Sasu mein stories to Nahi likh sakati hun
lekin poem sirf tere liye try ki hai...hope u like
Saja tha kamara diye aur funlon se
Jaise Chand sitare utar aaye ho aasanamo se
Kamare me as Gaya Malhar bade Armanose
tak rahi thi nayi naveli dulhan ghungad ke sad se.
Muzase kya Sharma rahi ho
Tumhe kya mein kha jaunga
Dikhado apana Chand chehara
mere pyase Dil ko kararbmil jayeg.
Dulhan boli na Kuch sirf sharamate rehe gayi
Malhar ko laga yeh bandi so to na gayi
fir aayi thodi awaz muskurane ki
Jaan me Jaan aa gayi Commissioner Malhar Rane ki
Sharma to tum aisi rahi ho
jaisi ho tum nayi dulhan
Shadi ko ab ttane sal bite hai
Katta na Karo Mera man
Dulhan fir bhi Kuch na boli
Lekin Malhar Janata hai Woh Hain na bholi
Dulhan ke kirdar me Woh aaj ghus gayi hai
Malhar ko satane ke liye yeh natak Kar rahi hein.
Aaj to tum dulhan ke character mein hi ghus gayi
to kya samjhi tum muzase jeet gayi
Tumhe kya pata kis gunde se pada hai tera pala
Tera yeh plan mein fail Kar dala..
Ab to tumhe es gundese bachana hoga
mere bahon me tujhe aana hi hoga
Nakhare karogi to milegi tujhe saza badi
aaja mere pass meri pyari si kudi
kyon tum ho muzase aise dur ho khadi
Dil ko hoti hai takalif badi
kyo hai tum apane zid pe ho adi
mere Kalyani chalakh hai badi..
Mein aapase darati birati nahi
khudako tis mar khan samjhane to Nahi large ho Kahi
Mein sirf masum hi dikhane me
Asi pretty biwi dhundkar nahi milati tumhe..
Apane khoobsurati par etana guman na Kar
Kabhi to apane pati se thoda romance kar
Hamesha bachho ke sath bachhi banake ho reheti
mere ko to tum Kabhi ghas Nahi ho dalati
Kabhi pyar se aghosh mein liya to
bich mein aati hein Teri aayi
bachhe ko to pyar se fusalati reheti ho
lekin tere Aage meri to koi value hi Nahi..
Aaj to thoda mauka Mila hai
fizaon me pyar Ka Gul khila hai
Aaj kya tumhe sharmane Ka bhoot chada hai
bhagawan es ladaki Ka nakhara khup bada hai...
Aaj to tum muzase na bachogi
Mere girf se Kaha tum bhagogi
Aurangabada Ka mein singham aur hun me gunda bhi
Chal nakhare na Kar gale lagana tu mere abhi.
Are oh gunde mein bhi hun Aurangabad ki sherani
Apane man ki hum khud hi Rani
Aaj meine man mein hai thani
aaj tere hathon me yeh sherani na aani..
Achha ji bade dikha rahi ho aaj tevar
Tere zidagi Ka mein hun kimati jevar
Tumhe mere value samajh nahi aati
Tadakata reheta hai Tara masoom sa pati
khudako bada bhav de rahe ho
Aur muzapar apana Rob jata rahe ho
Agar mein tumako na milati to socho kya hota
mere Jaise pretty ladaki ko zidagibhar dhundata reheta.
wah wah tumhe Nahi lagata tum jada bol rahi ho
Bina pankh ke hawa me tum ud rahi ho
Socho mein na hota to Tera kya hota
Tere Jaise nakachadi ko kaun dusara seheta.
Muze tum na Kaho nakachadi
tumhara hi nak hai thodi tedhi
samase se dekha to lagata hai batata wada
Aaya Rob hamane Tu hamape bada..
oh MERI tikhi mirchi
mein hun hi tera batata wada
Ban ha Neri Hari chatani
to khane me aajayega Maza bada
Ab Aaya unt pahad ke niche
Aise Malhar hi Muze lagate hai achhe
Gunda banana aapake basaki bat nahi
Aise cutie pie dekhe hai Kahi??
yeh kya boli tum Kallu
firse ek bar bolana
Tere much se achha lagata hai muZe
apane aapako cutie pie sunana...
Are wah re wah bade aaye sweet sweet banake
Pata hai na aapako mein na jaungi na aapako Kahi chhodake
Aap mein hi basati hein meri sari duniya
Lo aapake Nahin me aa gayi aapali dulaniya.
Fir kamare mein huwa Andhera
Aakash mein tare chamakane large
Pyar ke gehere sagar me
do diwane gote lagane large.
Edited by Jsmp21 - 4 years ago