arey aisa nahin hota. kabhi try karna..achcha hoga I m sure.😊i can't yaar.a 3yrs old could write a better story than me.main story likhna start kiya to aap log bhool jaoge aapni writing skills
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 2nd September 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 2, 2025 Episode Discussion Thread
ABHEERA IN JAIL 2.9
UMAR KHAYID 1.9
What’s the upcoming track??
Bacha chor is such an incompetent lawyer🤦♀️
Mrunal Thakur Called Mean Girl
I wanted Abheera’s fate for Akshara
Janhvi Kapoor In Talks For Chaalbaaz Remake
In this gen Cliff wali legacy maut will not happen
Anupamaa 02 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Real Woman Power Farhana
Finally a beauty queen who is star material!!
Jee Le Zaraa Is Happening
arey aisa nahin hota. kabhi try karna..achcha hoga I m sure.😊i can't yaar.a 3yrs old could write a better story than me.main story likhna start kiya to aap log bhool jaoge aapni writing skills
I have tried but they r unwilling/busy so far..will try again to convince them though! 😊Originally posted by: aarohi26
dii plz invite aani di, scribble tweety nd sam m also. they r wondrful writers nd they didnt participated in earlier one. ths is my suggestion.
kri di plz u also take part na. we all know that u r a fabulous writr. plz plz plz take part
Another normal evening in Bhalla house. All of them were busy with their own work till a hurricane struck that house in the form of Toshi and Madhu.
Madhu: Indha maadiri eppad seiva?
Toshi: Oye Madrasan...Phir shuru ho gayi tu... Tamil mein kya gaaliyan de rahi hai?
Madhu: Ayyo... Tumhe kuch samaj nahi aata?
Toshi: Haan haan... Duniya mein sabse samajdaar tum bhi paida hui ho na?
Bala: Amma...Bas...
Vandu: (With a sulky face) Yes auntyji... Aap mere liye apne BP kyon badaa rahe ho?
Toshi: Tu rakh Vandita... Main abhi tumhare ma ko uski jagah dikhaungi...
Inbetween all this, a confused Ishita signaled Bala to come alone.
Ishita: Jeeju...Yeh sab kya hai?
Bala: Amma aur Toshi aunty humare wajah se hi lad rahe hain Ishu...
Ishita: Aise mat kaho... Amma aur mummyji ko toh ladne ke liye bahaana chahiye... Lekin hua kya?
Bala: Vandu ke pregnancy ke chakkar mein yeh sab ho raha hai... Uski mood swings bhi na Ishu... I'm tired. Usse amma ke haath ka kaana kaana tha. Isliye yahan lekar aayi. Aur amma ne as usual mujhe pehle serve kiya dosa...
Ishita: So?
Bala: Isliye amma se ladna shuru kiya ki usse sirf apne damaad ki fikar hai, beti ki nahi...
Ishita: Kya?
Bala: Haan... Maine amma ki side li aur mujhse ladna shuru kar diya. Iske beech mein tumhari saas amma ko kisi kitty party mein bulaane ke liye aayi thi aur iss ladaayi ko dekhkar voh amma ke opposite team mein shaamil ho gayi...
Ishita: Such a silly fight...
Bala: Exactly... Raman kahaan hai? Maine usse ghar mein enter hote hue dekha?
Ishita: Kaam kar raha hai lekin abhi aa hi jayega... Itne shor mein kahan kaam kar paayega?
Bala: Lo...Naam liya aura a bhi gaya... I just hope yeh inn dono ka muh band karaaye...
Ishita: Haan haan...Raavan kumar ka takaar dene wala koi hai nahi...
Raman: Ma...Amma...Bas karo yaar... Kya hai yeh? Insaan ghar mein kaam bhi nahi kar saktha...
Toshi: Tu dekh Raman... Yeh hamesha Vandu ko kuch bolti rehti hai...
Madhu: Aur Raman... Yeh Punjaban Bala ko khosti rehti hai...
Raman: What? Aap dono Vandu aur Bala ke liye lad rahe ho?
Raman understood that Vandita's mood swings must have created this spark and his mom and MIL are capitalizing on the same. Before Raman could interrupt,
Vandu: (Sobbing) Teek hai... Mere liye aap dono aise mat lado. Mere pati ko meri fikar nahi hai...
Bala: Yeh sab mein main kahan aa gaya? I mean we were fighting because of amma... Do you remember?
Vandu: Kya kehna chahte ho? Ki mujhe kuch yaad bhi nahi rehta?
Raman: Arey Vandu... Uska yeh matlab nahi hai...
Vandu: (Sobbing) Tum saare mard ek jaise ho... Biwi ki care hi nahi karte ho... Very bad...
Raman: Kya?
Ishita: Haan...akka teek hi toh keh rahi hai...
Raman: Yeh lo... (Self talk) Matlab madrasan subah ki jagda ka panga ab legi mujhse...
Bala: Ishu... Tum dono ke beech jagda hua kya?
Ishita: Kuch nayi baat hai kya?
Raman: Hello... Main chup hoon toh faayda utaa rahi ho... Subah tumhari galti hai...
Toshi: Yeh dono phir shuru ho gaye... Oye, kya hua?
Ishita: Woh...
Ishita stopped there and Raman was enjoying it all with a smirk plastered to his face.
Flashback,
That morning,
Raman: Ishita... Kis janam ki badla le rahe ho mujhse?
Ishita: Kyaaa?
Raman: Please yaar...Office se baar baar phone aa raha hai... I must leave soon...
Ishita: Go...
Raman: I need to bathe yaar... Jaan bujhkar andar ghus gayi na tu...
Ishita: Mujhe bhi clinic jaana hai... Ghar mein vele nahi baitne wali...
Raman: Jhoot mat bolo... Main mumma se baat kar raha tha ki mujhe jaldi jaana hai. Usse tu upar se sun rahi thi... Isliye yeh kiya na?
Ishita: (Trying to keep her voice normal) Yeh sab aap hi soch sakthe ho? Main nahi... Shaanti se mujhe nahaane do...
Ishita: (Self talk) Kal bade insult kar rahe the na... Non-stop taane mar rahe the... Ab Ishita ki andaaz dekho... Raavan kumar ko torture karne ka mazaa kuch aur hi hai...
Raman: (Self talk) Paagal madrasan... Aadha gandha ho gaya... (To Ishita) Oh...Hello... Delhi mein water scarcity laakar hi bahaar aaogi kya? Jitna bhi naha lo, waise ke waise hi rahogi...
Ishita: Voh toh meri problem hai...
Raman: Jaldi aao yaar... (Self talk) Ghar mein teen teen washroom hai... Lekin, kya faayda? Ek mein nal mein problem, doosre mein Simmi naha rahi hai... Ishita hi behtar hai usse compare karoonga toh...
Ishita: (Self talk) Bahut ho gaya... Aaj ke liye yeh kaafi hai...
Finally, Ishita comes out of the bathroom...
Raman: Finally...
Ishita: Tameez se pesh aao... Warna, isse boori tarah se badla loongi main...
Raman: (Self talk) Acha... Dekh lungi tujhe main...
After 10 minutes,
Raman: Ishita...
Ishita: Haan... Kya hua?
Raman: Toliya lena bhool gaya... De do na...
Ishita: Kya? (Aise lag raha hai jaise iske haath mein toliya tha)
Raman: Ishita... Pehle teri badle ke chakkar mein late hoon... Aur late ho gayi toh meeting miss ho jayega yaar...
Ishita: (Self talk) Main bhi paagal hoon... Kitna pareshaan kar rahi hoon? Late ho jayenge...
Ishita takes a towel from the wardrobe and hands it to Raman when Raman pulls her inside.
Ishita: Ayyo...
Ishita gets fully drenched under the shower...
Ishita: Raman...
Raman: Kya? Bathroom mein rehna ka bade shouk chada tha na... Raho...
Ishita: Towel?
Raman: Tumhare bheje mein bheja nahi hai lekin mere pass towel hai... Bye...
Ishita: Raavan kumar...
Cutting back to the present scenario,
Bala: Ishu...Kya hua? Flashback?
Raman: Haan...bolo Ishita.
Ishita: Hamesha ki tarah gele towel bed mein chodkar chala gaya...
Bala: Ohh...
Vandu: Ishu... Yeh toh kuch bhi nahi... Jaante ho Bala mujhe kitna pareshaan karta hai?
Ishita: Nahi...Jeeju sensitive hai... Voh aapke baare mein sab jaante hain...
Madhu: Haan... Ishu sahi keh rahi hai...Bala is very good...
Vandu: Nahi...Raman hi sensitive hai... Yaad hai, tumhare liye Karwachauth vrat tak rakha...
Toshi: Haan...Mere puttar toh best pati hai...
Ishita: Baad mein kud kud bhi kiya...
Raman: Dekha ma...Jitna bhi karo, isse toh kam hi padta hai...
Ishita: Dekho akka... Best pati ko... Jata jatake karta hai...Kya faayda?
Bala: (Self talk) Yeh kya hogaya? Hum dono ki patch up karaane ke liye aaye aur khud dono jagadna shuru kar diya... (To Ishita) Ishu...Enough...
Vandu: Aise kaise, ek compatibility test toh banti hai... I will prove that Raman is the best...
Raman: Kya?
Vandu: Raman... I know that you will win... Chill... (To Bala) 3 questions... I will ask them... One of you write it in a piece of paper... Doosra insaan muh se bolega...
Ishita: (Self talk) Mere aur Raavan kumar ke compatibility test... Chalo...Dekhte hain... (To others) Ok...
Vandu: Bala will write. Tum dono mein, koun paper mein likhoge?
Ishita: Inki handwriting yeh khud nahi pad sakthe... I'll write...
Vandu: First question...
Raman: Ek minute... Aisa bhi ho saktha hai ki hum dono ki idea inn questions ko lekar kuch aur ho... So, how will answers be the same? I mean, main aur Ishita, we are opposites... If I respect her opinion, won't that suffice? Yeh kya compatibility?
Bala: Right... Iske baare mein maine nahi socha?
Vandu: Tum toh ho duffer...
Madhu: Vandu...
Vandu: Ok Ok... Dono ke opinion ke baare mein likho...i.e., Ishu... You write your take and Raman's take. We'll answer it and cross check that. Samaj mein aayega ki kitna samajte hain ek doosre ke baare mein... First question... When did you get attracted to each other for the first time?
Madhu: Main Bala ke answers ko check karoongi...
Toshi: Main apni bahu ki answers check karoongi...
Vandu: Second question...What irritates you the most about the other person? Last question...Something that you want to share but you have not...
Toshi: Ho gayi... Raman...Tu bol... Kab mere bahu ko dekhkar acha laga tumhe?
Raman: Attraction... Ma...Aapka puttar hai itne handsome ki yeh JKR hamesha se attracted hi thi... Main koshish kar raha hoon aaj tak...
Bala: Raman...Be serious...
Raman: Yehi answer hai... Jaante ho na... Hamesha kaatne ke liye doudti hai... Vandu...
Vandu: Answer...
Toshi: Galat hai... Tu bol...
Vandu: Bala toh pehli mulakat mein attract hua aur mein uske proposal pe...
Madhu: Correct... Second question... Kis baat se tum irritate hote ho Raman?
Raman: Isse meri gusse se nafrat hai aur mujhe iski jasoosi se...
Toshi once again nods in negative and Vandu's answer turns out to be wrong...
Madhu: Last question... Kuch batana hai?
Raman: Mujhe kehna hai..."Jasoosi mat karo" aur usse kehna hai "Itna gussa mat karo"
Toshi: Balle balle... Sahi nikla...Vandita...
Vandu: Mujhe Bala se kehna hai..."Weight reduce karo" aur Bala ko mujhse kehna hai "Kab tumhari delivery hogi? I'm tired of your mood swings"...
Madhu: Aadha sahi hai... Bala ko tumse kehna hai "Itna stress mat lo bewajah"
Ishita: To ho gaya... Aap jeet gaye... Khush?
Vandu: Small margin se...
Bala: Dekha... Kabhi satisfy nahi hogi yeh? I'm going...
After saying so, one by one, everyone leaves that place... That night, pleasant breeze was washing Ishita's face when a pair of hands hugs her from behind...
Ishita: Kya hai?
Raman: Kuch batana hai...
Ishita: Kya?
Raman: Yeh ki neeche jo answers sahi nikla, voh galat hai aur jo galat nikla, uske sahi answers yeh Raavan kumar jaanta hai...
Ishita: Kya?
Raman: Jhansi ki Rani sangeet mein mere dance dekhke attract hui aur main meri JKR se tab attract hua jab usse pehli baar meri ma ke wajah se chot lagi... Usse jab patti lagaya...
Ishita: Correct...
Raman: JKR iss baat se irritate hoti hai ki main geele towel bistaar pe daalta hoon aur mujhe irritation tab hota hai jab meri JKR mere kapde select karke table mein nahi rakhti toh...
Ishita: Sahi jawaab...
Raman: Ishita...Tumhe neeche bura nahi laga jab maine galat jawab diya...
Ishita: Itna toh main meri Raavan kumar ko jaanti hoon... Pehli baat, mission patchup tha... (Raman smiles) Jo unsuccessful hi reh gaya aur doosri baat yeh hai ki mere pati ko private matters ko public mein laana pasand nahi hai...
Raman: Acha...
Ishita: (Trying to free herself)Haan...Chodo... Ruhi ko story bhi sunana hai...
Raman: (Tightening his grip) Jo jawaab galat hoke sahi nikla uska sahi jawab nahi janna...
Ishita: Hmm...
Raman: Meri JKR mujhse kehna chahti hai... "I LOVE YOU" aur mujhe usse kehna hai "I LOVE YOU TOO"...
That moment, Ishita's time froze...
Ishita: Kya?
Raman: Sahi bola na...
Freeing her grip,
Ishita: Bemaani kiya... Aapko "I LOVE YOU" bolna chahiye aur mujhe "I LOVE YOU TOO"...
Raman: Toh ab bhi wahi hua na meri maa... Sab kuch mere hi muh se nikalkar aaya na... Har baat pe complaint... (Stretching his arms) Kuch bhool rahi ho kya?
Ishita ran into his arms when someone knocked their room's door...
Neelu: Bhabhi... Aap apne handbag neeche hi bhool gayi...
Raman: Iss waqt yehi important hai na... Iss ghar mein dand se romance karne ka waqt bhi nahi milta...
Ishita stands there smiling...