's parents & spoke, "Dekh rahe hai naa aap? Mujhe chode hue abhi aapki beti ko ek hafta bhi nahi hua aur wohh kal Kabir ke saath sagaai kar rahi hai." He stood up & walked towards their picture. "Yeh sab jaanne ke baad bhi main aapki beti se nafrat nahi kar paa raha. Jaante hai kyun?" Pointing towards his heart, he said, "Kyunki aapki beti ne mere iss dil mein apne liye permanent jagah banaa li hai. Main Naina se bohot pyaar karta hun. Itna pyaar karta hun ki yahaan dard ho raha hai, bohot dard ho raha hai. Mujhe Naina ki itni aadat ho gayi hai naa ki mujhe wohh iss kamre ki har ek cheez mein dikhaayi deti hai. Aaj bhi uski khushboo mehsoos karta hun main iss kamre mein, iss ghar mein. Aisa lagta hai ki abhi kahin se aakar kahegi ki Sameer main waapis aapke paas aa gayi hun hamesha hamesha ke liye. Kya aisa ho sakta hai? Kya meri Naina kabhi mere paas waapis aayegi? Pataa nahi kyun aaj mera dil yeh maanne ko taiyaar hi nahi hai ki kal Naina Kabir se engagement karegi."

Looking at her parent's photo with teary eyes, he asked, "Kya mujhe kal unki engagement mein jaana chahiye? Kya main meri Naina ko kisi aur ka hote hue dekh paaunga? Nahi... nahi... main... main... main nahi jaaunga... nahi dekh paaunga usse kisi aur ke saath... Kal... kal meri Naina ek nayi zindagi shuru karegi Kabir ke saath. Bas Naina ko khush rakhna. Fir wohh bhale hi mere saath naa ho..." He walked towards his bed & curled up. With the tears flowing continuously, he drifted to restless sleep.

Nanu had come to his room to check on him & was more worried after seeing the mess in his room. He quietly kept all the things on its rightful place & sat on his grandson's bed. Brushing his fingers in his hair slowly, Nanu's eyes misted instantly watching his grandson's tear-stained face. Though Sameer had used harsh words for Naina & had hurt her with his vicious words, Nanu knew that he had used his anger as his weapon to conceal his heart. He was his grandson after all, so Nanu knew how Sameer would react in certain situations. Nanu knew that Sameer had used his anger to shield his own feelings. But whatever he did to Naina wasn't justified. Even if he was angry, he shouldn't have spoken those brutal words to his wife. He should've treated her with respect.

Looking at him worriedly, he got up & left. When he reached downstairs, Ramdhari asked, "Nanaji... Sameer bhaiya nahi aaye aapke saath? Maine aap dono ke liye khaana lagaa diya hai." Nanu replied softly, "Aaj bhi bina kuch khaaye Sameer so gaya hai. Pataa nahi aisa kab tak chalega? Jab se Naina gayi hai, Sameer ne thik se kuch khaaya hi nahi hai. Munna aur Pandit bhi mujhe bataa rahe the ki Sameer office mein bhi kuch nahi khaata, bas coffee par coffee peeye jaata hai. Bas prarthna karta hun ki sab jaldi thik ho jaaye aur mere dono bacche khush rahe ek saath..."

Sameer got up early the next day & busied himself in his work & started making an important project presentation in his study room. He wanted to stay away from the storm that was brewing in his heart & mind. He thought that he would distract himself with the presentation, but it didn't work. His mind & heart were having a constant war between them. His mind wanted to be practical & his heart was making him emotional & vulnerable. His mind believed that his Naina had betrayed him & was getting engaged with Kabir today while his heart denied it all. He wasn't sure whom to follow right now. As his phone rang during afternoon, he came back to reality. The moment he saw the caller id, he ignored it. It rang several times but he wasn't ready to talk to his best friends now.

After few more hours, he heard a knock on the door & Nanu walked in. Sameer knew that it was time for Kabir & Naina's engagement party & Nanu had come to inform him. Without meeting his grandfather's gaze, he asked, "Kahiye Nanu... aap... aap kyun aaye hai yahaan?" Nanu sat beside him & replied, "Main... main tujhe yeh bataane aaya hun ki main Kabir ki sagaai mein jaa raha hun."

Sameer was hurt yet he replied, "Thik hai." When Nanu didn't get up even after few more minutes, Sameer looked at him & asked, "Aapko late ho jaayega Nanu... aap... aap jaaiye." Sameer controlled his emotions & tears that he didn't want his Nanu to see. But his Nanu knew that he was hurt & broken & he needed him the most, but he also knew that his stubborn grandson won't believe his words. He would believe only when he would see that Kabir was getting engaged to Nisha & for that, Nanu wanted him to attend Kabir's engagement. Nanu had asked his Rahu-Ketu to convince their friend & they had tried too by calling him several times, but their stubborn friend had ignored their calls deliberately. Even Kabir had called him a couple times.

So, Nanu was here now to convince his grandson. He spoke, "Sameer... main... main chaahta hun ki tu bhi mere saath chal." Watching different emotions crossing on his grandson's face from hurt to anger to helplessness, Nanu continued, "Main koi zabardasti nahi kar raha, bas yahi kehna chaahta hun ki ek baar... ek baar wahaan chal Sameer... shaayad tu jo soch raha hai, waisa kuch naa ho. Jo jung tere dil aur dimaag ke beech chal rahi hai naa, uska jawaab tujhe wahin milega. Aur agar tu nahi aaya aaj, toh shaayad aage ki poori zindagi pachtaayega. Kyunki zindagi hamesha ek hi mauka deti hai sab thik karne ka aur agar tune aaj iss mauke ko thukraaya toh tujhe waapis aisa mauka kabhi nahi milega Sameer. Main aaj yahaan kisika paksh nahi le raha, bas yahi chaahta hun ki mere bacche khush rahe."

While Sameer remained quiet & was processing his grandfather's words, Nanu continued, "Iss mauke ko haath se mat jaane dena Sameer. Yahi tujhe teri Naina tak pahunchaayega yaa toh tujhe hamesha hamesha ke liye usse durr kar dega. Iske baad shaayad tu kabhi Naina ko dekh bhi nahi paayega Sameer." Nanu got up after saying the final words & left the study room. Nanu could sense Sameer's emotions all over the place & wasn't sure if he would attend the engagement party.

Sameer pondered over his grandfather's words for few more minutes & walked back to his room. Glancing once at her parent's picture, he made up his mind. Nanu reached Kabir's place in the next twenty minutes & was received by the couple at the entrance. Kabir & Nisha looked behind him & were sad seeing that Sameer hadn't accompanied him.

Nanu entered the house & met everyone. Munna & Pandit along with Anjali asked about Sameer. Nanu just shook his head slowly making the others restless. Everyone had wanted Sameer to come except Preeti. She was too angry on him & never wanted to see his face.

Kabir & Nisha waited for over half an hour & then her parents called them to start the engagement rituals. Though the couple along with their friends & Nanu were upset because of Sameer's absence, they had to start with their engagement. The couple had invited only their close family & friends. Even when the rituals were going on, Kabir kept looking at the entrance with a hope to see his friend.

Kabir & Nisha exchanged rings amidst lots of cheers & applauses. What the couple & everyone missed was a pair of eyes who was observing this celebration from a distance. Sameer had left the house after Nanu & had waited in his car outside Kabir's house. He wasn't sure if he had made the right decision by coming for the engagement. Between his mind & heart, his heart had won the battle & here he was, standing in front of Kabir's house.

Sameer had wanted to see Naina for one last time before she would become Kabir's fiancé. His poor heart just wanted a glimpse of his Maina for one last time. He wanted to imprint her image in his mind, heart & soul for forever which would be enough for him for this lifetime.

Taking a deep breath & with a heavy heart, Sameer entered Kabir's house & decided to watch the engagement function from a distance. He saw Kabir leading someone to the stage. Sameer's heart pained as he knew that he was about to see the love of his life getting engaged to his friend. As the girl turned & stood facing the guests, Sameer froze.

She... she wasn't Naina. Then who was she? Why was Kabir & the girl exchanging rings & where was Naina? Sameer couldn't believe his eyes. Everything happened in a slow motion in front of his eyes & he stood rooted to his place. He felt dizzy & his head spun. Before he could hit the ground, two pair of hands got hold on him.

Munna & Pandit had seen Sameer entering Kabir's house & had been keeping a watch on him from the past few minutes. They had moved near him which their best friend hadn't noticed. The moment they saw Sameer losing his balance, they had come forward to hold him. Even if Sameer was wrong, his friends would never leave him alone. Though they didn't talk to him in the past few days, still they stayed around him & kept a watch on him through his assistant.

Munna & Pandit had asked Sameer's assistant to look after his meals & each time his assistant would inform them that he wasn't touching his meal at all. Mundit were worried about him but they never showed it in front of him as they wanted their friend to realize his mistake on his own.

But today, they knew that they would've to keep their differences away & help him. Nanu searched for his Rahu-Ketu & was shocked looking at the scene at a distance. He immediately knew that the person they were holding on was his grandson. He walked faster & reached them in few seconds.

The sudden commotion drew Kabir's attention & he spotted Sameer. He whispered to Nisha, "Sameer... Sameer aa gaya hai." While the guests stopped the couple several times before they could reach the couch where Sameer was still unconscious. Munna had already called their family doctor & everyone was waiting for him. Kabir spoke, "Munna... Pandit... tum dono Sameer ko kamre mein le jao. Tab tak doctor uncle bhi aa jaayenge." The friends carried him to the nearest guest room & rested him on the bed.

After few minutes, the doctor arrived & did a check-up on Sameer. He spoke to Nanu, "Maheshwariji... Fikar ki koi baat nahi hai... bas weakness ki wajah se chakkar aa gaye honge. Jaise hi Sameer ko hosh aaye toh usse kuch khilaa dena. Maine injection de diya hai aur yeh kuch davaaiyaan hai. Sameer ko kehna ki khaane mein jyaada laaparwaahi naa kare. Time se khaa liya kare. Waise Sameer thik ho jaayega fir bhi agar meri zarurat pade toh mujhe phone kar dijiyega, main aa jaaunga. Ab chalta hun."

As the doctor left the room, Nanu sat down on the bed with a thud. "Pataa nahi kiski nazar lag gayi hai mere dono bacchon ki khushiyon ko? Yahaan Sameer ki haalat mujhse dekhi nahi jaa rahi aur... aur wahaan Naina akeli hai. Pataa nahi wohh bhi kis haal mein hogi? Bhagwaan... bas jaldi se inn dono ko milaa do, taaki inke dukh aur dard kamm ho jaaye aur firse inki zindagi khushiyon se bhar jaaye."

Munna sat near his feet & spoke softly, "Nanaji... sab thik ho jaayega... aap... aap please roiye mat. Ab toh Sameer ko bhi pataa chal gaya hai ki Naina Kabir ke saath nahi hai. Usne dekha Kabir aur Nisha ko ek dusre ko angoothi pehnaate hue. Ab sab thik ho jaayega Nanaji... sab thik ho jaayega..." Munna kept his head on his leg & cried.

Kneeling down on front of Nanu, Pandit said, "Nanaji... bas Sameer hosh mein aa jaaye toh uski saari galatfehmiyaan durr ho jaayengi aur wohh Naina ko dhoondne nikal padega. Hum bataayenge naa usse ki Naina kahaan hai aur Sameer jhatse Naina ko waapis le aayega. Dekhna aap Nanaji... Naina bohot jald hum sabke saath hogi."

"Aap logon mein se koi Sameer ko nahi baateyega ki Naina kahaan hai...", Preeti's voice boomed in the room loud & clear. All turned towards the door where she was standing. Kabir moved towards her, "Yeh kya keh rahi ho Preeti... Naina Sameer ki biwi hai aur abhi wohh wahaan akeli reh rahi hai. Aise kaise hum Sameer ko kuch naa bataayein? Uska poora hakk hai yeh jaanne ka ki Naina kahaan hai aur kis haal mein hai."

Preeti stepped in the room & met her brother's worried gaze, "Kis hakk ki baat kar rahe hai aap bhai??? Aur ek baat main aap sabko clear kar deti hun ki Naina ab Sameer ki biwi nahi hai. Aap sab shaayad bhool gaye hai ki Naina ne shaadi se pehle hi divorce papers sign kar diye the, iska matlab yeh hai ki ab yeh dono married nahi hai. Koi rishta hai hi nahi ab inn dono ke beech toh kis hakk ki baat kar rahe hai aap bhai?"

Preeti turned & faced Nanaji & Munna, Pandit... "Sameer ne pehle jo galti ki thi usko shaayad undekha kar sakte the, agar wohh Naina ke saath acche se rishta nibhaata. Par jab wohi galti dusri baar dohraayi jaaye toh usse galti nahi kehte. Aur Sameer ne jo Naina ke saath kiya wohh koi galti nahi thi, usne sab soch samajh ke kiya hai. Usne jo kiya wohh gunaah hai Nanaji... jo shabd usne Naina se kahe, usse galti nahi kehte."

Nanaji spoke, "Mera Sameer Naina se pyaar karta hai Preeti... dekha hai maine uski aankhon mein, dekha hai maine uska dard." Preeti replied instantly, "Jab Sameer Naina par bharosa karta hi nahi hai toh kya faayda uske pyaar ka Nanaji? Sirf pyaar kaafi nahi hota ek couple ke beech. Unke beech understanding honi chahiye, commitment hona chahiye ek dusre ki taraf aur sabse important, bharosa hona chahiye ek dusre par. Bharosa hi toh neev hoti hai kisi bhi rishte ko mazboot banaane ke liye aur Sameer ne Naina par ek baar bhi bharosa nahi kiya. Naina ko laachi aur characterless kahaa isne, wohh bhi do do baar. Chalo pehli baar maaf kar sakte hai Nanaji, par ab Naina ke saath ek saal rehne ke baad bhi woh Naina par thoda sa bhi vishwaas nahi kar paaya? Maaf karna Nanaji... par isse pyaar nahi kehte. Pyaar usse kehte hai jo bina koi shart ke pyaar kare, bharosa kare, saamne waale ki khushiyon ke liye khud ki khushi ko kurbaan kar de."

"Sameer ne kiya hi kya hai Naina ke liye? Jab dekho tab Naina ko laalchi aur characterless bol deta hai, jab mann hua toh Naina acchi hai, jab mann hua toh usse yeh sab kehkar uska dil tod deta hai." Meeting everyone's misty gaze, she spoke, "Aap mein se koi bhi Sameer ko Naina ke baare mein nahi bataayega. Nanaji... aap keh rahe hain aa ki Sameer Naina se bohot pyaar karta hai, toh chalo... ab mujhe bhi dekhna hai ki Sameer bina kisi ke madad ke kaise Naina ko dhoondta hai. Saccha pyaar karta hai naa Sameer Naina se, toh ab usse wohh saabit karna hoga. Saabit karna hoga ki wohh Naina ke laayak hai."

Finally, letting the tears flow, Preeti spoke, "Naina... meri behen abhi kis haal mein hogi yeh sab aap soch bhi nahi sakte. Aur wohh kiski wajah se durr huyi hai humse? Iss... iss Sameer ki wajah se. Toh ab Sameer khud meri behen ko dhoond ke apne saath laayega. Aap sab honge mahaan jo Sameer ko maaf kar sakte hai, par main Sameer ko kabhi maaf nahi karungi. Jab tak Sameer Naina ko manaakar yahaan waapis nahi laata, tab tak main usse maaf nahi karungi. Aur aap mein se koi bhi Sameer ko Naina kahaan hai, yeh nahi bataayega. Sameer ko apni galti khud hi sudhaarni hogi aur saabit karna hoga ki wohh Naina ke kaabil hai bhi yaa nahi."

Nisha stood next to her sister-in-law & spoke, "Preeti sahi keh rahi hai Nanaji. Sameer ne Naina ke self-respect ko baar baar hurt kiya hai, toh ab usse khud hi apni ladaai ladni hogi. Naina ko khud hi dhoondna hoga. Main Preeti ki baat se sehmat hun. Sameer ko prove karna hoga ki wohh Naina se sach mein pyaar karta hai. Main Naina ko bas kuch hi mahino se jaanti hun aur usse acchi dost aur behen mujhe kabhi nahi mil sakti. Sameer ne Naina ke saath jo bhi kiya, wohh maafi ke laayak nahi hai."

Looking at Kabir, Nisha continued, "Waise main yeh bhi nahi kahungi ki iss sab mein Naina ki koi galti nahi thi. Usne bhi khud hi itni misunderstandings ke liye jagah banaa di thi. Kabir... tumne jo promise Naina ko diya, uski wajah se yeh sab hua, aur kahin naa kahin tum inn sab ke liye responsible ho. Jaanti hun, tumne nahi socha hoga ki aisa bhi kuch hoga, par sab ho hi gaya. Naina aur Sameer hamari wajah se aaj saath nahi hai. Main yeh engagement ke liye sirf isliye ready hui taaki Sameer ki misunderstanding clear ho. Par aaj main yahaan sabke saamne yeh kehna chaahti hun Kabir ki jab tak Naina aur Sameer waapis ek nahi hote, tab tak main tumse shaadi nahi karungi."

Kabir wasn't stunned with his fiancé's announcement as he himself had decided the same. Taking Nisha's hands in his, Kabir spoke, "Main khud bhi yahi karta. Jab meri wajah se yeh dono alag hue hai toh fir main kaise ek nayi zindagi ki shuruwaat kar sakta hun? Tum naa bhi kehti tab bhi main inn dono ke milne ke baad hi tumse shaadi karta. Jab mere dono khaas dost akele hai, mushkil mein hai, toh hum kaise khushiyaan manaa sakte hain Nisha?"

Turning to his sister, Kabir said, "Preeti... tu jo keh rahi hai, wohh bhi sahi hai... par ek baar dono ke baare mein soch le shaanti se. Kahin aisa kuch naa ho jaaye, jisse dono kabhi mil hi naa paaye. Preeti... tune bhi toh Sameer ki aankhon mein Naina ke liye pyaar dekha hai naa? Fir kyun hume manaa kar rahi hai Sameer ki help karne se. Sameer ko Naina ka pataa bataa denge toh wohh jaldi Naina ko waapis laa paayega. Dekh Preeti... main tera gussa samajh sakta hun, par abhi yeh waqt gussa karne ka nahi hai. Naina wahaan akeli hai aur usse hamari aur khaaskar Sameer ki zarurat hai. Tu kyun nahi samajh rahi?"

Preeti retorted, "Mujhe kuch nahi samajhna hai ab? Aap mein se koi Sameer ko kuch nahi bataayega, bas... aap... aap sabko meri kasam hai." Kabir along with everyone froze at her sudden words. Nanaji got up from the bed & stood in front of her, "Preeti... Sameer ne jo kiya usse hum badal nahi sakte. Shaayad main khud ab tak wohh sab bhool nahi paaya hun. Thik hai... jaisa tu chaahti hai waisa hi hoga. Sameer apne sacche pyaar ko khud dhoondkar waapis laayega, yeh mera vaada hai tumse. Tum jitna pyaar Naina se karti ho naa usse jyaada main mere dono bacchon se karta hun, poora bharosa hai mujhe Sameer par aur uske pyaar par. Main mere Sameer ko jaanta hun, sab sach jaanne ke baad wohh kisi bhi tarah Naina ko waapis le aayega. Unn dono ka pyaar itna kamzor nahi hai. Mere bacche bohot jald saath honge. Dekh lena Preeti..."

There was a knock on the door & Nisha's parents entered to call the couple as the guests were asking for them. Kabir & Nisha along with Preeti left while Nanu, Munna & Pandit stayed in the room waiting for Sameer to wake up. After an hour or so, Sameer opened his eyes & looked around the unfamiliar surroundings. His gaze landed on his Nanu who was sitting next to him.

Munna & Pandit were next to him as Sameer tried to get up, but was unable to do so. Nanu kept the pillow behind his back for support while his friends helped him to sit comfortably. Sameer muttered, "Main... iss kamre mein kya kar raha hun? Main... main toh Kabir ki engagement party mein aaya tha..." And then everything came back to him in a flash. He remembered about Kabir & the other girl's engagement.

Sameer asked, "Wohh... wohhh... main... maine dekha ki... Kabir ne kisi aur ladki ko ring pehnaayi. Naina... Naina... kahaan hai??? Wohhh... wohhh ladki Naina toh nahi thi... kaun thi wohh?" Sameer stammered all the time recalling the images of Kabir & the other girl. Munna handed him a glass of water & gestured Pandit to bring him something to eat.

While Pandit left, Nanu spoke, "Sameer... tu yeh sab dekhkar behosh ho gaya tha. Tune iss hafte thik se khaana nahi khaaya hai, isliye kamzori ki wajah se chakkar aa gaye the tujhe. Beta... hum baaki sab baatein baad mein karenge, pehle tu kuch khaa le aur yeh davaai le le. Jab hosh mein rahega tabhi hum sab jo kehne jaa rahe hai usse thik se samajh paayega."

Pandit arrived at that precise moment with a plate of food followed by Kabir & Nisha. Preeti stood a few feet away from him & was observing him. Nanu fed few morsels to his grandson while Sameer was looking at the girl standing beside Kabir. His eyes moved to the handhold & Sameer's eyes misted. He understood what all would've actually happened & what worst he had assumed about his wife. He understood that he had misunderstood his wife once again & accused her of all the same things that he had done earlier. He didn't even need any explanation as everything fell into place now.

Sameer looked at his grandfather who too was teary eyed. As soon as Nanu kept the plate away, Sameer hugged him tightly & cried. Nanu rubbed his back slowly & caressed his head. "Ssshhhhh... Sameer... rona band kar pehle. Mera Sameer rote hue bilkul accha nahi lagta." Sameer ignored his words & kept crying. The pain that Naina & he was going through was all because of him, his overthinking & his misunderstanding.

After few minutes, when his sobs subsided, he left Nanu & got up from the bed. He walked towards Kabir & the other girl. He stopped in front of Kabir & asked, "Tumne... tumne iss ladki se engagement ki? Naina... Naina kahaan hai?" Kabir pulled Nisha beside him & introduced, "Sameer... yeh Nisha hai... meri fiancé... wohi Nisha jiske liye maine 'KN' wala pendant banaaya hai. Naina bas meri help kar rahi thi Sameer. Tumne usse bohot galat samajh liya. Maine... maine hi Naina se promise liya tha ki wohh Nisha ke baare mein kisise kuch naa kahe. Isliye Naina ne tumhare itna poochne par bhi tumhe sach nahi bataaya. Sameer... yeh jo bhi hua hai wohh sab meri wajah se hua hai. I'm sorry Sameer... main nahi jaanta tha ki mere ek promise ki wajah se tumhara & Naina ka rishta toot jaayega."

Sameer took a step towards him & asked, "Agar mujhe Nisha ke baare mein pataa chal bhi jaata toh kaunsa pahaad toot padta tum par Kabir, jo tumne Naina se aisa promise liya? Sirf tumse apni promise nibhaane ke liye, Naina ne mujhse jhooth bola. Jisne aaj tak kabhi mujhse kuch nahi chupaaya, uss Naina ne mujhse yeh baat chupaayi. Kabir... bataa mujhe ki aisa kya ho jaata agar mujhe tumhare aur Nisha ke relationship ke baare mein pataa chal jaata? Main tum dono ke beech aane waala tha kya? Bol naa Kabir... Aakhir kyun tujhe yeh sab humse chupaana tha?"

Kabir told him about his insecurities of being teased for all his broken relations. He told him about the college fiasco about Ayesha & then about Naina too. He didn't want to be a laughing stock again this time. Sameer heard his side silently while others were surprised with his sudden silence. Once Kabir finished, Sameer chuckled, "Bas... isliye tumne yeh sab chupaana thik samjha? Kabir... tum soch bhi nahi sakte ki mujhe kaise kaise khayaal aa rahe the. Maine kitna galat samjha Naina ko, kitna kuch bol diya... wohh sab keh diya jo mujhe kehna nahi chahiye tha. Kitna galat samjha maine Naina ko... iss baar bhi maine usse hurt kiya aur main jaanta hun ki Naina iss baar mujhe maaf nahi karegi."

Sameer wiped his tears & continued, "Main meri aur Naina ki pehli wedding anniversary waale din Naina ko apne dil ki baat bataane waala tha. Naina se kehne waala tha ki main usse bohot pyaar karta hun." Closing his eyes, he recalled everything & told them about how he always felt insecure whenever he saw Naina with Kabir. He asked Kabir, "Tumne hi mujhse kahaa tha naa ki meri shaadi ke ek saal baad tu Naina ko apni biwi banaayega? Wohh baat reh rehkar mere dimaag mein aa rahi thi. Jab se main London se aaya tha, maine mehsoos kiya ki Naina mujhse baatein chupaane lagi hai, mujhse jhooth bolne lagi hai, aur wohhh bhi kiske liye? tere liye Kabir... jab dekho tab tu Naina ke aaspaas hi rehta tha. NGO ke kaam mein hamesha Naina tere saath busy rehti thi, tere saath jyada time bitaati thi." He told him how he felt about all this & narrated all the incidents from the jewellery shop to his surprise for Naina for dinner to his sudden visit to NGO that evening when he had heard the proposal. Kabir kept quiet all the while feeling more miserable. He hadn't expected all this to happen in this way which resulted in the separation of Naina & Sameer.

When Sameer finished, Nisha asked, "Sameer... tumne abhi kahaa naa ki tum Naina se bohot pyaar karte ho? Yeh kaisa pyaar hai Sameer... jahaan trust hi naa ho?" Coming forward, she continued, "Tum sab shaayad jaante nahi, par main aap sabko kuch bataana chaahti hun. Sameer... tum dhyaan se sunna..."

Sameer nodded & she started, "Jab main Kabir se pehli baar mili thi naa, tab hi mujhe yeh sabse alag lagaa tha. Jaante ho kyun??? Kyunki Kabir ne mujhe pehle hi Ayesha aur Naina ke baare mein bataa diya tha. Uske baad main Ahmedabad meri family ke saath shift ho gayi aur fir Kabir se mili. Uss din Kabir ne mujhe Naina se milvaaya uss party mein. Sameer... yeh jaante hue ki Kabir Naina ko pasand karta tha, main Naina se insecure nahi hui. Kyunki maine dekha ki Naina ki aankhen uss party mein sirf tum par hi tiki hui thi. Tumhare liye uske dil mein jo pyaar hai naa, wohh saaf saaf mujhe dikh raha tha. Aur Kabir... Kabir ko mile hue mujhe jyaada time nahi hua tha tab, fir bhi maine uss par trust kiya Sameer... Jab aap kisise pyaar karte ho naa, toh usse unconditionally trust karte ho. Kabir ne mujhe bataaya tha ki wohh Naina ke saath NGO mein kaam karta hai, par maine kabhi unn dono par shak nahi kiya. Naina tumse pyaar karti hai aur Kabir mujhse... Jab main Kabir par trust kar sakti hun toh tum kyun nahi Naina par trust kar paaye Sameer? Ek baar Naina par trust kar lete naa Sameer... toh aaj Naina yahaan hoti, tumhare saath. Sirf pyaar karna hi sab kuch nahi hota. Tumhe uss insaan par unconditional trust bhi hona chahiye, tabhi wohh rishta mazboot banta hai. Sameer... tumne pyaar toh kar liya, bas bharosa nahi kar paaye Naina par, aur iss wajah se aaj wohh tumhare saath nahi hai."

"Sameer... mujhe bhi tumhari tarah bohot insecurities thi, par jab se Kabir meri life mein aaya hai, maine wohh insecurities peeche chod di aur Kabir ke saath meri zindagi aage badha rahi hun. Maanti hun... Kabir ne Naina se wohh promise nahi lena chahiye tha, par tumne bhi toh Naina par trust nahi kiya aur Naina... usne wohi kiya jo usne uss waqt thik samjha hoga. Jitna main Naina ko jaanti hun, usse main itna toh keh sakti hun Sameer ki wohh tumhare kahe hue words se bohot hurt hui hogi, isliye usne ussi raat wohh ghar chodne ka faisla liya hoga. Naina ne socha hoga ki jab tum dono ke rishte mein bharosa hi nahi hai, toh wohh kyun uss ghar mein rahe? Usne wohh ghar sirf tumhari wajah se choda hai Sameer... tumne usse gold-digger aur characterless kahaa, jo koi bhi ladki apne liye nahi sunn sakti. Toh ab tum hi batao, kaise rehti Naina tumhare saath uss ghar mein? Agar main bhi Naina ki jagah hoti, toh main bhi yahi karti. Tumne Naina ki self-respect, uske sapne, uska pyaar, uska dil, aur khaas karke uski rooh ko tod diya hai... ek hi jhatke mein Naina ka sab kuch tod diya tumne Sameer. Yeh mat sochna ki main tumhe taunt kar rahi hun, main bas wohi keh rahi hun jo yahaan shaayad koi nahi bol paayega tumse. Agar maine kuch jyaada bol diya ho toh mujhe maaf karna Sameer... mujhe apni choti behen samajhkar maaf kar dena..."

Sameer fell on his knees as all her words seemed true. He had misunderstood Naina again & messed up his life with his assumptions. He shouldn't have said all those hurtful words to her again. All the words that he had said to Naina rang in his mind & he felt guilty for everything.

Getting up, he looked at Kabir & Nisha, "Congratulations both of you... Kabir... tu sach mein bohot lucky hai ki tujhe Nisha jaisi life partner mili hai aur Naina jaisi dost, jisne itna sab hone ke baad bhi tumhara promise nahi toda. Main hi unlucky hun bas, jisse kabhi kuch nahi mila. Jo mila tha wohh bhi maine apne haathon se durr kar diya. Naina ne apna pyaar chodkar apni dosti ko upar rakha, aise dost bohot kamm milte hai Kabir. Tu sach mein bohot bohot lucky hai yaar."

Without looking back at anyone, he left from there & headed towards an unknown destination. The moment he crossed Preeti, she turned her face away in anger. Though Sameer had seen her reaction, he didn't stop. With continuous flowing tears, he reached his car & left.

Munna & Pandit were going behind him when Nanu stopped them, "Aaj usse akela rehne do. Main Sameer ko bachpan se jaanta hun. Wohh abhi nahi lautega. Jab uska dil aur dimaag shaant ho jaayenge, tab wohh khud waapis aa jaayega. Tab tak usse akele rehne do. Jab wohh waapis aayega, tab ek naya Sameer hoga hamare saamne, jo sirf aur sirf Naina ka pati hoga."

After few minutes everyone returned home a little relieved that finally Sameer knew the truth & would definitely chase Naina & bring her back. That night Sameer didn't return home & spent his night on a peaceful hill top. He visited this place whenever he felt lonely & wanted to find peace. Today was no different... He was feeling guilty for blaming & accusing Naina again. He should've forced her to speak the truth, but he knew that Naina wouldn't have been pressurized at all. She had heard his accusations quietly & hadn't uttered a word until he had... no... he didn't want to think about it... he had to think of getting her back.

Sameer sat beneath a tree & looked at the darkness ahead. His mind had gone blank totally. The revelations today had made him numb. He couldn't believe that he had made such a drastic mistake again. How could he hurt Naina in this way? He was still angry on her for choosing Kabir's promise over their relationship & love. She should've told him the truth & saved their relationship.

Sameer let his tears flow. After few minutes, when his heart & mind calmed down, he took out his phone & went through her pictures yet again as he was doing it every day & night. He caressed the phone screen as if he was touching her face & smiled through his tears, "I Miss You Naina... I Miss You so much... I'm sorry Naina... maine... maine tumhe bohot galat samjha aur bohot hurt kiya hai iss baar. Main jaanta hun ki tum mujhe iss baar jaldi maaf nahi karogi. Sach kahun toh main tumhari maafi deserve bhi nahi karta. Maine jo jo tumse kahaa wohh mujhe nahi kehna chahiye tha. Mujhe wohh agreements aur divorce ko waapis hamare beech nahi laana chahiye tha. Maine tumhare aur Kabir ke baare mein jo bhi socha aur kahaa wohh sab galat tha."

"Sach kahun Naina... mera mann nahi maan raha tha ki tum Kabir se pyaar karti ho, par pataa nahi mera gussa mujhpar itna haavi ho gaya tha ki main wohh sab keh gaya jo mujhe tumse yaa kisi ladki se nahi kehna chahiye tha. I'm sorry Naina... maine... maine tumhe itna hurt kiya, tumhara dil toda, aur shaayad tumhe hi tod diya... Naina... please ho sake toh mujhe maaf kar dena aur jaldi se mere paas aa jao. Main... main tumhare bina nahi reh sakta Naina... nahi reh paaunga... main tumse bohot pyaar karta hun aur aaj... main yeh vaada karta hun khudse ki main hamesha tumhe khush rakhunga, hamesha tum par bina koi shart ke trust karunga, aur meri aakhri saans tak tumse pyaar karunga... bas ek baar waapis aa jao Naina... yeh Sameer tumhare bina adhura hai..."

Sameer kept staring at her picture for a very long time & his tears didn't stop at all. He sat there the whole night & kept going through all her pictures & missed her more. When the sun rose, he finally got up & drove back to his home. When he entered, he saw Nanu sitting in the living room. Nanu looked up at him & smiled faintly. Sameer too responded with his weak smile & walked back to his room.

As he entered, he walked towards Naina's parent's picture. "Papa... mummy... maine... maine bohot badi galti kar di hai aapki beti ka dil dukhaakar. Aur ab main meri uss galti ko thik karne jaa raha hun. Bas aapka aashirwaad mujhpar hamesha rakhna, jisse main apni Naina ko waapis laa sakun. Jaanta hun maine Naina ko bohot dukh dard diye hai, par bas... ab se Naina ki zindagi mein sirf khushiyaan hi khushiyaan aayengi aur wohh main laaunga... Main vaada karta hun aapse ki aapki beti, meri Naina ko main kabhi akela nahi chodunga, usse itna pyaar karunga ki kabhi wohh mujhe waapis chodkar jaa hi naa sake."

"Main bhi yahi chaahta hun Sameer...", came Nanu's reply. Sameer turned & saw his grandfather at the door. Nanu entered the room & opened his arms. Sameer instantly ran to him & hugged him tightly. He knew that he had hurt his Nanu too. "Nanu... mujhe please maaf kar dijiye. Maine Naina ke saath bohot bura kiya hai, meri wajah se aaj wohh hamare saath nahi hai. Nanu... Naina... Naina... waapis toh aayegi naa? Mujhe... mujhe maaf karegi naa?"

Nanu loosened his hold & spoke, "Mera Sameer kabhi haar nahi maan sakta. Ab galti ki hai toh maafi toh maagni padegi beta. Main jaanta hun jab tu kisise pyaar karta hai toh fir ekdum tootkar pyaar karta hai. Bas ab tujhe wohi karna hai Sameer. Naina se maafi bhi leni hai aur apna pyaar waapis bhi laana hai. Kal Nisha ne jo kahaa, uss baat se main sehmat hun ki jab aap kisise pyaar karte hai toh usspar attoot bharosa bhi karte hai. Jo galti tune kar di hai, ab usse badal nahi sakte, par usse sudhaar zaroor sakte hai. Chal... ab yeh rona dhona band kar aur apni Naina ko waapis le aa."

Wiping his tears, Sameer rushed towards the washroom & freshened up quickly. He had a lot of things to do. As he went downstairs, he saw Nanu waiting for him for breakfast. Though he wasn't hungry & was getting late, he decided to join his Nanu for the meal. Nanu & Ramdhari were relieved to see him eat finally.

While having his meal, he asked, "Nanu... kya aapko pataa hai Naina kahaan hai???" Sameer had wanted to ask this since past week but didn't have any courage to do so. Nanu remembered Preeti's words & shook his head. Sameer knew he was lying but he didn't prod more & finished his meal quickly.

He drove towards Kabir's residence for the second time in the past twenty-four hours. Kabir was about to leave for NGO when the doorbell rang. Preeti was getting ready to go to the café. As the maid opened the door, Sameer entered a little hesitantly. Kabir & Preeti stopped their respective work as they saw him approaching. Preeti ignored his presence & continued with her work. Kabir came forward & smiled weakly. He wasn't sure why Sameer was here first thing in the morning. When he had left last night, he was totally broken & had needed solitude. So, why was he here now?

"Sameer... tum... tum subah subah yahaan kaise?" Sameer looked around a little uncomfortably & replied, "Wohh... wohh... main yeh poochne aaya tha ki kya tumhe pataa hai Naina kahaan hai? Actually, maine Nanu se bhi poocha tha toh unhone kahaa ki unhe kuch pataa nahi hai. Munna aur Pandit se bhi poocha par wohh bhi baat ko ghooma rahe hai. Main jaanta hun ki sabko pataa hai Naina kahaan hai, par mujhe nahi bataa rahe. Isliye, main tumse poochne aaya hun. Kya tumhe pataa hai meri Naina kahaan hai?"

Preeti laughed out loudly & came forward. "Sameer... kya kahaa tumne? Tumhari Naina??? Really??? Jahaan tak main jaanti hun toh tumhara aur Naina ka divorce ho chuka hai, koi rishta nahi bachaa tum dono ke beech, toh fir Naina tumhari kaise hui? Tumne tohh meri behen ko gold-digger, characterless aur kya kuch nahi kahaa. Just because tumhe insecurities hai, aur tumhe trust issue hai, toh tumne itna sab kuch keh diya Naina ko? Tum samjhte kya ho khudko Mr Sameer Maheshwari? Jab mann chaaha toh meri Naina, jab mann chaaha toh rishta khatam, jab mann chaaha toh usse laalchi aur characterless banaa diya? Tum ho kya Sameer? Meri behen koi katputli nahi hai jisse tum jaise chaaho waise use kar sako. Tumne... tumne firse ek baar Naina ka dil toda, jiski wajah se aaj wohh hamare saath nahi hai. Sirf aur sirf tumhari wajah se Mr Sameer Maheshwari, aaj Naina kahin akele reh rahi hai. Wohh paagal ladki tumse kitna pyaar karti hai, yeh tum kabhi soch bhi nahi paaoge Sameer. Tumhari sab galtiyon ki sazaa wohh bhugad rahi hai. Jaane se pehle Naina ne mujhe bhi kuch nahi bataaya. Kitna hurt hui hogi, kitna royi hogi meri behen? Uska dard tum kabhi samajh hi nahi sakte Sameer. Tumhare paas Nanu hai, Munna Pandit hai, par Naina ke paas kaun hai? Kaun hai uske saath? Aur wohh akeli chali gayi? Hum sabko bina bataaye Naina chali gayi. Kiski wajah se haan? Bolo Sameer... Tab toh bohot bole jaa rahe the naa Naina ko, toh ab tumhari zubaan kyun band hai? Yeh jo bhi hua hai wohh sab tumhari wajah se ho hua hai. Naina... meri best friend, meri behen... mujhe bina bataaye chali gayi. Usne... usne mujhse promise kiya tha ki wohh kabhi mujhe akela nahi chodegi aur dekho... usne mujhe aur hum sabko akela chod diya. Sirf aur sirf tumhari wajah se Mr Sameer Maheshwari..."

Sameer retorted, "Haan... sab galti meri hi hai... Naina ne kuch kiya hi nahi? Tumhari best friend hai naa, tum usse apni behen maanti ho naa? Toh fir tumhe bhi kyun kuch nahi bataaya Kabir aur Nisha ke baare mein? Kabir toh tumhara sagaa bhai hai aur Naina tumhari behen, toh kyun tumse sab chupaaya? Dosti aur pyaar mein farak hota hai Ms Preeti Sehgal. Naina ne apni promise ko hamare rishtey se upar rakhaa, usne mujhse jhooth bola. Kyun? Kiski wajah se? Tumhare bhai ki promise ki wajah se. Naina ko apni shaadishuda zindagi se jyaada Kabir ki dosti important lagi."

Running his fingers in his hair, he continued, "Preeti... main maanta hun ki maine shaadi se pehle Naina se wohh sab agreemensts aur divorce paapers nahi sign karwaane chahiye the. Maine iske liye Naina se kai baar maafi bhi maangi thi aur usne mujhe maaf bhi kar diya tha. Ek saal mein maine kabhi bhi Naina ko kisi cheez ki kami nahi hone di, jab jab usse meri zarurat padi hai, main hamesha uske saath khadaa rahaa. Naina ne mujhe badal diya tha, meri soch badal di thi. Maine hamare rishtey ko poore dil se nibhaaya hai Preeti... aur yeh baat sab log maanenge. Maine hamesha Naina ko khush rakha hai. Aur usne kya kiya, ek promise aur hamara rishta daav par lagaa diya? Kya yahi keemat thi uski nazron mein hamare rishtey ki? Maine jab Kabir aur Naina ko jewellery shop mein dekha, fir mere ghar mein baatein karte suna, har baar maine pehle Naina ko acche se poocha tha. Maine kai mauke diye the Naina ko sach bolne ke par usne sach nahi bola... Tum trust ki baat kar rahi ho naa? Itna sab hone ke baad bhi maine bharosa kiya tha Naina par. Mera dil maanne ko taiyaar hi nahi tha ki Naina mujhe dhokha de sakti hai. Par jab itne mauke dene ke baad bhi usne sach nahi bola, toh main kya sochta Preeti?"

"Meri aankhon ke saamne Kabir Naina se apne pyaar ka izhaar kar raha tha aur Naina ne bhi usse accept karke wohh teen words Kabir ko kahe, jo usse sirf mujhse kehne chahiye the. Tum bolo Preeti... agar Pandit tumhare saamne kisi aur ladki ko propose kare aur wohh ladki bhi haste haste wohh accept kar le, toh tumhe kaisa feel hoga, huh??? Haaan... hai mujhe insecurities, hai mujhe trust issues, par maine kabhi Naina par shak nahi kiya tha. Yeh toh haalat aise ho gaye ki maine wohh sab dekha jo main bhi khud yakeen nahi kar paa raha tha. Agar tumhare saamne aisa kuch hota toh kya tumhara bharosa nahi dagmagaata?"

Preeti replied, "Mujhe Pandit par poora bharosa hai Sameer. Main kabhi usspar aisa koi ghatiya ilzaam nahi lagaati." Sameer chuckled, "Yeh sab kehne ki baatein hai Preeti... Jab khud par beetti hai naa, tab dusron ka point of view acche se samajh aata hai. Khair... main yahaan tumse koi behes nahi karna chahta Preeti. Mujhe bas yeh batao ki Naina kahaan hai???"

Preeti smiled, "Aur tumhe lagta hai ki main tumhe bataaungi ki Naina kahaan hai? Seriously??? Tum wohh aakhri insaan ho Mr Sameer Maheshwari jisse main Naina ke baare mein koi baat karungi. You don't deserve Naina? Aur main kabhi tumhe nahi bataaungi ki Naina kahaan hai. Itna keh rahe the naa kal ki tum Naina se bohot pyaar karte ho, toh bas apna pyaar prove karo Sameer aur Naina ko dhoond kar lao. Agar Naina ko tum apne saath le aaye, toh main maan lungi ki tum Naina se saccha pyaar karte ho. Tumhe koi nahi bataayega ki Naina kahaan hai, toh kisise koi ummeed mat rakhna. Jao Sameer... get her back if you can, till then I will wait..." Pointing towards the door, she said, "Aur darwaaza uss taraf hai..."

Preeti turned towards the table & collected her belongings. Waving goodbye to her brother, she left without giving a glance to Sameer. Kabir remained quiet till his sister left. Once she was out of sight, Kabir turned to Sameer, "Sameer... Tum jaante ho ki Preeti Naina se kitni close hai, aur jab usse pataa chala ki Naina hum mein se kisiko bhi kuch bhi bataaye bina chali gayi hai, toh Preeti toot si gayi hai. Tum uski baaton ka buraa mat maanna, abhi gusse mein hai toh kuch jyaada hi bol gayi. Uska gussa waqt ke saath kamm ho jaayega Sameer... Bas tum jaldi se Naina ko waapis le aao, fir sab apneaap thik ho jaayega."

Thumping his back, Kabir said, "Iss baar koi galti mat karna Sameer... Tum bohot lucky ho jo Naina tumse pyaar karti hai. Tum bohot khushkismat ho ki Naina tumhari zindagi mein aayi. Naina akeli hai Sameer aur usse sab se jyada tumhari zarurat hai. Hum sab ne galtiyaan ki hai. Main bohot guilty feel kar raha hun ki meri wajah se Naina aur tumhare beech misunderstandings hui. Main tumhe yeh toh nahi bataa paaunga ki Naina kahaan hai, par haannn... jab bhi tumhe meri zarurat hogi, bas ek call kar dena, main tumhara saath dunga. I'm sorry Sameer... for everything..."

Sameer smiled weakly & replied, "Tum sorry mat bolo Kabir... meri kismat hi kharaab hai. Jab zindagi ne mujhe itna haseen taufa diya tha Naina ke roop mein, main uski kadar nahi kar paaya. Galti toh maine bhi ki hai, par wohh tum sab se jyaada hai. Mujhe wohh sab nahi kehna chahiye tha Naina ko. I'm sure meri baaton ne Naina ko poori tarah tod diya hoga. Aaj meri wajah se Naina mere ghar mein aur meri zindagi mein nahi hai. Ab main koi galti nahi karunga Kabir... Main apne pyaar ko itni aasaani se mujhse durr nahi jaane dunga. Naina ko main apni zindagi mein, mere ghar mein waapis zaroor laaunga. Bas bhagwaan kare... Naina jahaan bhi ho, safe ho. Main... main usse jald se jald waapis le aaunga Kabir... And don't worry, mujhe Preeti ki baaton ka buraa nahi laga, kyunki uski kahi hui har baat sach hi hai. Naina bohot jald hamare saath hogi Kabir... main usse waapis lekar hi aaunga..."

With misty eyes, Sameer left Kabir's house & started the hunt for his Naina...



How was the update?


I wanted to write more, but this chapter had already crossed 8k words...

I know you all are waiting to know where Naina is...

The next update about Naina for sure...

'Bas thoda aur intezaar' for Samaina to come face to face...


Next weekend I will be busy, so there will be no update on Sunday...

I will try to update the next chapter on next Monday for sure...

Till then, take care & stay safe...


With Lots of Love,

Daksha...❤️



Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".