Bahot dinon baad Sam guitar bajate dikha. Playing tune hamain tumse pyar kitna
( darasal hua yeh ki kone mein pade guitar ne Sam se kaha tumne bahot dinon se mujhe haath na lagaya toh Sam ne sun liya aur bajane laga.
Yeh dekh kar paas mein dhool se ati books ka man lalchaya aur unhone socha agar hum bhi kahenge toh Sam hamain bhi padhega.
Phir books ne keh hi diya, Sam ne unsuna kiya par jab ek ek karke saari books bolne lagi toh Sam se raha na gaya aur usne bag se hearing aid nikale jo usne Delhi se aate huye maar liye the.
Yeh bhi ek raaz hai ki Daadi takli ke saath behri bhi thi aur Sam ne unke imported hearing aid aate huye chhupa liye the iske baad kya hua yeh CVs ne na bataya.
Khai inki khaas quality yeh thi ki yeh cheezon ki baaton ko sunai dene se rok dete the)
Munna came and gave good news that Chachi ne ghar pe kuchh nahi bataya, yeh baat use Swati ne batayi.
( thankfully inko yeh baat karte na dikhaya)
Sam is thinking abt N... Ladkiyon ki zindagi kitni difficult hoti hai na ghar aur boyfriend ke beech.
Munna wants him and Sam to get married at 21 taaki chaude hokar film dekhne jaa saken but Sam ko lagta hai Naina use padhne par majboor karegi shaadi ke baad isliye woh chahta hai 24-25 saal ka hone ke baad shaadi kare.
In library,
Books again started talking to Sam kuchh padh le beta thoda hi sahi. Sam ne aids achche se set kiye jisse yeh awaz us tak na pahonche.
Sam ko lagta hai log library mein dheere dheere baaten karne aata hai.
( Yeh sunke ek do books behosh ho gayin)
Sam ko librarian ko dekh kar apne pyare sasurji yaad aa rahe hain.
N not ready to come with him as exams are coming soon and she wants to study and suggested her Romeo madir mein jakar manjeere bajao.
( Sam yeh bhi karlega par padhai na karega for sure)
Jo maza hai intezaar mein
Woh kahan visal e yaar mein
Yeh kehte huye N ne aankh maari aur Sam flat, iss bahane kuchh lucky books ko chhu bhi liya par padha phir bhi nahi.
N VO.. Sam ka dhyan padhai pe lagana kisi ke bass ki baat nahi thi. Sam na khud padhne ke mood mein tha aur na mujhe padhne dene ke.
Udhar Megha ben ki maa asking Pooja ki sasural kab ja rahi hai.
Taiji ne demo dikha kar Pooja ko apni likhi book ' O Bai Ke Nuskhe' ka Chapter-2...Padosan ko kaise jhaapen
padhaya yeh kehte huye ki duniya tamashbeen hai bazboot ban.
Taiji ne yeh book likh li hai par koi publisher tayyar nahi hai publish karne ke liye. Khair taiji ko ummid hai koi na koi johri milega jo unke elaichi se bhi tasty dominant zindagi guzarne ke nuskhe chhapne ko tayyar hoga.
Taiji ne phir se Prologue padh ke sunaya
Dhan daulat se badhkar hai jaan, Jaan se badhkar hai izzat.
Bela ne Taiji ke haath mein koi book dekhi toh use shakk hone laga ki Taiji iss book se Pooja ko kyun padha rahi hai.
In college, JBR ki class.
Sam wants romance but N wants to study. Two pen tabs.
Sam VO... Talking abt N kitabein dhhundhti thi aur main usse romance ke mauke.
JBR ne bad joke maara ki ladkiyon ko Bellies pehen ke chalte kai baar dekhta hun par belly ko ladki ke baghair chalte pehli baar dekha.
N ko Get Out bol ke baahar nikal diya.
Sam ne apna shoe phenke bahar aane ka succesful plan execute kiya.
( JBR aur banao below 60% wale ko CR)
He winked at N with Keep your head high on sleeves written.
Udhar Taiji Pooja ko apni likhi book ka
Chapter-1 Part B Pati Ko Kaise Jhaapen
padha rahi hai.
Part A pehle ho gaya tha us din. Part B jab pati aapki aapas ki baat padosan ko bataye to istemal karen aisa Taiji ne Pooja ko bataya.
" aur puchh unse Bittu se baat kyun ki."
Pooja called Varun aur pata chala ki Bittu ne khud phone kiya tha. Pooja ne Taiji ka poora chapter B suna diya.
Varun shocked Pooja rocked
Gabbar Taiji Pooja se bahot khussh hui, shabashi di.
Bela again suspicious to see book aur us mein se Taiji Pooja ko kuchh padhate huye.
In College, Preeti ne kaafiya milaya
No Red Rose
Only Padhai roz roz
( waah waah iss baat pe yeh suno Preeti
Rose is laal, sky is neela
Preeti ke andar ghus gaya hai shayeri ka keeda)
Munna told Sam that Pandit waqai Bombay chala gaya hai Madhuri ko propose karne aur ab kab aayega pata nahi.
N ne jaan bujh ke books gira din aur Sam ko mauka diya haath pakadne ka. Sam khussh
BG tum kitne bhole bhale ho, har baat ko khel samajhte ho.
( books kuchh keh rahin thin jiski awaz Sam ke hearing aids ne us tak pahonchne na di. Khair)
In Class JBR lecture going on.
Sam on last bench, N on first bench. He wants N to come and sit with him. She denied.
(Sam ko subah ka incident yaad aa gaya jab woh college ke liye aa raha tha toh kuchh bachhe string telephone se khel rahe the. Usne keemat lagai toh unhone bees rupaye mein bech diya. Sam ko afsos hua ki in bachhon ne uske Anmol pyar ke sirf bees rupaye lagaye, aur us din blackie ne bhi hazar ki jagah sirf 240/- hi liye the.)
Sam ne string phone se baat karke ILU bola N ko. Gang ka sitting arrangement isi liye change kiya tha. She said Me too.
(Sam ke bees rupaye wasool ho gaye. Par hazar rupaye wasool hote toh use zyada khushi hoti)
In library, saari kitabein Sam ki haath mein ki kitaab ko hasrat se dekh rahin hain ki iski itni achchi kismat hai, Sam aaj ise padh raha hai.
Woh book boli behenon itna mat takleef do khud ko yeh padh nahi raha hai, N ki photo taad raha hai.
N ne dekh liya phir khud ki book dikhayi jismein bhi Sam ki photo thi. Sam khusshh.
In examination hall, Sam kuchh nahi likh raha sirf N ko dekhe ja raha hai. Daydreaming kar raha hai. Ab toh books ne bhi give up kar liya.
Ponga exam dene bhi na aaya. Lagta hai Madhuri ke ghar ke baahar hi dharne pe baith gaya hai Bombay jaake.
Sam likhne laga jab bell baj gayi aur JBR answer sheets collect karne laga.
(Ab Roll No toh likhna banta hai na aakhir itni mehnat jo ki thi Sam babu ne.)
Sam VO talking abt exam khatam hone ki jitni khushi mujhe hui thi utni kisi ko na hui hogi, 2-way romance ki ummid hai ise ab.
Episode was shaandaar,hope my bhankasgiri didn't ruin its essence.It can be watched n no. of times. Next week looks promising.
Precap of next week.
Birthday celebration, Samaina travelling in car, chacha chachi asking abt N at home.