Continue soon
Thanks for pm
PARAYI AURAT 13.9
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai, 14th Sept '25 Episode Discussion Thread
🏏T20 Asia Cup 2025 India vs Pakistan, 6th Match, Group A, Dubai🏏
Tanya was fab today👏🏻
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 14th Sep 2025 - WKV
KIARA THROWN 14.9
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
When a lie is repeated hundred times…
Katrina won't announce her pregnancy, is she?
Bb top 5 - guess
Prayansh Aransh Anpi FF: Swapnakoodu
Cocktail 2 begins shooting with Shahid ,Kriti and Rashmika!
What happened to Tiger Shroff? Why did he decline?
Which movie is your 1st choice on 2nd October?
Malla and ARS running crime list
Sidvi FF: Chocolate (continued)
Riya nod karke Arjun ko follow karti hai. dono room mein enter karte hai...
Riya(Aaspaas dekhte hue): aap yaha rehte kaise hai?
Arjun ignore karte hue table par pade laptop ki taraf ishara karta hai
Arjun: ab kya main jaan sakta hun tum mujhe yaha kyun laayi?
Riya: main kaha laayi? Aap lekar aaye
Arjun: Riyaa!!!...
Riya: acha...acha relax! Aap Baithiye thodi der mein sab pata chal jaayega. Aur table ke saamne kursi par baith jaati hai.
Arjun bhi ek stool kheench kar uske paas baith jaata hai. Riya laptop kholti hai aur kuch karne lagti hai. Arjun patiently dekh raha hai. fir achanak ek page khulta hai...official page...R&AW ka. Arjun shock ho jaata hai. woh immediately Riya ke haath pakad leta hai. Riya use question look deti hai
Arjun: tum kuch hack nahi karne waali Riya!!
Riya are you serious' face banati hai: aapko pata bhi hai ki inki data aur firewalls kitne high level par encrypt kiya jaata hai? inka IDS itna secure hota hai ki koi Google par R&AW search maare toh bhi as security measure uska IP address store ho jaata hai. agar koi hack karne ki koshish kare toh 7 minute ke andar-andar woh log aapki puri kundli nikaal kar aapko arrest kar sakte hai.
Arjun: toh phir tum kya kar rahi ho? Aur..is sab ke baare mein tumhe kaise pata?
Riya: patience sir...
Aur firse laptop par focus karti hai. woh page par login window khulta hai. Riya usme access ID aur password enter karti hai. Arjun chouk kar use dekh raha hai. Riya ka ID accept hota hai aur naya page khulta hai...ab Arjun aakhein faadkar use dekh raha hai.
Arjun: tum...tum R&AW...R&AW officer ho?
Riya finally use face karti hai: thi
Arjun: matlab?
Riya: do saal pehle ek mission mein meri identity thodi baahar aa gayi thi toh mere paas do option the! Ek...ki main waha par desk job karu ya do...main voluntary retirement le lun...ab main koi 60-70 saal ki toh thi nahi ki desk job par baith jau toh ...maine retirement le li aur ETF mein aa gayi
Arjun: par...par tum toh research desk...
Riya: sir...fake background banane mein kitna time lagta hai?
Arjun: aur tumhari shooting?
Riya: main andhere mein bhi goli nishane par chala sakti hun par... ek research specialist ke liye thoda over skilled ho jaayega, don't you think?
Arjun use unbelievable look deta hai
Riya continue karti hai: aur waise bhi main ek baar shuru ho jaau toh control karna thoda mushkil hai aur yaha par witnesses ko zinda rakhne ka zyaada importance hai toh...aur shrug karti hai
Arjun abhi bhi use waise hi dekh raha hai: lekin...tumhare paas abhi access hai?
Riya: humara ek motto hai once a agent always a agent' retire hone ke baad bhi unki zaroorat padne par woh hume appoint kar sakte hai, isliye humara access cancel nahi kiya jaata aur waise bhi main grade II ki officer thi toh mere paas majority access hai, main jab chaahe jo chaahe information use kar sakti hun of course...for the greater good
Arjun: I don't know Riya...main nahi chahta tum meri wajahse kisi musibat mein pado, are you sure ki tum...
Riya uska haath pakadti hai: main jaanti hun main kya kar rahi hun
Arjun nod karta hai
Riya: toh ...let's get to work!!
Woh search filter mein Sikandar ka naam daalti hai aur kuch hi seconds mein use results milte hai. Riya groan karti hai.
Riya: aapne uski shakal dekhi thi?
Arjun: nahi...kyun?
Riya screen ko uski taraf turn karti hai...usmein kareeb 50 results hai
Arjun: itne saare? Toh hume kaise pata chalega ki kaunsa humara hai?
Riya: sone pe suhaag yeh ki isme se kuch 35 aise hai jinka wahi dhandha hai...drug, smuggling, trafficking
Arjun: maine shayad solution maanga tha
Riya: manually karna padega. Ek - ek khol kar, information compare karke pata karna hoga ki humare kam waala kaunse hai...main ek kaam karti hun...printout nikaal deti hun
Arjun: par mere paas printer nahi hai
Riya: kyun?
Arjun: woh...yaha par kabhi zaroorat nahi padi, jo bhi kam hota tha office se hi par gh...
Darwaaze par knock hota hai
Riya: kaun aaya?
Arjun: pata nahi..main dekhta hun.
Arjun door kholta hai. waha... lodge mein kaam karne waala ladka.
Arjun: kya hai?
Ladka: woh saab aapke yaha mehmaan hai toh maine socha kuch khaane-peene ke liye chahiye?
At the same time woh subtly andar jhaankne ki koshish kar raha hai, tabhi Arjun ki nazar corridor ke and par padti hai, waha bhi woh reception wala admi aur ek aur kaam karne waala ladka khada hai. woh sigh karta hai aur bina jawaab diye darwaaza band kar deta hai...Riya ko ajeeb lagta hai
Riya: are kam se kam bichare ko muh se na toh bol dijiye...aise darwaaza...
Arjun: woh tum pe line maarne ki koshish kar raha tha
Riya (realize karke): oh!
Arjun: laptop le lo...printer ke paas jaate hai
Riya: hum abhi office jaayenge?
Arjun: nahi...
Riya: main is waqt aapko apne ghar nahi le jaa sakti
Arjun(confused): kya?
Riya: itni raat ho gayi hai...kisine dekha ki main aadhi raat ko ek ladke ke saath ghar mein akeli hun toh kya sochega?
Arjun(annoyed): What???...maine kab kaha ki tumhare ghar chalte hai?
Riya: par abhi toh aapne kaha ki hum office nahi jaa rahe, toh dusri kaunsi...
Arjun achanak uska haath pakad kar use khada karta hai, dusre haath mein laptop aur gaadi ki chabi leta hai
Riya: sir..!!!!
Par Arjun nahi sunta aur use aise hi pakad kar gaadi mein bitha deta hai.
Arjun: ab chup - chap bina koi sawaal kiye baitho, samjhi ya samjhao?
Riya chup hokar nod karti hai. Arjun disbelief mein apna sar hila kar driver ki seat par baithta hai. Adhe ghante ki drive ke baad Arjun ek ghar ke compound mein gaadi park karta hai
Riya: ye kiska ghar hai?
Arjun: mera...chalo
Dono utarkar ghar ki taraf badhte hai. Arjun chabi se darwaaza kholta hai aur dono enter karte hai. pure ghar mein andhera hai, Arjun lights on karta hai. Riya ghar dekhti hai. decently furnished zyaada decorations nahi hai par ekdum apne si feeling aati hai. uske chehre par smile aati hai.
Riya: itna khubsurat ghar hai aapka toh phir aap lodge mein kyun rehte hai? I understand aapko Roshni ji ki yaad aati hai par...
Arjun: meethi yaadein jab chin jaaye toh zyada khatakti hai Riya
Riya: aap khud maante hai ki woh yaadein meethi hai toh phir unse dur kyun bhag rahe hai? pyaar toh insaan ko dard mein bhi khushi deta hai toh phir aap usise kyun muh fer rahe hai?
Arjun ko kya jawab dena pata nahi chalta, woh baat ko taal deta hai: main printer se connect karta hun. Aur usmein lag jaata hai.
Riya bhi sigh karke saari information ki hard copies nikaalne mein lag jaati hai. fir dono use arrange karke use set karte hai. tab tak subah ke 6 baj jaate hai.
Riya(sleepy): lijiye print outs toh taiyaar ho gayi, ab isme se aapko apna Sikandar dhundhna hai
Arjun: mujhe dhundhna hai?!?!?!
Riya use look deti hai: toh aur kaun dhundhega?
Arjun: are mera matlab, itna saara main kaise...? Tum thodi madad nahi karogi?
Riya: filhaal... bilcul nahi!!.,...mujhe neend aa rahi hai...main ghar jaa rahi hun...bye!
Aur uthte hai, woh darwaaze tak pahunchti hai aur door kholti hai tabhi...
Arjun: Riya?...(woh rukti hai) tum ghar kaise jaogi?
Riya: taxi se!
Arjun: itni subah tumhe kuch nahi milega...main chod deta hun
Riya finally turn karti hai: par aapko office nahi jaana?
Arjun: abhi time hai
Riya: theek hai toh...thoda jaldi
Arjun smile karta hai, aur car keys lekar uske saath jaata hai, Riya ko ghar drop karke firse lodge jaata hai, fresh hone ke baad...woh nikalne waala hai par fir ruk jaata hai...kuch sochkar, cupboard mein se apna saaman nikalkar pack kar deta hai aur reception par room ki chabi submit kar deta. Apni bag ko dickey mein chodkar woh office chala jaata hai...
Sakshi: good morning Arjun!
Arjun bina reply diye apni seat leta hai
Sakshi: kya Arjun...kabhi toh jawab de diya karo
Arjun fir bhi kuch nahi bolta
Sakshi sigh karti hai, Ayesha aur Liza use pity look deti hai, tabhi Rathore ka phone bajta hai..naya case...toh sab usme ulajh jaate hai, par Arjun ka dimag waha nahi hai, woh Sikandar ke baare mein soch raha hai, use pata karna hai ki kaunsa Sikandar dhundhna hai use...
Rathore: Rawte!!
Arjun presence mein aakar: huh?...kya hua?
Rathore use glare karta hai: dhyan kaha hai tumhara?
Arjun: kuch nahi...aur focus karne ki koshish karta hai...
Case solve hota hai, din khatam hota hai, Arjun apne cabin mein jaakar Riya ko call karta hai
Riya: good evening sir!
Arjun: good evening! Kaha ho?
Riya: ghar par
Arjun: tum ghar aa rahi ho ya main lene au?
Riya: kyun?
Arjun: kyunki mujhe research specialist ki zaroorat hai!!
Riya(sheepishly): main aati hun sir!
Call disconnect...
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...
Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...
44