An AKSHAN Story- Tere bin ab na Lenge ek bhi Dam.(Chapter 37 updated) - Page 4

Created

Last reply

Replies

117

Views

15631

Users

8

Likes

226

Frequent Posters

Akshiyaislove thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

CHAPTER 10 



JINDAL BHAVAN,
AJ: Achha thik hai bataiye ki aap ko kya kehna hai.(and makes her sit on his lap)
Arya: Magic hua hai aur wo bhi mere saath.
AJ: Magic? Kaise? Kisne kiya? Kya hua hai aap ko? Aap thik to hai na?
Arya: Uffoo Dadda! Mai bilkul thik hun, kuchh nahi hua hai mujhe.Itne saare sawaal ek saath πŸ€¦β€β™€οΈ. Aap bas meri baat suniye baaki sab na aap khud samajh jaayenge.
AJ: Achha thik hai to bataiye.
Arya: Aaj na har baar ki tarah mai wo game nahi khel pa rahi thi aur gir gayi.
AJ: To?
Arya: Mai phir rone lagi ye soch kar ki mujhse kuchh nahi ho pata.
AJ gets sad hearing that.
Arya: Phir mujhe ek beautiful lady mili jisne mujhe magic sikhaya.
AJ: Us ne tumhein magic sikhaya?
Arya: Haa. Unhon ne mujhse kaha ki....(and she repeats the whole incident)
AJ: Aap ne waisa kiya kya?
Arya: Haa aur aap ko pata hai us ke baad kya hua? Mai jeet gayi. Mujhse ho gaya.(and claps excitedly)
AJ: Aap ke wo favourite insaan koun hai jise aap ne yaad kiya?
Arya:(keeps her hands on her waist and sees him with a questioning face) Aap ko nahi pata ki mai ne kise yaad kiya ?
AJ: Nahi.
Arya: Uffooo Dadda! Aap ko, aur kis ko yaad karungi mai.
AJ: Aap ne mujhe yaad kiya(smilingly).
Arya: Abhi to wahi bola na maine. Aur isiliye mai jeet gayi. Thankyou Dadda!(and kisses on his cheek)
AJ: Thank you kisliye?
Arya: Kyunki jab mai ne unhein Thank you bola to unhon ne kaha ki mai khud ki wajah se jeeti hun. Ab main aur aap ek hi hai to aap ko bhi Thank you.
AJ: Aap jaanti hai ki wo koun hai?
Arya: (makes a sad face) Wahi to nahi pooch saki na mai. Isse pehle ki mai unse aur baat karti wo chali gayi. Agar mai un ke baare me aur jaan leti to aap bhi un se mil lete. Ab sab miss ho gaya.
AJ: Koi baat nahi. Ham phir kabhi un se mil Lenge.
Arya: Agar wo kabhi waapas nahi aayi to?☹
AJ: Aisi baatein nahi bolte. Aap ke Lord Krishna aap ko un se jald hi phir se milayenge. Ab khush?
Arya: Haan , bohotπŸ˜ƒπŸ˜ƒ
She lets a breath out holding her stomach.
AJ: Ye kya tha?
Arya: Aap ko pata hai jab se mere saath aisa hua na tab se mere pet me kuchh ajeeb sa ho raha tha, shayad isi liye ki mai ne ye baat chupa kar kisi ko nahi bataya. Aur ab jab mai ne aap ko ye baat bata di to ab sab theek hai.
AJ remembers how Guddan used to say that she feels pain in her stomach when she lies or hides something from everyone and smiles remembering that.
Arya: Kya hua Dadda? Aap smile kyun kar rahe hai?
AJ: Mujhe na meri friend ki yaad aa gayi. Wo bhi aise hi baatein karti thi.
Arya: Ab to na mujhe sach me lagta hai ki mai aur wo bilkul same hai.
AJ: Hmmm.


AK'S HOUSE,
AK and Ahaan enters the house. Ahaan goes to his room to play. Revati asks AK about Ahaan's admission.
AK: Admission ho gaya hai. Wo kal se school bhi ja sakte hai. Mai ne driver se baat bhi kar li hai.
Revati: Ye to bohot achhi baat hai Di!
AK: Revati! Agar shuru ke kuchh din tum Ahaan ko drop karne aur receive karne driver ke saath chali jaaogi. Indore naya hai na Ahaan ke liye to, wo thoda comfortable feel karega.
Revati: Di! Ye bhi koi kehne wali baat hai. Agar aap nahi bhi kehte na to bhi mai chali jaati.
AK smiles remembering the incident with Arya in the school.
Revati: Kya hua Di! Aap muskura kyun rahi hai?
AK: Aaj school me na ek bachhi se mile ham. Usi ke baare me soch rahe the.
Revati: Aisa bhi kya hua ki aap soch kar muskura rahi hai.
AK: Ye jo duniya hai na kisi ko bhi taunt kiye bina nahi rehta. Pata hai us chhoti bachhi se bhi keh rahe the ki usse nahi ho payega, wo kuchh nahi kar sakti.
Revati: To phir?
AK: Phir kya.. Ham ne usse kaha koshish karne ko aur use ye baat yaad dilaya ki usse sab ho payega.
Revati: To kya usne aap ki baat maan li?
AK: Kaise nahi maanti, uski koshish jo kaamyaab ho gayi.
Revati: Kitni khush hui hogi na wo.
AK: Haa, bilkul usi tarah jis tarah ham hua karte the aur aaj bhi hote hai.
Revati: Aap aise mat kahiye Di! Aap se sab kuchh achhe se ho paata hai. Waise aap ko pata hai ki wo koun hai? Aap ne usse uska naam poocha?
AK: Nahi! Time hi nahi Mila usse aur baat karne ka. Lekin bohot pyaari bachhi hai wo.
Revati: Koi baat nahi Di, ab to Ahaan bhi usi school me jaayega. Agar bhagwan chahe to aap phir se shayad usse mil jaaye.
AK: I hope so.


JINDAL BHAVAN,
NIGHT,
AJ goes to Guddan's room as everyday and holds one of her pictures and talks to it,
"Pata hai tumhein aaj bhi Arya bilkul tumhari jaise baatein kar rahi thi. Keh rahi thi us ke pet me kuchh kuchh ho raha hai kyunki us ne ek baat chupayi aur kisi se bhi us baare me nahi kaha. Yaad hai tumhein? Tum bhi aise hi baatein kehti thi na aur sab se pehle aa kar wo baat mujhe hi batati thi jis tarah aaj Arya ne sab se pehle wo baat mujhe batayi. Wo bhi na tumhari tarah koi bhi baat zyaada der tak chhupa nahi sakti. Aur ek baat bataun mai tumhein, wo aaj kisi se mili aur us me sab se interesting baat ye hai ki wo lady bhi na bilkul tumhare jaisi thi. Aaj Arya ro rahi thi ki wo kabhi game nahi khel paati, har baar gir jaati hai aur har baar ki tarah aaj bhi gir gayi kyunki aaj usne doobara koshish ki. Usne Arya se bilkul tumhara formula apply karne ko kaha. Tum bhi isi tarah apne Lord Krishna ko yaad kar ke apne favourite person yani apne Papa ko, Maa ko aur mujhe bhi yaad kar ke koi bhi kaam ye soch kar shuru karti thi na ki tumse sab ho payega aur shaayad aaj bhi karti hogi na. Arya na tumse milna chahti hai, tum aa jao na waapas ham sab saath rahenge. Mai sach keh raha hun agar tum ek baar Arya se milogi na tum bhi Yehi kahogi ki wo bilkul tumhari tarah hai. Aise muskura kar kyun dekh rahi ho mujhe, kuchh kaho na. Ab jaldi se bol bhi do ki tum mere bina nahi reh paa rahi ho. Tum bhi mere paas aana chahti ho. Bolo na.....(he sits there for a while shedding silent tears holding her photo close to his heart).


AK'S HOUSE,
NEXT MORNING,
AK was packing Ahaan's school bag and her shooting bag somewhere lost in deep thoughts when Revati comes to her.
Revati: Kya hua Di! Kahaan khoyi hui aap? Kya soch rahi hai?
AK : Kuchh ajeeb sa feel ho raha hai hame. Hamari jo Guddan sense hai na wo hame......(as she was about to continue both look into each other's eyes and she continued knowing what she said just now).. Hamara matlab hai ki hame kuchh ajeeb sa sense ho raha hai. Samajh nahi pa rahe hai ki kuchh achha feel kar rahe hai kya phir kuchh galat ho raha hai.
(This was the last stroke when Revati starts laughing).
AK: Tumhe ye sab mazaak lag raha hai. Hame kuchh bolna hi nahi chahiye tha.
Revati: I am sorry Di! Koi mazaak nahi hai mai jaanti hun lekin mujhe hasi aa gayi to mai kya karun. Aap jis tarah se ye sab baatein kar rahi thi aap ko pata bhi hai ye sunne me kaisa lag raha hai. Aisa lag raha hai ki kisi ko naya naya pyaar ka ehsaas hua hai aur wo ise samajh nahi paa raha hai. Kuchh achha lag raha hai kuchh bura lag raha hai... A confused soul.
AK: Shut up! Tumhe achhe se pata hai ki mujhe pyaar vyaar ki baatein bilkul pasand nahi. Aur waise bhi mujhe khud nahi pata ki mai ye sab tumhe kyun bata rahi hun. Mujhe Ahaan ko school le jaana hai warna late ho jaayega. Tum use lene driver ke saath chale jaana, mera shoot rahega mai nahi jaa paungi.
Revati: Di! Ab na aap kaam ki baat suniye. Aap ko ye sab isliye feel ho raha hai kyunki aaj aapka Indore me pehla shoot hai. Isiliye aap shayad thodi nervous hai. Aur kuchh nahi hai, aap tension mat lijiye, everything will be fine. Ok!
AK: Ok! Fine!
AK was dressed in simple clothes covering her face with a scarf and her eyes with shades. She was dressed up so as no one can recognize her as AK and she can calmly drop Ahaan to school and go to her set. She and Ahaan gets into the car and she asks the driver to make way to the school.

JINDAL BHAVAN,
AJ: Arya! Aap school ke liye ready hai?
Arya: Ha Dadda! I am ready.
AJ: Thik hai mai aapko drop kar dunga.
Durga: AJ rehne dijiye. Ham me se koi Arya ko drop kar dega.
AJ: Koi baat nahi Durga bahu. Mai drop kar dunga.
Arya: Haa Mumma. Mai Dadda ke saath school jaungi.
Durga: Thik hai!
Arya goes to the mandir and prays to Lord Krishna,
" Lord Krishna! Aap to mere best friend hai na aur partner bhi to aap please mujhe us beautiful lady se phir se mila dijiye. Wo bohot achhi hai, mujhe unse phir se milna hai aur Dadda ko bhi unse  milana hai. Please please please.....aap meri help kariye aur mujhe phir se un se mila dijiye please".
Dadi: Tu ne to subah hi puja kar li thi phir kyun gayi Kaanha ke paas?
Arya: Dadi! Wo na aap ke Kaanha honge mere to best friend hai. Aaj na maine unse ek special wali wish maangi hai wo bhi secret wali aur wo mai kisiko nahi batane wali aap ko bhi nahi. Mai sirf Dadda ko bataungi.
Dadi: Haan ,haa tu to apne Dadda ko hi sab batayegi. Tere liye tere doosre Kaanha hai wo. Ab jaldi jaa warna school ke liye late ho jaaogi.
She takes blessings from Dadi and Durga and leaves with AJ.


IN AJ'S CAR,
AJ: Ab batao bhi kounsi wish maangi hai.
Arya: Yehi ki aaj mai unse phir se milun aur aap ko bhi unse mila dun.
AJ: Achha, to ye hai aap ki secret wish.
Arya: Haa, Lord Krishna please poori kar lijiye meri ye wish.
AJ: Itni baar bolne ki zaroorat nahi hai unhon ne ek baar me hi aapki baat sun li hogi.
Arya: Haa, to thik hai na phir se sun lenge.
AJ: Wo sach me itni achhi hai kya jo aap unse phir se milna chahti hai.
Arya: Haa, hai wo achhi sab se achhi. Aap ko achhi nahi lagi kya wo?
AJ: Ab aapko pasand hai hi to mai kya kahun.
Arya: Ek baar na aap ko bhi unse mila dungi tab aap ko bhi wo bohot achhi lagegi. Sab se achhi.
AJ (in his mind): Meri zindagi me bas ek hi hai jo mujhe sab se achhi hai lagti aur wo hai meri Guddan.
AJ: Achha thik hai.
Arya: Aap ko un se milane ke liye pehle mujhe unse milna hoga. Kaash me aaj phir se unse mil sakun.
With these thoughts they reach the school.


SCHOOL,
AK and Ahaan reach the school. She takes him to the entrance and hand overs Ahaan to his class teacher. She wishes him best for his first day of school and was on her way to return to her car.

Arya comes out of the car bids AJ and was making her way towards the entrance when she trips on a stone and was about to fall when someone holds her. She closes her eyes in fear. When she feels that she is alright she slowly opens her eyes and sees that someone has held her. She sees a lady covering her face with her scarf and her glasses on. She wanted to see her face. At that moment, the scarf's knot loosens as she was tightly clutching it. The wind blows and the scarf makes it's way to float in the air. She saw the lady's face and excitedly hugs her.
Arya: Aap?
AK: Aap thik to hai na? Aap ko chhot to nahi lagi.
Arya: Kaise chot lagti. Aap ne mujhe bacha liya.
AK(in her mind):  Hame yahaan se jaldi jana hoga , hamara scarf bhi ud gaya aur hamare saath bodyguards bhi nahi hai.
Arya: Thank you. Aap ne mujhe bacha liya, warna mujhe chot lag jaati.
AK: It's Ok! You need not to be thankful.
AK (in her mind): Kaise nikle yahaan se kuchh samajh nahi aa raha hai.
AK spots a handkerchief in Arya's hand.
AK: Kya aap mujhe apni handkerchief de sakti hai?
Arya: Sure!
AK was about to leave when Arya holds her hand.
Arya: Kahan ja rahi hai aap? Mujhe aap se baat karni hai. Thodi der rukiye na.
AK: Dekhiye princess, hame abhi jana hoga agar kisi ne hame yahan aise dekh liya na to bohot badi problem ho jayegi. Ham aap se next time pakka milenge, baat bhi karenge aur aap ki kerchief bhi waapas kar denge. Pakka and Thank you for your help. Bye!
AK leaves from there somehow managing to cover her face with the kerchief. AK 's scarf floats in the air and lands on a man's face who was standing at the school's gate speaking to someone on his phone. Just then AK collides with him and without looking back says sorry and rushes to the car. The man removes the scarf from his face and was trying to search for the lady who just collided with him. He was searching for her all around but he couldn't find her. He sits in his car and drives away.


AK'S CAR,
AK was speaking to herself,
" 6 saalon se aap se door hai lekin aap ke paas hone ka ehsaas aaj bhi hota hai hame. Aaj subah se shayad isi ehsaas se lad rahe the ham. Ladte ladte ye bhool gaye ki ham haar maan kar thak jaayenge lekin is ehsaas se kabhi jeet nahi sakte. Wahi ehsaas jo abhi hamne mehsoos kiya. Aap ke paas hone ka, aap ka hame chune ka ehsaas hua hai hame".


AJ'S RESTAURANT,
AJ speaks to himself,
" 6 saal ho gaye hai tum se door reh kar lekin tumhare paas hone ka ehsaas sirf aaj hua hai mujhe. Is scarf me mujhe tumhari khushboo mehsoos hui hai, us dhakke me mujhe tumhare chune ka ehsaas hua hai. Kisi ajnabee ke chune ka ehsaas nahi ho Sakta hai wo, kyunki in 6 saalon me aisa pehli baar mehsoos kiya hai maine aur tumhare liye mere ehsaas kabhi galat nahi ho sakte. Isse aaj ek baat to saabit ho gayi ki kuchh dinon se jo mujhe tumhe apne paas hone ka ehsaas ho raha tha na wo galat nahi tha, isse ye saabit hua hai ki tum ho, mere aas paas hi ho aur aaj mai Waada karta hun tumse aur khud se bhi ki mai tumse mil kar hi dam lunga. Tere bin ab na Lenge ek bhi dam".


poddav thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

πŸ‘ awesome update plz plz continue soon 

plmzaq thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago

Nice update

Love it

Continue soon

Akshiyaislove thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

CHAPTER 11


AK'S SET,
AK reaches her set and directly goes to her makeup room. Here, someone was waiting for her in her makeup room. The moment he sees AK entering he burst out his laughter at her.
AK: Bohot hasi aa rahi hai na tumhe, mujhe is tarah dekh kar.
Karan: Aur nahi to, ye kya haalat bana rakhi hai tumne Indore me.
AK goes and sits and asks her makeup artist to start her makeup. Meanwhile, a set worker gets AK's bag and one of them handsover the script to her. Karan was sitting beside her to talk to her.
AK: Aur kya karti mai, Ahaan ko school drop karne gayi thi.
Karan: Ahaan ka admission ho gaya hai, Good! Well! Kounse school me admission hua hai?
AK: XYZ School.
Karan: Ye school to Jindal restaurant ke aas paas hi hai na.
AK gets thinking listening the restaurant's name.
Karan: Kya hua kya soch rahi ho? Hai na.
AK: Haa.
Karan: Kaash mujhe pehle se pata hota to kal mai tum logon ko wahan se restaurant le kar aa Jata.
AK: It's ok. It wasn't necessary though.
Karan: Waise school jane tak me tumhari ye haalat nahi ho sakti.
AK: Ha, mai to Ahaan ko drop karne school gayi thi, chehre ko scarf se chhupa kar. Ab mera scarf ud gaya to mai karti, wahan sab se chhup kar yahaan aate aate ye haalat ho gayi meri.
Karan: Ye itna reelistic scene tumhare zindagi ke realistic scene me kaise badal gaya?🀨
AK: Why do I care about such things?
Karan: Kitna achha hoga na agar wo scarf tumhare prince ke paas chala gaya ho.
AK: What rubbish Karan! Aisa ho hi nahi Sakta.
Karan: Kyun nahi ho Sakta? Agar Cindrella ka shoe prince ke palace me chhut Sakta hai aur wo prince us shoe ke sahaare apni princess Cindrella ko dhund Sakta hai, to tumhare saath aisa kyun nahi ho Sakta.πŸ€”
AK: Bilkul nahi ho Sakta, kyunki na hi mai Cindrella hun aur na hi mera koi Prince charming hai.
Karan: Tumhe shayad lagta hoga ki tumhara koi nahi hai but agar wo real me tumhara prince hua na to wo tumhe zaroor dhund lega. Chahe us ke liye Cindrella ke shoe ki tarah use tumhare scarf ko hi use karna pade.
AK: Tum ne koi Pyaar me Ph.d. jaisa kuchh kiya hai kya. Aise love guru ban ke jo gyaan baat(distributing knowledge)rahe ho.
Karan: Kaash kar liya hota, to shayad aaj tum meri hoti.
AK:(beats him with a cushion) Tum kabhi nahi sudharne wale. Ab niklo yahan se mujhe shoot ke liye ready hona hai.
Karan moves out of the room.  AK gets thinking about Karan's words. She remembers how she felt AJ's presence there and thinks if he gets to know about her what will she do.

SCHOOL,
Ahaan's class teacher makes him sit on the first bench in the class and goes to the staff room as the classes were not started yet. Everyone came to Ahaan and was speaking to him. He was so friendly that he mingled easily with everyone. Arya comes to the class and sees a crowd of her friends at her place. She goes to them and gets surprised to see a boy sitting at her place. She goes to him angrily.
Arya: Koun ho tum? Aur yahaan meri jagah par kyun baithe ho.
Kajal: Arya, is ka naam Ahaan hai. Ye ab hamara classmate hai.
Ahaan forwards his hand to Arya to handshake but Arya refuses to do so.
Arya: Tum jo koi bhi ho, mujhe nahi pata aur mujhe jaanna bhi nahi hai. Tum bas meri jagah se uth jao.
Ahaan: Mujhe yahan par teacher ne baithne ke liye kaha hai.
Arya: So what? This is my place. Mai tumhe yahan nahi baithne dungi.
Ahaan: Tum mujhse jhagda kyun kar rahi ho?
Arya: Mai jhagda kar rahi hun?? Tum na....
Just then the teacher enters the classroom.
Teacher: Kya ho raha hai yahaan?
Everyone stand up at their places.
Teacher: Arya, what's going on here?
Arya: Kuchh bhi to nahi.
Teacher: Everyone sit in your places. Mujhe tum sab ko kisi se milana hai. Ahaan come to me.
Children! This is Ahaan Kapoor. Your new classmate. Everyone say hello to him.
Children: Hii Ahaan! (Except Arya. She was making faces seeing him).
Ahaan: Hello friends!
Teacher: Ye AK ke bete hai. In ki mother shooting ke liye Indore aayi hai aur Ahaan ab se hamare saath is school me padhega. Ye Indore me new hai to, Aap sab Ahaan ke friends banenge na.
Children: Yes teacher.
Teacher: Good! Ahaan ja ke first bench me baith jao.
Arya stands up at her place and says
Arya: Teacher! Mai Ahaan ko yahaan nahi baithne dungi.
Teacher: Arya, aise baat nahi karte.
Arya: Aap ko pata hai na, mai apna place kisiko nahi deti aur mai use bhi yahan baithne nahi dungi.
Teacher: Koi baat nahi. Kajal, tum us bench pe chale jao. Ahaan, you go and sit beside Arya.
Kajal shifts her place and Ahaan comes to sit there. Arya gives him a disgusting look. The teacher takes her class.

Break,
Everyone comes to Ahaan and speak to him.
Girl: Tum wahi actress ke bete ho jo abhi kuchh dinon pehle Mumbai se Indore aayi hai.
Ahaan: Yes!
Boy: Tumhe pata hai meri saari family un ke bohot bade fan hai.
Ahaan feels proud listening appreciation for his mother. Everyone speaks to him about him and AK. Here Arya, was not at all happy. Firstly, she was sad that she couldn't talk to AK and now she was irritated because of Ahaan. She was in a bad mood the whole day.

CAR,
After the school hours completes, Revati along with the driver comes to pick Ahaan. Ahaan comes to his Revati Maasi and sits in the car to go to home.
Revati : Aap ka school me first day kaisa tha.
Ahaan: Achha tha Maasi.
Revati sees driver taking an other route she asks him.
Revati: Driver, aap yahan se kyun le ja rahe hain. Us raaste se easy padega na.
Driver: Haa, lekin Madam ne us raaste se jane ke liye mana kiya hai.
Revati: Achha, thik hai. Aap chaliye.
Revati speaks to herself, " Aap har us raaste se door jana chahte hai di, jo aap ko apne ateet ke paas le Jata hai. Us raaste ko aapne isliye choose nahi kiya kyunki wo Jindal restaurant se ho kar Jata hai, wo aap ko Jiju ke paas le jayega. Aap chahe hazaaron raaste badal le, lekin aap ko aapki  kismat ek hi Manzil tak pohonchayegi jo Jiju hi  hai. Aap ye bhul rahi hai ki aap ko aap ke kaam ne nahi balki aap ki kismat ne Indore laaya hai. Aur ab aap ko is baat ka ehsaas dila ne ke liye aap ke Lord Krishna zaroor kuchh karenge."


JINDAL BHAVAN,
Arya comes to house and she was gloomy all day. She didn't spoke to anyone. She was doing her works silently in her room. At evening,  AJ returns from the restaurant and was shocked to find the house very quiet. He couldn't find her in the hall waiting for him as everyday. He goes to her room and finds her doing her homework. He goes to her and she just gets up and hugs him tight. He picks her up in his arms and sits making her sit on his lap.

AJ: Kya hua? Aaj aap ka mood itna off kyun hai?
Arya: Aise hi. πŸ˜”
AJ: Aap mujhse jhoot nahi bol sakte. Kya hua, wo nahi mili kya.
A smile appears on her face which didn't lasted long.
Arya: Mili thi but mujhse baat kiye bina hi chali gayi.
AJ: Aise kaise aap se baat nahi ki.
Arya: Baat to hui thi, lekin achhe se nahi.
AJ: Matlab?
She narrates the whole incident to him.
Arya: Ek to unhon ne mujhse baat nahi ki , upar se wo sab se apna chehra bhi chupa rahi thi. Keh rahi thi ki agar kisi ne dekh liya to problem ho jayegi.
AJ: Aisi bhi kya problem ho jati kisi ke dekhne se.
Arya: Pata nahi.( After thinking something she says) Mujhe pata chal gaya ki unhone aisa kyun kiya?
AJ: Kyun?
Arya: Aap ko pata hai Dadda,  har princess ki story me na Angel sab se chhup kar princess ki help karne aati hai.
AJ: To?
Arya: Unhone mujhe princess kaha, to wo meri Angel hui na. Isiliye wo sab se chhup kar mujhe help karne aayi.
AJ: Aisa hai kya?
Arya: Haan, pakka yahi baat hogi. Lekin mujhe ek doubt hai?
AJ: Ab kya hai?
Arya: Har Angel aisa kyun karti hai?
AJ didn't know what to answer. He couldn't deny her and she wouldn't leave him until she gets answered.
Arya: Boliye na?
AJ: Wo isliye kyunki Angel sirf apni princess ke liye aati hai na. To wo chahti hai ki sirf unki princess unhe dekhe aur koi nahi.
Arya: Achha. Lekin mujhe unko aap se milana hai. Mai na jab agli baar unse milungi na to kahungi ki wo sirf aap se mile air kisi se nahi.
AJ: Aap ko lagta hai ki aap un se phir se milenge.
Arya: Haa, unhone hi kaha tha na ki wo mujhe kerchief waapas karengi to wo mujhse milenge bhi aur baat bhi karengi.
AJ: Bas itni si baat ko le kar aap ka mood itna kharab tha.
Arya: Nahi, wo mera mood to usne kharab kar diya.
AJ: Kisne?
Arya: Wo Ladka Ahaan.
AJ: Koun hai Ahaan? Aap ne to mujhe us ke baare me pehle kabhi nahi bataya.
Arya: Mai khud aaj usse pehli baar mil rahi hun, to aap ko pehle se kaise bata deti.
AJ: Ok. Koun hai wo?
Arya: Mera new classmate.
AJ: He's your friend.
Arya: No (loudly). Wo sirf classmate hai, mera friend nahi. I don't like him.
AJ: Aap aise kyun bol rahi hai?
Arya: Kyun nahi bolun. Pehle to usne meri place me baithna socha aur phir sab se din bhar baatein kar raha tha.
AJ: To isme kya problem hai?
Arya: Yahi to problem hai. Jo mera hai sirf mera hai kisi aur ka nahi chahe wo mera place hi kyun na ho.
AJ remembers how Guddan used to say these words.
Arya: Aap ko yaad hai maine aap se kuchh din pehle poocha tha us actress ke baare me jo Indore aayi thi.
AJ: Haa, yaad hai
Arya: Ye Ahaan, un ka hi beta hai.
AJ: To phir tumhein to us se friendship karni chahiye na. Wo Indore me new hoga. He needs friends here.
Arya: Please Dadda! Mujhe nahi banana use apna friend. I don't like him.
AJ: But this is not good Arya.
Arya: Kya? Sab log kehte hain ki us ki Mumma bohot achhi hai lekin koi ye nahi jaanta ki meri Angel kitni achhi hai.
AJ: Who's your Angel?
Arya: Daddda!!!(angrily)
AJ: Achha.. mai samajh gaya. Gussa mat ho. Lekin baaki sab to aap ke Angel se nahi mile na, isiliye unhe nahi pata.
Arya: Haa, sach kaha aapne. Unhe kya pata meri Angel kitni achhi hai.
AJ: Ab to aap ka mood thik ho gaya na?
Arya: Haa.
AJ: To mai aap ke liye samose bana dun.
Arya: Haa(excitedly). Ye bhi koi poochne wali baat hai.
AJ: As you say my princess!


AK'S HOUSE,
AK returns to home after completing her shoot. She finds Ahaan in his room doing his homework.
AK: Ahaan!
Ahaan: Mumma!( he goes and hugs her)
They both sit together and speak to each other.
AK: To bataiye, kaisa tha aapke school ka first day.
Ahaan: Amazing! Aap ko pata hai mere kitne saare new friends hai.
AK: Achha. Ye to achhi baat hai.
Ahaan: Lekin siwaye ek ki.
AK: Koun?
Ahaan: Wo ladki, Arya. She is too rude.
AK: Aise nahi bolte Ahaan.
Ahaan: Aur kya Mumma. Wo bilkul bhi achhi nahi hai. Sab mujhse friendship kar rahe the lekin us ne to mujhse baat tak nahi ki.
AK: Ahaan you shouldn't say like that. Us ka mood thoda upset hoga.
Ahaan: To kya wo mujhse aise baat karegi. Wo nahi jaanti kya ki mai kis ka beta hun.
AK: Mai ne kitni baar kaha hai aapse aise nahi baat karte. You shouldn't show pride to someone.
Ahaan: Sorry. But jo bhi ho I don't like her.
AK: Ahaan!(staring at her angrily)
Ahaan: No Mumma, please. I don't want to talk about her.
AK: Thik hai to ham us ke baare me baat nahi karte hai. Aap kuchh aur bataiye.
Ahaan narrates how  he spent his first day of school.

AT NIGHT,
AK was going to sleep when she sees something peeking out of her bag. She sees Arya's kerchief and takes it out. "Bohot pyaari bachhi hai wo. Mujhse baat karna chahti thi aur mai us se baat bhi nahi kar saki. I hope ki ham phir mile". She sees something written through stitching on it. She was shocked to see that. "AJ, ye kyun likha hai is par. Guddan, tu bhi na pagal hai uska naam hoga. Zaroori hai kya ki har AJ initial Akshat Jindal hi ho. Kuchh zyaada hi soch rahi hai. Chal chup chap se ab so jaa, kal shooting ke liye bhi jaana hai". With these thoughts she goes to sleep with a smile thinking about Arya.


JINDAL BHAVAN,
AJ goes to Guddan's room and takes the scarf which he had. "Aaj tak kabhi koi cheez is kamre me nahi rakha mai ne, lekin aaj is ko rakhunga, kyunki mai jaanta hun ki ye tumhara hi hai. Tumhara ehsaas hai isme. Aaj ek khushi hai ki,ek ummeed hai ki hamari mulaqat phir hogi,zaroor hogi aur is baar hamara ye pyaar,ye ishq mukammal ho kar hi rahega."
With these thoughts he placed the scarf among Gudaan's other things and left the room. He drifted into deep sleep having a content smile on his face

plmzaq thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago

Amazing

Love it

Continue soon

an_shaini thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

Pls update the next chapter soon😊

Akshiyaislove thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

CHAPTER 12


SCHOOL,
Ahaan and Arya were sitting together and listening to the classes. Once the teacher left Ahaan wanted to talk to Arya about her behavior towards him.
Ahaan: Good morning Arya!
Arya: Good morning πŸ˜’
Ahaan: Mujhe tumse kuchh poochna hai
Arya: Lekin mujhe tumhare kisi bhi sawaal ka jawaab nahi dena hai.
Ahaan(to himself): Kitni khadoos hai ye, bilkul usi tarah jaise Mumma kabhi gussa ho jati hai.
Arya thinks how her Dadda asked her not to talk to him like that, so she decided to talk to him.
Arya: Achha poocho kya poochna hai.
Ahaan: Why don't you like me?
Arya: Ye sawaal to mai bhi tumse pooch sakti hun na.
Ahaan: Maine kab kaha ki I don't like you.
Arya: To maine bhi kab kaha ki I don't like you.
Ahaan: Tum mere saath aise behave karogi to mujhe yahi lagega na.
Arya: Tumhe bohot sahi lagta hai.
Ahaan: What?
Arya: I don't like you.
Ahaan: Wahi to mai pooch raha hun kyun?
Arya: Kyunki tumhe aur baaki sab ko lagta hai ki tumhari Mumma sab se achhi hai.
Ahaan: Ye koi Lagne wali baat nahi hai, ye sach hi hai ki meri Mumma best hai, wo sab se achhi hai.
Arya: Nooo! Meri Angel best hai, tumhari Mumma se bhi achhi hai.
Ahaan: Tumhari Angel koun hai? Aur wo jo bhi hai meri Mumma se achhi nahi ho sakti.
Arya: Tum kuchh mat bolo, tum unhe nahi jaante na isiliye tum aise bol rahe ho.
Ahaan: Meri Mumma sab se best hai. Mujhe tumse baat hi nahi karni. I don't even like you.
Arya: Kyun?
Ahaan: Because you don't like me and my Mumma.😠
Arya: Achha hi hai. Waise bhi mujhe tumse koi baat hi nahi karni thi, tumne hi pehle shuru kiya tha mujhse baat karna.
Ahaan: Wahi to galti ho gayi mujhse.
Arya: Achha hua ki tumhe pata chal gaya ki tumse galti hui hai.
Ahaan: 😑😑



AK'S SET,


"...........Agar hamari zindagi aap ke saath nahi na to kisi ke saath bhi nahi. Nahi chahiye hame ye zindagi, jis me aap hai hi nahi".(and she slits her wrist) "Kuchh nahi hone dunga mai tumhe. Mai bhi tumse bohot pyaar karta hun, nahi reh paunga tumhare bina.(and hugs her)

          Cut!!!!!

Everyone applauds.
AK wipes her tears and smiles. The director comes to both of them and hugs them excitedly.
Director: AK and Karan this was the best scene of the whole movie. It was just awesome. Mai bata nahi Sakta ki maine is waqt is scene ko dekh ke kya feel kiya hai. I just have no words for it. You both are just amazing. And you AK without any direction tumne itna Achha shot diya hai lag raha tha you were feeling the same. It was so real. I am damn sure it would not only hit the screens but it will just tear it. Well done! Just fabulous.
Everyone clap for them.
AK: Thankyou sir! It means a lot to me.
Director: You need not be thankful. Your work deserves this and even more than this. God bless you!
AK just smiles and leaves to her makeup room. She cries standing in front of the mirror remembering her moments with AJ. She immediately wipes her tears when she hears someone foot steps coming towards the room. Karan steps into the room and locks the door.
AK: Kya kar rahe ho tum?
Karan: Tumse kuchh poochna hai.
AK: To door kyun lock kiya. Aise bhi to baat ho sakti hai na.(and she moves towards the door to unlock it)
Karan holds her hand and gestures her not to do that.
AK: Tum karna kya chahte ho.
Karan: Bas kuchh jaanna chahta hun.
AK: What?
Karan: Koun hai wo?
AK: Koun? Jo poochna hai seedhe se poocho na .
Karan: Wahi jis ne tumhari zindagi me ek major part occupy kar rakha hai.
AK: Kehna kya chahte ho tum?
Karan: Wahi jo tum sunna nahi chahti ho.
AK: Agar tumhe seedhe se baat karni hai to continue or else you just stop it.
Karan: Mai us insaan ke baare me jaanna chahta hun jis ke liye tum itne real emotions feel karti ho. Us ke baare me jaanna chahta hun jis ke liye tum ne abhi ye shot diya. Us ke  baare me jaanna chahta hun jis ke liye tum ye Aansu baha rahi ho(taking her tear drop on his finger)
AK just turns back and wipes her tears.
Karan: 5 saalon se jaanta hu mai tumhein. 5 saal tumhare saath kaam kiya hai maine lekin aaj jo tumne kiya wo acting nahi thi. It was your real emotions which you can easily name as acting but not in front of me. Ab bhi mujhse sach chupaogi tum, itne saalon se to chupa hi rahi ho, aaj sach kyun nahi bata deti ho. Bolo na.
AK:(facing him) Thik hai bata hi deti hun jo tum sunna chahte ho.
Hai koi jo matter karta hai meri life me, hai koi jis ke liye mai bohot kuchh feel karti hun. Hai koi jis ke liye I feel strong emotions. Hai koi jis ke bina na hi meri subah hoti hai na hi meri raat. Hai koi jis ke baare me na sochun to chain nahi aur us se door rehne ke baare me to Sochne se bhi dar lagta hai. Hai koi jisse baat kiye bina mere dil me ajeeb si bechaini hoti hai. Hai koi jis ki saansein chalne par mera dil dhadakta hai. Hai koi jis ne mujhe zindagi jeene par majboor kar diya hai. Hai koi jis ke wajah se aaj bhi mai zinda hun.Hai koi.....
Karan: Wahi to mai jaanna chahta hun, koun  hai wo?
AK: His name starts from A....
Karan: Who?????
AK: Mr...
Karan: Ab bolo bhi..(curiously)
AK: Mr. Ahaan Kapoor.
(And starts laughing out loud)
Karan was standing still.
Karan: Naam to sahi bata deti.
AK: Bilkul sahi naam bataya hai maine.
Karan: No. Galat hai ye.
AK: Kya?? Nothing 's wrong. Nahi to tumhe kya laga meri life me sach me koi hoga.
Karan: To ye sab tum itna seriously kyun bol rahi thi.
AK: Ab tum Itne serious ho kar yahan ye sawaal karne aaye the to mai ne bhi serious hone ki thodi acting kar li.
Karan: Is ka matlab ye sab tumhara acting tha.
AK: Haa, aur nahi to. Tum bhi na kuchh zyaada hi sochte ho.
Karan: Mai zyaada soch raha hun??
AK: Haa, nahi to mere is glycerin ke Aansu dekh kar strong feelings, strong emotions kya kya bol rahe the. I think you need a mug of coffee.
Karan: Huh??
AK: Ha, you wait here till then I will bring coffee for both of us.
AK leaves the room and thinks,"Aaj to mazaak kar ke baat taal di lekin aage apne emotions ko thoda control me rakhna hoga khaas kar Indore me nahi to problem ho jaayegi".
While Karan thinks to himself,"Talented to tum bohot ho, lekin experienced nahi jo mai hun. Apne poore acting career me tum jaisa kisi ko nahi dekha maine. Bohot achhe se samajh Sakta hun ki tum jo keh rahi thi wo sab kuchh acting to bilkul bhi nahi tha. Sab sach hai siwaaye us naam ke. Ab bas us naam ke peeche ka sach saamne lana hai mujhe".



SCHOOL,


Teacher: Students everyone come here and take your drawing sheets.
All the students go in a line to the teacher and were returning to their places calmly while some of them talk to Arya.
Girl: Arya, tum na rehne do, ye sheet waapas kar do, kyunki har baar ki tarah tum kuchh draw nahi karogi. Tum se nahi ho payega.
Boy: Aur agar draw kar bhi liya to kisi ko kuchh samajh me nahi aane wala. Arya, Tum se nahi ho payega
All of them laugh at Arya while all this conversation is heard by Ahaan and he comes to them.
Ahaan: Arya, tum Chalo mere saath aur hum saath me drawing karte hain.(holding her hand)
Aur tum sab kabhi bhi kisi se mat kehna ki un se kuchh nahi ho payega. Meri Mumma kehti hain ki kabhi kisi se aise nahi kehna chahiye. Agar wo chahe to un se sab kuchh ho payega.
Girl: Sorry Arya.
Boy: Sorry Arya, ab se ham kabhi aisa nahi kahenge.
Arya: It's Ok!
They both go to their seats and Ahaan starts drawing. Arya takes pencil in her hand and was not confident to draw. She then just remembers her Angel's words. She does the same and starts drawing. After sometime everyone completed their drawing and submitted their sheets to the teacher. The teacher sees all the sheets and likes two sheets the most.
Teacher: Sab bachhon ne bohot achhi drawing ki hai, lekin sab se achhi drawing do bachhon ki hai. Ahaan come here.

Ahaan goes to her.
Teacher: Ahaan ne bohot achhi drawing ki hai. Everyone see this.

Ahaan has drawn a cute drawing of him, his Mumma and his Revati Maasi. Everyone claps for him.

Teacher: Ahaan, you go and sit. Arya, now you come here.

Arya thinks to herself, " Har baar ki tarah kya is baar bhi teacher ne mujhse ye kehne ke liye bulaya hai ki meri drawing bilkul bhi achhi nahi hai?". She shrugs all her thoughts and goes to her.

Teacher: Aaj Arya ne bhi bohot achhi drawing ki hai. See this.

Arya has drawn a cute picture of her, her Dadda and her Angel. Everyone clap for her too and a wide smile appears on her face.

The school hours complete and everyone were heading to leave when Arya calls Ahaan. She forwards her hand for a handshake and says
Arya: Friends?
Ahaan: Huh?
Arya: Haa tum se hi pooch rahi hun. Kya ham friends ban sakte hai?
Ahaan: Ye tum pooch rahi ho. Aaj subah hi itna jhagda kiya tha tumne mujhse.
Arya: Jhagda kiya tha ab to nahi kar rahi hun na. Tum aur tumhari Mumma ne bilkul sahi kaha ki agar koi chahe na to un se sab ho payega.
Ahaan: Ye baat to sahi hai.
Arya: Yehi baat meri Angel ne bhi mujhse kaha tha isliye I love her. Aur tum ne bhi keh diya hai aur tumhari Mumma bhi Yehi kehti hai na to ham friends to ban hi sakte hai na(and forwards her hand). Friends?
Ahaan handshakes her and says
Ahaan: Friends lekin us ke liye meri ek shart hai.
Arya: Kaisi shart?
Ahaan: Tum mujhse kabhi bhi jhagda nahi karogi. Done!
Arya: Done!
Ahaan: Ok! Now Arya and Ahaan are friends.
Arya: Tum Chalo mere saath aaj mujhe lene mere Dadda aayenge. Mai tumhe un se milaungi.
Ahaan: To us ke baad tum bhi mere saath chalna mai bhi tumhe apni Maasi se milaunga.
Arya: Ok! Chalo chalte hai.


Both of them were waiting outside just then Revati comes to them.
Revati: Ahaan, chale?
Ahaan: Maasi, aap is se miliye. She is Arya, my new friend.
Arya: Hii, this is Arya.
Revati: Hii! You are so cute!!!
Arya: Thank you, waise mai aap ko kya bulaun.
Revati: Ab mai Ahaan ki Revati Maasi hun to tum bhi mujhe wahi bulao.
Arya: Ok Revati Maasi!
Arya sees her Dadda in the car.
Revati: Ab chale?
Arya: Ahaan, mere Dadda se to mil lo. Revati Maasi aap bhi chaliye na.
Just then Revati's phone rings.
Revati: Ahaan! Tum aur Arya jao mujhe ye important call attend karna hai. Ahaan unse mil kar seedha car me aa jana.
Ahaan: Ok Maasi!
Revati goes to pick up the call. Here, these both kids go to meet AJ. Arya goes and hugs her Dadda.
Arya: Dadda!!
AJ: My princess..
Arya: Dadda! Mujhe aap ko kisi se milana hai. Ahaan come here.
Dadda! This is Ahaan, my new friend.
AJ: Arya, ye wahi hai kya jis ke baare me tum ne mujhe kal bataya tha.
Arya: πŸ˜…πŸ˜… Haa Dadda! Ye wahi hai. He is my friend.
AJ understood and nods to her sayings.
Ahaan: Hii, This is Ahaan.
AJ: Hii Ahaan. You are so cute..
Ahaan: Aap se kuchh poochun mai.
AJ: Haa poocho.
Ahaan: Arya meri Maasi ko Maasi bula rahi hai to mai aap ko kya bulaun.
Arya: Tum mere Dadda ko Dadda nahi bologe.
AJ: Arya, koi baat nahi. Ahaan you can call me AJ.
Ahaan: Kitna formal hai na ye. Meri Mumma bhi sab ko kehti hain ki sab unhein AK bulaye. Koi baat nahi mai aap ko AJ uncle bulaunga.
AJ: Ok!
Ahaan: Mai abhi chalta hun, Maasi mera wait kar rahi hogi. Bye Arya, Bye AJ uncle.
AJ and Arya: Bye!



AJ'S CAR,


AJ: Arya, Ahaan wahi hai na jis ke baare me kal aap ne mujhse baat ki?
Arya: Haa Dadda.
AJ: Kal to aap keh rahi thi ki aap ko wo bilkul bhi nahi pasand to aaj aap ki unse dosti bhi ho gayi.
Arya: Haa, wo isliye kyunki wo bohot Achha hai aur uski Mumma bhi achhi hai.
AJ: Achha hua ki aap ko ye baat samajh me aa gayi.
Arya: Kaise samajh me nahi aati, Lord Krishna ne kitne achhe se mujhe samjhaya.
AJ: Kaise?
Arya narrates the whole incident to him.
Arya: Aur isiliye ham friends ban gaye.
AJ: Good!
Arya: Aap ko pata hai us ne na friendship me ek deal rakhi hai.
AJ: Kaisi deal?
Arya: Ki mai kabhi usse jhagda na karun.
AJ smiles listening that and remembers how Guddan had kept some conditions while they were going to be friends.
Arya: Kya hua Dadda? Aap ne smile kyun kiya?
AJ: Aap ko pata hai meri friend ne bhi aisi hi shart rakhi thi jab ham friends bane.
Arya: Aap ne wo shart maan li thi?
AJ: Ha, kaise nahi maanta usse friendship jo karni thi mujhe.
Arya laughs listening that.
Arya: Ab mai jald hi us ke Mumma se bhi milungi aur unse bhi friendship karungi.
AJ: Ok!
Arya: Ok nahi. Aap ko bhi unse milna hoga aur aap ko bhi unse friendship karni hogi.
AJ: As you say my princess.



AK'S HOUSE, 


AK returns to home and was sitting on the sofa when Ahaan comes to her.
Ahaan: Mumma! (He goes and sits beside her)
AK: Boliye kya hua school me.
Ahaan: Aaj na teacher ne drawing karne ke liye kaha tha aur unhe meri drawing sab se achhi lagi.
AK: That's good.
Ahaan: Aap ko yaad hai kal maine Arya ke baare me bataya tha.
AK: Haa.
Ahaan: Wo ab meri friend hai.
AK: Aap ne unse dosti kar li?
Ahaan: Haa Mumma. Usi ne pehle mujhse poocha ki mai us ka friend banunga ya nahi aur maine phir Haa keh diya.
AK: Aap to keh rahe the ki na hi wo aap ko pasand karti hai aur na hi aap to phir.
Ahaan narrates the whole incident to her.
AK: Achha to ye baat hai.
Ahaan: Haa. Aur aap ko ek baat bataun us ne subah hi mujhse jhagda kiya aur mujhe itna gussa dilaya aur baad me dosti bhi kar li. Mujhe na wo samajh me hi nahi aati.
Guddan smiles hearing that and remembers how AJ used to say that he can never understand her and the way how she is unpredictable.
Ahaan: Kya hua Mumma, aap ne smile kyun kiya?
AK: Kuchh nahi, Achha Hua ki tum logon ki dosti ho gayi.
Ahaan: Meri to us ke Dadda se bhi dosti ho gayi, jaise us ki Revati Maasi se hui.
AK: Arre waah! Aap ne us ke Dadda se bhi dosti kar li. Koun hai wo?
Ahaan: Aap ko pata hai Mumma, wo bhi na kisi ko apna poora naam nahi batate. Unhone kuchh kaha tha apna naam. Kya tha wo....
Ahaan gets thinking.
AK: Kya hua?
Ahaan: Mujhe un ka naam yaad nahi aa raha hai. Jaise aap ka AK hai na un ka bhi waise hi kuchh hai. Mujhe yaad hi nahi aa raha.
AK: Koi baat nahi Ahaan. Itna Sochne ki zaroorat nahi hai. Aap jaaiye apne room me.


Ahaan leaves. AK was also about to leave to her room when Revati stops her.
Revati: Kya hua di? Aap thik to hai na?
AK: Hame kya hoga? Tum kabhi bhi aake mujhse ye sawaal poochne lag jaati ho.
Revati: Aap ki ye aankhein kuchh kehna chahti hai Di.
AK: Tum hi bata do kya keh rahi hai.
Revati: Kehne ka to pata nahi but ro zaroor rahi hai.
AK: Aur tumhe aisa kyun lagta hai.
Revati: Zara aap khud ko bhi dekh lijiye to aap ko khud pata chal jayega ki maine aisa kyun kaha. Aap ki ye laal aankhein meri is baat ka saboot hai.
AK: Achha to tu in aankhon ko dekh kar ye soch rahi thi. Tum bhool gayi kya ham ek actress hai aur aaj to poora din sirf rone wale aur emotional scenes the shoot karne ke liye. Poore din na aankh me glycerin daal daal ke in Maasoom aankhon ki ye haalat ho gayi hai.
Revati: Ek baat kahun, aap ke aankhon se Aansu lane ke liye aap ko glycerin use karne ki zaroorat nahi hai aap bas thodi der ke liye us insaan ko aur apne past ko yaad kar lengi na to Asli Aansu nikal jayenge.
AK: Tumhe ye sab mazaak lag raha hai.
Revati: Mazaak to bilkul bhi nahi hai. Ye na aap ke hi kiye ka nateeja hai.
AK: Kehna kya chahti ho tum?
Revati: Ab Aap ne hi apne past ko khud par itna influence kar rakha hai to mai kya hi kuchh karun ya kahun aapse.
AK: Hame na tumse in sab cheezon ke baare me baat hi nahi karni hai.
Revati: Kyun hamesha muh chupa kar bhagne ki koshish karte hai aap.
AK: Bhaag nahi rahe hai ham, bas us ke saamne nahi aana chahte hai.
Revati: Chahe wo aap hi ka intezar kar raha ho tab bhi nahi.
AK: Nahi. Bilkul bhi nahi. Jab ham apne aaj me khush hai to apne ateet me jaa kar khud ko kyun takleef de.
Revati: Ye to aap ne sach kaha.  khush to aap itne hai na ki mai bhi kabhi kabhi soch kar hairaan ho jaati hun ki koi apni zindagi me itna khush kaise ho Sakta hai. Har raat Aansu bahaye bina sona Yehi hai na aap ki zindagi ki khushi.
AK: Hame na tumhare kisi bhi sawaal ka jawaab hi nahi dena.
Revati: Thik hai mat dijiye, lekin aap ka dil jab aap se ye sawaal karega na to us ka jawaab soch lijiye aap. Aur agar kal kabhi aap ka ateet aap ke saamne aa jaye na to un ko kya jawaab dena hai ye bhi aap abhi se soch lijiye. Pata nahi us waqt phir aapko time mile ya nahi.
AK: Kuchh bhi bolti rehti ho tum.
She leaves from there.


Precap:  Arya gets to know that Ahaan's Mumma is her Angel.

Is chapter me to Ahaan aur Arya ki dosti ho gayi and now be ready to witness what's up in the next chapter....

plmzaq thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago

Amazing update

Love it

Cont soon

an_shaini thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

OMG!!! So beautifully put together.. I am waiting for aj and guddan's face off

poddav thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago

amazing love it plz plz continue soon