Aaj week bhar ki poori thakaan poori karli, I hope it is not too late to review. It was 200th epi hence it deserves its share from my side. Better late than never.
OK, I accept defeat. The episodes these days are more entertaining and hence can't match the level in my reviews.
The passed week was very entertaining and super se oopar hence Shilpa Shetty,judge of Super Dancer, wants to climb ladder to appreciate the efforts. The ladder is raised upto height of Qutub Minar to give justice. Toh let's not wait for her to come down. Jab tak Shilpa Shetty Qutub Minar chhad ke utarti hai, hum apna update complete karte hain.
Bela said Taiji wants to celebrate India's win aur bechari Bela ki parade lag rahi hai. Bole toh Naina saara din bhooki ghoom rahi thi aisa Bela ko lagta hai.
(waise uski ek bhook toh mit gayi Bela, bike ride ki, isliye chinta mat karo)
N VO talking abt sharam as Sam saw her unwaxed legs aur Sam par bijli girane ke liye baal nikal ke rahungi.
Naina wants to use razor to shave her legs. Thankfully Preeti came.( warna sach mein bhaalu ban jaati)
There Sam was telling MunDit (jo sirf mujhe dikhaya) kaise usne gaadi ka secret button dabaya jo Nanu ne khaas aise maukon ke liye lagwaya tha jisse bike ka engine Train ka engine ban jaata hai aur dhuwaan udne lagta hai yahaan tak ki poore Ahmedabad mein aur uske bhi aage jahaan parallel universe mein match chal raha tha wahan bhi Javed Miadad ki aankhon mein dhuwaan chala gaya aur woh out ho gaya aur aise idhar Sam ne Sri Devi ko bhaga diya. Rakesh ko ullu bana diya.
MunDit talking abt their bike ride aur bhaiya bhabhi ke baal aise ud rahe honge, waise ud rahe honge. Sam got FB of Naina ke pair ke baal. Sam angry on MunDit, they are confused.
The only logical answer Munna could think of was Sam ko baal tod hua hai.
( ouch it hurts)
Sam VO said he couldn't share with MunDit as it was his and Naina's private (to be bedroom) matter.
PreeNa bought chawanprash jaisi dikhne wali cheez jise bewakoof shopwoman wax bol rahi thi.
MunDit replaced baal with hairs. Hilarious.
(toh Naina ke pair pe baal the, not hair, Sameer's logic)
Sam called N and it was hilarious phone convo. I love such situational comedy rather than loud one where jokes are inserted and underlined to make it comical.
(iss Samaina phone talk se ek joke yaad aa gaya, waise zaroori nahi hai ki padha hi jaaye, you can skip it and continue from next para.
{Toh ek husband apni wife ko bolta hai ki maine apne Boss ko dinner pe bulaya hai aur unki naak bahot ajeeb dikhti hai jisko lekar woh kaafi concious rehte hain. Isliye aise koi baat mat karna jis me naak word bhi aaye, yahan tak ki koi phrase jaise naak mein dum aana,naak bhun chadhhana, etc bhi mat bolna.
Wife bolti hai main samajh gayi aur dhyan rakhungi. Boss ke dinner tak sab perfect rehta hai aur wife poori concious rehti. Phir chai dete waqt wife boss ko puchhti hai"aapki naak mein kitne chammach shakar dalun"😆})
Sam wanted to buy wax for N but Kartik ne aakar uska mood off kar diya.
Later SaMunDit in saloon and Kartik again gave them complex of not having baal on their face as mard ki pehchhan, dadhi ke baal. They believed him and later trying to find hair on their faces jo ki abhi aaye hi nahin.
Idhar PreeNa trying to use wax by reading instructions and Preeti ne garam kadhai gira di.
Bela came. (jisko jaldi Anand ne bula liya, raat ke 11 baj rahe the... Aage kuchh nahi)
PreeNa ne ghis ghis ke wax floor se saaf kiya and N VO talking abt Preeti and her unconditional love for N jisne mere gunahoon ko saaf karna jaise apni aadat bana li thi.
(Naina apne devar ke liye maang lo, zindagi bhar khush rahogi tum)
So, there are two couples now. One is talking abt un dinon and another is also talking abt un dinon*samajhdaar ko ishara*
Now samajhdaar logon, read this title from ShefJun's perspective. Yeh 'Un Dinon' Ki Baat Hai
Isi beech Shilpa Shetty Qutub Minar pe chadh ke wapas aa gayi and now congratulating team on completing 200 episodes.
Precap...SwaPreeNa at beauty parlor, threading waxing. Naina Sam par bijli girane ko taiyyar ho rahi hai. Preeti ke eyebrows kuchh zyada hi thin ho gaye, O Bai pakka pakad legi.