Originally posted by: kras
What should i say for today's episode
First of all bravo to ruhi kya ladki h kya akad h madam mein ek baar sorry tak nahi bola gaya chee ridiculous and then raman was begging to her ruhi main tere haath jodta hu please nikhil ke paas mat ja apni jindagi barbaad mat kar but she was so much into nikhil kyu na milu nikhil se uski galti kya h meri galti kya h aap galat ho papa aap mere dushman ho itna kuch bola usne raman ko but kisi ki jubaan nahi khuli but jaise hi raman ne ruhi par haath uthaya sabki jubaan khul gayi khaaskar mr bhalla ki sabse unchi aawaz un mahashey ki thi jo aaj tak kabhi raman ke baap nahi ban paye
And ishita she is a great lady kabhi apni galti nahi maanni because she can't do anything wrong aur agar koi kuch kahe to shuru kar do apna emotional drama and raman ne kya galat kaha aaj ruhi ko bolkar kya fayda ki bado se aise baat nahi karte wo to kabse bado se aise hi baat karti h tab kyu ishimaa ki jubaan nahi khuli aur aaj bhi sirf formality ke liye bola and what was that blame daalte ho kya blame dala raman ne aur kya galat kaha yes ishita is responsible for ruhimaa misbehaviour wahi h jisne use kabhi nahi roka aur nikhil aur ruhi ke rishte ki manjoori bhi to Ishita ne hi di thi na but galat hokar bhi madam ji ne kya dialogue mare h ki sabki sympathy usi ki taraf thi and when ruhi was telling her dukh bhari daastan ki uska baap kitna bada hitler h ishita was with ruhi that time her expressions were saying ki wo ruhi ki har ek baat se sehmat h
And news of the day jab bacche accha karte h to wo raman ke bacche galat kare to Ishita ke bacche o my god that was so funny because aaj tak hamesha maine iska ulta dekha h show mein bhi actors ke iv mein bhi aur logo ke comments mein bhi
Galat bacche=raman ke bacche
Sahi bacche = ishimaa ki mahan parvarish
And what was that aap ruhi ko putla banakar rakhna chahte ho uske emotions ki kadr nahi h blah blah what does she want to prove that kids have only their mother kyunki baap to hitler h aur Ishita devi mata jo uska sanghaar karke apne baccho ko bachayegi
Bacche raman ki izzat nahi karte uski wajah ishita aur mr bhalla h
After that when raman asked her to choose again raman bana villain ishita bani bechari aurat everyone sympathy was with ishita
And ishita dialogue itna chota h hamara rishta ek nikhil ke aane se rishta khatam
To madamji yehi aapke rishte ka sach h
Aapke liye bhi aur aapke zalim pati ke liye bhi
Kyunki jinke rishte mahan hote h wo ek dusre se baat nahi chupate wo ek dusre ko blame nahi karte neecha nahi dikhate compare nahi karte reality is Ishita raman dono ke liye hi is rishte ki koi aukat nahi h Raman jab dekho ishita ko blame karta h aur Ishita har baar har baat raman se chupati h uski kisi baat ki izzat nahi karti hamesha dusro ko usse pehle rakhti h
To ishita madamji itne time mein aapke rishte mein badal to bahut kuch gaya h pehle aap ek dusre ki izzat karte the but ab i don't think so aur iske liye dono ishita raman responsible h
Omg how melodramatic that scene was they were showing like Ishita is some devi ka roop and raman is a monster and ishita ne phir aaj ruhi ka support kiya support to usne ruhi ko ghar mein rokne ke liye kiya but ruhi iska aur hi mtlb nikalegi aur phir nikhil ke peeche bhagegi
And one more thing Ishita ko chot raman ke dhakke se nahi lagi
And mr bhalla bravo bravo he is a proof ki ek pita ko kaisa nahi hona chahiye the way he said to ruhi puttar teri ishimaa ne kuch kaha h na uske kaha ka maan rakh
Ye words mr bhalla ki zubaan se tab nahi nikalte jab bacche raman ki koi baat nahi maante
And what was that main ek aise bete ka baap hu jisne hamesha apne man ki kari h maine hamesha tujhe pyar se samjhaya that was one more funny thing i think mr bhalla sohail track aur gulabo track bhul rahe h jab unhone raman ko ye bataya tha ki wo kitna ghatiya beta bhai baap pati insaan h wo mr bhalla hi the jisne jab raman pihu se milne gaya tha use dhakke maarkar bahar nikal diya raman kitna gidgidaya tha tab wo mr bhalla hi the jisne raman ko thappad mara tha jab wo Ishita ko ghar le jane ki koshish kar raha tha and list goes on and on and on and mr bhalla sab bhul gaye oh i forgot galti sirf raman karta h gira hua insaan sirf raman h baki to sab devi devta h