Attention all e-Svayamvar participants. Usually we do this after the marriage, but since the Saigal family is a little complicated batch, I'm taking the liberty to introduce you to them before the marriage. I do not want any regrets after the marriage. The following is heavily inspired by Lata and her Sambdhan song.
Sunoji Dulhan Ek Baat Sunoji,
Apne Honewale Parivar Se Miloji,
Tumhe Milayen Sabse Aaj,
Suno Sunayen Sabke Raaz,
Hai, Karate hai tumko savadhaan
Suno Sunayen Sabke Raaz...
Pehle Dulhan Tum Dhruvse Miloji,
Ghar Ke Mukhiya Tumhare Sasurji,
Ab yeh hai bhagawaan ke paas
Gargi ne yeh kiya hai kaam
Hai, Do do biwiya rakhane ka paap
Is liye hai aaj bhaghawaan ke paas
Aao Dulhan Ab Inse Miloji,
Yeh Hain Tumhari Sasu Maji,
Ghar Mein Chalta Inka Raj,
Pasand na aao tho faike bahar,
Hai, Mental asylum me thi kitne saal
Ab kare sabko pareshaan
Chalo Dulhan Ab Aage Badho Ji,
Yeh Hain Tumhari Chhoti Maji,
Baat kare vo apne aap
Fashion main hai khud ka Andaz,
Hai, Khoon kare yeh kitani baar
Phir bhi Sumise hai aachhi yaar
Sunoji Dulhan Ab Sambhal Jaoji,
Chhote Natkhat Devar Se Miloji,
Bhabhi ko patane ka karte hai kaam
Shaitani Inka Andaz,
Hai, Inko pata nahi kaun hai uska baap,
Gargi ne rakhha is baat se anjaan
Sunoji Dulhan Ab Gaur Karoji,
Apni teen sautan se milo ji
Sanya, Pori, Disha jiska naam
Aur kitni hai kisko yaad
Hai, Sumi ka tu rakhana khayal
Varana aayenge yaha tera bhi naam
Pyari Dulhan Ab Dil Thamoji,
Kyon Ke Hai Baari Saiyaji Ki,
Aankhe hai inki shaandaar
khud pe ghamand, aaye gussa bar bar
Hai, biceps bhi hai kitne fine
Isliye Svayamvar me long line