Hi dear readers...
Thank you for your love and support.. You had a lot of questions after reading the last chapter and this chapter will answer many of your questions and many of you guessed few things about the twist... LET ME KNOW IS ANYONE THOUGHT ABOUT THIS TWIST...and there was a small clue about the upcoming twist in the prologue itself, read it again and you will understand...
This is a very important chapter in the story so read with patience...Note in the end is important please do read it
Chapter 3 :
Naina kept the tray of tea cups over the table and looked at the man who had come to see her. She was shocked to see him sitting and smiling at her. "Sameer", she whispered, standing up straight. "Naina beta yahan baith",.Chachaji offered a seat next to him. She obeyed him quietly and sat next to him. But her eyes were fixed on Sameer, she suddenly felt relaxed seeing him. Now she couldn't wait for the time when her family members would send her along with him to a separate room to have a talk. She wanted to tell him everything how she was feeling. She thanked god for sending Sameer as the man who came to see her.
He could see her visibly relaxed and smiled to himself. He was just waiting for the moment when Vishaka would say that he could go and talk with Naina alone. He couldn't handle himself more, he had to tell her about everything from the moment his eyes feel over her till what he was feeling now. Finally the moment that both of them were waiting for arrived. Vishaka told in front of both the families that Sameer and Naina should talk to each other alone for something, before they decide on anything.
As expected Naina went inside her room and Sameer followed her inside. She closed the door behind them and both sat on her bed. Naina was looking at him all nervous, till now she was waiting for this moment to tell him everything but now that they were alone she was tensed and did not know how to start. Sameer sensing her hesitation, began first, "Shocked? Ya tumhe pata tha ki main aane wala hoon." "Mujhe nahi pata tha. Par sach kahoon tho mujhe bohot relieved feel ho raha ha tumhe yahan dekhar, koi aur hota tho.." she left the sentence incomplete. Taking a deep breath Sameer said, "Naina mujhe tumhse kuch kehna hai". "Sameer" she interrupted him before he could say anything. "Usse pehle mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai."
***
Both came out of the room and sat down in the hall, at their respective places. "Toh kya decide kiya tum dono ne", Vishaka asked. Sameer smiled and said "meri taraf se haan hai". Vishaka and the rest of the family smiled profusely and turned towards Naina. "Beta tumne kiya decide kiya, joh bhi baat hai bata doo beta", Vishaka asked. "Kya tumhe yeh rishta manzoor hai", she added. "Ji" Naina nodded her head in a yes.
It was a gala time for both the families. Sweets were exchanged and both the families congratulated each other. Amidst all this Naina looked at Sameer and smiled. Sameer blinked in assurance and Naina's smile widened.
"Toh phir kal pandit ji ko bula lete hai aur sagai ki tareek nikhal lenge", Vishaka said. "Jee bilkul", tauji said. "Toh ab aagya dijiye", Vishaka said getting up. Sameer and Somani too got up from the seat and left. Sameer and Naina waved at each other before he left.
***
Agarwals were in a happy mood, Bela was preparing halwa, Tauji, Rakesh and Anand were discussing what should be done further, while Taiji was happily feasting on the kachoris, dhoklas and jalebis that remained after the guests left.
Preeti pulled Naina to the room and locked the door and asked her, "kya hua?" "Preeti jaisa tumne kaha sab theek ho gaya." "Theek? Naina sab kuch itna ulaj gaya ha aur tum keh rahi ho ki sab kuch theek ho gaya. Tum iss rishte keliye maan kaise gayi." "Sameer ke wajah se."
FB
"Naina mujhe tumhse kuch kehna hai." "Sameer" she interrupted him before he could say anything. "Usse pehle mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai." Naina got up from the bed and turned away from Sameer and said, "main yeh shaadi nahi kar sakti". "Kya?", Sameer said getting up from the bed shocked. "K..ya..yaa bol rahi ho tum?" "Sameer main yeh shaadi nahi kar sakti", she said turning back towards Sameer. "Par kyu?" "Kyuki...kyuki..." "Naina tum mujhe apna dost manti ho right". She nodded. "Toh phir bolo". "Sameer tum mere dost ho isiliye main tumse kuch bhi nahi puchaongi par promise karo tum hamare gharwalo ko yeh baat nahi bataoge. Promise?" She asked extending her hand. Sameer held her hand and said "promise." "Woh Sameer main.. main..." "Joh bhi baat hai bol do Naina." "Sameer main kissi aur se pyaar karti hoon."
Sameer felt the ground beneath him slip off when he heard what she said. "Pyaar? Par tumne kabhi bataya nahi ki tum kissi se pyaar karti ho." "Haan kyuki main nahi chahti ki yeh baat kisiko pata chlein, par aaj mujhe yeh baat tumse kehna pada. Sameer tum please iss rishte keliye mana kar do." Tears had threatened to fall from his eyes, but he did not want Naina to know that he was emotionally shaken up with this truth, so blinking back the tears were formed in his eyes he asked "Kon hain woh, jisse tum pyaar karti ho?" "Sameer woh..." "Naina agar tum mujhe apna dost manti ho toh bol do ho sakta ha ki main tumhe help kar pau. Kya main uss ladke ko jaanta hoon?"
Naina shook her head in a no. "Koi mera madad nahi kar sakta", Naina started crying, "aur...aur tum uss ladke ko kaise jaan sakte ho jab woh ladka hai he nahi." "I am sorry Naina, I didn't know that he..." "Nahi Sameer tum joh soch rahe ho woh sach nahi hai, main kissi ladke se pyaar nahi karti main toh..." "Tohhh?" Bracing up herself Naina said, "Main ek ladki se pyaar karti hoon." "What?!?!?", Sameer asked shocked. "Naina.. tum.. woh ladki... main.. kya... what? But how?"
"I know iss bat ko accept karna todha mushkil hai par yahi sach hai, issiliye main na kissise kuch keh sakti hoon aur na he koi mera madad kar payega. Sameer issi liye main keh rahi hoon tum yeh shaadi karne se mana kar do, issi mein hum dono ki bhalai hai." "Nahi Naina, hum jab bahar jayenge toh tum sab ke samne kahogi ki tumhe yeh rishta manzoor." "Kaise baatein kar rahe ho tum, jab mein keh rahi hoon ki main yeh shaadi nahi kar sakti, tum yeh soch bhi kaise sakte ho ki main kissi aur se shaadi kar loongi. Sameer aisa karne se teen zindagi bikhar jayegi, tumhari, meri aur uski." "Nahi Naina, tum galat soch rahi ho. Aisa karne se tumhe khulke jeena ka mauka milega." "Matlab?"
"Matlab agar aaj main iss rishte keliye mana kar doon toh kal ko tumhare ghar wale tumhare mile ek naya rishta dhoodhn lenge aur mere ghar wale mere liye. Naina sach bataun toh mujhe yeh shaadi waadi main interest nahi hai, main toh baas mummy ke zid ke wajah se ladki dekhne ke liye man gaya. Naina main jaanta hoon ki tum kaisa feel kar rahi hogi, main samjh sakta hoon par kya tumhare gharwale iss baat ko samjhenge. Nahi, woh tumhare liye koi aur ladka dhoondhenge aur kya woh ladka tumhe samjhega. Kissi paray ke saath tumhari shaadi karai jayegi aur poori zindagi tum ghoot ghoot kar jiyogi, isse accha yeh hai ki hum dono shaadi karle. Main promise karta hoon shaadi ke baad tum jaisi zindagi chaho waisi zindagi jee sakti ho. Tum par kabhi koi dhabav nahi daloonga. Puri life tumhra accha dost ban ke rahoonga. Bolo Naina, kya tum iss rishte ke liye tayar ho? Tum khud socho, will your family ever accept your feelings? Par main tayar hoon tumhe accept karne keliye, tumhare feelings ko accept karne keliye. Bolo Naina."
"Par Sameer tumhari zindagi, socha hai, kitna mushkil hoga, tumhari patni hokar bhi main tumse kabhi pyaar nahi kar paungi." "Naina maine abhi kaha tha mujhe shaadi waadi mein koi interest nahi hai. Agar tumhare jagah koi aur ladki hoti aur agar woh iss rishte ke liye tayar hoti toh shayad main usse mana kar deta kyuki mujhe yeh relationship ke chakkar mein nahi padhna, par tum ho, meri dost ho issiliye main tayar hoon. kyuki mujhe yakeen hai ki, tum mujhe samhogi. Par kya tumhe bhi mujh par utna he yakeen hai? the ball is in your court Naina. Sab ke samne yahi kahoonga ki mujhe yeh rishta manzoor hai, rest is your choice." Sameer opened the door and Naina followed him out.
End of FB
Preeti was stunned to listen to the backstory behind the acceptance of this relationship. "Tumne Sameer ko sab kuch bata diya aur woh maan gaya." Naina nodded in a yes. "Oh my god. Naina mujhe pata nahi ki mujhe khush hona chahiye ya dukh. Iss baat ki khushi mano ki tumhe ek understanding life partner mila hai, kyuki main jaanti hoon Sameer ko, woh joh kehta hai woh karega. Ya phir iss baat par dhuki hoon ki Sameer ki zindagi completely badal jayegi." "Preeti mujhe bhi kuch samajh main nahi aa raha ki kya karoon, samajh mein nahi aa raha ki joh maine kiya woh sahi tha ya galat." "Woh wapas kab aa rahi hai?", Preeti questioned. "Ek hafte baad." "Usse baat huyi". Naina shook her head, nahi. "Jab se mujhe pata chala ki mujhe dekhne koi ladka aa raha hai tab se baat he nahi ho payi" "Tu baat karle usse."
*****************************
Sameer and family came back home and found Munna and Pandit waiting in the living room. Vishaka excitedly announced that the relation was fixed. "Tu kyu nahi aaya", she asked Pandit. "Sameer ke surprise ke wajah se, agar sasural gaya hota toh khushi ke mare Naina se pehle he bata deta ki usse dekhne Sameer aa raha hai, aur Sameer ka surprise khatam ho jaata issiliye Preeti apna sasural nahi gaya." "Surprise? Matlab Sameer aur Naina already ek dusre ko jaante the." "Aree mausi bohot lambi kahani hai, kabhi fursat se batayenge." "Chalo joh bhi ho, Sameer main bohot khush hoon ki tum iss rishte ke liye tayar ho. Naina bohot he acchi ladki hai, dekhna woh tumhari zindagi ko pyaar se bhar degi." Sameer clenched his fists, controlling the emotions that were struggling to come out and rushed to his room. "Isse kya ho gaya?", Vishaka asked. "Sharma gaya hoga", Munna joked.
***
Sameer came to his room and removed his shirt and threw it on the bed. He sat down on the bed and the tears that were threatening him till now made its way down his cheeks. He hid is face in his palms and started crying. Getting up from his bed, he wore his boxing gloved and started throwing punches at the punching bag handing in his room.
"Sameer main kissi aur se pyaar karti hoon."
"Tumhari patni hokar bhi main tumse kabhi pyaar nahi kar paungi."
"Dekhna woh tumhari zindagi ko pyaar se bhar degi."
All these were running in his mind, but he continued hitting the punching bag, attempting to release out all his pain, frustration, anger, annoyance, disappointment and above all the cry of his broken heart. Munna and Pandit who just came into his room were shocked to see his state. The one he thought would be jumping with happiness after his relation was finalized was in reality, hitting the punching bag with anger. "Sameer kya hua?" they ran to him. But Sameer was in no mood to listen to anything and continued throwing punches. "Sameer ruko." With great difficulty munna and pandit pulled him away from the punching bag. "Sameer kya hua, tum itne gusse main kyu ho. Tumhe toh khush hona chahiye na ki tumhara rishta Naina ke saath fix ho gaya hai, yahi yoh chahta tha na", Munna asked. "Haan yahi toh main chahta tha", he spat, "par...", Sameer broke down and fell to the floor and started crying uncontrollably. "Par kya?", Pandit asked. "Par Naina kabhi mujhse pyaar nahi karegi."
"Kya?" Munna and pandit said in unison. "Haa yaar woh kissi aur se pyaar karti hai." "Toh phir tum iss rishte ke liye haa kyu kehdi", Munna asked. "Kyuki...", and with that Sameer told everything about his conversation with Naina. Munna and pandit were shocked to listen to the happening, especially Pandit, he didn't know how to take this information. His pyaari saali was in love with a girl. "Tu chal mere saath", pandit said. "Kahan", Sameer asked. "Bharosa hai na mujhpar toh chal". "Pandit agar tum Naina ke gharwalon ko sab kuch sach sach batane ke bare mein soch rahe ho toh yeh soch abhi issi waqt chod do. Tum kissi ko kuch nahi batoge." "Maina aisa kuch nahi karoonga tu bas chal mere saath."
"Kahan jaa rahe ho tum theeno." "Mausi Sameer hamare liye treat de raha hai aur ussi ke liye bahar jaa rahe hai." "Theek hai enjoy". Leaving the house Sameer asked once again, "Pandit tu batayega, kahan le jaa raha hai mujhe." "Tu bas chal."
****************
Preeti returned to her house and sat down in the living room. All that was happening was very confusing. She had to tell this to pandit but she feared his response, she knew that Sameer was more of a brother than a friend to pandit. He could even give his life for Sameer and how would he react when he would get to know of the truth. She was thinking about this and and the house bell rang. She opened the door to find, Pandit along with Munna and Sameer and she knew by his looks that he had already got to know of the truth.
***
They sat around the dinning table. "Tumne itna gada sach mujhse kaise chupa sakti thi." "Maina kya karti pandit, Naina ko koi nahi samjhta isiliye maine yeh baat tumhe bhi nahi batai." "Agar tum yeh baat mujhe pehli he batati toh itna sab nahi hota. Pehle he Sameer ko rok leta." "Kya matlab? Tum jaante the ki Sameer he Naina ko dekhne anewala hai toh tumne mujhe bataya kyu nahi." "Sameer nahi chahta tha ki Naina ko yeh baat pata chale ki Sameer he usse dekhne aa raha ha. Uski surprise ke chakkar mein itna bada shock mil gaya." "Surprise? mujhe kuch samajh mein nahi aa raha hai. tum Naina ko surprise kyu dena chahte the aur..." "Kyuki pyaar karta hai yeh Naina se." Now this was a shock to preeti. "Kya?" "Tumhe kya lagta hai, Sameer iss rishte keliye kyu maan gaya. itna bada sach jaane ke baad bhi Sameer ne iss rishte keliye maan gaya kyuki pyaar karta hai yeh Naina se."
"Sameer yeh pandit kya bol raha ha? Kya yeh sach hai?" "Bhabhi, Pandit sach bol raha hai, main Naina se pyaar karta hoon." "Kab se?" she asked. "Jis din Naina ko pehli baar dekha tha tab se." Preeti held her head with her hand, the situation was getting complicated further more. "Pandit tu yeh jaanta tha ki Sameer Naina se pyaar karta hai aur tune mujhe bataya nahi." "Jaise ki tu sab kuch mujhe batati hai nahi? Agar tu pehle he sab kuch mujhe bata diya hota na toh main Sameer ko pehle he keh deta, utna sab karne ki zaroorat nahi padhti." "Utna sab matlab? Pandit mujhe abhi sach sach batao ki actually kya hua." Then came another backstory of how Pandit had suggested Naina as the copywriter of Sameer's firm and how the situation ended up in marriage proposal, to limelight.
Preeti poured water in a glass and gulped it down, trying to calm herself down. She buried her face in her palms, not understanding how to react to the situation. Sameer had fallen in love with Naina since the time they met and Sameer had misunderstood the growing understanding and proximity as Naina's acceptance of his love and then he had agreed for the marriage with Naina and finally accepting her even though she was in love with someone else. She didn't know what she should do. If she thinks as Naina's sister then she should be happy that Naina has got a life partner who genuinely understands her and is ready to support her but if she thinks as Sameer's bhabhi then what was happening with Sameer was unfair. He was staking his own life and happiness for Naina.
"Sab kuch itna complicated kyu ho raha hai. Mujhe samjh mein nahi aa raha ki main kya karoon", Preeti sounded confused. "Ek kaam kar sakti ho?" "Kya?" "Apne ghar walon se baat karo aur iss rishte ko yahi par khatam kar do." "Pandit tujhe pata bhi hai ki tu kya bol raha hai, agar gharwalon ko pata chala na ki Naina kissi se pyaar karti hai aur woh bhi ek ladki se toh main nahi jaanti ki woh log Naina ke saath kya karenge." "Maine sirf rishte ko khatam karne ki baat kahi, tumhare gharwalon ko sach batane ki nahi. Koi aur bahana banao aur unse kahu ki iss rishte ko cancel kar de."
Preeti stood clueless on what to do. If she tells her family to say no for the relation then they will yet again start searching for a prospective groom for Naina and who knew how would the next guy be, would he be as caring as Sameer would he understand her sister. With Sameer she knew her sister would be in safe hands. But wasn't she being selfish about her sister's life that she is not thinking of the difficulties that Sameer would face. Her line of thoughts broke when Sameer said, "Bhabhi main jaanta hoon ki aap kya soch rahi hai. yahi na ki agar aap iss rishte ko mana kar denge toh Naina ki life mein khushiyan kabhi aayegi ya nahi aur agar yeh rishta hua toh mere saath na insafi hogi. yahi soch rahi hai na aap?"
"But trust me, main Naina se shaadi karna chahta hoon." "Sameer yeh pyaar ki patti apne akhon se kholo, tumhe pata bhi hai ki tu kya bol raha hai", Pandit said irritated. "Haan bohot achhe se pata hai mujhe." "Sameer main khush hoon ki meri behen ko ek accha jeevan saathi milega joh life ke har mode par uska saath kada rahega, lekin apne bare mein socho, Naina ke liye tum itna bada sacrifice karna chahte ho, yeh sahi nahi hai." "Bhabhi apko pata hai, Naina se milne se pehle mujhe yeh pyaar, shaadi, relationship jaise shabd, sirf shabd he lagte the. Kabhi in sabdhon par vishwas nahi hua. Lekin Naina se milne ke baad in sare shabdo ka meaning mujhe pata chal gaya. agar Naina se nahi milta toh shayad kabhi kissise shaadi karta he nahi. Ya phir mummy ki pressure mein aakar agar kar bhi leta toh main uss rishte se shayad khush nahi reh pata. Lekin Naina se agar meri shaadi ho jayegi toh main jaanta hoon ki mujhe zindagi bhar keliye ek acchii aur sacchi dost mil jayegi. Isse zyaada mein kuch nahi chata." "Par Sameer..", Preeti began but was stopped when sameer said, "bas bhabhi aap mera chinta chod digiye, aap khud he sochiye, kya Naina ko mere alawa koi aur samajh payega. Nahi na. I promise you ki main apne taraf se Naina ko sari khushiya dene ki koshish karoonga. Usse apni life ko apne tareeke se jeene ki freedom donga, joh usse bachpan se kabhi nahi mila. Aur rahi baat meri, mujhe Naina se dosti ke alawa kuch aur nahi chahiye. Bhale he Naina mujhe pyaar na kare main usse hamesha pyaar karoonga aur yahi mere liye kaafi hai. Aur munna pandit tum dono bhi yeh baat acche se samjh lo ki agar mein shaadi karoonga toh Naina se he. Aur bhabhi aap mujhe promise kijiye ki yeh baat sirf humare beech he rahegi. Naina ko yeh pata nahi chalna chahiye ki main usse pyaar karta hoon. warna woh hamesha ek guilt ke saath rahegi, joh main bhilkul bhi nahi chahta." "Promise", Preeti said after thinking. "Tum dono bhi promise karo." Munna and pandit too promised him.
Sameer put his arms around Munna and Pandit's shoulder and said, "Ab yeh mayoos sa chehra hato aur muskurao, tumhare bhai ki shaadi hone wali hai". Behind Sameer's smiling face laid pain and an impossible hope. Hope that all this would not be true, hope that his Naina would remain only his. But life wasn't that simple was it. He had to accept the truth and come in terms with it that was the best thing to do for himself and for his Naina. He knew life was not going to be easy, but when was love easy. It's always complicated and with complicated emotions and relations, the complexity just increases further.
DONT THROW ANDAAS OR CHAPPALS FOR THIS TWIST PLEASE... CANT SAY NO TO TOMATOES THOUGH😉
If you have read the update you know that this story is different so the response matters a lot. If a good number of response comes for this story I will continue or else i will drop as it is difficult to write this story too. But let me tell you that I have formulated the whole story in my head so i know the direction of the story, if the response is good then I will keep updating...