Part 3
Raman is still not ready at the door steps ... he again frees himself from Ishus hands and starts... p
" Ishita mujhe chodo...mujhe koyi haq nahi hai... kya kya kya kya kaha tu ne ..tu mujh se Nafrat karti ho haina ... haaa hu hu main nafrat ke layak...mein tumhare pyaar ke kaabil ya bharose ke bhi kaabil insaan nahi hu... jo kuch bhi hum dono ke beech aaj tak hai who sab galat hai aur mere di hui dhoka hai bass aur kuch nahi ...
Mein mere bete ko khona nahi chahta hu... woh mujhese gid gidya tha ishtaaa patahai tujhe mera beta aaj tak kuch nahi maanga par aaj woh apne maa ko bachanekeliye pucha toh mein ek baap hone ke naate kiya hai eh sab... lekin Haa Hu mein galat badnaseeb makkar hu mein
sach kahi tu ne tu mujhe Nafrat hi karni chahiye ...sirf tu hi kyu...me me me mein amma appa tumhara aur sare pariwaar walon ke bharose se khela hai ... mein sazaa ke laayak hu...nafrat ke hi layak hu...woh bhi sirf tum se...nafrat naftrat ... Na mein ek acha pita bansaka na pati , na beta aur na hi acha insaan... shayad mujhe maut hi tik hoga/...
Ishita: Basss Raman bass kijiye aap ke eh bakwaasss...pehle galati karna aur phir daru peeke ghar pe aake rukkas karna...ghar mein ek choti bacchi hai humari beti..Ruhi uski bhi khayaal nahi aaya aapko agar woh aapko iss haal mein dekhe gi toh uspe kya beetegi???
Nahi Nahi kuch nahi yaad honge aapko aapko to sirft adi adi adi adi aur uski maa basss
toh aap yaha kaise aagaye... Adi ke pass aur woh shagun ke paas kyun nahi gayie...
Raman: Sahi ka ha tu ne ... adi adi adi kyun ki woh bhi mujhse nafrat hi karta hai ishita...aur tu bhi mujhse nafrat karti ho...jo aaj tu ne kehdiya... mein mein mein mere zindagi mein sirf 3 log hai jiske liye mein phir se jee raha hu...pata hai pehli ho tum Ishita Ramankumar bhalla meri biwi ... dusra Adi teesri meri jigar ki jaan Roohi...woh choti hai ...aur tumhari jaan hai ...adi...bigad gaya hai shagaun ke parwarish mein isliye mein uspe mar mit ta hu kyun ki mein chahta hu ki woh mere paas ajaye taki hum 4 ek family ho sake ...
Lekin kisi ko kisi ko bhi na mera gussa samajhme ata aur na hi mera pyaar... samajhme aata hai toh sirf bewafai... aur mujhe har baar pyaar ke badle mila hai nafrat nafat nafrat... basss nafrat...hits the door and gets his hand hurt...
Ishita : teary eyed...Raman ...pls ab toh bataiye sach kya hai... bataiye Raman ...
Raman: Nahi bataunga ...bata nahi sakta aur kyun batau mein tujhe ... tu tu hotel mein kya keh rahi thi... mujhpe bharaso karke tu ne zindagi ki sabse badi bhool ki hai na ...are mein toh kehta hu ki tu ne mujh jaise lachaar gira hua badnaseeb insaaan se shadi karna hi toh teri bhool hai
Na mein kuch bolunga aur na kuch bataunga par ha ek baat apni saari zindagi kehta rahunga tujhe mujhe maaf karde ishita pls mujhe maaf karde... mein galt hu na mein dhokebaaz hu na... he pleads joining his hands
Ishita pushes him away to unjoin his hands and says Raman eh aap kya kar rahe ho ... pls Raman ab bohot ho gaya ..chaliye andhar ... mein samajhti hu aapke mazboori lekin ab is baat ko chodiye ... ab chaliye so jaaayie..
Raman: Hahahahah Neend ...woh toh kab ki mujhse talaq leke chali gayi ...ha zinda gi mein kuch palon keliye hi sahi tumhari naam lekar aayi par aaaj woh bhi toot gayi ...
tu tu kya keh rahithi hotel mein tujhe mere saath ek pal bhi ek chad ke neeche nahi rehna hai na ..tu itni fikr kyu kar rahi ho tu meri ...kya lagta hu terel iye mein ... bolo ...
mein hu galat aur mein kuch nahi bolunga rehna hai toh raho ...nahi toh chalijao ...mujh jaise galat insaan ke saath shaayad tu nahi reh sakti ..aur ha mein jeelunga khushi khusi se jeelunga...
Ishita: Completely got hurt now says
Dekhiye Raman mein yaha ruhi ki wajah se hi ruki hu..apne bags pack kar to li lekin meri beti ki dil na toote aur uskeliye uske papa hero hai ...aur uske papa ke ghaav woh dekh nahi payegi ..isliye mein uski man rakhne keliye uske papa ke gham bhi sehloongi aur khushi bhi ... samjhe aap ...
mein aapke kehne se ya kisi ke kehna pe eh ghar chodke nahi jaaungi kyun ki meri beti ruhi jo hai is ghar mein ...samjhe aap bohot zyaada ho chuka aaj keliye chaliye andar...
Raman : Looks deep into her eyes all teary teary with an astonishment in his eyes...
silently goes inside wit hher ...
she makes him lie down on bed ...and is about to move there he tightly grabs her ...and says...
ishita tum pure sach ko nahi jaanti ...tujhe adhi baat hi pata hai ...
Ishita turns to him and cups his face and asks th phir sach kya hai raman aapko itna khaayi ja rahi hai bataina raman ...mein wada karungi apka saat dungi bataiye na...
Raman ...adi ko kuch nahi hoga beta tumhare papa hai tere saath ...and passes out...
Ishita cries her heart out catching him... and goes to change and comes back to sleep and near couch she sees the picnic bag and unpacks it...thats when she finds a greeting card ...with Sorry and is written ...
To
Matangi ufff Ishita ufff Madrasan...
ankhon mein jo dikhta hai ... dil jo kehta hai
agar woh sach hai toh eh dard sach hai
jo zubaan se nikli har lafz agar sach hai
toh is dil ne hazaar baar tuta woh bhi sach hai
is choti si ankhon mein ek ghana jungle jo dikhta hai
woh mujhe nashe mein dakelti hai
woh ghane jungle se baahar ane ki koshishe bekaar jati hai
par hazaaro qhwaayishe jaag ut te hai ...
kya hai eh jungle mein jo punnami ke raat hi chaand se lapetleti hai dil ko
par dikhne mein toh amavas ki raat jaise kaali
Dimaag na agaha kiya is jungle mein na khoneki
par yeh kambaqt dil na manaa
isme khone ki darr se khoke ke mar mitne ki khushi zyada hai
is jungle mein sardiyon ke mausaum mein jo shaal lapetke garmi deti hai
utni hi garmi apnepan ke roop mein milti hai
tufaani raat ki bhayanak sach ko bhi dafaan karke ...
is khali pan ko apnapan se bhardeti hai
sagar ke lehrein jab pau chooke nikalti hai
woh khushi ... ise dekhar milti hai
zindagi ke har raah pe ek ritu bankar apne
saath chalne ki wada karke aayi hai
woh agar nafrat ki sila di toh
eh dil hazarrro maut marti hai...
kal ki suraj mitjati hai
saanse ruk jate hai ...
jaha teri hasi milti hai wahi mujhe bhi jannat milti hai ...
tere sakti ki bhi sah lunga par nafrat nahi
eh dil ko chur chur mat kari aakhir dil to mera hai par
iski jaan iiss chaand mein basi hain
terei ek hasi keliye hojaunga fanaah
- Raman ...
To be continued...
So dear friends how z it ...like it or loath it... share your views ...
shakti
11