Love and Love only💓💓💓💓 ViDev SS part 8,9, 10 - Page 6

Posted: 1 years ago

Nice one!!! But I'll have to read the previous parts to understand better... Thanks for tagging ❀️

Posted: 1 years ago

Nice chapters. Due to paucity of time i visited forum for few minutes. So dont get time to read these days. 

Thanks for tagging me

Posted: 1 years ago

Part 10

Rocky came and barked.

Vidhi: Dev Rocky warn kar rahe hein humein kee hum Baalghar mein hein. Yeh sab nahi kar sakte.

Dev ; Kyun?? Biwi ho tum meri. Aur daudke mein tujhe pakdun yahi toh chahti thi Naa tum.

Vidhi : Par aap aise mujhe baahon mein udayenge yeh toh unexpected thaa.

Dev : Toh utarun? 

Vidhi; Nahin..Mera matlab mujhe acchi lagti hein. Par bacche agar dekhenge toh kya kahenge?

Dev : Hamare bacche hein. Bahut samajhdhar hein. Mummy- Paapa ko disturb naa ho tabhi toh ground mein khel rahe hain.

Vidhi : Mummy Paapa !!

Dev : Iss Baalghar ke bacchon kee Paapa hoon mein. Aur tum unki Mummy. Yeh bhi toh hum donon kaa Ghar hi hein.

Vidhi smiled and nodded her head.

After spending some time with kids in Baalghar they both went to office. 

Kanika: Dev woh Miss Smitha aayi hein . Unhein  ek  project ko lekar tumse discuss karni hein..

Dev ; Okay mere cabin mein bhejo .

Kanika:  She is already there.

Dev : Fine. 

Vidhi and Dev goes to their respective places for work. Vidhi was feeling restless to know who is that Smitha.

Vidhi : Koyi bahana bhi nahi mil Rahi hein taaki cabin jaa sakun..Aur Dev phone karke mujhe bulaye bhi nahi. 

Almost two hours passed. And Vidhi's eyes got wide when she find some important documents.

Vidhi: Chalo accha hein..Iss mein waise bhi Dev ki signatures chahiye. Aur mein yeh leke jaati hun....Kuch kahenge bhi nahi Dev.

Vidhi took those files and walked towards the cabin ..She was about to knock the door which was already opened..She saw Smitha and Dev taking selfies . Both were helding each other's hands . Smitha was the first one to turn but unfortunately one of hair got stucked in Dev's shirt's button..Now both started trying to remove it

Vidhi knocked the door.

Dev : You are in right time Vidhi.. Please Zara isse kholo naa 

Vidhi kept the files in table and went near them..She gently removed the hair which was hanged in Dev's shirt.

Smitha : Thank you.

Vidhi frowned a smile 😁 

Smitha: Dev , time mile toh club house mein aana. Party kiye huye kitne time huye.

Dev : Actually woh

Vidhi interrupted; Woh kya hein naa Dev Raichand bahut busy hein. Flirt karne se pehle yeh toh sochna  chahiye kee saamne waale hot insaan ke bhi theen -chaar bacche hein.bacchon kee Paapa hein Dev Raichand. And myself unki wife Mrs Vidhi.

Smitha: Oh nice to meet you. Mujhe pata nahi thaa kee aap theen bacchon ki Mummy hein ....Anyways Dev I need to leave. Apni biwi aur bacchon kaa khayal rakhna. Bye.

As Smitha left Dev laughed so hard. 

Dev : Mujhe nahi pata thaa ki jealousy mein meri cute biwi mujhe theen bacchon kee Paapa banayegi.

Dev held her closer towards him.

Vidhi : Aap bhool rahe hein, theen nahin pachees bacche hein. Baalghar ke 25 bacchon ke Paapa hein aap... 

Dev : Unke saath theen aur jodenge , tumhari dil ki iccha hein naa theen bacchon kee mummy banne kee ? Ek husband hone ke naate isse pura karna mera farz hein. 

Vidhi: Hum cabin mein hein..Aur office mein yeh allowed nahi hein.

Dev : Accha ..Toh tum kyun aayi meeting ke time pe .

Vidhi: Woh woh files mein signatures chahiye thaa .. Mein toh wahi lene aayi.. Apna kaam ho toh kar rahi hoon mein...Aapki tarah flirting nahin.

Dev held her tightly and now his arms have encircled her waist and her hands were lying at his chest. He stared her intensely.

Dev : Mein bhi kaam hi kar raha hoon Vidhi..Kya kare Smitha ke saamne ek hot insaan hi khada thaa toh uske baalon kaa aise shirt button mein ulajhna koyi mistake toh nahi ho sakta. Tum nahi aati toh pata nahi kya kuch ho jaata. 

Vidhi: Kya ? 

Dev : Bahut kuch hota. Shayad baalon ko nikalte nikalte kya pata uski pair fisal jaaye aur mein usse yun baahon mein le lun !!! 

Vidhi wasn't able to say anything. She rolled her eyes towards his intense eyes. 

Dev : Duniya ke kisi bhi kaune se koyi bhi ladki kyun naa aaye Dev kaa dil toh bas ....Uski patni Vidhi ke liye dhadakta hein....Jal jalke tumhari naak ekdum sikut gayi..Thoda usko theek kar dun ? 

Dev rubbed his nose with her nose. Vidhi smiled and kept her hands around his neck. Meanwhile Sangeeta came there and knocked the door.

Sangeeta: Sorry , but coffee laayi thi Dev Sir aur woh client ke liye.. Lagta hein chali gayi. Mein yeh coffee cups rakh deti hun .

Vidhi : Dev chodiye naa. Sangeeta didi kya sochegi ? 

Sangeeta: It's okay. Nayi nayi shaadi huyi hein donon kee....Mein cabin bahar se close karke jaati hun. Warna koyi Naa koyi aa jaayega .

Dev : Ek favour chahiye Sangeeta. Bahar ek sticker laga dogi "Don't disturb "

Vidhi was pretty surprised with this deed of Dev. As soon as Sangeeta left Vidhi looked Dev 

Vidhi : Yeh kya kiya ??

Dev : Vidhi!! Zyada mat socho. Padhai, job, ghar ke problems kitna kuch chal rahe hein. Par iska matlab yeh thodi hein kee hum saath mein thode pyaare Pal naa guzare..... Waise bhi media waalon ne jab hamare beech kuch huwa nahi thaa tab scandal banaya thaa Dev Raichand apni premika ke saath mandir mein, office ke cabin mein romance karte the. Khule aam bayan kee maine kee mein Vidhi se pyaar karta hoon...

Vidhi laughed .

Dev : Kitni pyaari lag rahi ho hasti huyi.. Tumhari muskan se mujhe bahut sukoon milte hein Vidhi.

Vidhi: Aap bhi muskurate huye acche lagte hein. 

Dev : Theen bacchon kee Mummy nahi Banna hein naa tumhein ? Cricket team mein kitne players chahiye? Bata do naa.

Vidhi: Aap jaise ek chotu player chahiye . 

Dev : Mujh jaise ?!! Par tumhari nazron mein woh beta hero banega aur tum bilkul value nahi karogi mere 

Vidhi; Koyi jealous ho raha hein apne bete se.

Dev : Aisi baat nahi hein .

Vidhi: Nahi hein, sach mein nahi hein.

Vidhi started tickling at his belly.

Dev : Kya kar rahi ho ? Bola na nahi hein....

Dev blocked her hands by helding them behind and kissed passionately at her lips. She shyily looked down and took the files and pen. 

Vidhi::Woh signatures 

Dev : Kahan sign karne hein !! 

Dev asked without looking those files.

Vidhi : Aap bina pade documents sign karenge ?

Dev : Padh toh raha hun tumhari aankhon mein.

Vidhi smiled and pointed out the spot. Dev started signing the papers adoring her beauty. 

Vidhi; Ho gaya!!

Dev : Itni jaldi..

Vidhi nodded her head.

Dev : Par mujhe joh signature chahiye woh Mila nahi abb tak. 

Vidhi took the pen and wrote something at back neck of Dev. 

Vidhi : Daali hein signature maine.

Dev : Yeh toh Batawo kya likha ? 

Vidhi: Khud hi dekh leejiye...Mein nahin batawungi..

Dev : Par ?!

Vidhi: Sh !!

She kept index finger at his lips and kissed at his cheek . 

Vidhi: Mehnat Karo Naa Dev. Bye . 

Vidhi ran shyily from there with a smile.

At Raichand house

Satyawati:  Kab tak aise baithi rahogi ? Tum bhool rahi ho tum ek doctor ho. 

Priya : Mein ladke yahan se jaake kuch haasil toh kar nahin paayi. Aap sahi hein..Mein kisi bhi kaam ke liye laayak nahi hoon. Not a good wife, a good mother, a good daughter in law.

Satyawati: Maine gusse mein kuch keh dee toh mujhe meri galtiyon ke ehsas karne ke bajaye tum kaune mein baithke ro rahi ho. Kahan gayi woh boldness joh tumhari khoobi hein ? 

Priya ; Mummy ji!!

Satyawati: Priya, Abhimanyu kuch karne ke liye nikal pada hein. Yeh dooriyan shayad tum donon ko aur kareeb laane ke liye kya pata kismat kaa ek khel ho ? Kabhi kabhi Jab paas hote huye bhi hum apnapan mehasus nahi karte . Lekin dooriyon mein jihnein miss karte hein unki yaad bahut aate hein. Simi ko maine school ready karke bheji. Yahan baithegi toh shayad uska mood bhi off hogi. Tum hospital jawo . Work is worship.

Priya: Yeh aap keh rahi hein Mummy ji ??? 

Satyawati: Kyun mein apni galti sudhar nahi sakti ??? Mein toh parampara nibhayi par iska yeh matlab nahin kee har kisi ko mein unki rights milne se rok lun.. I am sorry Priya. Abb se mein tumhein job karne se nahin rokungi.

Priya hugged her emotionally.

After Priya left Satyawati looked Shantanu's photo. 

Satyawati: Mujhe pata nahi kee mera aisa karna theek nahin kee nahin... Par Shantanu ji, bacchon ke dil dukhake parampara nibhane se mujhe kya milegi ? 

She folded her hands before him and asked driver to drop her at Mehta house.

Mehta house

Chitra : Maa, aap!! Aayiye naa. Mein toh wahan aane waali thi. Kitna kuch huwa Ghar mein.

Satyawati: Chitra, uss din tum mujhe aur Dev ko  bata rahi thi Naa Baalghar ke trust kaa kaam tum dekhna chahti ho. Uski saari details iss file mein hein. Tum aaj se isss kaam pe lag jawo.

Chitra : Par Maa aapko toh mera yeh karna pasand nahi, Yeh toh Dev Bhai ke authority mein aate hein naa 

Satyawati: Dev se meri phone pe baat ho chuki hein. Woh bahut khush hein kee mein yeh kaam yeh zimmedari tujhe de rahi hun. Waise Amba kaisi hein? 

Chitra : Andar aaram kar rahi hein. Treatment chal rahi hein naa. Vikram thode din ke liye aaye huye hein ..Dubai jaane se pehle thoda bahut Amy Mausi ke company ke kaamkaaj Vikram sambhal rahe hein. 

Satyawati: Kya mein dekh sakti hoon Amba ko ?

Chitra took Satyawati to room 

Amba: Dekh rahi ho naa aap.... Mujhe laga kee aap kabhi nahi awogi . Aapke bete aur Bahu ko kitni pareshaniyan dee ?? Dev ko paane kee Meri ziddh saari seemayein paarke Vidhi  ke zindagi ke saath khilwad karne lagi thi iske ehsas hone mein kaafi der huyi..Mein puri pagal nahi hoon. Yeh toh ek psychiatric bimari hein....Dariye mat mein aapko kuch karungi nahin. Dekhiye mere haathon mein bhediyan bhi nahi hein....

Satyawati: Sambhalo khud ko Amba . Meri beti kee shaadi iss Ghar mein huyi hein. Tum iss Ghar ki badi ho . 

Amba: Yahi toh problem hein. Parents ke death ke baad sahi raah dikhane waala koyi thaa nahin. Vikram ko maine paala ,kyunki uske parents ko toh unke divorced life mein Vikram ko dekhne ke liye time hi nahi mile...Mujhe sab kuch maanta hein woh. Isliye thoda rude behave Kiya thaa. Mere harqaton ke liye maafi mujhe kabhi nahi milegi. Phir bhi ho sake toh maaf keejiyega. Please forgive me.

Satyawati: Dil chota naa karo Amba....Dev aur Vidhi ek ho chuke hein. Milapini maa kee kripa se donon har mushkil mein saath khade hein. Chitra apni Mausi kaa khayal rakhna.

Chitra nodded her head.

To be continued πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„

Posted: 1 years ago

Please read and drop your views 

Posted: 1 years ago

Loved the office romance☺ jealous vidhi aur flirty Dev!πŸ˜„

I wonder if ye amba sahi mei regretful hai bhi ya nahi?

Posted: 1 years ago

Originally posted by Revutty


Please read and drop your views 

Hello.. have been a bit busy.. will read all the parts and message πŸ₯°πŸ₯°

Posted: 1 years ago

Thank you 😊 Amba πŸ€£πŸ€£πŸ€£

Posted: 1 years ago

No problem πŸ‘ will wait for you πŸ‘πŸΌ

Posted: 1 years ago

Finally caught up on this..  jealous vidhi is so cuteπŸ₯° satya's changeover was amazing.. waiting for the next part



Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Teri Meri Kahaani - a ViDev FF part 2 updated pg 5

pencil Srj9   stackexchange 52   eye 5447

Srj9 52 5447 29 days ago Srj9
CHUPKE CHUPKE SE; ViDev; FS updated part 14 on page 19

pencil Shinika   stackexchange 137   eye 13654

Shinika 137 13654 1 months ago Saloni_1235
Devvrat and his Destiny/ Devvrat our unki Vidhi ; ViDev;OS

pencil Shinika   stackexchange 13   eye 1003

Shinika 13 1003 2 months ago Loving2Missing2
Videv FF: Undercover Cop and Business Tycoon ki love story

pencil LadyGaga123   stackexchange 56   eye 5212

LadyGaga123 56 5212 2 months ago LadyGaga123
ViDeV Once Again!!!

pencil Shinika   stackexchange 106   eye 5903

Shinika 106 5903 3 months ago Shinika

Topic Info

14 Participants 59 Replies 6411Views

Topic started by Revutty

Last replied by Srj9

loader
loader
up-open TOP