Ch2.
As Ishita and Raman left for the corporate party earlier,Simmi along with Ruhi,Aakashee,Ananya and Adi left for the wedding. Simmi and the kids' enjoyed a lot in the wedding and came back home within 10pm. As they were tired after coming from the wedding,the kids' went to their room,changed their clothes and went to sleep.
Next morning:
Adi in his office,doing some paperworks of the recently finalized deal. His secretary came inside and told him the meeting going to take place between him and Arora IT company. His secretary also told him that the delegates from that company has been and Adi asked him to bring them inside.
As Mihir entered inside Adi's cabin with his delegates,Adi felt happy seeing him. He got up and gave him a hug and later on,explained the others about their relation.
Soon,their meeting started discussing the points from their agenda. They also made some minor changes and finalized the deal. Adi asked his secretary to order three cups of coffees' for the guests'.
''Adi,bhai aur bhabhi kaise hai? Aur bacche aur Simmi di?'' Mihir asked.
''They are fine,Chachu.. Ruhi,Aakashee,Ananya aur Simmi bua,sab acche hai. Aap bataiye? Aap kaise hai?'' Adi replied,nicely.
''Main bhi accha hu.. Life acchi kat rahi hai? Abhi bhi main bohut guilty feel karta hu ki Rinki ki behkaave mein aake maine Bhai ke saath chhor dia.. Unhe bohut dukh pohuchaya maine..'' Mihir replied,sadly.
''Mihir chachu,isme aapki koi galti nahi hai aur naahi aapne Papa ko double cross kiya hai.. Its that Papa khud chahte thhe ki aap apna khud ka pehchaan,khud ki company banaye,thats all. Aapko guilty feel karne ki koi zarurat nahi hai.. Aap halat ke shikar huye thhe.. Aapke biwi ko kuch zyada hi insecurity hone lagi thhi.. Accha,yeh sab chhoriye.. Aap bataiye,how is your business going on?'' Adi explains Mihir.
His phone rang. It was the receptionist.
''Sir,aapse koi milne aaya hai?''
''Mujhse? Par kaun?'' Adi asked.
''Romi Bhalla naam hai.. Bata rahe thhe ki woh aaple Chach..''
''Unhe abhi ke abhi yahaan se jaane ko kahiye.. Woh mere koi nahi lagte hai,na unse mera koi naata hai..'' Adi bangs the phone in anger.
''Calm down,Adi. What's wrong?'' Mihir asked,worriedly.
''Yeh log ek baat acche se kyun nahi samajte hai ki main inlogo se koi rishta rakhna nahi chahta hu,phir? Mere Papa ki be-izzati karke chaen nahi mila inko? Huh..'' Adi shouted.
''Calm down,Adi.. (turning to his subordinates) aaplog office jaiye aur official paperworks shuru karwa dijiye.'' Mihir replied.
Just then,Romi barges in Adi's office and tries to talk with Adi,who was having a meeting with Mihir and the colleagues,Adi shocked at the audacity of Romi and smirked at his helplessness. Adi,bein the person who can't accept indiscipline in his office,shouted at Romi.
''Yeh kya badtameezi hai,Mr.Romi Bhalla? I said stop it right now,warna,mujhe majburan police bulwana hoga.'' Adi shouted.
''Adi,meri baat sun.. Mujhe ehsaas hogaya hai ki maine Bhai ke saath kitni badtameezi se pesh aaya thha. Bhabhi ko bhi bohut bhala bura kaha. Please,mujhe maaf karde. Meri baat sunn..'' Romi pleaded.
''Kyun sunu main aapki baat? Aapne mere Papa aur Ishi maa ki baat suni thhi? Sunte bhi kaise,aap toh aapke biwi ke ghulam bann gaye thhe. Woh aapke kaan bharti gayi aur aap unki baato mein aake mere Papa aur Ishi maa ko ghar se nikalne pe majboor kardia thha.. Dadaji bhi wahan thhe,par,unhone ne bhi kuch nahi kia. Dadi ko laga ki Papa ne jaan buch kar Dadaji se jhagra kia aur wahan se chale gaye,isiliye unhone ne bhi Papa ko thappar lagay.. Aap sab ki wajah se mere Papa aur Ishi maa ne bohut saha hai.. Ab aur nahi... Yahaan se chale jaiye,please. Just get out..'' Adi vented out his anger and asked Romi to leave.
''Mihir,tu Adi ko samjha na? Teri baat toh woh samjhega.'' Romi asked Mihir to pacify Adi.
''Sorry,Romi. Main bhi kuch nahi karsakta. Ab bhai aur bhabhi chaen se jee rahe hai,ab toh unhe jeene do.. Unki shaanti mat chheeno.. Tum do bhai aur behen ne apne hi sagey bare bhai aur bhabhi ke saath sautela vyavhar kiya hai... 10 saal pehle jo galti huyi thi,ab uska prayashchit karke koi fayda nahi hai.. Tum logo ne bhul nahi,paap kiya hai.. Ram jaise bare bhai aur Sita jaisi bhabhi ghar se nikalne pe majbur kardia apne lalach ki wajah. Chale jao yahaan se,Romi..'' Mihir replied,giving cold shoulders to Romi,who was shocked at his reply and went out of the office,slowly.
Bhalla house:
''Nahi mana Adi ne,Mumma.. Adi bohut gusse mein thha mujhe wahan dekhke.'' Romi replied,sadly.
''Yeh sab teri aur Rinki ki wajah se hua hai.. Agar main apne bete aur bahu se maafi na le paayi,toh tu aur Rinki mera mara huya mooh dekhega.. Tum dono ki wajah se aaj mera Raman aur Ishita mujhse dur hai... (wiping her tears) Bhalla ji,hum jayenge maafi maangne Raman aur Ishita se,thik hai.. Samdhi ji se pucke unke ghar ka pata lijiyega.'' Toshi ji replied.
Precap: Senior Bhallas' at IshRa's house.
9