IshRa os bin tere hum adhoore (on current track)

Priyanka7080 thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 7 years ago
#1
Hii Guys i am here with a new os on current track i know everyone is fed up from current track i was thinking from very long time to write a one shot on current track today i am finally with os on current track i don't know how's it i try my best please don't throw chappal and jutti on me after reading this i am not great writer 😭 so here is the os



IshRa os

After the baby shower ishita come back to her flat with roshni as roshni don't want to live in bhalla house

At night

Ishita was doing some work in kitchen when door bell rings she went to open the door and saw raman and pihu standing there she gets shocked seeing them their at this time

I: raman pihu andar aao naa pihu beta aap itni raat papa ke saath yaha?

R: pihu tumse milne ki zid kar rahi thi iss liye le aaya

Ishita looked at pihu and touch her face she was looking sad

I: my baby was missing me aww chalo andar chalo

She hold her hand to take her inside but she take out her hand out of her hold

I: kya hua pihu?

P: ishimaa mai aapse gussa hoon aap roshni didi ke saath wapis kyu chali gayi? Mujhe laga tha aap mai papa sab saath rahege pehle ki tarah par aap humko chod ke kyu chali gayi?

Ishita didn't understand what to say

P: bolo naa ishimaa

I: pihu beta tum jaanti ho naa iss whakt roshni didi ko meri zaroort hai aur wo waha pe comfortable nahi thi iss liye humko yaha aana pada aur roshni didi ke baby ke liye ye hi sahi hai

P: par ishimaa mujhe bhi toh aapki zaroort hai mai bhi toh aapki baby hoon naa mai aapko kitna miss karti hoon ab toh papa bhi maan gaye the aapko ghar lane ko toh aap kyu chali gayi? Aap mujhse mili bhi nahi jaane se pehle

I: pihu beta aapke paas papa hai naa ruhi didi hai romi chachu mihika chiti dadu dadi sab hai aur mai bhi aaugi aapse milne

P: par aap hamare saath kyu nahi rehti jaise sabki mumma unke saath rehti hai aap kyu mere saath nahi rehti aap kyu baar baar mujhe chod ke chale jaate ho ? Mai itni buri hoon kya?

She said and start crying ishita feel bad listing this ishita wipes her tears and hugs her

I: no baby aap bure nahi ho you are the best par tum samjne ki kossish karo mai jo kuch kar rahi hoon adi bhaiya ke baby ke liye kar rahi hoon

P: toh jab adi bhaiya ka baby aa jayega aap mere paas wapis aa jaoge? Bolo ishimaa aap aauge mere paas? Aap mai papa ek happy family ki tarah rahege naa

Ishita get silent don't know what to answer ishra looked at each other both feel helpless

P: bolo naa ishimaa

Ishita looked away

I: pihu raat bhot ho gayi hai aap papa ke saath ghar jao

P: iska matlab aap baby aane ke baad bhi wapis nahi aaoge aap mujhse papa se door rahoge kyu ishimaa? Kya aapke liye mujhse zada important roshni didi aur unka baby hai? You don't love me naa aap papa koi mujhse love nahi karta kisi ko meri fikar nahi hai

She said crying ishita looked at her with teary eyes raman's eyes also filled with tears

I: nahi pihu aisa nahi hai mai

P: aisa hi hai ab mujhe aapse baat nahi karni jab tak aap mere paas wapis nahi aa jate

Pihu run away from there crying ishita tries to stop her but she didn't listen ishra looked at each other

I: raman pihu

R: don't worry mai usko handle kar luga pata nahi kaise samjhauga usko ki usko naa chate hue bhi puri zindagi bina maa ke guzarni padegi

I: raman aap kya bol rahe ho aap ache se jaante ho mai

R: i know tum kya kahogi ki tum roshni ke liye yaha aayi ho humko chod ke mai tumse bhot gussa tha tumhe kabhi maaf bhi nahi kar sakta shyad kyu ki tumne adi ki jaan li but maine kabhi tumhe apne ghar se nahi nikala tum khood hi aayi thi sab chod ke

I: raman

Before she can say anything raman leaves from there

Ishita breaks down in tears and went to her room room and sit on bed and pick the rarupi photo from side table she smiled a little while her eyes filled with tears she remember all their happy moments and cries

I: i just can't tell you mai tum sab ko kitna miss kar rahi hoon it's not easy for me to stay away from you all but kya karu adi ko maine apne hatho se mara dala uss baat ka guilt zindagi bhar mujhe jine nahi dega mai chate hue bhi khood ko kabhi maaf nahi kar paaugi maine apne hatho se apne bete ko maar dala

She cries remembering the moment when she shot adi she breaks down

I: kyu murgan kyu mere saath hi aisa hota hai? Meri kismat itni khrab kyu hai? Jinse mai itna pyar karti hoon mai har baar unko khood se door kar deti hoon unko hurt karti hoon jitni bhi kossish karu apni family ko jod ke nahi rakh sakti maine apne bete ko maar dala aaj mere beti ko meri zaroort hai aur mai uske paas jaa bhi nahi sakti kyu hoon mai itni majboor?

She said and cries

Other side

Raman and pihu reach home raman take pihu to his room to make her sleep but pihu was not talking to raman she was all silent

R: pihu beta aap papa se baat nahi karoge? Aaj papa aapko story sunage

P: no papa mujhe story nahi sunni mujhe aapse baat bhi nahi karni aap aur ishimaa dono mujse pyar nahi karte kisi ko meri fikar nahi hai

She said crying

R: pihu beta aisa nahi hai papa loves you very much my princess aap toh papa ki jaan ho stop crying

He said kissing her forehead

P: aap sach mai mujhse pyar karte ho toh aap ishimaa ko ghar kyu nahi leke aate? Jab bhi mai ishimaa ka naam leti hoon aap mujhe daant dete ho i know aap unse gussa ho par aap unse hamesha ke liye gussa rahoge? Kya ishimaa kabhi mere paas wapis nahi aayegi? Aapne kaha tha naa agar kisi se galti ho toh unko maaf kar dena chaiye toh aap bhi mumma ko maaf kardo naa please papa mere liye unko ghar le aao mujhe mumma aur papa dono chaiye jab mai choti thi tab ishimaa mujhe chod ke chali gayi thi mujhe kabhi unka pyar nahi mila aur jab wo wapis aayi toh aap dono baar baar fight karte rehte ho kyu papa? I love you both so much mujhe mumma papa dono chaiye mere sare friends ke mumma papa saath rehte hai mujhe bhi apne mumma papa ko saath dekhna hai please papa mumma ko ghar wapis le aao

She said crying bitterly raman feel bad listing this his eyes filled with tears he hugged pihu tight and kissed her forehead

R: bas beta chup please stop crying i am sorry hamari wajeh se tumhe itna kuch bardash karna par raha hai itni choti si umar mai tumhe itna kuch sehna par raha hai kahi naa kahi meri aur ishita ki saza tumko mil rahi hai sorry beta

He caresses her hair while his eyes are full of tears pihu's innocent questions effected him badly pihu was still sobing raman was hugging her finally she slept tired of crying he make her lay down on bed and cover her properly kissed her forehead

R: i am sorry bacha

He went to window and stand there he closed his eyed and remember all the moments spend with ishita from their first meet to their journey of falling in love all the beautiful moments come in front of his eyes he cries remembering the beautiful moments then he remembers how many times they parted ways sometimes because of misunderstandings some time because of situation but every time they come together but this time he feel that they can never become back to normal because this time he had lost his son forever because ishita killed him the pain of losing his young son is not letting him forget anything the pain of losing the children is most worst pain for anyone

R: kya karu mai? Zindagi ne ye kiss mod pe laake khada kar diya hai? Ek taraf ek pati aur dusri taraf ek pita ishita ko mai chate hue bhi kabhi nafrat nahi kar sakta jitni bhi kossish kar loon i just can't hate her because i love her so much sirf mai hi jaanta hoon kitna dard hota hai mujhe jab ishita ke saath aise rudely behave karta hoon ishita ne mujhe jina sikhya pyar karna sikhya kya kuch nahi kiya mere liye? Shyad wo naa hoti toh mai bhi nahi hota

He cries

R: par kya karu mai majboor hoon ? Chate hue bhi ye baat bhool nahi sakta ki ishita ne mere adi ko mara hai jab bhi jab bhi ishita ko apne paas wapis lane ki sochta hoon mujhe apne adi ki shkal yaad aa jaati hi haa adi ki galti thi par ishita ko kya zaroort thi usko marne ki? Kyu kiya tumne aisa ishita kyu?

He looked at pihu

R: aaj tak mai khood ki feelings ko dabta raha kyu ki hamesha ishita ke pati pe adi ka baap haavi ho jata tha chate hue bhi ishita ko maaf nahi kar paya par pihu ko itne dard mai nahi dekh paa raha adi ki tarah pihu bhi mera bachi hai kaise dekhu usko tadapte hue?

He was thinking when his heart want to get ishita back in her life but his mind is not ready to forget the incident of adi's death he was very confused between his heart and mind he saw his reflection in the mirror it was his heart speaking to him

R(H): toh tum le kyu nahi aate ishita ko apne paas?

R(M): kaise leke aau? Kaise maaf karu usko wo adi ki maut ki zimedar hai aur maine toh nahi nikala tha usko ghar se wo khood gayi thi

R(H): toh tumne usko roka bhi kab tha?

R(M): kyu rokta mai gussa tha uss se aur usko mujhse zada, roshi aur usje bache ki fikar thi mai toot chuka tha adi ki maut ke baad haa mai gussa tha usse par usko ek baar aake mujse baat karni chaiye thi mera dard batne ki kossish karni chaiye thi mere saath rehti kossish karti gussa tha par ek naa ek din maan hi jata shyad

R(H): tumhe ache se pata hai tumhara gussa kaisa hai aur tumne adi ko khoya tha toh kya tum kabhi ishita ko dekh ke gusse pe control kar paate? Aur rahi baat roshni aur uske bache ki toh tumne kya kiya? Tum bhi toh adi ke bache ko paane ki kossish kar hi rahe ho just because wo adi ki aakhri nishani hai tum karo toh sahi ishita kare toh galat kyu?

R(M): haa mai manta hoon ishita roshni ke saath iss liye reh rahi thi kyu ki usko adi ke bache ki fikar thi par usko roahni aur uske bache ke uper kuch nazar nahi aa raha itni mushkil se toh roshni ko ghar leke aaya tha ye jaante hue bhi ki roshni adi ki maut ka karan hai maine apne dil pe pathar rakh ke usko ghar mai aane diya kyu ki mujhe mere adi ke bache ki fikar thi aur maine socha tha ek baar ishita ghar aa gayi toh dheere dheere hamare bich sab thik ho jayega mere zakham bhi bhar jayege par ishita phir roshni ko leke chali gayi agar usko koi fikar nahi hai toh mai fikar kyu karu? Mujhe bhi koi farak nahi padta ab

R(H): jhoot tumhe farak padta hai bhot farak padta hai tumhe ishita ke hone ya naa hone se bhot farak padta hai kyu ki tum nahi rahi sakte uske bina chaiye wo adi ki maut ki zimedar ho but at the end of the day wo aaj bhi tumhari biwi hai tumhare bacho ki maa hai aur tum bhi ye baat ache se jaante ho ki ishita adi se kitna pyar karti thi usko bhi adi ki jaan lene ka utna hi guilt hai jitna ki tumhe dukh hai adi ke jaane ka adi toh chala gya wo ab kabhi laut ke nahi aayega par ab kya tum zindagi bhar adi ke gam mai doobe rahoge? Zindagi bhar ishita se door reh paauge? Ruhi aur pihu ko unki maa se door rakhoge?

R(M): par mai zindagi bhar ye baat nahi bhool paauga ki ishita ke haatho adi ki jaan gayi thi

R(H): tum sirf adi ke baare mai soch rahe ho haa uske saath galat hua wo saza deserve karta tha par apni jaan deke nahi par tum kyu bhool rahe ho adi ke ilawa ruhi aur pihu bhi hai unko apni maa ki zaroort hai ruhi pihu ki baat chodo kya tumhe ishita ki zaroort nahi hai? Kya tum nahi tadap rahe uske liye? Raat raat bhar usko yaad karke rote ho uske bina jina itna mushkil lag raha hai please ek baar apni ego side pe rakh ke socho kya tum sukoon mai ho ishita ke bina? Agar aaj adi zinda hota toh kya wo kush hota tumhe aur ishita ko alag dekh kar? Wo yaha kahi bhi hoga kya wo kush hoga apne maa baap ko iss haal mai dekh kar? Adi ke gam mai tum itna bhi andhe maat ho ki tumse sare rishte ek ek karke door ho jaye? Raman iss sab se kisi ko kuch haasil nahi hoga? Ye sab karke tum khood ki taklif de rahe ho tum khood socho kya ishita ko khood se door karke usko hurt karke tum kush ho? Kya tumhe sukoon mil raha hai? Tum apne dukh mai itne andhe ho gaye ki tum ishita ko itna hurt kar rahe ho kitna bura behave kiya tumne uske saath kabhi socha? Tum khood bhi sukoon mai ho kya? Nahi naa toh kya fayda ye sab karne ka tum khood ko taklif de rahe ho aur kuch nahi please chod do apni zid

Raman was hell confused between his heart and mind he closed his ears with his hands

R: bas bhot ho gya mai nahi bardash kar sakta aur nahi kar sakta

He sit on the couch and start drinking thinking about all moments spend with ishita and think about adi's death he was in so much pain one side he had pain of a husband other side he has pain of a father of losing his only son he was drinking while tears are continually falling from his eyes he was unable to control his tears soon he was heavily drunked and fall sleep on the couch it self

Next morning

Ishita went to clinic after telling roshni to not to go out a lone as nd stay at home only ishita was on the way of her clinic when she realise she forget her mobile at home

I: oh shit mai mobile toh ghar pe hi bhool gayi ab mujhe wapis jana hoga shit

Saying so she turned her car and went back to home till the time she reached house it's start raining heavily ishita park her car in parking lot she was coming out of car when she saw roshni going somewhere sitting in the auto

I: ye roshni kaha jaa rahi hai itni baarish mai akeli? Maine usko bola tha ghar pe rehne ke liye call bhi nahi kar sakti uske piche jaake dekhti hoon kahi koi problem naa ho

She thought and go behind roshni in her car after driving for sometime she stops seeing roshni coming out of auto and going somewhere ishita picked her umbrella and goes behind her she tries to stop her but ahe didn't listen to ishita roshni enter in a small house ishita goes behind her

I: ye roshni yaha kya kar rahi hai? Kiska ghar hai ye?

She thought and go behind roshni the door of the house get closed ishita was about to ring the bell but stopped as she feel something is fishy she saw a window near the door she piped in to window only to see roshni hugging a boy she gets shocked seeing roshni like this but a bigger shock is yet to come roshni was hugging that boy

Ro: i miss you so much parshant aaj kitne dino baad hum mil rahe hai naa?

P: haa wo toh hai you know mai bhi tumse milne ko taras gaya tha par tumhe apni uss so called ishimaa se fursat mile toh naa

Ro: parshant please abhi uska naam maat lo pata hai kitni mushkil se bardash karna padta hai usko uske saamne devi banne ka natak ishimaa ishimma karke mai thak jaati hoon

Ishita was shocked beyond words listing this

P: par manna parega tujhe kya natak karti hai kaise apni bholi shkal se tumne ishita bhalla ko apne vash mai kar liya manna parega tu toh pakki darame baaz hai

He said and both laugh

Ro: you know what parshant uss ishita ko phasna toh uske bete adi ko phasne se bhi zada easy tha i mean dono maa bete ek no ke bebkoof hai pehle maine kitni aasani se adi ko apne vash mai kar liya usko apna dewana bana diya dheere dheere usko aaliya ke khilaf kar diya aur wo pagal aaliya ko chod ke mujh pe latu ho gya mere saath sone ko bhi tyar ho gya such a big fool he was usko sach mai lagta tha i love him

She said and smirked ishita was hell shocked she don't know how to react seeing roshni's real face she thought to go inside and confront her but stopped listing their talk

P: haa par agar adi naa marta toh aaj tu bhalla house ki bahu hoti wo aaliya bahar hoti aur bhalla's ki sari dault hamari hoti

Ro: itna aasan nahi hota ye sab bhalla's kabhi mujhe accept nahi karte tabhi toh maine adi ko apne pyar mai puri tarah pagal kar diya taaki wo apni family ke against ho jaye Maine jaan bhooj ke shantnu se shadi karne ko haa kardi kyu ki mai jaanti thi adi ye baat sun kar khood pe control nahi kar payega aur aisa hua bhi adi ke ser pe khoon swar tha usne mujhe kidnap kar liya pehle toh mai bhot dar gayi thi par kismat bhi shyad hamare saath thi ishita ne mujhe bachane ke liye adi ko shoot kar diya bechara adi bina galti ke maara gya aakhir sara plan toh mera hi tha wo toh sirf mohra tha

P: aur phir tumne apna master stroke kehla

Roshni smiled

Ro: haa mujhe laga tha ab adi mar gya sab khtam ho gya unn bhalla's ne mujhe apni life se nikal diya adi ki dusri shadi kara di aaliya se waha tak bhi thik tha par mujhe laga tha ki adi ki shadi ho gayi toh kya hua ab bhalla's meri life spoil karne ke gulit mai zindagi bhar mera dhyan rakhege mai aish se zindagi bita sakugi par mujhe london bhejne ke baad toh wo bhool hi gaye khood apni family mai itne kush aur mai akeli beshara mere ghar walo ne mere saath rishta tod diya mere pariwar ki itni insult hui sabne mujhe chodi hui ladki bola meri maa ne suicide karne ki kossish ki sab bhalla's ki wajeh se wo ek no ke selfish hai pehle uss adi ne mere hone wale pati ko maar dala baad mai mujhse shadi karne ke baad mujhe chod diya par mai koi khilona nahi hoon maine bhi faisla liya ki apne har dard ka badla lugi bhalla's se

P: ab hum badla pura karke rahege

Ro: haa hamara badla pura hoga all thanks to you shadi se pehle hum dono ka affair tha par maa papa ne meri shadi kahi aur tay kardi thi phir meri life mai itna kuch hua par jab maine tumse help maangi tum ready ho gaye tumne mujhe batya ki adi london aane wala hai tumne bhalla's pe nazar rakhi sabki details mujhe di tabhi toh mera kaam itna asan ho paya

P: tumhe thanks bolne ki koi zaroort nahi hai mai tumhara saath nahi deta toh koun deta? Aakhir uss adi ki wajeh se toh hum dono mil nahi paye par kismat ne humko mila hi diya Bas ek baar tum bhalla's ko apne jaal mai phasa ke sab kuch apne naam pe karva lo phir hum bhalla's ko barbad kar dege phir hum dono shadi kar lege aur hamare bache ke saath kush rahege

Ro: mai bhi ye hi chati hoon jaldi se ye problem solve ho jaye mai bhalla's ko barbad kar doon phir hum dono sukoon ki zindagi jee sakte hai hamare iss hone wale bache ke saath jisko mujhe adi ka naam dena par raha hai jab ki ye bacha hum dono ka hai iss bacha hi humko hamara badla pura karne mai help karega kisi ko kabhi pata nahi chalega ki ye bacha toh adi ka hai hi nahi balki hum dono ka hai

Ishita was so shocked she was so numb to react she couldn't believe her eyes that roshni is cheating on them the girl for whom she killed her son is only acting to be innocent she is the biggest culprit even the baby for whom she leave her husband her kids is not his adi's baby ishita was shocked beyond words seeing roshni's true colours she was about to fall because of sudden shock but hold the wall for support she stand in same position for sometime she wants to go inside and confront roshni she want to slap her she want to bring her true colours in front of everyone but like her body was unable to move she was in state of shock the scene of her shooting adi is coming in fornt of her eyes like time stops for her there tears are flowing from her eyes countinuselly she was all drenched in rain she was standing in same position like Statue after some time she start walking on the road like a lifeless body roshni's words were still ringing in her ears she remembers adi she remembers how she shot him and walking on road fully drenched in rain she was about to meet with accident two times but like she doesn't care about her life she was a lifeless body she was only saying one thing and

I: maine adi ko mar diya maine apne adi ko maar diya i killed my adi maine apne adi ko maar diya aisi ladki ke liye

She breaks down completely and fall down she cries bitterly

I: maine kya kar diya kya kiya maine? Uss dhoke baaz ladki ke liye apne adi ki jaan le li apne pati ke khilaf chali gayi apne bacho ko chod aayi sab barbad kar diya maine sab barbad kar diya

She said crying bitterly at sitting on the side of road

I: i am sorry adi beta i am sorry mai tumse maafi maagne ke bhi layak nahi hoon duniya ki sabse ghaitya maa hoon mai maine apne bete ko apne haatho se maar diya

She said and breaks down completely

P. s: uff so finally i posted this i write this few days a go i want to post this but was very confused should i post it or not i try my best to show IshRa's emotions and everything i want to see in the show i was so fed up from roshni's character in the show i just want to throw her out so i don't what i write make any sense or not so guys sorry if i did any mistake i am not a great writer but writing is my hobby i hope i did Justice to each character and sorry if you find it boring couldn't complete it one part so will post one last part soon and it will be based on your reviews positive negative all reviews are welcome your suggestions are welcome 😭

Created

Last reply

Replies

25

Views

6.1k

Users

26

Likes

88

Frequent Posters

cooldilkaur thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 7 years ago
#2
Very emotional update di
Loved it
Beautifully written 😊
Ty 4 d pm too
Rarupatel thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
#3
Awesome update
Roshni is so cruel
Raman emotions is truly justify by you ,his turmoil everything is superb
Poor ishita she feel bad that he killed her son for this roshni
Update soon
Thanks for PM
zohakhan7 thumbnail
Posted: 7 years ago
#4
Amazing update
Loved it
Waiting for next part
Update soon
sanjana_nanda thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 7 years ago
#5
Nice os
Thank you for the pm
Vampire2468 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 7 years ago
#6
Beautiful OS👏Loved it❤️Roshni is cruel here...Poor IshRa😒Can't wait for the next part now
Srivalli.t thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#7
Awesome os!!
Poor pihu..she is suffering in bec of ishra.
Roshni is disgusting.
Ishu was shocked to know her true colours.
Ishra emotions were beautifully written.
Thanks for d pm:)
nahtani88 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 7 years ago
#8
Fantastic
Thanks for the PM
dolly28singhal thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 7 years ago
#9
Emotional update
Both ishra inner turmoil was full of emotions
Waiting for next shot
DikshaN thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#10
fabulous and emotional update
u described ishra and pihus pain well
continue soon

Related Topics

Ye Hai Mohabbatein Thumbnail

Posted by: Im_sherlock

5 months ago

IshRa OS: Unspoken Desires.

On the show, we all know how Raman tried to give hints to Ishita about his feelings and desires, by keeping a box of condoms in her drawer. An...

Expand ▼
Ye Hai Mohabbatein Thumbnail

Posted by: ChanChanMan

4 years ago

YHM DT #8 (Strictly Reserved for IshRa/DivAn)

I dare you to post a thing about anyone other than DivAn.

Expand ▼
Ye Hai Mohabbatein Thumbnail

Posted by: Devanshi14

5 months ago

FF: IshRa ISHQ !!

Chapter # 01 Title: “Pehli Baar Ishq Hua” Raman and Ishita had been married for months now—contractually, yes—but slowly, silently, love had...

Expand ▼
Ye Hai Mohabbatein Thumbnail

Posted by: Im_sherlock

5 months ago

ISHRA OS:- Tumhare bina main adhoora hoon.

It was one of those rare calm nights in Delhi, the kind that carried a soft breeze, the scent of blooming mogra, and a strange kind of silence...

Expand ▼
Ye Hai Mohabbatein Thumbnail

Posted by: Sana2020

10 months ago

KP in memory loss track

I'm rewatching the memory loss track episodes again for the nth time. I didn't watch yhm whilst it was on TV, so not sure how much appreciation...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".