Created

Last reply

Replies

57

Views

8.4k

Users

26

Likes

157

Frequent Posters

drmaha thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#11
wow fiza it was so real...
i loved it...
life is realy strange and difficult to gues and spend...
loved it...🤗
Faria. thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#12
fizuuu- a beautiful piece of writing
simplyyy loved it
oye hoye- my cascade is so talented
feel proud of u
thanx 4 writing such a lovelyyy os
muahhh
_ArTi4ever_ thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#13
simply beautiful fiza...very nicely written...😊
valliyah thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#14
wah jee wah, apne to hume ruswa kardiya, kaise kaha ke iss ka sir aur pair nahi...waise zaroorat bhi kya hai sir pair ki isse mehsoos karne ke liye bas Dil ka hona zaruri hai , baki sir aur pair gaya tel lene...lol...!

waise yeh hunar itne dino tak kaha chupa kar rakha tha madam...ek ek alfaaz sedha dil ko chu gaya...!

Na day koi asi saada , ab in sookhay hua paato mein uraan ki taqaat nhi, ab in houtoo ko muskan ki addat nhi

kya khub likha hai hume to tareef ke liye alfaaz nahi mil rahe...!

waise valliyah ke wajah se aapne pm kiya iske liye hum tahe dil se aapke shukar guzar hai...!

p.s...ab zara comments par gaur farmaiye aur batayiye ke kya hum galat the...!

Edited by valliyah - 13 years ago
drfizaahmed thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
#15

SHUKAR HAI…..RAAT HONAY KO HAI.

Yunhi ek din, ek raah se guzaratay hoay, usny dekhi, ek roshini se jasy us ko apni taraf kheech rahi hoo, pukar rahi ho, woh rukha, us ki taraf mora. Soch k her taar ny hazar sawal chehr diyay, aur yun woh is tishnagi mein aur agay bahr gaya. Yeah kiya hai, zara mein bhi tu dekhon, yeah kaun hai itna roshan, itna dilkash, itna jazabay nazar.

LO.. aur woh zoour se ghuraa ny lagay, usko ki tardeed kernay lagay, yeah dekh ek aur aya. Yeah kaun hai, is se kaho asay sawal na keary. Mehaz ek looh hai yeah, koi dil farab ehassa nhi, ek dohoka hai, farab hai yeah. Dekho isay gaur se, soch k sary pehlu khol k dekho usko. Yeah jo tanha tanhi mein door kahin khari hai, bahzahir buhat pur ronaq hai, naaram hai, paaygalti hoi shafaaf lagti hai, ansoo ki tarah, per tum dkhoka na kahoo. Bazahar roshan hai yeah magar dil pora qaala hai is k, magroor hai yeah, kahmandi, ek matlab paraasaat, be his, khud ko duniya , aur logo ko insaan na samhj ny wali. Dekho kasay apni hi agg mein jaal rahi hai. Rakh ker dayti hai yeah sab kuch aur, per fakhir se aur zoor se roshan hoti hai.

Kah chuki hai apny hi kitny pyaro ko, tahra jao kahin ab k tumhari bari na ho..

Mein janti hoon yeah soch ker, woh meri taraf shayd dekh raha ha hai, mein thora tu per umeed hoi, shayad is umeed mein thori aur roshan bhi hoi thi. Magar han, kahty tu yeah sab thek hi hain. Sun k yeah sab abhi thora mein kapkapai tu hoon . han saba sach Hi yeah baat tu, kaha tu tumhain thik hai, kuch khas laga kaha kaha tum ny hum se, han hain tu hum asay hi, kuch asay hi hain hum..

Magar yeah kiya, yeah kaun hai jo is taraf bekauf, bahr raha hai. Meri haqeeqat se be-kabar, kitna haseen hai yeah, us ki ankhon ko dekho, kasay dekhti hain mjhy, kitni jistujo hai, kitni fikara hai un mein, kitna ishaq, kitni umeedain hai un mein, bulkily kisi nai khawab ki taraha, bad naseeb k liyan Naujumi ki pukara ki taraha, marnay waly k liyan, Qatar-e-magfirat ki taraha.

Usko dekho ker kuch jaga zaroor tha meray andar, khud ko thora sa savaera zaroor tha mein ny, thora aur khud ko jala ker roshin tu zaroor kiya mein ny..magar, magar yeah sab

Yeah sab tu galat hai, nhi yeah sab galat hai, mahaz ek kaufnak khuwab hai yeah, mein phir bhool gai yeah haq nhi mjhy, yeah jazba , yeah ehassas, is ki kaha hai ijazzat mjhy .

Kaho na is ko woh door rahy mjhy se. laut jay na, kaho na us se. aur pass na aay kaho koi tu us se. saba Sabaa, aao na ab , kaha rukh gai ho tum, ya tu itni zaurror se chalo k bhoja do mejhy, ya itni zaroor se jalo k khak hojao mein , kuch tu kero, kuch tu kaho….

Nhi rukh, rukh jao wahi, kaha jao , mein kaha jao, khud us se door kasay kero mein , apni looh ki roshin madham tu ki mein ny. Mjhy pechay hatna hoga, yeah yaha warna asay hi bahrta rahyga. Per yeah itna ziddi kyun hai.

Mein cheekta raha, pahr-pahrata raha, ksis ny meri na suni, meri betabi dekh ker yeah aur pass araha hai, is se koi tu kaho yeah us k liyan nhi hai.

Woh muskrat raha yeah soch ker yeah sab us k lyan hai, us se kaho door hojay, us se kaho rukh jay, sab kuch fana hojay ga, sab kuch, yeah muskrahat, yeah umeed, yeah duwa, yeah nazar, pechay rah jay gat u sirf tumahri meri lyan tumhari nafraat.

RUKHO….

Abhi waqt hai phojado mjhy, phjado mjhy ..koi tu…koi tu…

Per usnay nhi suni .meri kisi ny nhi suni...dkha kaha tha na, sabny kaha tha, hum ny bhi tumko yaad dilaya tha, khud ker k dekhliya tha, kash man laytay tum, kash jaan laytay, kya mila tum ko, ek azzab ki pitara jo band rahy tu behatar hai khol jay tut u bus sirf kahar hi kahar hai..

Usko apni aghosh mein jalty hoay dekha mein ny, woh tarapta raha , mein dekhta raha, sab koosat rahy, mein khud bhi un k sath samil tha, phir bhi sab sirf boltay rahy, kisi ny n pachaya us se, mein cheek bhi nhi sakta zoor se , aur zoor se jal bhi nhi sakta, ab aghosh mein woh bhi hai, aur tarapy ga, aur tarapy ga..

Mein tu abhi bhi jaal rahin ho, madham madham, kai khoon, kai lashein apny andhar samaity hoay, khud ko jala rekha ha, wasy bhi ab kuch zayada tu mjhy mein bhi nhi bacha hai.

Rukh samaty ab mein bhi, khak honay ko, ab sab kuch iktataam ko hai, shukar hai raat honay ko hai…

Edited by drfizaahmed - 13 years ago
Faria. thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#16
pata nehhi kab unres karungi
lol lol lol
arjunratirocks thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#17
feeling of os is superb and i just love it like it
-Anila- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#18
m speechless!!!!!!!!!!!!
wht an OS...👏👏👏
aweosme API...👏👍🏼👏
beautifully written...⭐️👏⭐️
n d feeling of dis OS is jst out of dis world...heavenly!!!!!!😍
humey itne sare lines acche lage ke kuch chunna bhttt mushkil ho gaya hain...😳
har ek lafz hamare dil ko choo gayein...😍
dat was truly mind blowing...😳
hamare paas alfaz nhi hain baya karne ke liye...😳
kya khub likha hain apne...👏😍👏
ALLAH apko hamesha apni rehmat barkarar rakhein...AMEEN
love u API...🤗🤗🤗
KHUDA HAFIZ...😳
Edited by 18anila1 - 13 years ago
-SharNeela- thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#19

wah..khud ko mazloom banaker kathgarhe me khada kar diya…khud hi muqadma lara..kabhi khud ko kasoorwaar tehraaya aur apni pairvi bhi na ki to kabhi saamnewale ki har chaha ko be-maut saza dene ki sifarish kar diya aur phir khud hi ne faisla kar diya. khud ko nastanabud karne ki junoon sir pe charha hai to kyun roushni ko qurbat ki ummeed dete ho? yeh usska kasoor to nahi k woh khud jalke musafir ko raah dikhati hai? to phir ussko kis baat ki saza mili? kabhi uss roushni ki lo ko chooN ker dekha to hota! ussme shayed woh tapish nahi k kisi ko jalakar raakh kar de…ussme shayed sirf utni hi thand hai k siwaye ek halka sa noor k ussme kuch aur dene ki auqaat bhi nahi. khud ki perwaha nahi na sahi…unn musafiron ka khayal to kiya hota jo uss se zindagi ki aaghaz ki duaein maangte hai. per woh maghroor, ghamandi matlab parast shaks unnko khud se uper kuch sochne ki fursat kahan? unhe bas apni ikhtitam ki intezar hai ..kya unhe ilm hai k unnki wajood jahan khatam hoti hai shayed wahan roushni ki hayaat bhi kam hoti jaarahi hai? uss khudgarz ko apne rooh k zakham per marham rakhne se fursat mile to woh dekhe k kitni roushni bujha diye unhone…per roushni ki fiker kahan unhe? yeh andhera…yeh kabhi na khatam honewali justju mubarak ho unhe. wajahat kuch bhi ho…khair hai k roushni se door bhaagte hai warna apne anjaam se pehle hi aazab ka deedar hojaata. shuker hai k mashreq me aasmaan surmayi nahi ab…shuker hai subah hone ko hai...

-Neela
drfizaahmed thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
#20

Originally posted by: sharneel


wah..khud ko mazloom banaker kathgarhe me khada kar diya'khud hi muqadma lara..kabhi khud ko kasoorwaar tehraaya aur apni pairvi bhi na ki to kabhi saamnewale ki har chaha ko be-maut saza dene ki sifarish kar diya aur phir khud hi ne faisla kar diya. khud ko nastanabud karne ki junoon sir pe charha hai to kyun roushni ko qurbat ki ummeed dete ho? yeh usska kasoor to nahi k woh khud jalke musafir ko raah dikhati hai? to phir ussko kis baat ki saza mili? kabhi uss roushni ki lo ko chooN ker dekha to hota! ussme shayed woh tapish nahi k kisi ko jalakar raakh kar de'ussme shayed sirf utni hi thand hai k siwaye ek halka sa noor k ussme kuch aur dene ki auqaat bhi nahi. khud ki perwaha nahi na sahi'unn musafiron ka khayal to kiya hota jo uss se zindagi ki aaghaz ki duaein maangte hai. per woh maghroor, ghamandi matlab parast shaks unnko khud se uper kuch sochne ki fursat kahan? unhe bas apni ikhtitam ki intezar hai ..kya unhe ilm hai k unnki wajood jahan khatam hoti hai shayed wahan roushni ki hayaat bhi kam hoti jaarahi hai? uss khudgarz ko apne rooh k zakham per marham rakhne se fursat mile to woh dekhe k kitni roushni bujha diye unhone'per roushni ki fiker kahan unhe? yeh andhera'yeh kabhi na khatam honewali justju mubarak ho unhe. wajahat kuch bhi ho'khair hai k roushni se door bhaagte hai warna apne anjaam se pehle hi aazab ka deedar hojaata. shuker hai k mashreq me aasmaan surmayi nahi ab'shuker hai subah hone ko hai...

-Neela

hum chay kitna bhi chupa layain ap se, namukin hi raha...
shukriya in alfaz ka...
wasy hum bhi kah saktay hain, khilafay qudrat na hosaky mantay hai...khud ko sab se zayda many wala, umeed ki himat bhi rekhty hain, aur qudrat badlna khudai hai, yeah yaqeen bhi

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".