Bg music is bang on aazeen..😂😂😂😂Originally posted by: Aazeen02
If we see, Sampada is the most insecure person in the entire drama, literally.The others have atleast a house over their heads, she has nothing.
Aau sahib is the most unreliable lady you can ever find. She is nobody's. She can hate Samtharv one day, and then plan and plot along with them against Kalyani, who actually went to lengths to let them all live in that house, and also get their business running with her mother's saving.So Aau sahib toh Actually mein bin pendi ka lota hain, idhar se udhar ludhakati rehti hain.
Coming to Athatva, he has full plans of running away leaving Sampada, if she lands up in any trouble. That day only he said, Agar tumhara laal marr gaya na uss dawa se, toh Malhar tumhein chhodega nahi. Main toh chala jaaunga. Tum jaanna.He dusts his hands at the first case scenario... And domestic violence that he does... The day their luck dooms, Athatva is going to turn into an animal.
Do you remember what he did when he came to know that Sampada called her mother from Mumbai? He was literally choking her to death...
Aise Aadmi ke liye chodh ke gayi thi Sampada achhe khase Malhar ko... Ab jab Athatva chhodega na isko, tab Malhar ke pair pakad ke maafi maangegi, aur kahegi ke mujhe phir se apna lo Malhar...main bilkul badal gayi hoon... Mera yaqeen karo, main badal gayi hoon.
And in return Malhar will answer- Main bhi badal gaya hoon Sampada, yaqeen karo, pura ka pura badal gaya hoon... Tumhara pati hone par toh main phir bhi tumhein maaf kar deta, lekin Moksh ka baba hone ke naate main tumhein maaf nahi kar paaunga... Aur rahi baat tumhein apnane ki, toh Sampada main kisi aur ka ho chuka hoon, jo mujhe dil-o-jaan se chaahti hai aur main bhi ab Kalyani ke bina apni zindagi ke baare mein soch bhi nahi sakta... Khair, hum zindagi mein kayi aise faisle le lete hain, jinka sahi ghalat hum soch nahi paate, lekin Humein inn faisalon ke sath jeena padta hai... Ab tumhein bhi jeena hai, mere aur Pillu ke bina...
Bg Playing: Bhula dena mujhe, hai alvida tujhe... Tujhe jeena hai mere bina... Safar ye hai tera, ye raasta hai tera... Tujhe jeena hai mere bina...