Chandni raat, Dhruv taare , Aap aur mein - ViDev OS - Page 3

Created

Last reply

Replies

29

Views

1362

Users

9

Likes

31

Frequent Posters

Nany thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Originally posted by: Revutty

Thanks a lot Nany...Teri comment ke liye wait kar di. Kya hua mujhe khud pata nahi? Mein bahut faltu writer hun re , mujhse kuch hota nahi..

Hatt pagal..kuch bhi..

Tu Hamse puchh le..khud ke bare me kuch na bol...we love your writing re

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Thanks 😌 love you lots πŸ’“πŸ’“πŸ’“

Nany thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Originally posted by: Revutty

Thanks 😌 love you lots πŸ’“πŸ’“πŸ’“

πŸ€—πŸ€—πŸ€—πŸ€—

Suvika. thumbnail
Visit Streak 365 0 Thumbnail Anniversary 11 Thumbnail + 7
Posted: 1 years ago

Originally posted by: Scissor

Hey revu.hope it's just an OS

And u are not feeling something else...

From last 3 days u are literally not feeling happy...

Hope it's just hormonal outburst due to pregnancy...its common....but try to remain motivated, happy and uplifted


Oh! Revutty is a mom-to-be!! Hearty congratulations!! πŸ₯³πŸ€—

Ice cream and / or chocolate milkshake help. Give them a try. They got me through two pregnancies and the associated psychological shifts. 

Parud7 thumbnail
Posted: 1 years ago

Yr itna na rula mein phle hi show ki wajah se bdi dukhi hoon😭

Otherwise likha to tune bht hi sync krk hai. Itni si bhi galti nhi hai proper nape tule shabdon mein bdhiya effects k sath k mjhe lga scene samne hi chlra haiπŸ‘πŸΌ

Thanks for tagging me

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Thanks a lot Parud. Rulane ke liye sorry yaar.

Geeta06 thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Originally posted by: Revutty

At Police Headquarters 

Commissioner: Mr. Dev Raichand, hum apne investigation jaari rakhe hein. Abhi tak koyi khabar nahi mili Vidhi Sharma ke baare mein.

Dev : Sir 8 months, it's been 8 months Vidhi is missing. Aur aap abhi tak pata nahi kar paaye Vidhi kahan hein ? Kar kya rahe hein aap log? Bewajah zabardasti usse arrest karwane ke liye aap aaye the meri office mein...Puri ek raat kitne dar se kaati thi Vidhi jail mein, pata hein aapko ?

Commissioner: Asli mujrim bhi toh pakde gaye naa Mr. Dev , aap woh kyun nahi keh rahe hein? 

Dev folded his hands before the Commissioner and said : Please I need my Vidhi. Please Sir usse dhoondiye.

Abhimanyu who was watching the way Dev was requesting to the Commissioner got surprised. 

Abhimanyu: Bhai!!

Dev : Gaadi Nikalo Abhi. Chalte hein yahan se. Yahan kuch hoga nahi. 

Abhimanyu: Bhai calm down. Jab se Vidhi missing hein tab se aap bahut bechain rehte hein. Naa theek se kuch khaate hein, naa theek se sote hein.... Sambhaliye apne aap ko Bhai. 

Dev : Nahi sambhal paa rahun khud ko. Abhi mein aankh bhi nahi mila paa raha hun Hariprasad ji aur Bimla ji ke saamne. She was my responsibility aur maine kho diya.....Apni ....apni Vidhi ko....

Abhimanyu: Bhai 

Dev : Chaabi do mujhe, 

Abhimanyu: Nahi Bhai. Aap aise bahut tensed hein. Aap drive nahi kar pawoge . 

Dev : Abhi , car keys do mujhe. Mujhe kisi kee humdardi kee koyi zarurat nahi hein. Dev Raichand is very strong person. I can handle myself. 

He shouted : Chaabi do mujhe!!

Abhi was hell shocked with the way he saw the anger in Dev's eyes and in his trembling voice. Without telling anything Abhi handover the keys to Dev and Dev started driving the car πŸš—. He was riding the car much faster as if he couldn't had control on himself. Memories shattered his mind and the last moment he saw her was striking his mind again. He recalled the way she said " Mera bhi yahi sapna hein kee mein aapke saath baithke dhruv taara dekhun". Those were the last words he heard from his Vidhi. At that night when he reached home he was feeling something bad is going to happen with Vidhi. He don't know why he was feeling like that but his inner soul was sensing like that. At midnight he received a phone call from Hariprasad. 

Dev : Hello, Hariprasad ji iss waqt aapne 

Hari Prasad: Dev saab !!! Meri beti abhi tak nahi aayi hein ghar. 

Dev : Kya ? Par woh toh nikal chuki thi Baalghar se. 

Bimla was crying and saying: Abhi tak das baar phone kar chuki hoon. Par uski phone nahi lag rahe hein.

Dev : Aap pareshan naa ho jaayiye. Mein aata hoon. 

As soon as Dev reached their house he got a phone call from the city police. Dev put the call in speaker. 

" Ji yahan high way mein ek accident huwa hein. Lagta hein uss mein aapke company kee staff ne travel ki hein. Kyunki humein uski Identity Cardili hai, jiss mein likha hein Vidhi Sharma, Accounts Department , Raichand group of companies. Rickshaw wala puri tarah se khayal ho chuke hein. Rickshaw highway ke paas ek lorry se takrakar khaaye mein gir gaye . Aur sirf ..."

Dev : Aur kya officer ? Vidhi kahan hein? 

" Abhi tak humein uski body nahi mili hein. Jiss jagah pe Rickshaw giri hein woh khaaye mein abhi bhi talashi jaari hein, woh khaaye bahut gehre hein. Baarish kee wajah se wahan keechad aur paani bhare pade hein. Isske andar se body...."

Hari Prasad screamed: Meri bacchi!!

Dev ; Kuch nahi hoga. Mein wahan jaata hoon. Aap inhen sambhaliye.

Bimla cried before Milapini mayya and said ; Meri Vidhi kee raksha karna.

Dev wasn't able to recollect the harsh memories more as the signal went on and the vehicles parked behind his car were pressing horns continuously. Dev thought: Kahan ho tum Vidhi? 

With this thought Dev drived again and reached Baalghar. He sat on the bench were they sat together for the last time. He looked upon the sky and said " Vidhi mein dekh raha hoon yeh dhruv taara. Par akele dekhne mein bilkul accha nahi lag raha hein. Tumhare jaane ke baad itna tadpa hoon kee abb mujhe tumhare siwah kisi aur ki fikar nahi. Yeh office staff kya kahenge, duniya kya kahenge, society, umra mujhe inn sab kee parwah nahi hein Vidhi. Mujhe parwah hein toh bas tumhari hein .....Aaj keh raha hoon Vidhi har Chandni raat tumhare saath baithke tumhare kandhon mein apne sir rakhke tumhari haath pakad ke dekhna chahta hoon mein Hazaron taaron ko. Tumhari sapnon ko sacch banana chahta hun. Sab kuch hoga Vidhi , sab kuch. Mein vaada karta hoon Vidhi mein saath rahunga hi nahi balki puri zindagi saath nibhawunga . Sacche dil se tumhein pura haq dunga sapne dekhne kaa, mere saath haath milakar , kadam se kadam milakar chalne kaa sab dunga Vidhi. Mera jee kar raha hein tumhein gale se lagane kaa. Aisa kya keh diya maine kee tum mujhe chodke chali gayi Vidhi? Laut awo Vidhi, please Laut awo Vidhi. " 

" Sir "

Dev was surprised to hear the sweetest voice whose him was a habitat. He turned back and saw Vidhi in an anarkali white salwar suit. 

Vidhi: Mein yahi hoon. Mein aapko chodke kahan jaa sakti hoon? 

Dev went forward and looked her eyes and smiling face. He cupped her face and looked her

Dev : Vidhi!!!

Vidhi: Sir aap itne pareshan kyun hein? Mein Ruhi ko sulane gayi thi andar woh ro rahi thi Naa, isiliye. 

Dev : Chalo Vidhi ,tumhare ghar chalte hein. Tumhare Paapa -Maa bahut pareshan the.....Kahan kahan nahin dhoondha maine tumhein? 

Vidhi: Jab mein aapke paas thi tab aapne khud ko aur mujhko umra ki seemawon mein rok liye. Mein duniyadaar nahi hoon. Bahut choti hun par Sir mera bhi dil hein. Dard hota Hein uss mein.

Dev : Mujhe maaf kar do Vidhi. Mein hi naasamajh hoon. Bahut bewakoof hun joh tumhari pyaar ko paakar bhi usse aise khatam karne ke liye kaha jaise kee koyi cheeze ho jiska use and throw ho sake. Tumhari naadani dekhkar mujhe woh saare kehne pade Vidhi warna bilkul nahi kehta. 

Vidhi: Aap toh mujhe apne humsafar ke roop mein kisi aur ko apnane ke liye kaha joh mere humumra ke ho . Kya lagta hein aapko humumra ke jeevan sathi paana hi pyaar hein, wahi shaadi hein, wahi sab kuch hai? Kya sochkar aapne mujhse itne karare lafz kahen joh mere dil ko jala diye ....

Dev : I am sorry. Par mein practical hoke baatein kar raha thaa. Par dil kaa sacha pyaar iss practicality se bahut upar hein. Isse samajhne mein mujhe waqt laga. Abb mein aisa kuch bhi nahi kahunga.

Vidhi: Toh vaada keejiyega abb hamare beech koyi bhi faasle nahi hein, joh hein woh sirf pyaar hein. Pyaar ke siwah kuch bhi nahi.

Dev held her hand and said: Mein sacche dil se vaada karta hoon Vidhi hamare beech pyaar ke siwah kuch bhi nahi hoga. Ekdum sacha vaada. I love you Vidhi.

Vidhi: I love you Sir.

He hugged her emotionally.

Vidhi: Sir kyun naa thodi der wahan baithe?

Dev : Vidhi, humein Ghar Jaana hain

Vidhi: Please Sir. Thodi der uss bench pe baithenge. Dekhiye naa dhruvtaare humein dekhke has rahe hein ...

Dev: Haan Vidhi

Vidhi: Sir aakhiri baar aap kab dekhe the taaron ko ? 

Dev : Yahin pe, tumhare saath baithke . Hum paas the, tum mujhe issi dhruvtaare ke baare mein bata rahi thi. Aur maine kaha kee

Vidhi: Mujhe yaad hein....aapka man karta hein jab bhi mein apne kuch sapne batawun toh haa kahun. Par aapki dimag kuch aur hi kehte hein. Chodiye naa Sir , aapko toh dil kee bhasha hi samajh nahi aati 

Dev : Toh tum samjhawon naa Vidhi, tumhari lafzon mein, tumhari aankhon mein dil kee bhasha samajhna chahta hun...

Vidhi: Toh phir mere haath dhaame se kya rok rahe hain aapko ? 

Dev : Pata nahi. Tum masoom ho aur mein...

Vidhi: Abhi abhi vaada kee hein aap......Aap mere godh mein letiye , sab samjha dungi.

Dev : Mein baccha thodi hun Vidhi? 

Vidhi: Mere liye toh aapka dil ek pyaare sacche , masoom se bacche jaise hein..Aapki muskan ne har baar mujhe aise hi ehsas dilayi hein ...

Dev : Vidhi!!!

Vidhi: Zyada sochiye mat. Bas meri aankhon mein dekhiye aur mere godh mein letiye. Aapke saare dard mein Yun hi chutkiyon mein door karungi.

Dev : Aur tumhare dard ka kya ? 

Vidhi : Aap letenge mere godh mein toh meri saari takleef door ho jaayenge. Mera man ekdum bhannat hasenge kyunki Mere Dev Sir mere godh mein hein. Ekdum mere itne kareeb, mere tan aur man ke kareeb.....Yeh lamha kaafi hein Sir mere liye....

Dev gently lie down at her lap. Vidhi placed her little palm at his chest. He held it tightly and looked her eyes emotionally 

Dev : Kahan thi Vidhi itne din ? Abb toh aise pyaar kar rahi ho jaise kee pyaar ki barsat ho . Pehle mein itne dard kee aag mein jal raha thaa jaise

Vidhi: Sh!!!! Chup ho jaayiye aap. Aapki aankhon mein aansu ke boond nahi dekh sakti mein. Mein aapke maathe ko yun sehlati rahungi. Aapke dard mit jaayenge.

She started waving at his forehead. Dev felt very much relief in that touch. 

Dev : Vidhi , mujhe neend aa rahi hein. 

Vidhi: Haan toh aap so jaayiye naa Sir mere godh mein. 

Dev :  Par humein jaana hein.

Vidhi: Iss Chandni raat, dhruv taare, aap aur mein yeh lamhe baar - baar thodi Naa...

Dev tightly held her hands and said in husky voice: Baar - baar aayenge.... Zarur.....

Vidhi's eyes went teary and one of the year drop fell down at his forehead. Dev raised his palm and wiped her tears. 

Dev : Mein hoon tumhare sath, toh phir ro kyun rahi ho? 

Vidhi: Aansu toh aise hi aati hein, khushi mein bhi dukh mein bhi. 

Dev : Abb yeh aansu bhi nahi aani chahiye hamare beech. Bas tum aur mein, hamare pyar. 

Vidhi kissed at his forehead and he kissed at her cheek. Vidhi continued waving his forehead and slowly Dev felt asleep. 

"Dev , Dev ."

Dev opened his eyes and turned his head. He find Satyawati standing before. 

Dev : Maa, dekhiye naa Vidhi waapis aa gayi. Woh maa baatein karte mein aise hi Vidhi ke ...

Satyawati: Dev , Vidhi!!! Kahan hein Vidhi. 

Dev : Maa aapke saamne hi toh hein. Abhi ..

Dev stood up and pointed out his hand near the side. Mere saath khadi hein. 

Satyawati: Dev!!!! Hosh mein aa jaa beta. Vidhi nahi hein tumhare saath. 

Dev : Yahi hai, mein bata raha hoon Naa....Tum kuch kehti kyun nahin Vidhi ? 

Dev turned to the side and realized that it was just his heart's deepest illusion only. 

Satyawati: Abhi bata raha tha tu gaadi akele drive karke aa raha tha. Beta kuch pata chala?

Dev nodded his head in sign of No

Satyawati: Dev !!!!

Dev : Mujhe akela chod deejiye please. 

Satyawati nodded her head and left away. 

Dev sat at the bench again and with full of pain he screamed: Vidhi!!!!!!

Except the star there was no one to hear his heart's painful scream. 


I don't know how it came from me  and by the end I am crying like hell. This just came from heart and I seriously don't know what stuff I wrote here. Please read and drop your views.











 


O yaar... Dev ko itna dukhi.. Itna pareshan nhi dekh skte... But mujhe lagta hai ki aisa ek track hona chahiye... Chota sa separation vala... Dev ko realize ho vidhi ki kami.. But aapne jo likha hai yaar... It is so heRt touching.. Dev ko kisi ki parwah nhi hai.. Bas vidhi chahiye... So so good yaar.. Ho sake to next part likhna sweetheart... Loved it

But first of all do take very good care of yourself yaar... 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Thanks a lot Geeta. Yeh likhte waqt mood theek nahi thaa. Next one mein try karti hoon happy wala 

Geeta06 thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Originally posted by: Revutty

Thanks a lot Geeta. Yeh likhte waqt mood theek nahi thaa. Next one mein try karti hoon happy wala 

Jab bhi aapko theek lage yaar

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Please read and tell your views guys πŸ™