Kalyani jaise taise hadbadi mein Aryan ke hotel pahunchi. Tabhi Aryan bhi kahin se bhagte bhagte hotel ki lobby me kahin se aa raha tha. Kalyani ko dekhte hi usne sunglasses pahan liye.
"Is vaqt tum kahaan se aa rahe ho?" Kalyani ne poocha.
"Kyon kahin bhi aane jaane ke liye mujhe tumhari permission leni hogi?" Aryan ne palatkar poocha.
"Nahin, vo to maine isliye poocha kyonki tum Sawantwadi pehli baar aaye ho aur yahaan ke baare mein tumhe kucch nahin pata."
"Tum cheezein assume badi jaldi kar leti ho Kalyani. Ho sakta hai jo tum sochti ho vo sach na ho?"
"Matlab?" Kalyani ne sawal kiya.
Aryan ne apni ghadi check karte huye kaha, "Matlab ye hai ki subah ke sadhe paanch baj rahe hain aur itni subah apne fans ki faaltu baatein sunne ka vaqt nahin hai mere paas."
"Tum apne fans ko faltu samajhte ho," Kalyani ko ab gussa aane laga tha.
"Maine apne saare fans ko to faltu nahin kaha," Aryan ki aawaz mein halki si muskurahat thi.
"Matlab tumne mujhe faltu kaha?" Gusse se Kalyani ki naak laal ho gayi.
"Self realisation acchi aadat hai Kalyani," Aryan ne Kalyani ki peeth thapthapate hue kaha, "You should try it sometimes."
"Khair choriye," Kalyani ne gehri saans lekar ek chitthi Aryan ke haath me dekar kaha, "Ise padho."
"Kya?" Aryan ne chaunkte huye kaha, "Tum chahti ho tumhara love letter main receptionist aur baaki staff ke saamne padhoon. Chalo terrace par chalte hain."
"Ye tumhari kohni par khoon kaisa?" Aryan ne terrace par jaakar poocha.
"Vo jaldi jaldi mein yahaan aaye vaqt main gir gayi thi," Kalyani beparwahi se boli.
"Tum bhi na Kalyani," Aryan ne jhunjhlakar kaha, "Apna dhyaan bilkul nahi rakhti. Apni alag hi duniya me khoi rehti ho. Kitni baar kaha hai tumse..."
"Tumne Aisa kab kaha mujhse?" Kalyani ko naa chahte huye bhi Aryan me kisi ka aks dikhne laga tha, "chalo letter padho."
"Chup, ekdum chup," Aryan ne Kalyani ke hothon par ungli rakh di, "Chupchaap baitho. Main abhi first aid box lekar aata hoon."
Aryan ne bahut dhyan se jisse Kalyani ko zara sa bhi dard na ho, uski chot savlon se saaf ki.
"Dard to nahi ho raha Kalyani," Aryan ne haule se poocha.
Kalyani ne Naa me sir hilaya aur boli, "Ab padho use."
Kalyani ki harkato par Aryan ko hasi AA gayi, "Are principal madam, rukiye to sahi. Padhta hoon abhi." Ye kehkar Aryan ne chitthi padhna shuru ki.
"Dear Aryan, lagbhag teen saal pehle TV par maine Ferrero Rocher ka vigyapan dekha tha. Tabhi se maine baba se zid pakad li thi ki mujhe vahi chocolate khani h. Din Raat main har samay Ferrero Rocher ke hi sapne dekhti. Saawantwadi ki kisi dukan me uske na milne par main itna royi ki Baba ko harkar agle Sunday Mumbai jaana pada aur Ferrero Rocher Lani padi. Bahut acchi thi vo chocolate, ek dum sophisticated. Magar jab se Ferrero Rocher aai thi, maine santre ki toffee khani chor di thi. Ek din meri college me Kanchan se ladai ho gayi, to pata maine kya kiya? gali ke mod vali dukaan jaakar ek saath das santre ki toffee khareedi kyonki Ferrero Rocher khushiyan manane ke liye to perfect thi, magar dukh hota h to sirf santre vali toffee ka hi dhyan aata hai. Tum mere liye Ferrero Rocher ho Aryan. Ek sapne ki tarah haseen lekin kabhi main apna gussa tum par nahi utaar sakti, na hi doston se jhagda hone par tumhare kandhe par sir rakhkar ro sakti hoon. Uske liye to meri santre ki toffee..."
Padhte padhte Aryan ka gala bhar aaya fir bhi usne chitthi padhna jaari rakha, "Uske liye to meri santre ki Toffee Malharji hi theek hain. Main hamesha unko ignore karti rahi, kabhi kisi actor ke peeche pagal ho kar aur tumhe sunne ke baad to maine unka Dil kitna dukhaya. Magar ab main samajh gayi hoon ki khush rehne ke liye ek ladki ko safed ghodi par baitha sundar rajkumar nahin, bas sacche dil se pyaar karne vala seedha saada insaan chahiye. Jaanti hoon bahut gussa honge vo kyonki maine kabhi unki kadr nahin ki. Magar tumhare liye mere dil mein sirf ek attraction hai, Aryan, pyaar to main apne Malharji se hi karti hoon. So tata bye bye. Vaise bhi tum par to mujhse Kai zyada khoobsurat bade sheher ki ladkiyan Jaan chhidakti hain. Tumhe koi antar nahi parega. Main jaa rahi hoon Malharji ke paas. Pata nahin vo mujhe maaf karenge bhi ya nahi."
Ye kehkar Kalyani jane lagi to Aryan ne use awaz di, "Ruko Kalyani."
Fir Kalyani ka chehra apne paas le jakar Aryan ne kaha, "Maine kaha tha na ki chahe main kitna gussa hoon, tab bhi jab bhi tumhe meri zaroorat hogi, mujhe apne paas paogi."
Kalyani hakki bakki reh gayi.
"Ab bhi nahin pehchana tumne mujhe Kalyani?" Kaampte haathon se Kalyani ne Aryan ke chehre se jaise hi mask hataya, Kalyani ko vahi chehra dikha jise is samay vo sabse zyada dekhna chahti thi.
"Malharji..."Kalyani ke shabd tharthara rahe the, "Aap hi Aryan ho? Mujhe...bataya..."
"Malhar ki chuppi to tumhe samajh hi nahin aa rahi thi, Kalyani," Fir Malhar ne apna Dilli vala lehja istemaal karte hue kaha, "To I thought, Aryan ka style hi tumhe Malhar ke jazbaat samjha payega."
"I hate you Malharji," Kalyani ne munh fulate huye kahaa. Tabhi Malhar ne Aryan ka vo gaana gana shuru kiya jo Kalyani ne pehli baar suna tha.
Kalyani bhav khakar boli, "Agar Malharji mujhe manate to main kabhi nahin manti,. magar itna dashing rockstar Aryan mujhe mana raha hai to, main kaise gussa reh sakti hoon."
"Tumhe to main chorunga nahi," jaise hi Malhar ne ye kaha, Kalyani use thenga dikhakar bhaag gayi.
https://youtu.be/MGMh7kYzNqo
Aur isi ke saath meri pyaari behenon, ye FF hota hai khatm? kaisa laga ye FF please batana and please tell what was your favourite part/scene in this FF?