Na Umra Ki Seema Ho

Vidhi's reply to Dev's Letter - Fan Fiction

Anupreeya thumbnail
Anniversary 3 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 1 years ago

After Satyavati breaks off Dev's engagement with Amba and confronts him about his feelings with Vidhi, Dev tries to open up to Vidhi but alas unsuccessfully. Tired of waiting for her son to muster up enough courage anytime soon, Satyavati decides to take matters into her hands. She visits Vidhi and hands her Dev's letter saying, "Yeh thi woh wajah jiske liye mujhe Dev ki sagai rokni padi thhi" and leaves. 


Vidhi sits down to read Dev's letter and is overwhelmed not knowing what to feel. She reads it again and again and again, tears constantly flowing down her eyes imagining how much Dev must have been suffering all these days. She was happy and sad simultaneously, a feeling she was all too well familiar by now - happy beyond words to have loved Dev but sad because of his never ending silence. She starts writing the reply to Dev.


"Dev Sir,


Aaj mujhe apne har sawal ka jawab mil gaya........ Aaj aapke inn shabdon ne woh sab keh diya jo ab tak main bas aapki aankhon mein padhne ki koshish karti thhi........ Aaj aisa lagta hai jaise mujhe sab kuch mil gaya ho, kyunki jo aaj mujhe mila hai usse khaas aur kuch nahin ho sakta........


Aaj jaake mujhe aapke pyaar ki gehrai ka andaaza huaa......... Mujhe toh gumaan thha apne pyaar pe, ki main aapse itna pyaar karti hun ki woh pyaar apne aap mein hi poora hai......... Par aapke pyaar ke saamne mera pyaar toh kuch bhi nahin......... Main sach mein bahut khushkismat hun ki aapne mujhe apne dil mein jagah di, mujhse itna pyaar kiya......... Mere liye bas itna hi kafi hai, sach mein, mujhe aur kuch nahi chahiye aapse...... Aapka pyaar hi mere liye duniya ka sabse khoobsurat aurar beshkeemti tohfa hai.......


Aur haan, aapki ek galatfehmi main dur karna chahti hun....... Yeh jo jasbaat hai humaare dil mein ek dusre ke liye, woh pyaar hi hai, koi infatuation nahin....... Pata hai kyun? Kyunki sirf pyaar hi aapko itni himmat de sakta hai ki aap kisi aur ki khushi ke liye apni saari khushiyan kurbaan kar de.......... Aur aap toh mujhse itna pyaar karte hain ki meri khushi ke liye har pal apni feelings se ladhte aaye hain.........


Main toh sochti thhi ki aapki khamoshi kshin aapka inkaar toh nahin......... Par humesha mann mein ek aas thi ki shayad aapki khamoshi mein hi mere liye thodi jagah ho aapke dil mein......  Saath mein yeh darr bhi thha ki kahin aap mana karna chahte hon aur mera dil na toote, isiliye aap saamne se manaa nahin karte........ Par mujhe kabhi samajh hi nahin aaya ki aapke andar itna sabkuch chal raha hai, itna sab dabaye baithe hain aap apne andar..........


Mujhe toh khush hona chahiye ki jis jawab ka mujhe itne dinon se intazaar thha woh aaj mujhe mil gaya........ Par jab aap itne dard mein hain, main khush kaise ho sakti hun........


Aapse ek baat kahun....... Maanenge na? Aap toh meri har baat maante hain na........ Yeh aakhri baat maan lijiye....... Promise main phir aapse kabhi kuch nahin mangungi.........


Khudko khul ke sabkuch feel karne ki permission de dijiye........ Isliye nahin ki humaara rishta aage badh sakey, walki isliye kyunki main aapko aise nahin dekh sakti, thaka hua, hara hua, har pal khudse ladhta hua........ Bhale hi humaara pyaar adhoora rahe, kabhi muqammal na ho, par iss dar se yun har pal ghut tey rehna kya sahi hai? Aur agar aap aise hi ghut tey rahe toh main khudko kabhi maaf nahin kar paungi........


Aapko haq hai mujhe kisi bhi naam se bulaane ka....... Aapko haq hai khul ke woh sab mehsus karne ka jiski gawahi aapka dil deta hai........ Bhale hi hum kabhi saath na hon, par khud se apne hi jasbaaton ko mehsoos karne ka haq mat chhiniye........ Please maan jaiye......... Main promise karti hun isse zyada main kabhi kuch nahin mangungi aapse......... Kabhi iss baat ka zikr tak nahin karungi........


Waise bhi sirf yeh ek ehsaas ki aapke dil mein meri ek jagah hai, mere liye kaafi hai poori umra bitaane ke liye......... Isse zyada naa Maine kabhi kuch chaha thha naa kabhi chahungi.........


Aapki,

Vidhi."

Created

Last reply

Replies

4

Views

269

Users

5

Likes

8

Frequent Posters

maddy124 thumbnail
Visit Streak 365 0 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 4
Posted: 1 years ago

That is so beautiful... ❤️❤️  

Plz continue this and bring them together ❤️❤️ 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

What a heart touching reply letter. The emotions depicted by Vidhi is written so deeper and soulful. The way she realized Dev has feelings for her, the way she was assuring it's not a mere infatuation it's the strongest feeling of love was praise worthy. She was telling she is incapable of seeing Dev fighting with himself and was telling him to feel every thing in the real sense. This is much needed for Dev. And one more thing the way the feelings which both were experiencing she was telling Dev he need to feel it freely without any constraints. It's a selfless way of love poured from heart. Totally you justified Vidhi here. I want this Madly to see onscreen from Vidhi. Makers please read it and give this meaningful dialogues to Vidhi. Yaar Anupreeya, you are very good writer with amazing writing skills. Loved it to the core 😍

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Anniversary 7 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

Simply No words to comment yaar!!!!!

banhi2021 thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 1 years ago

Excellent dear....❤❤❤❤