Posted:
Har kisi ki zindagi me wo lamha aata hai,jab wo khud ko bahut hara hua pata hai...
Kai bar zindagi me ham apne man ko khush karte karte thak jate hai,phir baithe baithe ye khayal aata hai...
Kya mila khud ko jhooti khushi dekar,zindagi me thokar khakar,tumhe pyar karne wale udas hai tumhare liye...
Ek thakan si hai dil me har raston se bhag bhag kar,manjil mil hi jati hme...par raste par karna jaruri nhi samjha hmne...
Nasha sirf sharab nhi har wo cheez hai Jo bhagati hai hme apne raston se,mushkilo se...par jitna ham bhagte hai gam utni hi teji se aakar pakad lete hai hme ...
Andhera sa chhaya hai aankho k aage,hmne waqt ko dhoka diya ab waqt hme dhoka de rha hai...
Kehta hai waqt me kisi ke liye nhi ruka...log rukte hai...avasar mil sakta hai dobara mein nhi...
Hmne kha waqt se shikayat tumse nhi khud se hai,ham ne khud ko samjhaya nhi...khud ko behlaya hai bas...
Hamara man hi ban gya hamare pairon ki janjeer ,kheech le gya neeche khi...
Par na Jane kyu afsos nhi ho rha...jhoote aansoo bhaye hmne par dil me dard nhi hai...
Log kahte hai sudhar jao ...par hamara dil manta hi nhi...
Ab samajh aaya log nasha chhod kyu nhi pate,unhe bhi dar lagta hai apni kismat se apne aap se ,isiliye ek wo cheez Jo unhe sukoon deti hai use chhod nhi pt...
Par kyu na ek koshish ki jaye,ho sakta hai koi aur chhez ho Jo hme sukoon de sake...
Log kehte hai nasha bura hai,par nashe ke bina zindagi hi kya hai...pyar bhi to nasha hai,kam bhi nasha hai...to phir sharab ko hi nasha kyu kaha jaye...
Hme bhi nasha hai lat hai sharab ki nhi ,zindagi se bhagne ki ...mehnat se bhagne ki,aaram ka nasha...
Par ab zindagi is kadar ho gyi ki is nashe se bhi boriyat ho gyi,ab kuch naya sa nasha palna hai...
Khud ko upar uthane ka nasha ,khud ko jeetane ka nasha ,apna jeewan sawarne ka nasha,...mehnat karne ka nasha...
Koshish pehle bhi kai bar ki hai,man maana nhi ham har gye...is bar bhi kar rhe hai koshish...man ko manate huye...
Bas ek gujarish hai man se ab bhagna nhi...mujhe rukna hai aur samna karna hai mushkil ka abhi...jeet ya har se darna nhi hai ab ...bas chalna hai rukna nhi hai ab...