Pyaar ka Farz
Arjun frustration mein gaadi chala raha hai. jerk se break lagakar woh beach ke paas rokta hai. darwaaza slam karke woh samundar ke paas jaa baithta hai aur apne aap ko shaant karne ki koshish karta hai. raat ka samay hai pure beach par woh akela hai. kuch der baad ek ladki waha aati hai...Arjun ko dekhkar woh uske chehre par smile aati hai...
Par fir woh dekhti hai ki uske chehre ke haav-bhaav kuch theek nahi hai. confuse hokar woh chalkar uske paas pahunchti hai. ab tak Arjun ne use notice nahi kiya. Ladki uske paas baiththi hai
Ladki: kya hua Arjun sir? Aap itne pareshaan kyun hai?
Arjun presence mein aakar mudta hai. woh disturb karne waale par blast hona chahta hai par fir ladki ko dekhkar thoda control karta hai. woh firse samundar ko face karta hai
Arjun: Riya please...mujhe is waqt kisi se koi baat nahi karni...tum jaao yaha se!
Riya samaj jaati hai ki koi baat use khaye jaa rahi, par woh use aise chodkar nahi jaa sakti, toh woh silently wahi baithi rehti hai, yeh sochkar ki jab uska gussa thoda shaant hoga toh woh khud hi bolega.
Kuch der baad...
Arjun: tum nahi manogi?
Riya: aap bhi toh us din nahi maane the
Arjun use face karta hai...dono ko unki us jagah par pehli mulaqat yaad aati hai
Flashback
Kuch mahine pehle- Arjun us jagah par aksar jaata tha kyunki waha koi nahi hota tha, use waha shanti milti thi. Us din jab woh gaya toh uski jagah par ek ladki baithi hui thi. Uski peeth Arjun ki taraf thi.
Arjun: ye meri jagah hai
Ladki awaaz sunkar apne aansu ponch kar turn hoti hai. dono ek dusre ko dekhkar choukte hai
Arjun: Riya?
Riya use nazre nahi milati: I'm sorry, mujhe nahi pata tha
Woh uthkar jaane ke liye turn hoti hai par...
Arjun uska haath pakad leta hai: tum ro kyun rahi ho?
Riya: nahi kuch nahi...
aur apna haath chudwati hai par Arjun ne kaskar use pakda hai. Riya confused gaze se use dekhti hai.
Arjun: koi aise hi nahi rota Riya, baat kya hai?
Ab Riya thoda irritate hoti hai: maine kaha na kuch nahi! Chodiye mujhe!! Aur struggle karti hai
Lekin Arjun toh Arjun hai: jab tak tum mujhe sach-sach nahi batati main tumhe nahi chodne waala
Riya(thoda rudely): why the hell do you care?!?!?!? Uske aankhein firse nam hoti hai
Arjun sigh karke use zabardasti niche bithata hai, lekin Riya struggle karti hai
Arjun: Riya stop it!!
Riya ka mood off hai toh woh protest nahi kar paati, par fir bhi woh Arjun se nazre nahi milati
Arjun(concernedly): kya hua Riya? Kisine kuch kaha tumse? Jhagda hua kisi ke saath ?
Riya negatively nod karti hai
Arjun: toh phir kya hua? Kyun ro rahi ho?
Riya kuch nahi bolti
Arjun: mujhe nahi bataogi?
Riya finally nazre uthakar use dekhti hai aur fir achanak use tightly hug karti hai...Arjun choukta hai, Riya silently sob kar rahi...Arjun ke haath dheerese use hug karne ke liye uthte hai par use chune se pehele hi muthi banakar woh firse apne haath niche kar deta hai, bas use rone deta hai...kuch der baad Riya use alag hoti hai aur apne aansu ponchti hai
Arjun: are you ok?
Riya nod karti hai: woh...mujhe papa ki yaad aa rahi thi
Arjun: kahi gaye hai woh?
Riya fir nod karti hai
Arjun: toh phone karke baat karlo
Riya light smile deti hai: agar bhagwaan ke paas phone hota toh koi bhi kisi ko yaad karke dukhi nahi hota
Arjun choukta hai...woh kabhi bhi saamne se Riya ko dekhne hospital nahi gaya tha, jab bhi use dekhne ka man hua, aadhi raat ko use dekhne jaata tha jab woh so rahi hoti hai, isliye use nahi pata tha ki uske ghar mein kaun hai aur kaun nahi
Arjun: im sorry...mujhe nahi pata tha
Riya ab tak apne aap ko compose kar chuki hai: of course aapko nahi pata tha...isme sorry ki kya baat hai? apne thodi unhe maara hai
Arjun ko kya kehna kuch pata nahi chalta
Riya continue karti hai: woh Army mein General the... I was 19 when he was killed in action
Arjun: aur...tumhari ma?
Riya: wahi mere mummy papa dono the...maine apni maa ko kabhi nahi dekha
Arjun: tum unse bahot close hogi na?
Riya smile karti hai: hmm...woh mujhse bahot pyaar karte the, mujhe kabhi maa ki kami mehsoos hi nahi hoti thi, mujhe is baat ki koi shikayat nahi hai ki woh mujhe chodke chale gaye in fact mujhe garv hai ki main unki beti hun par (uski aankhein fir nam hoti hai) ...apno se dur hone ka dukh toh hota haina?
Arjun nods as Riya wipes her tears from the corner of her eyes, silence prevails between them for sometime
Riya topic change karti hai: waise..ye aapki jagah kaise?
Arjun: woh...main aksar yaha aata hun...tum?
Riya: kabhi-kabhi...ajeeb baat haina hum dono ek hi jagah par aate hai par fir bhi aaj tak nahi mile
Arjun: shayad humare waqt nahi milte
Riya: shayad
Arjun: tumhe ghar par nahi hona chahiye? Tum abhi tak theek nahi hui ho
Riya: mujhe do-teen ghante ghumna allowed hai, warna ghar par baithna ka kya faayda? Hospital ki chaar deeware mein se nikalkar fir ghar ki chaar deewaron mein kaid hou? Not a chance!...aur acha hi haina aaj main baahar aayi toh aap mere kandhe ban gaye...thank you
Arjun: anytime
Riya: are you sure?
Arjun(confused): matlab
Riya: nahi mera matlab soch lijiye...agar kabhi mujhe aadhi raat ko papa ki yaad aayi toh main rone ke liye aapke paas aa sakti hun
Arjun: main sochkar hi jawab deta hun Riya
Riya surprisingly use dekhti hai, usne joke maara socha nahi tha ki Arjun seriously jawab dega...Arjun realizes her chain of thought and smiles while Riya lowers her gaze...
Flashback Ends
Us din ke baad dono har roz waha milte the, Riya toh apne Arjun sir se milkar khush thi aur Arjun bhi uski company enjoy karta tha toh woh bhi roz raat ko wahi jaata tha, dono ke bich dosti ho jaati hai dheere-dheere Arjun bhi Riya se uski life ke baare mein share karne lagta hai...
Arjun sigh karta hai: tumhe Sheen wala case yaad hai?
Riya nod karti hai
Arjun: us case ke liye Raghu sir ne mujhe bulaya tha, uske baad main waapis jaane waala tha lekin commissioner sir ne mujhe ETF mein appoint kiya yeh Kehkar ki jab bhi Sikandar ka case aayega woh use ETF ko saupenge isliye main ruk gaya lekin...
Riya: lekin?
Arjun: commissioner sir ke paas ek lead thi jis par intelligence agencies work kar rahi thi, lekin kuch din pehle hi unhe pata chala ki usme se jo kuch bhi baahar aa raha hai woh sab highly confidential hai yaha tak ki commissioner sir ke paas bhi saari information ka access nahi hai...woh case R&AW ke jurisdiction mein aata hai
Riya(shocked): kya???
Arjun: ha
Riya: toh ab?
Arjun: toh ab hum kuch nahi kar sakte, agar R&AW ka in-charge hume allow kare toh hum work kar sakte hai par commissioner sir unke kaam mein dhakal nahi dena chahte, aur bina commissioner ki permission ke hum R&AW ke saath koi formality nahi kar sakte
Riya: aur unke chakar mein aap latak gaye
Arjun : hmmm...
Riya kashmakash mein chali jaati hai, fir kuch sochkar
Riya: aapke paas secured laptop hai?
Arjun: ha kyun?
Riya: kaha hai?
Arjun: lodge mein
Riya uthte hue uska haath pakadti hai: chaliye waha jaate hai
Arjun(confused): kyun?
Riya: chaliye na...aur uska haath pull karti hai
Arjun: are par hua kya?
Riya: aap chaliye toh sahi...woh use uthane mein successful hoti hai aur drag karke car tak le jaati hai. Arjun drive karke Riya ko apne lodge tak le jaata hai.
Arjun: tum chalo mein park karke aata hun...room no.43
Riya nod karti hai aur utar ke andar jaati hai. andar reception cross karke corridor mein turn hoti hai. use dekhkar reception wala admi use rokta hai
Admi: kaha jaana hai?
Riya: woh...Arjun Rawte ke kamre mein
Woh admi use upar se niche tak dekhta hai, Riya ko gussa aata hai
Admi: woh kisi se nahi milte
Riya(apna tone control karte hue): Uski Chinta Tumhe Karne Ki Zaroorat Nahi Hai!!
Tabhi pichese: kya ho raha hai yaha
Dono mudte hai...waha Arjun. Admi thoda darta hai
Admi: woh sir...ye ladki aapse milne aayi hai..maine kaha ki aap kisise ...
Arjun: woh mere saath hai! chalo Riya
Riya nod karke Arjun ko follow karti hai. dono room mein enter karte hai...
44