rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#1

Thand ki halki sukhad dhoop thi...Chat pat kursi dale Sneha dheere dheere chai pi rahi thi...waqt hi waqt tha uske paas...Table ke kone mein Akhbaar pada tha..usne sarsari Nighah se khabron ko dekha...ek khabar par nazar atak gayi...Akelepan se ukta ke ek Adhed mahila ne aatmhatya kar li thi...Andar se uska hriday kaanp gaya...

Kayi dino se wo Rahul ko e-mail bhejna chahti thi...usne fauran ussi din bhejne ka nirnay liya...laptop ke saamne bethe wo mail type kar rahi thi..

Dear Rahul,

Mera mail dekh kar soch rahe hoge ..phir se gyan dene wala mail bhej diya maine...par ye mail gyan dene ke liye nahi bheja..iss mail ke peche alag reason hai..

Ab jab main apne bte ki zimmedari se nirlipt ho chuki hoon..mai apne man ki kuch bhawnayein baantna chahti hoon... apne prati khud ki zimmedariyaan nibhana chahti hoon...andar barso se dabe ehsaas ko shabd dena chahti hoon...

Yaad hai tumhe...MBA ki classes shuru huyi thi..mai sakuchayi si apne jeevan mein aaye toofan se ladti vichlit si rehti thi..aur wahi tum zinda Dil...hansmukh beparwah behte nadi they...mujhe tumse irsha(jealous) hoti thi...tumhe yaad hai hi ya nahi...tumhari dosti tab sirf Payal aur Raghav se thi...jab tumhari Payal se dosti tooti..tumne mujhse dosti karni chahi...Raghav ne hamari dosti karayi aur hum bahut kam samay mein achchey dost ban gaye...

Tumhare aane ke baad se mai bhi thoda khulne lagi...jo khusi mujhse bahut door bhaag gayi thi..mujhe lagne laga mere paas hai bahut paas...uss waqt mujhe tumse pyaar ho gaya tha...ye Anubhuti mujhe bahut jaldi ho gayi thi..main iss ehsaas ke saath bahut khush thi...

Mujhe mera daayra pata tha isliye maine use laangne ki kabhi koshish nahi ki...4 saal umr mein badi 5 saal ke bte ki Maa ke liye apne prem ki sweekriti karna Asambhav tha...mai tumhari achchi bahut achchi dost banna chahti thi..aur mai ban bhi gayi..mere ehsaas tumhare liye gehre aur gehre hote gaye...Raaton ko uth uth ke rona..apne kismet..Bandhano ko kosna mera roz ka kaam tha...Man karta tha sabko chod ke tumhare paas jaa kar bol doon "Mujhe sweekar lo"...par kabhi himmat nahi huyi...

Mere andar ki aurat..mere andar ki Maa se haar jati thi...sochti agar tumne na sweekara tab...

Mai tumhari har Premika se hans ke milti..tumhare prem ki tamam kisse sunti...sach poocho to mujhe dukh bhi nahi hota tha kyuki maine khud ko samjha diya tha..tum pyaar karne ke liye ho pane ke liye nahi...

Tumhari Shadi mein mai chah ke bhi nahi jaa payi..Ashish ki parikshayein thi...tumne jab bataya tumhari beti huyi hai...mujhe laga main ek baar phir se Maa ban gayi hoon...

Unn bataon ko kayi baras guzar gaye hain...aaj main 43 saal ki hoon...zindagi ke bahut se uljhan ko suljha liya hai..Man mein ye ek gaanth thi...aaj use bhi khol diya...

Meri koi baat buri lagi ho to...dost samajh ke hans ke uda dena...

Sneha...

Mail bhej dene ke baad Sneha ko khalipan sa laga...Man par ek bhari bhoj tha jo ki ab utar gaya tha...reh reh kar man purani yaadon mein khone laga tha...Almari khol ke wo Purane Album dekhne lagi..Ashish ke bachpan ki tasweerein...Rahul ki masti karti huyi tasweerein...smriti ke bandh darwaze khul gaye...

Ek Alhad bholi bhali si ladki...Bachpana jiska gaya bhi nahi tha...Shaadi ke bandhan mein bandhne jaa rahi thi..Ghar ke bado ne bola Shaadi kar lo aur wo Razi ho gayi...

18 saal ki Byahta Aurat Sneha ..Shaadi ke 6 mahine baad wapis apne maayke bula li gayi thi...uske bhai ko pata laga tha Sneha ke Pati ka dusri Aurat se Sambandh hai...Sneha ko aaye toofan ka ehsas hua..aane wale Bachche ki bhavishya ki chinta use todne lagi...12 ki padhai ke baad hi uski shaadi ho gayi thi...

Uske Raat Din chinta mein guzarte...Bete ko Dekh wo sihar jati...padhai hi ek aisa jariya tha jo use swabhlamban bana sakta tha..

Bachche ko samhalte huye snatak hona aur phir MBA mein Dakhila lena chunautipurna karya tha...Pariwaar walo ne sahyogita ki...aur phir jeewan ne nayi karwat li use Rahul se milwa ke...

Rahul hi uska pehla aur Aakhiri pyar hai..pyaar ki anubhuti ne use jataya tha ki wo sundar hai bahut sundar...uski khoyi huyi hansi..uska khoya hua chulbulapan sab laut aaya tha..Ektarfa Pyaar uske liye khushi aur vyatha dono laya tha...dono se wo jhujh rahi thi...

Kartavyon ke bhanwar mein wo ulajh gayi...Ashish bada ho raha tha..uspar Maa-Baap ki dohri zimmedariyaan thi...Rahul bhi apne jeewan mein vyast ho gaya...Samay guzarta raha...

Aaj Ashish bhi apne career ko banane mein juta hua hai...Maa-Pitaji barson pehle chale gaye..Bhai apne parivaarik jeewan mein rache base hain...iss shehar mein wo bilkul akeli hai...

Rahul ko mail bheje 4 din ho gaye they...wo apna Email roz dekhti...par usne koi bhi jawaab nahi diya..ab sneha ka man ghabrane laga tha..usne koi galti to nahi kar di..Rahul ko naraz to nahi kar diya..uski himmat nahi hoti Rahul ko wapis se mail ya phone karne ki...

Thand dheere dheere badhne lagi thi..shaam ka waqt tha..shawl dale Sneha ek patrika le kar bethi huyi thi..tab hi darwaze par dastak huyi...usne darwaza khola saamne Rahul khada tha...

Sneha stabhdh thi...Ajeeb si stithi thi...Koi awaz nahi nikal rahi thi..darwaze se wo hatt gayi..Rahul chupchap andar aa gaya...

Dono ke beech anchaha tanaav tha...pehli baar mile aparichit ho jaise...Sneha andar jaa kar pani le aayi...

Sneha ne hi maun toda "Kaise ho??"

"Thik hoon..tum kesi hoo??"

"Tumhein pata hai mai kaisi hoon..tumhe mail mein sab lik diya tha"

"Haan janta hoon padha maine sab...ek baar nahi baar baar padha...roz roz padhta gaya...aur sochta raha...uss mail ka jawaab mai nahi likh paya neha..chah kar bhi nahi..shabd hi nahi mil rahe they"

"Mai samajhti hoon...mail karna nahi chahiye tha shayad"

"Mail kar ke tumne bahut achcha kiya...Baandh ko khol diya tumne...sari anubhutiyon ko beh jaane do...inhe aur kitna jakad kar rakhti tum..ek na ek din ye bhi bagi(rebellious) ho jaati...vidroh kar deti ye tumse...uss waqt tum khud ko hara hua mehsoos karti...mai tumhara dost hoon Sneha...tum mujhe uss waqt bhi ye batati to mai samajhta jarur..."

"Mai apne bte ki bas Maa thi tab Rahul...apne andar uththe har ehsaas ko main daba deti thi...sari komal bhawnayein jo mujhe aurat hone ka ehsaas dilate thi..main unhe jala deti thi...unhe panap ke phool banne ka mauka maine kabhi nahi diya...mujhe lagne laga tha main bina ehsaas wali ek Robot hoon jisse program kiya gaya hai aur wo apni bhumika nibhaye jaa rahi hai...koi ichcha kamna mere andar thi hi nahi"

"Tumne khud par atyachar kiya hai Sneha..galti meri bhi hai..mujhe tumhara khyal rakhna chahiye tha..mai har baar apni taqleefein le kar tumhare paas aa jata tha..aur tumhare liye kuch bhi nahi kiya..."

"Rahul tumne jane-anjane mujhe hansna sikhaya hai phir se..main jeewan ko bahut sanjidgi se leti thi...tumse jeewan ko chedna chidana sikha..maine apne jeewan mein rang bharna tumse seekha..mujhe jeewan se koi taqleef nahi hai..na koi shikayat.."

"Jeewan hume do-rahe par le aata hai aksar..jab aisa ho patli gali se nikal lo samjhi"

Sneha zor zor se hans padi...na Rahul badla tha ..aur na wo..abhi bhi unki purani dosti kayam hai...umr ke iss padv par bhi dono ut patang baton par hans sakte hai...lad sakte hai...jeewan kitna sundar hai...

Rahul apni hi veg mein bole jaa raha hai...Sneha bas hans rahi hai...

"Ashish se baat kar ke kisi ganje buddhe insaan se tumhari shaadi karwata hoon..."

"khabardaar jo mere Bete ko aisa kuch bhi bola to...tumhari wife ko phone kar ke bol dungi tum mujhe ched rahe ho"

"usko bhi tumhara mail padhaya tha...uski aankhon mein aansoo aa gaye they..ussi ne zabardasti mujhe tumhare pas bheja hai..."

"Rahul tum sach mein bahut naseb wale ho...mujhe sharmimdgi mehsoos ho rahi hai..wo mail nahi karna chahiye tha..."

"karna chahiye tha Sneha...tum ab azaad ho puri tarike se...unn bhawnao ne tumhe atkaya huaa tha...ab apni zindagi naye sire se jeeyo...khula gagan hai tumhare saamne..."

Rahul ne sahi kaha tha..Sneha ko laga uske pankh nikal aaye hai...wo swachchand udd sakti hai..Door bahut door tak...

Created

Last reply

Replies

10

Views

1.3k

Users

6

Likes

17

Frequent Posters

debaparna77 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#2
Lovely story Rabzy...loved it 😊
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#3

Originally posted by: debaparna77

Lovely story Rabzy...loved it 😊

sach debaparna 😕..asking seriously..
Bhabani90 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#4
Wow amazing story.. Beautiful.. Write n share more of ur stories.
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#5

Originally posted by: Bhabani90

Wow amazing story.. Beautiful.. Write n share more of ur stories.

thankd dear sure i will..😃
ttrocks thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#6
Wow!! Really very nice story Rabzyji!!! 👏👏👏 Loved it!!
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#7

Originally posted by: ttrocks

Wow!! Really very nice story Rabzyji!!! 👏👏👏 Loved it!!

thanks..😃
GOOGLU thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#8
AMEZING wrk dear...
Loved it ...
Hw beautifully u show sneha and rahul' s bond...
Specially love the point where rahul came to meet sneha aftet mail...
The way they understood each othet ...its suprb...
Really u done a fabulous job...
Keep it up dear...
Thanks allot for pm...
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#9

Originally posted by: GOOGLU

AMEZING wrk dear...
Loved it ...
Hw beautifully u show sneha and rahul' s bond...
Specially love the point where rahul came to meet sneha aftet mail...
The way they understood each othet ...its suprb...
Really u done a fabulous job...
Keep it up dear...
Thanks allot for pm...


thanks a lot dear
praxeto thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#10
Wow!!ur hindi is sooo gooodd..
Am flabergastered aftr readin dis ..d wrds used wer of heavy meanin kuch kuch samajh me aaya n kuch nahi...par they wer vry sweet in listening! :D

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".