An AKSHAN Story- Tere bin ab na Lenge ek bhi Dam.(Chapter 37 updated) - Page 5

Created

Last reply

Replies

117

Views

15637

Users

8

Likes

226

Frequent Posters

Akshiyaislove thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

Thankyou everyone for all the beautiful comments.....



CHAPTER 13



JINDAL BHAVAN,
Arya was in the mandir praying to her Lord Krishna. No one was around her. Only she was present there.
Arya: Lord Krishna! Please aaj mujhe meri Angel se mila dijiye wo bhi bohot time ke liye. Pichle baar milaya tha to baat karne ka time bhi nahi mila tha. Please is baar Lambe time ke liye milana ki ham khoob sari baatein kar sake. Aur is baar Dadda ko bhi mujhe unse milana hai. Please kuchh aisa kariye ki mai un ko apni Angel se mila sakun. Please.....



AK'S HOUSE, 


AK was getting ready to go for shooting while she receives a call from her set that she need not come for shooting now but she has an evening shot to be done. So they give her an evening call time. So she decides to receive Ahaan from school after his school hours to give him surprise. She also thinks to talk to that girl she met days back. So just before an hour she leaves to the school by covering her face.



SCHOOL, 


AK reaches the school and goes to meet the Principal. The Principal was free so she was allowed to meet her.
AK: Good Afternoon Mam!
Principal: Good Afternoon! Please have a seat. Nice to meet you once again AK.
AK: Same here. Well! I just wanted to talk about Ahaan. Is he good here?
Principal: You need not worry about that. He is very much friendly to everyone and has made many new friends here. He is good at studies and other activities too. I have personally checked his performances and he is indeed doing very well.
AK: I am glad to here that. For now I just have no tensions regarding him relating to the school. Mam! How many days are left for the final exams.
Principal: Hardly one or one and a half month.
AK: Thankyou Mam! I will make him prepared for the exams.
Principal: Sure!
AK: I take your leave for now.
Principal: Won't you take Ahaan back to home. Only half an hour is left.
AK: I knew it. I will be waiting for him in the visitors room. Thankyou!

AK waits in the Visitors room and then she sees the same teacher who was with her when she met Arya for the first time. She goes to her.
AK: Excuse me Mam!
Teacher: Good afternoon AK! Aap yahaan?
AK: Haa, wo mai Ahaan ko lene aayi hun.
Teacher: Lekin abhi to thoda time hai ghar jaane me.
AK: Ha, mai janti hun. Wo mujhe kehna hai ki aap kya us ladki ko bula sakte hai jisse mai ne us din baat ki thi.
Teacher: Ha, mai bula dungi. Aap wait kijiye tab tak Mai aap ke liye kuchh snacks ka intezaam karwati hun.
AK: Us ki koi zaroorat nahi hai aap please unhe time par bula dijiye.
Teacher: Ofcourse! Jaise hi time hota hai mai Ahaan ko aur us ladki ko aap ke paas le aaungi. Aap yahin wait kijiye.
AK: Thank you so much.
Teacher: It's my pleasure to help you.
The teacher leaves and AK was waiting in the room.

After sometime the bell rings and Arya and Ahaan comes out of the classroom. Just then the teacher spots both of them.
Teacher: Ahaan, tum Chalo tumhe lene tumhari mother aayi hai.
Ahaan: Kya? Sach me Mumma aayi hai
Teacher: Haa.
Ahaan: Yayyyy!!
Teacher: Arya tum bhi chalo, wo tumse milna chahti hai.
Arya: Koun?
Teacher: Tumhein yaad hai us din ek lady ne tumse baat ki thi wahi tum se milna chahti hai.
Arya thinks to herself,"Matlab Angel mujhse milne aayi hai. Unhe apna promise yaad hai. I love her. Thankyou Partner! Aap ne aaj mujhe unse milane ka plan bana hi diya. Thankyou ".
Teacher: Arya,Chalo. Kya soch rahi ho?
Arya: Kuchh nahi. Jaldi chaliye.
They all go the Visitors room.



VISITORS ROOM, 


AK was eagerly waiting for them. Ahaan sees her and runs excitedly towards her.
Ahaan: Mumma! I love you(and kisses her on her cheek)
AK: I love you too.
Ahaan: Kya surprise diya hai na aapne school aa kar. Aap shooting ke liye nahi gaye?
AK: Meri subah ki shoot nahi thi to maine socha ki mai aap ko lene aa jaun.
Ahaan: Achha kiya aap ne.
Here Arya was standing still in shock. Her mouth was open and she was continuously watching them even without blinking her eyes. Just then Ahaan sees her in this state.
Ahaan: Arya, tum wahan aise kyun khadi ho. Idhar aao na meri Mumma se milo.
Arya: Haa.
AK was surprised to see her.
Ahaan: Aise muh khol ke kyun khadi ho. Achha, maine kaha tha na ki meri Mumma sab se achhi hai. Wahi dekh ke tum shock ho gayi ho na.
Arya: Meri Angel sab se achhi hai (she says still being shocked)
Ahaan: Tum phir se aise bol rahi ho.
Arya: Haa.
Before they can argue further AK talks in between.
AK: Ahaan, tum ise jaante ho?
Ahaan: Ha Mumma. Yaad hai maine apni new friend ke baare me bataya tha, Arya. Ye wahi hai.
AK smiles listening that.
AK: To aap ka naam Arya hai.
Arya: Haa. Mujhe nahi pata tha ki aap Ahaan ki Mumma hai.
AK: Koi baat nahi. Ab to aap ko pata chal gaya na. Aap ke liye maine kuchh laya hai.
She takes out Arya's kerchief and a chocolate from her purse and gives it to her.
AK: Ye lijiye! Aap ka kerchief.
Arya: Par ye chocolate mera nahi hai.
AK: Haa pata hai. Par us din aapne meri help ki thi na us ke liye. Mere Thankyou bolne ka style samajh lijiye ise. Lijiye. Chocolate!
Arya: Phir to mujhe bhi aap ko do do chocolates deni padegi na. Aap ne do baar meri help ki.
AK: Us ki koi zaroorat nahi hai. Hame koi chocolates nahi chahiye. Aap ki smile hai na bohot pyaari hai. Aap aise smile kariye bas. Mai ise aap ke taraf se chocolate samajh lungi.
Arya: Ok! Aap sach me bohot achhi hai. Aap sach me meri Angel hai.
AK: Aap mujhe Angel bulati hai.
Arya: Ha. Kyunki Angel hi princess ki help karti hai, jaise aapne meri ki thi.
AK: Awwww!!! You are so cute..(she kisses on her cheek).
Ahaan was standing their clueless about the situation .
Ahaan: Ye kya ho raha hai yahan. Mumma, aap to mujhe lene aayi thi na to phir aap Arya se kyun baat kar rahe hai. Aur aap is ko pehle se jaanti thi to aap ne mujhe bataya kyun nahi.
They both look at him and starts laughing.
Ahaan: Aap donon has kyun rahe ho?
AK: Kuchh nahi. Mai aap ko sab kuchh baad me bataungi.
Just then someone comes and asks Arya to go out as someone is waiting for her to take her home.
Arya: Agar Dadda aaye na to mai aap ko un se milaungi.
AK: Ok! Ab chale.


They both come out of the school. Arya sees only the driver and goes to him.
Arya: Uncle! Dadda nahi aaye aaj mujhe lene.
Driver: Nahi, isiliye to unhone mujhe bheja hai aap ko lene. Aap chaliye.
Arya: Aaj hi unko nahi aana tha. Mujhe unse abhi milna hai.

Arya was feeling restless as she has to immediately say to him about her Angel and make him meet her too. But here he is not there. An idea pops in her mind.

Arya: Uncle! Aap mujhe, Ahaan ko aur Angel ko restaurant le kar chaliye. Dadda, to restaurant me hi honge na.
Driver: Achha thik hai. Chaliye.

Arya goes to AK.
AK: Kya hua aap ke Dadda nahi aaye?
Arya: Nahi. Lekin koi baat nahi mai aap ko unse phir bhi milaungi.
AK: Kaise?
Arya: Mai na aap ko restaurant le kar chalti hun. Wo wahin par honge.
AK: Tumhein kaise pata wo restaurant me honge?
Arya: Ufffoo🤦‍♀️ Wo chef hai aur wo restaurant bhi un ka hi hai to wo wahi honge na.
AK: Oh! Mujhe nahi pata tha na.
Arya: Koi baat nahi, ab chaliye.
AK gets thinking about Arya's Dadda being a chef and owning a restaurant too. She shrugs all her thoughts and goes with her.
They all sit in the car and when AK sees the driver driving to the route of Jindal Restaurant, she gets tensed and thinks to refuse to Arya but the time she can speak, the driver stops the car.
Arya: Kya hua Uncle?
Driver: Wo Sir keh rahe the ki wo doosre restaurant me honge.
Arya: To aap hame wahan le jaiye.
Uncle: Thik hai.
AK gets relieved and thinks," Pagal hai kya tu. Zaroori nahi har chef aur har restaurant tere Jindal Sahab ka hi ho. Duniya me aur bhi bohot saare log hai. 24 ghante un ke baare me hi sochte rehti hai. Tu kabhi kisi aur se nahi mil sakti kya, hamesha unse hi milne ka khayaal karti rehti hai. Agar tujhe unse milna hi hai to chali jaa seedhe unse milne. Nahi! Nahi, ye kya bol rahi hai, nahi milna hai hame unse, nahi milna hai".
They all reach the restaurant. This restaurant also belongs to AJ. He built it in these  6 years, so she didn't knew. They all get inside. AK was covering her face and Arya takes them to a separate room without public. They all settle themselves. A waiter comes to them and takes orders.


RESTAURANT, 


Arya: Angel! Kaisa laga aap ko yahan?
AK: Bohot Achha hai. Aur Achha kyun nahi hota after all it's my princess's place. Right?
Arya:Yes. Aap ko ek secret wali baat bataun mai.
AK: Haa.
Arya: Is se pehle na maine apne Dadda ke siwa kisi ko mujhe princess bulane ki permission nahi di. Lekin sirf aap ko hi hai kyunki aap meri Angel ho na.
AK: I love you. You are so sweet.
Arya: I love you too (she kisses on her cheek). Aap yahin wait kijiye mai Dadda ko bula ke aati hun.
AK: Ok!
Meanwhile the waiter comes and serves them. AK and Ahaan talk about how she met with Arya.
Arya goes to the kitchen and a chef stops her from entering the kitchen. He comes to her.
Chef: Aap yahan kyun aaye hai?
Arya: Dadda kahan hai?
Chef: Sir to yahan aaye hi nahi.
Arya: Wo nahi aaye hai. Lekin wo to yahin aane wale the na.
Chef: Ha , shayad unhe aane me time lagega.
Arya: Thik hai.
Arya becomes sad and goes to them. Arya sits on the chair and starts eating the cookies. She was continuously munching without a break, she stops eating when she hears her Angel calling her.
AK: Kya hua aap ko? Tab se aise khaye ja rahe hai,  kuchh bol kyun nahi rahe hai aap.
Arya: Kuchh nahi wo Dadda yahan nahi hai.
AK: Ha to usme kya hua?
Arya: Nahi, wo mujhe aap ko unse milana hai, isliye. Shayad unhe late hoga aane me.
AK: Koi baat nahi, ham thodi der wait kar Lenge.
Arya: Sachi?
AK: Muchi. Ab aap na smile kariye. Maine kaha tha na ki aap mujhe smile karte hue bohot achhi lagti hai. So smile.
Arya smiles.
AK: Aap na bilkul meri tarah hai.
Arya: Phir to aap mere Dadda ki best friend hui.
AK: Kaise ?
Arya: Kyunki Dadda kehte hai ki mai bilkul un ki best friend ki tarah hun. To aap aur Dadda ki best friend same hui na.
AK thinks to herself, " Is ke Dadda ki best friend ka to pata nahi lekin ye bilkul meri tarah hai. Baatein to suno uski, us ke Dadda na bilkul Jindal Sahab ke tarah honge, tab hi to ise sambhal paa rahe hai. Koi normal insaan ise nahi sambhal Sakta. Tu kya haan? Har baar un ke baare me sochte rehti hai, yahan bhi shuru ho gayi".

Ahaan: Mumma! Aur kab tak ham yahaan wait karenge.
AK: Thodi der wait kar lete hai na, Arya ko Achha lagega.
Ahaan: Ok!
Ahaan and Arya were talking and playing with each other while AK was checking on her phone, just then she feels something. A strange but a familiar feeling. Something weird but some lovely feeling. The feeling of him being near to her. "Ya! That's right.... What, is he here? How can that be possible? Why, can't it be? But not now coz I am here.... No I just have to leave this place ASAP. Can't wait here for an other moment". With these thoughts she gets up from the chair hurriedly shocking the two kids there.
Ahaan: Kya hua Mumma?
AK: Wo mujhe yaad aaya ki .....shooting ? Ha shooting hai na meri. To mujhe jana hoga.
Arya: Par aap to Dadda se mile bhi nahi mile. Aap chale jaayenge.
AK sees her cute face and doesn't want to resist but thought if she waits what if he comes in front of her.
AK: Koi baat nahi na. Mai phir kabhi unse mil lungi. Abhi na bohot late ho chuka hai. Aap ke Dadda bhi shayad kuchh kaam me busy honge isiliye unhe aane me late ho raha hai. Ham chalte hai, Bye !
Arya: Bye!
Arya sits in AJ's cabin. She was very sad and was waiting for him.



OUTSIDE THE RESTAURANT,


AJ gets out of his car and was about to enter the restaurant, one of his clients calls him. He receives the call and was talking standing near the gate. He feels something. Feeling of his life around him. He looks around searching for her but couldn't find her. AK comes out of the restaurant and then AJ turns to the other side to look for her.
AK covers her face with the scarf and was heading towards her car along with Ahaan when she was setting her scarf something falls from her hand but she didn't noticed and gets into the car.
AJ ends the call and enters when he sees something lying on the ground near the gate. It seems to be very familiar. He picks it up and gets tears in his eyes seeing that. He keeps it inside, wipes his tears and gets inside.

Receptionist: Sir! Aap abhi aaye.
AJ: Yes.
Receptionist: Sir! Wo Arya aayi thi  aapse milne.
AJ: Aap ne mujhe bataya kyun nahi . Wo chali gayi ya abhi bhi andar hi hai.
Receptionist: She is waiting for you in your cabin.
AJ: Ok!
AJ goes to his cabin.



AJ'S CABIN,


Arya was sitting on the chair and resting her head on the table.
AJ: Princess!
Arya: (in the same position) Bohot jaldi nahi aa gaye aap?
AJ realises she is angry. He goes to her picks her in his arms and makes her sit on his lap. She was still angry that she didn't even look at him.
AJ: Aap ghar kyun nahi gayi? Yahan restaurant kyun aaye aap?
Arya: Aap ko pata bhi hai mujhe aapsi kitni important baat kehni thi.
AJ: Par aapne to mujhe bataya hi nahi na.
Arya: Aap yahan par the jo mai aap ko batati.
AJ: To ab to aa gaya hun na.
Arya: Ab aane ka kya fayda, wo to yahan nahi hai na.
AJ: Koun nahi hai?
Arya: Angel.
AJ: Angel?
Arya: Ha wo yahaan aayi thi aapse milne lekin aap yahaan the hi nahi. Wo kitne der se aap ka wait kar rahi thi lekin aap to khud hi busy the.
AJ: Agar wo aayi thi to mujhse mile bina chali kyun gayi.
Arya: Sirf aap nahi hai jo busy hote hai na. Un ko bhi bohot saara kaam hota hai. Lekin wo phir bhi mere liye yahaan aayi aur aap ke liye wait bhi kiya.
AJ: Achha thik hai na, sorry. Mai unko bhi sorry bol dunga.
Arya: Kya karun mai aap ki sorry ka. Aaj maine Lord Krishna se prayer ki thi ki wo mujhe unse milaye aur aap ko bhi unse milade aur unhone poora plan bhi banaya tha par aapne use poora flop kar diya.
AJ: Sorry! Mujhe nahi pata tha aap yahan aane wale hai warna mai pakka jaldi aa Jata.
Arya: Aaaahh!!(holding her stomach)
AJ: Kya hua? Aap theek to hai na? Kya hua dard ho raha hai kya? Doctor ke paas le jaaun?
Arya: Aap ko nahi pata na, mai kitni der se ye baat aap ko batane ke liye wait kar rahi thi. Par aap to aaye hi nahi. Isliye mere pet me dard ho raha hai.
AJ: Aap ne mujhe dara hi diya. Bata dijiye ab.
Arya: Mujhe to aapse bilkul baat nahi karni lekin phir bhi bata deti hun kyunki agar nahi bataya to mujhe hi pet me dard hoga na.
AJ: Achha thik hai.
Arya: Maine aap se kaha tha ki mujhe us actress se milna hai, lekin aapne mujhe nahi milaya.
AJ: Haaa.
Arya: Maine kaha tha ki mujhe Angel se phir se milna hai lekin aap ne mujhe unse bhi nahi milaya.
AJ: Haa.
Arya: Maine aap se kaha tha ki mujhe Ahaan ki Mumma se milna hai, aap ne mujhe unse bhi milaya.
AJ: Haa.
Arya: Kya haa..haa.. bol rahe hai. Aap ne mujhe kisi se bhi nahi milaya lekin aaj mai un se mili.
AJ: Aap teenon se mil liye.
Arya: Wo teenon ek hi hai.
AJ: Kya??
Arya: Maine aap se kaha tha na ki Ahaan ki Mumma hi wo actress hai.
AJ: Haa.
Arya: Ahaan ki Mumma hi meri Angel hai.
AJ: What?
Arya: Ha. Jab mai unse pehli baar mili thi na tab wo school Ahaan ke admission ke liye aayi thi.
AJ: Ye to achhi baat hai na. Aap ke friend ki Mumma hi aap ki bhi friend hai.
Arya: Ab bas na ek hi insaan bach gaya hai jis se mujhe milna hai.
AJ: Koun?
Arya: Aap hi ki best friend.  Ab unse bhi aap milayenge ya mujhe hi unse milna hoga.
AJ: Mai hi milaunga.
Arya: Ab ho gaya na. Mujhe jo kehna tha maine keh diya ab mujhe aapse baat hi nahi karni.
AJ: Arya, please na. Sorry. Aap boliye mai aap ke liye Samose le kar aata hun.
Arya: Har baar aap aise hi karte hai. Mujhe nahi khana samose. Mai ghar ja rahi hun.
AJ: Mai drop kar deta hun aapko.
Arya: Aap to bohot busy hai na. Aap kaam kariye, mai driver Uncle ke saath chali jaungi.
AJ: Arya listen to me.
Arya takes her bag and leaves with the driver to the house.
AJ: Bohot ziddi hai, par utni hi pyaari bhi bilkul Guddan ki tarah.


Edited by Akshiyaislove - 4 years ago
plmzaq thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago

Fantastic update

Love it

Continue soon

poddav thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

superb one of the best story plz continue soon 

Akshiyaislove thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

Thankyou everyone for appreciating my work😊



CHAPTER 14


AK'S HOUSE,
Ahaan goes to his room and gets freshen up and comes out to have lunch when he sees his Mumma still in the house.
Revati: Ahaan, aaiye lunch kar lijiye.
Ahaan goes to AK,
Ahaan: Mumma! Aap abhi tak shooting ke liye nahi gaye?
AK: Abhi thoda time hai jane ke liye. Kyun kya hua?
Ahaan: To phir aap ne Arya se jhoot kyun kaha ki aap ko late ho raha hai.
Revati sees her and understands that she is hiding something.
AK: Maine jhoot nahi bola. Mujhe ghar pe thoda kaam karna hai isliye mai jaldi aa gayi.
She goes to her room and sits doing some work on her laptop.
Revati thinks ,"Ye di ko achanak se kya ho jata hai. Samajh me hi nahi aata hai ki unko kya ho raha hai".
Revati and Ahaan have their lunch and Ahaan narrates the whole day to her.



JINDAL BHAVAN, 


Arya comes to the house murmuring to herself," Kitne khadoos hai Dadda, mai gusse me kya chali gayi mere saath aaye bhi nahi mujhe ghar tak chhodne. Is baar to mai unse pakka baat nahi karungi. Is baar unhone sirf apni princess ko hi nahi, meri Angel ko bhi naraaz kiya hai. Itni aasani se to maafi nahi milne wali unko".
While murmuring all these she collided with Durga.
Durga: Arya, tum? Abhi aa rahi ho tum? Aur restaurant kyun gayi thi?
Arya: Ha, late ho gaya mujhe aane me. Mai restaurant gayi thi Dadda se milne lekin wo wahan nahi the. Mai unke aane ka wait kar rahi thi isiliye late ho gaya.
Durga: Agar tum AJ se milne gayi thi to tum akele kyun aa rahi ho. Wo nahi aaye tumhare saath?
Arya: Aap nahi jaante, bohot busy hai wo. Kisi ke liye bhi time nahi hota hai un ke paas.
She goes to her room to fresh up while here AJ was standing on the door and he has listened to her.
Durga: AJ! Kya hua hai, Arya aise kyun bol rahi thi.
AJ: Kuchh nahi, mai us ke paas jaata hun.
Durga: Thik hai.
AJ goes to Arya's room.



ARYA'S ROOM, 


AJ enters the room and sees Arya lying on the bed.
AJ: Arya, I am sorry. Please... Aapko gussa karna hai to mujh par kariye na aise khane par nahi karte na. Ye dekhiye ye samose kab se wait kar rahe hai ki aap ise khaye aur aap hai ki kha hi nahi rahe hai.( he made the samosas in the restaurant and got it for her).
Arya gets up takes it from his hand and starts eating.
AJ: Ab to aap gussa nahi hai na.
Arya: Bohot gussa hun lekin aap par. Mere favourite samose ki kya galti hai isme isiliye mai kha rahi hun. Ab aap mujhse baat mat kariye. Waise bhi khana khate samay baat nahi karte.
And she again continues eating.
AJ: Mai ab samajh gaya hun ki aap mujhse isliye naraaz ho na kyunki mai aapke Angel se nahi mila aur un ko upset kar diya. To agar wo mujhe maaf karde to kya aap bhi mujhe maaf kar doge.
Arya: Bohot jaldi samajh gaye aap. Aap unko sorry boliye, agar wo maan gayi to mai bhi aap ko maaf kar dungi.
AJ: Lekin mujhe unse sorry bolne ke liye aap ki help chahiye.
Arya: Mai aap ko kaise help kar sakti hun.
AJ: Ab aap hi to mujhe unse mila sakte hai na.
Arya: Agar wo busy ho aur aap se nahi mil sake to.
AJ: To phir mai kuchh aur idea sochta hun lekin aap ko mujhse ek promise karna hoga.
Arya: Kya?
AJ: Jaise hi aap ki Angel mujhe maaf kar deti hai to aap bhi mujhe maaf kar doge.
Arya: Maine pehle hi keh diya tha na, aur agar maine keh diya us ka matlab wo promise hi hai. Mai bilkul apni Angel ki tarah banungi apna promise poora karungi. Lekin uske liye aap ko bhi apna promise poora karna hoga.
AJ: Ok!
AJ was dumbstruck by her words. He was thinking how much she has changed by the influence of her Angel. He decided not to miss an other  chance of meeting her.



AK'S HOUSE,
NIGHT,


Ahaan was roaming here and there when Revati comes to him.
Revati: Kya hua Ahaan? Aap aise kyun ghum rahe ho, abhi tak soye kyun nahi?
Ahaan: Maasi! Mumma abhi tak kyun nahi aayi?
Revati: Ahaan, Mumma evening call time pe gayi thi na to shayad late night shoot hogi, isiliye wo abhi tak nahi aayi. Aap so jaiye, kal aap ko school bhi to jaana hai na.
Ahaan: Aap ko pata hai na mujhe Mumma ke bina neend nahi aati.
Revati: Achha thik hai mai call Mumma ko call karti hun. Agar wo busy nahi hongi to wo aap se baat kar lengi to phir aap so jana. Ok!
Ahaan: Ok! Aap call kariye.

Revati calls AK. As she was in her makeup room she receives the call and informs her that she will be late tonight. Ahaan speaks to her and she convinces him to sleep.



JINDAL BHAVAN, 


Arya was going to her room to sleep while eating the chocolate her Angel gave her when she is stopped by AJ.
AJ: Arya!
Arya speaks to herself, "Oh,no! Dadda ne mujhe chocolate khate hue dekhliya".
AJ: Arya, maine aap ko raat me chocolates khane se mana kiya hai na, phir bhi aap abhi chocolate kha rahi hai. Kis ne di aap ko ye chocolate? Mummy ne diya hai ya phir Papa ne.
Arya: Ye chocolate mujhe meri Angel ne diya hai, isiliye mai ise kabhi bhi kha sakti hun, raat ko bhi.
AJ: Unhone aap ko chocolate kyun diya?
Arya: Kyunki maine un ki help ki thi na isiliye, ye unke Thank you bolne ka style hai.
AJ: This is the first and last time. Agli baar se raat ko no chocolates aur abhi sone se pehle brush kar lena.
Arya: Ok Dadda!
AJ gets an idea and calls someone.



GUDDAN'S ROOM, 


As usual AJ goes to the room and sits holding one of her pictures and starts speaking to her,
"Janti ho na tum kitna miss karta hun mai tumhe, kitni takleef hoti hai mujhe tumhare bina, phir bhi mujhse door ho, kyun nahi aa jaati mere paas. Janta hun mai tum bhi apne Jindal Sahab ke bina khush nahi hogi aur mai yeh bhi janta hun ki tumhe mujhe pareshaan karne me kitna maza aata hai, isiliye mujhe pichle 6 saalon se aise sata rahi ho na. Lekin ab aur nahi mai ab tumhe apni zindagi me waapas la kar rahunga aur is ke liye na tum dekhna mujhe tumhare Lord Krishna hi help karenge. Har roz na mujhe tumhare aas paas hone ka ehsaas hota hai aur aaj bhi hua. Ab na sirf ehsaas nahi hai kuchh saboot bhi hai. Pehle wo scarf, jo ki mai achhe se jaanta hun ki wo tumhara hi hai. Aur ab ye bracelet jo mujhe aaj restaurant ke bahar mila ye bhi to tumhara hi hai na. 6 saal ho gaye lekin aaj tak ye bracelet tumhare paas hi tha kyunki maine tumhe ye gift kiya tha na. Isse ye baat saabit ho jaati hai ki mai aaj bhi tumhari life ka hissa hun bas door hun. Ab ye dooriyan aur nahi. Yaad hai na tumhe kitni khush thi tum ye gift dekh kar aur kitne promises kiye the na ham ne saath me us din. Tum bas ek baar waapas aa jao uske baad na ham donon saath milkar phirse sab theek kar denge, saari promises ko poora karenge.


Flashback,
6 years ago,


It was the next day after knowing that Guddan is pregnant. Everyone were pampering her and taking extra care of her but she was angry on one and only person and he is none other than her Jindal Sahab. As usual he was late while returning home and she was hell angered on him. She was waiting for him for the past 3 hours but no, he is nowhere, not even now. He hasn't returned from his restaurant which she thinks, but no he isn't in the restaurant, which she doesn't know, then where is he. Where has he gone making her wait for him. After a long wait of 3 hours 58 minutes and 50 seconds which is almost equal to 4 hours, he has returned . Everyone were asleep except one, waiting for not to let him sleep until she lashes her anger on him. He stepped into the room to found the utmost silence. Don't be eased this is the silence before the storm. Yaa... toofaan ke pehle wala shanti.. She was sitting on the bed resting her head on the dashboard. He goes to her and sits holding her hand and cups her face with one of his hands.
AJ: Guddan!! Sorry!!(making a cute pout)
Guddan: Achha hua aap ko hamara naam to yaad hai. Hame to laga tha ki aapne apne wo files me hamara naam mila ke kisi client ko deal ke saath de diya hoga aur apni patni ko apne khane me mila ke restaurant me aaye kisi customer ko plate me rakh kar serve kar diya hoga.
AJ: Kaisi baatein kar rahi ho tum Guddan. Mai tumhein kabhi nahi bhul sakta. Patni ho tum meri......
Guddan: Oo! Matlab aap ko yaad hai ki aap ki koi patni bhi hai. Aap ko ye pata hai ki wo kis haalat me. Aap ko yaad hai ya nahi ki aap ki wo patni pregnant hai.
AJ: Mujhe nahi to aur kis ko pata hoga ki tum pregnant ho.
Guddan: Kyunki yahan par to sab ko yaad tha, par hame laga ki aap ko hi yaad nahi hai, to socha yaad dila dete hai.
AJ: I am sorry. Mai late nahi hona chahta tha but kya karun tum ho hi itni achhi ki mujhe itna time lag gaya.
Guddan: Matlab ab late huye hai to us ka ilzaam bhi aap hamare upar hi lagaiye.
AJ: Aisa nahi hai Guddan. Tum aur baby itne achhe ho na ki tumhare liye kuchh Achha select karne ke liye itna time lag gaya. Tumhari achhayi ki baraabari is duniya me koi cheez nahi kar sakti. Us ke baraabar ka to nahi lekin thoda Achha gift laya hun apni queen aur hamari princess ke liye.
Guddan: Kya laye hai.(excitedly)
AJ takes out a box and gives it to her.
AJ: Open.
Guddan opens it and sees it awfully..😃😃😃 It's a beautiful gold bracelet with full of stars hanging on it and a beautiful ending of letter A of diamonds.
Guddan's mouth was open seeing that.
Guddan: Kitna Achha hai yeh.
AJ: Tum se kam. He takes it from her hand and makes her wear it.
Guddan: Aap ye bracelet lane ke liye pichle 4 ghante se hame wait kara rahe the.(again on her angry mode)
AJ: Ye sirf ek bracelet nahi hai pyaar hai mera, tumhare liye aur hamare is baby ke liye(caressing her belly)
Guddan : Kaise?
AJ: Ye stars dekh rahi ho tum, samjho ki poori duniya me jitne bhi stars hai ye wo hai. Ye mera pyaar hai, utna jitne stars hai is universe me. Jaanti ho tum kitne stars hai is jahaan me?
Guddan nods in no.
AJ: Behisaab... behisaab hai wo stars aur mera pyaar bhi tumhare liye aur hamare is baby ke liye. Mere is pyaar ke liye koi measurements nahi hai. Is ki gehraayi ka andaaza bhi nahi hai. Tum aur hamara ye baby meri ek nayi world hai, sab se khoobsurat aur sab se sukoon wali duniya. Guddan: Aur ye A.
AJ: A se mera naam jo ki mere pyaar ke saath hamesha tumhare paas rahega. Mera naam tumse hamesha juda rahega kabhi alag nahi hoga. Agar tum chaho na tab bhi nahi.
Guddan: Aur ham kabhi alag hone bhi nahi denge.
Guddan is having tears in her eyes.
AJ: Tum ro kyun rahi ho(wiping her tears) Tumhe pata hai, ye aansu, yehi ek lauti cheez hai tumhari jo mujhe pasand bhi nahi.
Guddan: To phir to aap apni ye philosophy change kar dijiye. Aap ko to hamari in aansuon se pyaar hona chahiye kyunki ye hamare khushi ke Aansu hai, ye wo Aansu hai jo aap ke pyaar ki taras se bahar aa Jata hai.
AJ: Bohot badi badi baatein karne lagi ho tum. Kahaan se aate hai ye sab tumhare dimaag me.
Guddan: Ab ham bachhe to nahi hai na, ab ham hamare bachhe ki Maa banne wale hai, wahi se aati hai hame ye samajhdaari.
Guddan: Waise ye gift hamare baby ke liye to nahi hai to us ka gift kahaan hai.
AJ: Yehi hai wo hamari princess ke liye. Abhi ye tumhara hai jab princess aa jayegi to ye uska hoga na.
Guddan: Ek minute... Kya haan? Aap ko kaise pata ki princess hi hogi. Nahi, Mumma's boy hoga. Aur uske liye ye bracelet Achha nahi hai.
AJ: Achha thik hai, jo bhi hoga ham baad me dekh Lenge lekin jo bhi hoga hamara hoga, Guddan aur Akshat ka baby hoga.
Guddan: Hmm.

Both hug each other. AJ kisses her on her forehead.
Guddan: Thank you!
AJ: Ye kaisa Thank you hua. Bohot pheeka sa hai.
Guddan: Aap chef ho to har cheez me aap ko taste chahiye kya. Theek hai to kal mai aap ko chocolate de dungi, tab to aap ko meetha lagega.
AJ thinks,"She is still too naive".
AJ: Waise wala meetha nahi, kuchh aur......and starts moving close to her. She understands and kisses him on his cheek and pushes him away.
Guddan: Jaiye, ja kar fresh ho jaaiye. Hame bohot neend aa rahi hai. Aap ko ek baat bata dete hai ki aap ke bina na hi Mumma ko aur na hi baby ko neend aati hai isilye jaldi aa jaiye.
AJ: Ok!
He comes back and they both sleep hugging each other.
AJ: Ham hamesha saath rahenge na Guddan.
Guddan: Haa Jindal Sahab. Aap, ham aur hamara ye baby hamesha saath rahenge.

Flashback ends.

AJ keeps her picture back, locks the room and goes to sleep.



NEXT MORNING,


Arya was getting ready for school while someone knocks on the main door. As someone was about to go AJ stops and he himself goes. He takes something from him and goes to Arya.
Arya: Good morning!(still on angry mode)
AJ: Good morning Princess! Waise mai kuchh laya hun.
Arya: Kya laye hai aap(excitedly)
AJ: Is baar apne princess ke liye to kuchh nahi hai.
Arya:😔
AJ: Princess ki Angel ke liye hai.
Arya: Kya?
AJ: Haa. Aapne kaha tha na ki aap ki Angel ko manane ke liye koi idea sochna hai.
Arya: Haa.
AJ: To ye wahi hai.
Arya: Kya hai is me.
AJ: Chocolates. Unke Thank you bolne ka style hai na, to mera sorry bolne ka style samajh lo ise.
Arya: Idea to Achha hai par mai unhe kaise dungi. Agar wo nahi aaye to.
AJ: To kya hua, aap Ahaan ko de dena wo aap ki Angel ko de dega.
Arya: Haa.
AJ: Ab khush.
Arya: Us ke liye unhe aap ka ye sorry accept karna hoga na.
AJ: Wo bhi ho jayega.
Arya: Dekhte hai. Thik hai bye, warna mai late ho jaungi.
AJ: Bye. Take care!
Arya leaves.
AJ: Kaise nahi manegi. Meri princess ki Angel hai, mai nahi to aur kaun manayega use.

Edited by Akshiyaislove - 4 years ago
poddav thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

awesome update plz continue soon

plmzaq thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago

Amazing update

Love it

Cont soon.

Akshiyaislove thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Sorry for the late update.....



CHAPTER 15



AK'S HOUSE,
Ahaan wakes up and as usual gets ready for his school. He comes to have his breakfast when he only sees his Maasi on the dining table and not his Mumma.
Ahaan: Good morning Maasi!
Revati: Good morning Ahaan!
Ahaan: Maasi, Mumma kahaan hai.
Revati: Wo so rahi hai, kal raat shaayad bohot late ho gaya unhe aane me. Mujhe to pata bhi nahi chala ki wo kab aayi. Aap aao nashta kar lo.
Ahaan: Maasi, ek minute mai Mumma ko dekh kar aata hun.
He goes to her room and finds her sleeping. She was looking so cute while sleeping as if all her beauty lies in her sleep. He kisses on her forehead and wishes her.
Ahaan: Good morning Mumma!
AK moves in her sleep and murmurs Good morning.
Ahaan: Mumma kitni cute hai. Aap ko neend aa rahi hai na aap so jaiye mai aap ko disturb nahi karunga. Aap se kal raat se nahi mila hun na isiliye abhi aap se milne aa gaya. Abhi mai school ja raha hun aap se baad me baat karunga. Bye Mumma!

Ahaan had his breakfast and leaves with his Revati Maasi for school.



After sometime, 


Revati returns to home only to find the house in a complete mess. Everything was scattered here and there. She goes to AK 's room and sees the same condition. The whole room was a complete mess of all clothes, accessories and each and every stuff present.
Revati: Di! Kya hai ye sab?
AK: Revati! Kya kare ham? Hamari ek bohot hi important cheez nahi mil rahi hai. Kab se dhund rahe hai mil hi nahi raha hai.
Revati: Aap bataiye to sahi ki aap kya dhund rahe hai.
AK: Hamara wo bracelet nahi mil raha hai. Kal set par hamare paas nahi tha, hamne socha ki ghar par hoga lekin yahan bhi nahi hai. Kahan dhunde use samajh hi nahi aa raha hai. wo kahin kho to nahi gaya na, nahi please jaldi se mil jaaye..(she was speaking all the while searching for the bracelet).
Revati: Farak padta hai aapko.
AK realises what she has spoken right now that too in front of Revati.
AK: Wo kuchh nahi... ham kya keh rahe the ki wo..wo....
Revati: Aaj bhi aapko farak padta hai.
AK : Aisa kuchh bhi nahi hai.
Revati: To ye sab kya hai.
AK: Wo..bas....
Revati: Kya? Aaj bhi aap ko us insaan se farak padta hai. Unse Judi har cheez se farak padta hai.
AK: Nahi..
Revati: Ek bracelet hi to hai jane dijiye na.
AK: Wo sirf ek bracelet nahi hai wo unka.........Kuchh nahi.
Revati: Kabhi aap kehte hai ki aap apne ateet ke saamne nahi jaana chahti lekin aap kabhi aisa nahi kar sakti. Aap ko pata hai kyun? Mai batati hun aapko. Kyunki aap aaj bhi apne ateet ke saath jee rahi hai. Us insaan ke saath jee rahi hai jo aapke aaj ka nahi balki aap ke ateet ka hissa hai.
AK: Hame koi farak nahi padta, na hi unse aur na hi unke di huyi kisi bhi cheez se aur na hi ham apne ateet ke saath jee rahe hai. Ham apne aaj me hai aur hamare aaj me apne ateet ke liye koi jagah nahi hai. Yehi sachhayi hai.
Hame shooting ke liye jaana hai late ho raha hai ham fresh ho kar aate hai.
AK gets into the washroom.
Revati: Koi itne achhe se jhoot kaise bol sakta hai jisse ye achhe se saabit ho jaye ki wo jhoot bol rahi hai. Jeeju ki di huyi wahi ek aakhri nishaani thi aap ke paas aur aaj us ke kho jaane par maano jaise aap ki jaan chali gayi ho. Aap maan kyun nahi leti ki aaj bhi aap ko farak padta hai. Aaj bhi aap unhein nahi bhuli hai. Aaj bhi aap ke dil me un ke liye pyaar hai. Aaj bhi aap ka dil unke liye hi dhadakta hai. Kyun nahi chali jaati un ke paas. Koi baat nahi ab aap ke aur Jiju ki love story ko poora karne ke liye Lord Krishna ne aap ko Indore tak laya hai to aap donon ko milayenge bhi wahi aur aap donon ko apne pyaar ka ehsaas bhi kara denge.



SCHOOL, 


Arya and Ahaan were talking to each other when Arya remembers that she has to give the box to him. She takes it out from her bag and gives it to him.
Arya: Ahaan, ye lo.
Ahaan: Kya hai isme. Mere liye hai kya.
Arya: Nahi, ye meri Angel ke liye hai.
Ahaan: Kya?
Arya: Ha, kal tum aur Angel mere Dadda se milne ke liye wait kar rahe the na aur wo nahi aaye na to isiliye Dadda ne ye Angel ko dene ke liye kaha. Wo nahi aa paye na isliye Sorry.
Ahaan: Mumma ko iski zaroorat nahi hai. Wo to aise hi maan jaati.
Arya: Aise kaise maan jaati, mai khud apne Dadda se naraaz hun ki unhone hame itna wait karwaya. Mai unse baat bhi nahi kar rahi hun. Agar Angel ne Dadda ke Sorry ko accept kar liya na tab mai unse baat karungi aur unhe maaf karungi.
Ahaan: Budhhu. Aise koi karta hai kya. Agar Mumma ko pata chala na ki tumne aise kiya hai to unhe bhi Achha nahi lagega.
Arya: Isme kya galat hai.
Ahaan: Tumhe aisa nahi karna chahiye tha. Mumma ko kal sach me kaam tha isiliye ham ghar chale gaye aur tumhare Dadda ka wait nahi kiye, warna Mumma pakka unse milti.
Arya: Achha jo bhi hai, tum bas ye Angel ko de dena, baaki ka mai dekh lungi.
Ahaan: Ok!

AK'S SET,
AK was getting ready for her next shot in her makeup room when she receives a call from Revati.
AK: Ha kya hua? Abhi kyun call kiya hai.
Revati: Di! Aap abhi free hai kya.
AK: Nahi, abhi hamara shot hai. Kyun, is everything fine?
Revati: Ha di! Wo bas mujhe thoda sa kaam hai to mai Ahaan ko lene school nahi ja sakti, to mai soch rahi thi ki agar aap free hote to aap chale jate.
AK: Mera shooting hai, mai nahi jaa sakti. Koi baat nahi tum driver ko boldo wo carefully Ahaan ko school se ghar la dega.
Just then someone calls AK for the shot.
AK: Achha thik hai ham rakhte hai. Driver ko bol dena.
Revati: Ok!
AK: Ok, Bye!



SCHOOL,


The driver comes to pick Ahaan. The driver parks the car on the opposite side of the road to the school and was busy in checking the car. Ahaan decides to cross the road and go to the car before the driver comes. He comes out of the school and was crossing the road when a speed car was reaching him and was about to dash him when he was saved by a pair of strong arms. He just closed his eyes in fear and clinged to the man's body. The man takes him to his car, makes him sit and asks to open his eyes. Ahaan opens his eyes only to find his AJ uncle along with his friend Arya staring at him. He just hugged him releasing all his fear. AJ makes him relax and speaks to him.
AJ: Ahaan kuchh nahi hua hai. Aap bilkul thik hai. So relax. Open your eyes.
Ahaan slowly opens his eyes.
Ahaan: Wo mujhe bohot dar lag raha hai isliye.
AJ: Kuchh nahi hua hai. You are alright. Ok!
Ahaan: Hmm. Thankyou aap ne mujhe bacha liya.
AJ: Koi baat nahi. Waise aap akele kyun ja rahe the. Koi aap ko lene nahi aaya?
Ahaan: Wo driver Uncle wahan the to mai un ke paas hi ja raha tha .
AJ: Aap ko akele nahi jaana chahiye tha. Unke aane ka wait karna tha aapko.
Ahaan: (holding his ears) Sorry.
Just then the driver comes searching for Ahaan
AJ : (to driver) Abhi aap ko is bachhe ki yaad aa rahi hai. Aap ko pata bhi hai abhi accident hote hote bacha hai. Agar kuchh ho Jata to.
Driver: Sorry Sir! Wo car me kuchh problem ho gayi thi to theek kar raha tha.
AJ: Aap wo kaam baad me bhi to kar sakte the na. Pehle Ahaan ko apne saath le jaana chahiye tha. Aur in ke parents kahaan hai?
Driver: Wo log aaj nahi aaye. Unhe kaam hai.
Ahaan: Aaj Maasi bhi nahi aayi😔.
AJ: Ahaan ham restaurant chalte hai. Jab tak aap Car bhi theek kar lijiye.
Driver: Lekin sir, aap . Agar Madam ko pata chala to.
AJ: To agar aap ki Madam ko abhi jo hua wo pata chala to.
Driver: Sir, please aap unko kuchh mat bataiye. Meri Noukri chali jaayegi . Wo bohot gusse wali hai.
AJ: Thik hai nahi bataunga. Mai address batata hun aap car thik kar ke wahan aa jaiye.
Ahaan chaliye ham restaurant chalte hai.
They all leave for the restaurant.



RESTAURANT, 


AJ, Ahaan and Arya reach the restaurant. Some of the people see Ahaan and was trying to approach him when he feels afraid and holds AJ'S hand in fear. AJ understands and picks him up in his arms and takes him into his cabin. He orders a waiter to bring some snacks for him.

AJ: Ahaan aap ro kyun rahe ho?
Ahaan: Mujhe bohot dar lag raha hai. Mujhe Mumma ke paas jaana hai.(he says sobbing)
AJ: Aap ki Mumma shooting kar rahi hogi na. Aur aap ko dar kyun lag raha hai? Aap to brave boy ho na.
Ahaan: Haa, Ahaan is Mumma's brave boy.
AJ: Good! To abhi aap kuchh khalo. (And he feeds him)

After some time The driver comes to the cabin.



AK'S SET,


After completing a shot she takes a break and comes to her makeup room.
AK: Itni ghabrahat kyun ho rahi hai . Sab thik to hai na. Ahaan, wo kaisa hai. Pata nahi bohot ajeeb si feeling aa rahi hai. Driver ko call kar ke pooch leti hun.
AK calls the driver.

AK: Hello Driver!
Driver: Ha Madam.
AK: Aap kahaan par hai aur Ahaan aap ke saath hi hai na.
The driver gets panic hearing that.
Driver: Haa Ahaan Baba mere saath hi hai. Wo ham restaurant me hai Arya ke saath.
AK: Aap log restaurant kyun gaye hai. Aap Ahaan ko phone dijiye.
Driver gives the phone to Ahaan.

Ahaan: Mumma!
AK: Ahaan, aap thik to hai na?
Ahaan: Haa Mumma mai bilkul theek hun, mujhe kya hoga. Aur aap ko kyun aisa lag raha hai.
AK: Kuchh nahi bas aise hi. Hame kuchh Achha nahi lag raha tha isiliye. Aap ye sab chhodiye aur bataiye ki aap restaurant me kyun hai.
Ahaan gets confused what to say.
Ahaan: Wo Mumma, aaj Revati Maasi bhi ghar par nahi hogi na aur aap bhi nahi hai to Arya ne mujhe yahaan restaurant me bula liya, isiliye mai yahaan aa gaya. Aap tension mat lijiye uske Dadda bhi hai saath me.
AK: Aise kaise tension na le. Aap unko phone dijiye mai unse baat karungi.
As Ahaan was about to give him phone, he gets a phonecall and goes to receive it.
Ahaan: Wo to nahi hai.
AK: Abhi to aapne kaha tha ki wo hai. Agar wo wahan nahi hai to phir aap log wahan kya kar rahe hai.
Ahaan: Mumma shaant!! Wo yahin hai restaurant me. Abhi unko phone aaya to wo baat karne gaye hai.
AK: Achha thik hai.
Ahaan: Mumma, mai aapse kuchh poochun?
AK: Kya hua?
Ahaan: Mai Arya ke ghar jaaun kya?
AK: Kya? Aap wahan kyun jaayenge? Aap chup chap se driver ke saath ghar jaaiye.
Ahaan: Mumma abhi ghar me koi nahi hoga. Mai kya karunga wahan jaa kar.
AK: Ahaan ghar me house keepers hai, aap lunch bhi kar lena, Maasi thodi der me ghar aa jaayengi na.
Ahaan: Please na Mumma, mai sirf thodi der wahan rahunga, phir jaise hi Revati Maasi driver Uncle ko call karegi mai ghar aa jaunga. Promise. Please Mummma...Please.....
AK: Ahaan..
Ahaan: Mumma please....
AK: Achha thik hai but be careful. Jaldi ghar chale jaiye. Ok!
Ahaan: Thankyou Mumma!! I love you...
Voice: Mam, shot ready hai.
AK: I love you too. Abhi mai rakhti hun. Bye!! Take care..







Precap: Ahaan's first meet with Jindal Parivaar.

plmzaq thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Awesome

Love it

Continue soon

poddav thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Awesome update 

Love it 

Plz update soon 

Akshiyaislove thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 3 years ago

CHAPTER 16


RESTAURANT,

AJ: Ho gayi aap ki Mumma se baat?
Ahaan: Ha, wo aap se baat karna chahti thi lekin aap nahi the.
AJ: Koi baat nahi, mai abhi baat kar leta hun.
Ahaan : Nahi, wo abhi shooting ke liye chali gayi.
AJ: Achha, unhone kuchh kaha kya??
Ahaan: Haa. Wo bohot tension me hai.
AJ: Kisliye?
Ahaan: Mere liye. Pata nahi unko kaise sab kuchh pata chal jaata hai.
AJ: Aapki Mumma hai isiliye unhe sab pata hota hai. Ab to aap ko Achha lag raha hai na un se baat kar ke.
Ahaan: Haa. Ab ham ghar chale kya??
AJ: Aap ke ghar me to abhi koi nahi hoga na to aap wahan ja kar kya karenge?
Ahaan: Mere ghar nahi, aap ke ghar.
AJ: Mere Ghar??
Ahaan: Haa.
AJ: Aur aapki Mumma?? Unse permission li aapne?
Ahaan: Haa. Aapko pata hai wo maan bhi gayi.
AJ: Sach?
Ahaan: Haa. Unko bohot mushkil se manaya hai maine ab jaldi chaliye phir mujhe jaldi se ghar bhi jana hai. Ya phir aap mujhe nahi le jana chahte?
AJ: Aisa kuchh nahi hai. Infact mai to aapse khud poochna chahta tha lekin ruk gaya ye soch kar ki aapki Mumma aapko permission nahi degi.
Ahaan: Koi baat nahi, maine to aise hi keh diya. Ab chaliye.
They both were ready to leave when AJ sees Arya glaring at them. He asks the driver to make Ahaan sit in the car and he goes to her.

AJ: Kya hua princess?
Arya: Aise koi karta hai kya?
AJ: Kya hua? Kisine kuchh kiya kya??
Arya: Aap ke hote hue koi aur kuchh kar sakta hai kya.
AJ: Ab kya kiya hai maine?
Arya: Ahaan ke aate hi aap mujhe bhool gaye na.
AJ: Arya, aisa kuchh nahi hai. Ahaan ke saath jo hua aapne dekha na. Kitna dar gaya tha na wo.
Arya: To kya? Aap mujhe hi bhool jaayenge. Kab se dekhe ja rahi hun aap usi se baat kar rahe hai. Aapne meri taraf dekha bhi nahi.
AJ: Aap bataiye, agar aap dari hui hoti hai to aap kya karti hai? Mere paas aati hai na. To usi tarah hai ye. Lekin yahan Ahaan ke paas uski Mumma nahi hai, na hi uske family me se koi hai to mujhe us ki care karni hogi na. Wo to aapka friend hai na aap us ki help nahi karenge. Aap baat kariye usse. Make him feel better.
Arya: Ok! Ab jaldi chaliye mera friend car me akela hai.
They both leave from the restaurant.



JINDAL BHAVAN,


They all reach home. AJ was holding Ahaan's hand with one of his hands and Arya's hand with the other.
Dadi and Bahus see them and come to them.
Durga: AJ, Arya aap abhi aa rahe hai. Itna late kaise hua aur ye cute sa bachha koun hai.(and pats his cheek)
Ahaan gets frightened, tightens his hold on his hand and hides behind him. AJ understands and signs Durga bahu to move back.

AJ: Ahaan, Dariye mat andar chaliye.
Ahaan: Hmm.

Ahaan was just busy in seeing all his surroundings and he sees the mandir.
Ahaan: AJ Uncle mai wahan jaa Sakta hun??(pointing towards the mandir)
AJ nods in agreement.
Ahaan removes his shoes and goes to the mandir. Arya too follows him. They both pray to Lord Krishna while the others are busy adoring the two cute little children.
Ahaan(in his mind praying): Lord Krishna, mujhe brave boy bane rehna hai, Mumma's brave boy. Aaj pehli baar Mumma ke bina ek new place me aaya hun, mujhe himmat dijiye ki mai sab se bina dare milun aur sab se friendship karlun. Aap mere aur Mumma ke best friend hona to aap meri help karenge na. Please...
Arya (praying): Ahaan bohot dara hua hai Partner, aap use brave bana dijiye na bilkul meri tarah. Aaj wo pehli baar hamare ghar aaya hai aur sab se pehle wo aapke paas aaya hai na to aap bhi use apna friend bana lijiye aur uski help kariye.
Both open their eyes and look at each other. Arya holds Ahaan's hand and says "Chale?"
Ahaan: Haa.
Arya: Aao mai tumhe sab se milati hun.
They go to Dadi.
Arya: Ye hai sab se cute person meri Dadi maa.
Ahaan touches her feet and takes her blessings.
Ahaan: Namaste Dadi.
Dadi: Jeete raho mere bachhe.
Then they both go to Durga.
Arya: Ye hai meri Mumma.
Ahaan touches her feet and wishes her.
Ahaan: Namste Aunty.
Durga: Khush raho beta.
Then they go to Lakshmi.
Arya: Aur ye hai meri super cool Lakshmi Chachi.
Ahaan does the same and wishes her too.
Lakshmi: Kitne cute ho tum.
Then they go to Saraswati.
Arya: Aur ye hai Saraswati Chachi.
Ahaan does the same and wishes her too but she doesn't respond to him.
Ahaan whispers to Arya: Inko kya hua hai?
Arya: Tum unko rehne do. Baaki sab se mile na.

They see Antara descending the stairs and she comes to them.
Arya: Ye AJ ki wife hai😒.
As Ahaan was about to touch her feet she backs off.
Ahaan looks at Arya questioning her through his eyes.
Arya gives an annoying look to AJ.
Antara: Koun ho tum aur yahaan kyun aaye ho?
Ahaan: Mai to...
Antara: Rehne do mai tum pe apna time waste kyun kar rahi hun.
AJ closes his fist in anger and here Ahaan was having tears in his eyes. AJ sees this and asks Arya to take Ahaan to her room. Arya and Ahaan go to her room.

AJ holds Antara tightly giving her pain.
AJ: Agar tumse kuchh Achha nahi hota na to bura karne ki sochna bhi mat. Especially, is ghar ke logon ke saath.
Antara: Akshat mai to bas....
AJ: Shutup!!🤫 Not a single word from you.
Antara: Akshat ba...
AJ: Kaha na chup🤫. Apne kamre me jaao warna tum achhe se jaanti ho ki mai kya kar Sakta hun.
Antara leaves from there.



ARYA'S ROOM,


Ahaan and Arya enter the room and Arya started showing her room and describing about each and every thing and she turns to look at him only to find him crying and not even listening to her.

Arya: Ahaan, tum ro kyun rahe ho? Chot lagi hai kya?
Ahaan nods in no.
Arya: To kya hua? Batao na, aise ro mat mujhe Achha nahi lag raha hai.
Ahaan: Mai bohot bura hun kya Arya?
Arya: Nahi to, tum aise kyun pooch rahe ho.
Ahaan: To wo Aunty ne aise kyun bola ki mere saath un ka time waste hoga. Tum bhi mere baare me aise hi sochti ho?
Arya: Arey buddhuu.. Tum isiliye ro rahe the. Wo Gandi Aunty hai wo sab se aise hi baat karti hai.
Ahaan: Mai to Achha hun na to unhone mujhse friendship kyun nahi ki aur mujhe Hi tak nahi bola.
Arya: Tum achhe ho par wo nahi na. Tum kyun us bad Aunty se friendship karna chahte ho. Ham sab hai na tumhare friends. Phir tumhe wo kyun chahiye.
Ahaan: Wo sach me bad Aunty hai kya?
Arya: Haa.
Ahaan: To wo tum logon ke saath yahan kyun rehti hai?
Arya: Wo to mujhe bhi nahi pata.
Ahaan: Kya??
Arya: Haa. Tum chhodo na ye sab baatein, smile karo aur mera room dekho.
Ahaan: Ha.

They both were busy seeing the room and toys and having a serious discussion on that when Durga calls them to the living room. They both go to the living room.

Ahaan goes and sits beside AJ. Seeing this Arya gets angry which is noticed by everyone. So AJ makes a place for Arya too and she sits beside him.

Ahaan: AJ uncle, Ab se Dadi, Durga Aunty, Lakshmi Aunty aur Saraswati Aunty bhi mere friends hai na?
AJ: Haa, ab se ham sab aapke friends hai. Hai na?
All: Ha.
Ahaan: Aur wo Aunty??
AJ understands that he is asking about Antara.
Arya: Maine kaha na tumse tum unke baare me baat mat karo.
Ahaan: Ok!
Lakshmi: Ahaan, lo kuchh snacks kha lo.
Ahaan: Thankyou Aunty, lekin mai nahi kha Sakta. AJ uncle ne mujhe restaurant me hi bohot khila diya tha.
Durga: Achha ye chocolate milkshake pee lo.
Ahaan: Chocolate milkshake!!! Mera favourite hai. Aapko kaise pata.
Durga: Arya ko bhi Yehi pasand hai. Ye lo tum donon piyo.
Ahaan: Thank you Aunty, bohot tasty tha.
Durga: Waise ham aapse kuchh pooche?
Ahaan: Ha.
Laksmi: Aap na hame Aunty mat bulao, chachi Bulao jaise Arya bulati hai.
Ahaan: Chachi?? AJ uncle, chachi ka matlab kya hota hai?
Arya: Tumhe chachi ka matlab bhi nahi pata🤭🤭😂
Ahaan: Ha nahi pata isiliye to poocha. Aur tum has kyun rahi ho.
AJ: Ahaan, Chachi ka matlab, Papa ke chhote Bhai ki wife. Yaani, Chacha ke wife Unko ham chachi bulate hai.
Ahaan: Ohh. He gets thinking something.
AJ: Kya soch rahe hai aap?
Ahaan: Papa ke baare me.
AJ: Haa. Aapne to apne Papa ke baare me kuchh nahi bataya.
Ahaan: Mumma kehti hai ki wahi mere Papa hai. Sab ke Mumma aur Papa alag hote hai na lekin mere to ek hi hai, meri Mumma. To phir Arya ke chacha mere Mumma ke brother huye na?
Arya: Aisa nahi hota hai. Papa ke bhai chacha aur Mumma ke bhai Mama hote hai.
Ahaan: AJ uncle, ye kya bol rahi hai mujhe kuchh samajh hi nahi aa raha hai.
But here AJ was busy in his own thoughts from the moment he said that his Mumma and Papa are the same.
Ahaan: AJ uncle...
AJ: Haa. Aap wo sab baatein chhodiye.
Dadi: Beta, tere parivaar me koun koun hai.
Ahaan: Mai, Mumma aur Maasi.
Dadi: Bas.
Ahaan: Haa. Lekin mujhe bhi Arya ki tarah badi family chahiye. Dadi, chacha, chachi sab.
AJ and everyone gets emotional hearing that. So AJ thought to divert the topic.
AJ: Aap ye bataiye ki aap ko khane me kya pasand hai.
Ahaan: Mujhe Chhole bhatore, Pasta..............

They were all chit chatting with each other when the driver comes to call Ahaan as he got a call from Revati to bring Ahaan to home.

AJ: Be careful Ahaan. Bye! Aur aap safely drive kariye.
Ahaan: Bye AJ uncle! (And kisses him on his cheek). Bye Arya, Dadi,Chachi. Bye!

They leave. Arya angrily leaves to her room which is noticed by AJ.

Dadi: Kitna pyaara bachha hai Ahaan.
Durga: Ha Dadi, par dukh to is baat ka hai ki itni chhoti umar me uske Papa uske saath nahi hai. Mujhe to uski Maa ke baare me soch kar bura lag raha hai. Matlab wo kaise ek Maa aur Baap donon ka farz nibha rahi hai.
Lakshmi: Ha Durga di. Ahaan to itna chhota hai ki use wo ye bhi nahi bata payi ki uske Papa nahi hai.
AJ follows Arya to her room.

ARYA'S ROOM,

AJ: Princess, kya hua? Aap phir se kal ki baat ko lekar mujhse naraaz to nahi.
Arya: Kal ki baat to mai kab ki bhul gayi, mujhe to kisi aur wajah se gussa aa raha hai.
AJ understands what she is talking about.
AJ: Arya, dekhiye....
Arya: Mujhe na hi kuchh sunna hai aur nahi kuchh dekhna hai. Aap ne dekha kya ki Ahaan kitna ro raha tha. Nahi na, to phir aapko kaise kuchh pata hoga.
AJ: Ahaan ro raha tha?
Arya: Ha, aapko nahi pata na. Aapko pata hai ki wo mujhe bilkul nahi pasand ab na nafrat hoti hai mujhe, unki himmat bhi kaise hui mere friend ko rulani ki?
AJ: Arya maine aapko kitni baar samjhaya hai ki badon ke baare me aise nahi bolte.
Arya: To kya bolun, I love your wife? Bilkul nahi. Kitni baar kaha na maine aapse mujhe wo nahi pasand, wo bad aunty hai lekin nahi aap ko to unko isi ghar me rakhna hai. Pata nahi kyun?
AJ: Arya, maine bhi kitni baar kaha hai ki wo isi ghar me rahegi.
Arya: Ha, rahegi hi na kyunki aap to unse mujhse zyaada pyaar karte hai.
AJ: Arya, stop it!😡
Arya: Last time bol rahi hun agar wo mere Angel ke saamne kabhi aayi na, wo bhi aap ki wajah se to bilkul bhi Achha nahi hoga.
AJ: Arya aap bohot zyaada bol rahe hai😠
Arya: Mujhe aapse bilkul bhi jhagda nahi karna. Mai jaa rahi hun.
AJ: Arya, listen to me....
She leaves.
AJ (in mind): I am sorry Arya, lekin mai aap ko sach nahi bata sakta. Antara ko isi ghar me rehna hoga.



AK'S HOUSE,
NIGHT,


AK reached home and Ahaan goes to her with the chocolate box sent by AJ.

Ahaan: Mumma!
AK: Ahaan, aap thik to hai na (kissing him)
Ahaan: Ha Mumma, mai bilkul thik hun.
AK: Aap wo Arya ke ghar gaye the na, sab thik to tha na wahan.
Ahaan: Ha Mumma, aap ko pata hai us ki family kitni badi hai. Dadi, Chacha ,chachi sab log hai.
AK: Haa?
Ahaan: Haa, aur unka ghar bhi bohot bada hai bilkul hamare Mumbai wale ghar ki tarah.
AK: Oh!
Ahaan: Wahan na Lord Krishna ki mandir bhi hai. Mai ne wahan Jaake prayer karke unki blessings bhi li.
AK: Good boy.
Ahaan: Mumma ye aap ke liye.(handsover the box to him)
AK: Kya hai isme? Aur kisne diya?
Ahaan: Ye Arya ke Dadda ne diya hai, sorry bolne ke liye. Kal hamne unke liye wait kiya tha na lekin wo nahi aa paye isiliye.
AK: Iski koi zaroorat nahi thi Ahaan.
Ahaan: Mujhe pata hai, lekin Arya bohot ziddi hai na.
AK: Arya?
Ahaan: Ha, usi ne apne Dadda ko aisa karne ke liye kaha hai.
AK: Lekin kyun?
Ahaan: Pata nahi. Mumma mai jaa raha hun sone, mujhe neend aa rahi hai.
AK: Ok bachha, Bye, good night!
Ahaan: Good night Mumma!

AK opens the wrapper and sees her favorite chocolate box and gets happy seeing that.
AK: Hamare favourite chocolates. Kitne dinon baad khane ko milenge. Chutki ko to bilkul bhi nahi batayenge warna diet ke chakkar me khane hi nahi degi wo. Arey isme to ek letter bhi hai.

She opens the letter, It's a printed letter.

AK: Koi itna professional kaise ho Sakta hai, letter bhi diya wo bhi print karwa ke, waah!!
Jo bhi ho padhti hun kya hai isme.
(Letter content in italics)

I dearly apologize for my behaviour the last day as I couldn't meet you as I was busy in an important meeting. I know you wouldn't have expected this kind of behaviour and I sincerely apologize for that. To be honest, I'm eagerly waiting to meet you as you have influenced Arya in many ways. She has become a bit matured after meeting you and I can assure you that she loves you a lot. Well, this could be well proved by what she has done yesterday. She hasn't spoke to me for the mistake I have done. I think you too wouldn't like her behaviour but she has done this to defend you. She loves you a lot. For now, I could only do is to seek an apology from you to make my princess talk to me. And now I don't wanna miss an other chance of meeting you and I can surely assure that. At last, sorry again....
Arya's Dadda..

AK: Koi hamare baare me itna kaise soch Sakta hai?? Waise kya Arya sach me hamse itna pyaar karti hai?? Jo bhi hai inse ham milenge to zaroor. Abhi ke liye to chocolates khayenge ham.



NEXT MORNING,
SCHOOL,
SPORT'S EVENT,


Principal: Thankyou AK, last moment me aapne hamara invitation accept kiya aur yahaan SPORT'S event me aaye hai.
AK: It's my pleasure, Mam. Waise mai bhi bohot interested hun bachhon ko participate karte hue dekhne ke liye.
Principal: Waise aap yahaan akele chief guest nahi hai. Aap ko accompany karne ke liye ek Chef bhi aa rahe hai.
AK: Oh! That's great..
Principal: Ahaan ki classmate, Arya usi ke parent aa rahe hai as an other chief guest for this event.
AK: You mean Arya ke Dadda.
Principal: You know him?
AK: Ya but mai abhi tak mili nahi hun. Hope ki isi event ke bahane mil lun.
Principal: Ya. Waise mujhe thoda kaam hai mai jaati hun aap wait kijiye.
AK: Sure!
AK (in mind): Shayad hi aaj Arya ke Dadda se mil lun.


Precap: Arya visits AK's set.


P.S: So here's an other chapter of this story... Ab aap log ye sochiye ki kya is SPORT'S EVENT me hamare AKSHAN mil paayenge ya phir un ko milane ke liye Lord Krishna ne koi aur plans banaye hai🤔🤔.


Edited by Akshiyaislove - 3 years ago