Bin Roye (Hum TV) - Humayun Saeed, Mahira Khan, Armeena Khan - Page 84

Created

Last reply

Replies

863

Views

78085

Users

74

Likes

1020

Frequent Posters

kirim thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: ...Jes...

🤗

Yah thanks to Anam😳 I find this show really intense! such great work done by whole team. Irtiza is love man! such a clam and patient lover!❤️

like me na jes 😭
...Jes... thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 5
Posted: 7 years ago

Originally posted by: kirim

like me na jes 😭

lol Kayu😆🤗😆
-Zahra15- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago

Originally posted by: ...Jes...

Can anyone please copy paste his confession from novel?😳



This Is Not His Confession But A Sort Of Self-Realisation Before His Confession When Saba Is Sleeping After All The Crying.

I Basically Translated An Extract For Those Who Didn't Read The Novel.

If I Get Time I'll Try For The Confession As Well.

And Yea, I Forgot To Introduce Myself. 😆
I'm Zahra ^_^

Here It Is:

Saba ko yaad nahi ke use Irtiza Ghazanfar se pehle baar mohabbat kab huwi. Lekin use yaad tha. Woh 8th April thi. Shaam ka waqt tha. Jab uss ne pehle baar Saba ko dekha tha. Saath saal ki umr mein uss ne uss larki se mohabbat karna shuru kar di thi.

Uss ne Saba se shaadi ki khwaaish ka izhaar sirf Mamma ke aansuon our Daddy ki udaassion ko dekhte huwe kiya.

Lekin Saba uss shaadi ko mane ke liye tayaar nahin thi. Woh uss rishte se nafrat karti thi. Wo Saba ke uss rad-amal ki wajah dhoondne mein laga raha. Woh kam-umar aur jazbaati si larki jisse woh choti si bachi samajhta tha uss ke saath aakhir uss ka rishta kyat ha?

Uss ke bahut andar chupi thi yeh baat. Itne andar ke kabhi khood uss par mankashaf nah o saki. Saba ki aetraaf ne use hilaa diya tha. Usse jhanjhor kar rakh diya tha. Usse zindagi mein kabhi bhi kissi aurat ke aansuon se itni takleef nahi huwi thi jitni Saba ke aansuon se hoti thi. Aur uss waqt bhi so ussi takleef se guzzar raha tha. Uss waqt jab woh uss ke kandhe par sar rakh kar ro rahi thi.

Saba ne Saman ke liye nafrat se bhi kyun socha tha, woh use badduaaein kyun deti thi, woh Saman se hassad kyun karti thi uss ne ek pal ke liye bhi Saba ke khilaaf kuch nahi socha. Woh sahi thi ya ghalat, woh achi thi ya buri. Woh Saba thi. Uss ne zindagi mein joh kuch kiya, woh sab ghalat tha. Tab bhi woh uss ke liye wohi Saba thi. Woh uss ke baare mein apne sochne ka andaaz tabdeel nahin kar sakta tha.

Saba ki taraf dekhte dekhte uss ne apni aur Saman ki tassweer ko dekhna shuru kar diya tha. Yeh bedroom joh uss ne Saman ke liye bari mohabbat se sajaaya tha. Uss mein lagi apni honeymoon ke dinon ki yaadgaar tassweer use kiss qadar passand thi. Woh kuri par se ek dam hi utha tha. Aahista qadmon se chalta huwa woh ab uss tasweer ke saamne aakar khara ho gaya tha. Uss ki nigaahein Saman ke chehre par jami thi.

"Saman! Main ne na zindagi mein kal tum se jhoot bola tha aur na aaj boloon ga. Tum meri zindagi mein aane waali sab se achi larki thi. Tum kisse aur duniya ki lagti thi. Kissi pariyon ki desh ki shehxaadi, joh rasta bhool kar hum insaanon ki duniya mein aagayi thi. Saman! Aaj mujhe yeh ehteraaf kar lene do ke maine tum se tumhaari khoobiyon ki wajah se mohabbat ki thi.

Agar tum mein yeh tamaan khoobiyaan na hoti to main kabhi tumhaari mohabbat mein mubteela na hota aur Saba? Saba mere liye kya hai...?
Saba mujhe iss liye achi lagti hai kyunke woh Saba hai. Woh achi hai yaa buri. Uss mein khoobiyaan hai ya khaamiyaan, woh sahi hai ya ghalat, main phir bhi use mohabbat karta hoon. Tumhaare saath dil ka rishta tha Saman, toh Saba ke saath mera rooh ka rishta hai. Yeh Mohabbat ka kaunsa andaaz hai main nahi jaanta. Yeh ishq hai ya junoon. Yeh kya hai? Mujhe nahi maaloom."

-Zahra15- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
Sorry I mean I transliterated not translated 😆
-purnima- thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
Had done weekly reviews of BinRoye !!
BinRoye Reviews
If anyone interested can read on 😊 😊

& Irtiza Saba VM Kaha Tumhe Dhundu Main --Irtiza Saba

Edited by -purnima- - 7 years ago
kirim thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: -Zahra15-


This Is Not His Confession But A Sort Of Self-Realisation Before His Confession When Saba Is Sleeping After All The Crying.

I Basically Translated An Extract For Those Who Didn't Read The Novel.

If I Get Time I'll Try For The Confession As Well.

And Yea, I Forgot To Introduce Myself. 😆
I'm Zahra ^_^

Here It Is:

Saba ko yaad nahi ke use Irtiza Ghazanfar se pehle baar mohabbat kab huwi. Lekin use yaad tha. Woh 8th April thi. Shaam ka waqt tha. Jab uss ne pehle baar Saba ko dekha tha. Saath saal ki umr mein uss ne uss larki se mohabbat karna shuru kar di thi.

Uss ne Saba se shaadi ki khwaaish ka izhaar sirf Mamma ke aansuon our Daddy ki udaassion ko dekhte huwe kiya.

Lekin Saba uss shaadi ko mane ke liye tayaar nahin thi. Woh uss rishte se nafrat karti thi. Wo Saba ke uss rad-amal ki wajah dhoondne mein laga raha. Woh kam-umar aur jazbaati si larki jisse woh choti si bachi samajhta tha uss ke saath aakhir uss ka rishta kyat ha?

Uss ke bahut andar chupi thi yeh baat. Itne andar ke kabhi khood uss par mankashaf nah o saki. Saba ki aetraaf ne use hilaa diya tha. Usse jhanjhor kar rakh diya tha. Usse zindagi mein kabhi bhi kissi aurat ke aansuon se itni takleef nahi huwi thi jitni Saba ke aansuon se hoti thi. Aur uss waqt bhi so ussi takleef se guzzar raha tha. Uss waqt jab woh uss ke kandhe par sar rakh kar ro rahi thi.

Saba ne Saman ke liye nafrat se bhi kyun socha tha, woh use badduaaein kyun deti thi, woh Saman se hassad kyun karti thi uss ne ek pal ke liye bhi Saba ke khilaaf kuch nahi socha. Woh sahi thi ya ghalat, woh achi thi ya buri. Woh Saba thi. Uss ne zindagi mein joh kuch kiya, woh sab ghalat tha. Tab bhi woh uss ke liye wohi Saba thi. Woh uss ke baare mein apne sochne ka andaaz tabdeel nahin kar sakta tha.

Saba ki taraf dekhte dekhte uss ne apni aur Saman ki tassweer ko dekhna shuru kar diya tha. Yeh bedroom joh uss ne Saman ke liye bari mohabbat se sajaaya tha. Uss mein lagi apni honeymoon ke dinon ki yaadgaar tassweer use kiss qadar passand thi. Woh kuri par se ek dam hi utha tha. Aahista qadmon se chalta huwa woh ab uss tasweer ke saamne aakar khara ho gaya tha. Uss ki nigaahein Saman ke chehre par jami thi.

"Saman! Main ne na zindagi mein kal tum se jhoot bola tha aur na aaj boloon ga. Tum meri zindagi mein aane waali sab se achi larki thi. Tum kisse aur duniya ki lagti thi. Kissi pariyon ki desh ki shehxaadi, joh rasta bhool kar hum insaanon ki duniya mein aagayi thi. Saman! Aaj mujhe yeh ehteraaf kar lene do ke maine tum se tumhaari khoobiyon ki wajah se mohabbat ki thi.

Agar tum mein yeh tamaan khoobiyaan na hoti to main kabhi tumhaari mohabbat mein mubteela na hota aur Saba? Saba mere liye kya hai...?
Saba mujhe iss liye achi lagti hai kyunke woh Saba hai. Woh achi hai yaa buri. Uss mein khoobiyaan hai ya khaamiyaan, woh sahi hai ya ghalat, main phir bhi use mohabbat karta hoon. Tumhaare saath dil ka rishta tha Saman, toh Saba ke saath mera rooh ka rishta hai. Yeh Mohabbat ka kaunsa andaaz hai main nahi jaanta. Yeh ishq hai ya junoon. Yeh kya hai? Mujhe nahi maaloom."


hey zahra thank you so much🤗 i dont think translating it into emglish can give these feeling with urdu its so pure and deep ❤️ i read this after 4 years but still feeling its all words on my heart 
-Zahra15- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago

Originally posted by: kirim



hey zahra thank you so much🤗 i dont think translating it into emglish can give these feeling with urdu its so pure and deep❤️i read this after 4 years but still feeling its all words on my heart



I know right!!!
To be really honest, one thing that I missed in the serial (although I know it wouldn't have been possible to incorporate them all 😆 ) was the monologues that the pivotal characters had. Especially Irtiza by the end

And like you said, the feel is something totally different in Urdu ^_^
MochaQueen thumbnail

Bilal Abbas Khan

Posted: 7 years ago
OMG zahra thanks for typing that out
so helpful!
-Zahra15- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago

Originally posted by: HeavenlyBliss.

OMG zahra thanks for typing that out

so helpful!



No problem ;)

I'll try for some other parts as well if I get time!!!

-Zahra15- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
Hello All!!!
I've tried transliterating the last part of the novel as well (barring the very last part where Mr and Mrs Ghazanfar return back home to their family), which is on Irtiza's Confession as some had been wanting.

(Check the previous page for the self realisation of Irtiza =)) )

Here it is!!!

***************

Irtiza ko kamre mein aata dekh kar woh uth kar baith gayi.

"Kaisi tabeeyat hai Saba?" woh muskuraate huwe uss ke kareeb aayaa.

"Theek hai," uss ne bahut aahista aawaaz mein uss ka jawaab diya.

"Yeh dekho, cheese sandwiches banaye hai, main ne tumhaare liye. Kha kar bataayo kaise bane hai." Woh tray uss ke saamne rakhte huwe, uss ke baraabar mein bed par baith gaya. Woh khamoshi se tray ki taraf dekhne lagi.

"Lo na Saba! Main ne itni mehnat se tumhaare liye sandwiches banaye hai aur mera daawaa hai ke yeh sandwiches tumhein bahut pasand aaein ge." Uss ne plate mein se sandwich utha kar uss ke haath mein pakraaya. Uss ne khaana shuroo kar diya.

"Kaho, maze ka hai ke nahi." Uss se jawaab mein kuch bhi nahi bola gaya. Niwaala uss ke halq mein phasne laga tha. Halq mein aansoon ka phanda sa lagne laga tha.

"Yeh coffee bhi toh peeyo, tumhaare maze ki coffee toh mein kabhi nahi bana sakta. Bahrhaal yeh coffee bhi itni buri nahi hai. Mere hisaab se yeh meri behtereen koshish hai."

Woh us ski kaifiyat se anjaan bana coffee ka mug utha kar use dene laga. Uss saksh ke saamne woh apni assliyaat uss par zaahir karke pareshaan nahi thi. Woh aisa sukoon mehsoos kar rahi thi jaise ek baazameer mujrim aetraaf-e-jurm ke baad karta hai.

Lekin yeh shaks... woh iss shaks ko kya kahe. Uss ke sab baton ko sunne ke baad bhu uss ka iss ke saath wohi andaaz tha. Wohi narm aur shireen lehje, wohi chehre par muskuraahat.

Uss ne apne baraabar mein baithe uss shaks ki taraf dekha.

"Meri maa agar tum par andha aetemaad karti thi toh bilkul theek karti thi. Tum waaqiy mere liye ek saayadaar shajar ki maanand ho. Tum ne mere itne bare gunaah ko muaaf kar diya.

Itne ache kyun ho Irtiza Ghazanfar? Tumhein meri koyi baat buri kyun nahi lagti?" uss ki aankhon mein aansoo aane lage the. Uss ne Irtiza par se apni nazrein nahi hatayi thi.

"Maaz ko zabardasti lunch karake aaya hoon. Bahut naaraaz hai mujhse. Bilkul baat nahi kar raha. Tum apni tabeeyat jaldi theek kar lo take phir hum kahin baahir jaa sakein aur Maaz ka mood theek ho." Woh us ski sochon se benayaaz nazar aaraha tha. Use Saba ke chehre par jaise kuch nazar aahi nahi raha tha. Uss ne Irtiza se nazrein hataali. Woh ab khamoshi se sandwich kha rahi thi. Sandwich khatam kar ke uss ne coffee bhi poora khatan kar diya tha.

"Bas ek sandwich? Aur lona."

"Main kha chuki." Uss ne pehle se bhi zyaada halki awaaz mein jawaab diya.

Uss ne mazeed issraar kiye baghair tray saamne se hata kar side table par rakh di. Woh khamoshi se us ski taraf dekhne laga tha. Woh us ski nazrein mehsoos kar rahi thi. Lekin uss ne sar utha kar use dekha nahi tha.

"tum Saman se bahut muhabbat karti ho. Tumhaare yakeen dilaaye baghair bhi har baat mujhe maaloom hai. Tum ne khood ko sazaa di uss baat par ke jiss se tumhein itni muhabbat thi, uss ke bare mein lamhe bhar ke liye bhi tumhaare dil mein bure khayaal kyun aaye the." Saba ne chonk kar use dekha.

"Saman tumhaari wajah se nahi mari thi Saba! Yeh taqdeer ka faisla tha. Woh haadsa tumhaari wajah se nahi huwa tha. Aur na tum koyi bahut pahunchi huwi aur buzurg hastii ho ke kissi ko bad dua do aur use lag bhi jaaye. Tumhein sirf hamari shaadi hona acha nahi laga tha. Lekin use hone se rokne ke liye tum ne koyi ghalat kaam nahi kiya tha. Tum hum donon ke beech ghalatfehmiyon paida karwa sakti thi. Tum muh se bhi Saman ke khilaaf bahut kuch keh sakti thi. Tum bari aasaani se hamare darmiyaan laraayi kar wa sakti thi. Lekin tum ne aisa nahi kiya.

Sirf muhabbat karna jurm nahi. Haan, apni muhabbat ke hasool ke liye ghalat raasta ikhtiyaar karna zaroor jurm hai. Aur tum uss jurm ki martakab nahi huwi ho. Tum ne kuch ghalat nahi kiya Saba! Tum ne Saman se kuch nahi cheena. Tumhaari mujhse shaadi hona hamari kismet mein likha tha."

Uss ka use samjhane ka wohi andaaz tha joh hamesha huwa karta tha. Woh ab khamoshi se uss ki taraf dekh raha tha. Chand seconds ki khamoshi un ke darmiyaan aayi thi. Phir uss khamoshi ko Irtiza ne hi tora.

"Kal tum ne mujhse kuch sawaalat kiye the."

Bolte huwe uss ne bari aahatgi se uss ka haath apne haath mein le liya tha.

"Main tumhaare un sawaalon ka jawaab dena chahta hoon Saba." Uss ki aakhon mein jhankte huwe woh mazzboot lehje mein bola. Woh taktaki bandhe use dekh rahi thi.

"Main tumhaara khayal iss liye rakhta tha kyunki tumhaara khayaal har waqt mere saath rehta tha. Tumhein ehmiyat issi liye deta tha kyunke tum mere liye bahut ehem thi. Tumhaare liye iss wajah se jeet ta tha kyunko tum mere jeetne se khush hoti thi. Tumhari khushi mujhe apni khushi lagti thi. Jiss tawajjo, jiss khayal karne ko tum muhabbat samajhti thi, woh muhabbat thi. Woh bilkul waisi muhabbat thi jaise tum samajhti thi."

Woh ek aisi baat use bata raha tha ke woh aankhon mein hairat aur beyakeeni liye, palkein jhukaye use dekhe chali jaarahi thi. Uss ne us ski aankhon ki hairat aur beyakeeni ko fauran par liya tha.

"Tum jaanti ho Saba ke main jhoot nahi bolta. Agar mujhe tumse muhabbat thi toh maine Saman se shaadi kyun ki? Main yeh baat nahi samjha sakta. Muhabbat hum donon ne ek doosre se ki hain magar hamari muhabbat ka andaaz bahut mukhtalif tha. Tumhaari muhabbat haq jataane waali thi, malkiyat samajhne waali thi. Aur main chahta k eke tum se har koyi muhabbat kare. Bilkul waise jaise mein karta hoon, kitni duaaein maangi thi maine ke Safeer tumhaara ussi tarah khayal rakhe jaisa main rakhta hoon. Woh tum se mohabbat karta, tum uss ke saath khush rehti toh mujhe ek pal ke liye bhi afsos na hota. Hamaare muhabbat karne ka andaaz mukhtalif tha Saba lekin ek doosre se muhabbat hum ek jitni hi karte the.

Meri zindagi ke tamaan saalon main se sirf saat saalon nikaal do. In shuroo ke saat saalon ke baad phir saari zindagi main ne tum se mmuhabbat karne ke ilaawa kuch nahi kiya.

Tumhaare saath joh mera rishta hai Saba, woh bahut hi ajeeb rishta hai. Isse main koyi naam nahi de paaraha."

Woh apne dil ki tamaan sachaayion ke uss se mukhaatib tha. Saba ki aankhon ki beyakini khatam ho chuki thi. Wahan ab sirf hairat thi.

"Ek baar aisa huwa tha. Sirf ek baar. Jab main tumhaare liye nahin jeeta tha. Kyunke mere haarne se Saman khush huwi thi. Bara khush tha main haar kar lekin tumhaare aasuon ne meri uss khushi ko bahut jaldi udaasi mein badal diya tha.

Aur aisa zindagi mein hamesha huwa hai Saba, woh khushi jiss ke raaste mein Saba ke aansoon aate hon, woh khushi phir mujhe kabhi khushi nahi de sakti. Yeh sach hai ke Saman mere dil se nahi nikal sakti, lekin uss se bhi bara sach yeh hai ke meri zindagi mein joh jagah aur joh mukaam tumhaara hai, woh kissi ka bhi nahi. Tumhaare liye mere dil ne kabhi koyi mantakh nahi maani. Tum bure se bura aur ghalat se ghalat kaam bhi karogi toh main use ghalat samajhne ke bawajood bhi tumhaara saath dene par khood ko majboor paaoon ga."

Woh use ghaur se dekhte huwe bare yakeen se bol raha tha aur Saba ko kiya huwa tha uss pal, woh haar gayi thi khud se.

Irtiza keh raha tha ke woh apna dil nahi badal sakta. Aur Saba par achanak hi inkishaaf huwa ke woh bhi apna dil nahi badal sakti. Woh khud se kuch bhi kahe. Kitne bhi jhoot bole. Sach toh yeh hai ke woh aaj bhi uss shaks se muhabbat karti hai, joh cheez uss ke bass mein nahi thi. Uss ke liye woh khood par giraft bhi nahi kar sakti thi. Uss ke aankhon se ek dam hi aansoon behne lage the. Apni barson ki thakan utaarne ke liye use woh kandha mila tha jiss par sar rakh kar woh apne saare aansoon bahaa sakti thi. Aur uss ne aisa hi kiya tha...