chap 10-
mumbai,9:30am
R; arey aaj plz aana..
A: arey yaar,tu mere sar pe baitha hua hai..main aa jaounga..samjha na..btw tujhe itna kya hai..
R: arey mujhe kuch bhi nahi hai yaar, voh ritz peeche se bol rahi hai..isiliye..
A: haan..main samajh gaya..vaise kuch dino ke baad appy bhi busy ho jaayegi apne life mein..tujhe pata hai uska fiancee kya karta hai..
R: haan, voh koi job karta hai..suna hai koi high post pe hai..hyderabad mein kaam karta hai..
A: hyderabad mein?...hmm..vaise peeche ritz kya bol rahi hai..mujhe kuch samajh nahi aa raha..
R: arey kuch bhi nahi tujhe aane ko keh rahi hai mall mein..jab ladkiyaan pregnant ho jaati hai to kya pagal ho jaati hai kya...ritz hi mujhe itna tang karti hai ki main soch raha hun ki bachche ke baad kya hoga...
A: hahaha..
R: but yes yaar...dad banane ki ek alag si excitement,khushi hoti hai..arey main tujhe kaise samjhaaon yaar..i m happy..very happy dese days..
A: hmmm..yeah i m happy for u ...chal main rakhta hun..
R: arey beech mein kyun call cut kar raha hai...sun to..
he had cut the call by that time...he was jst lying on the bed...remembering those memories spent with her...he was thinking how happy he cld be 2day with her nd their child..but their destiny had some other plans..he literally cursed his luck for his fate..he cldnt do anything now xcept recalling those memories...suddenly a mssg appeared on his mobiles screen..it was ranbir's...d mssg was-"usko bhi saath leke aana"...nd his reply was just a "hmm..."..
10:30 pm..wanna know wat happened in the mall?..dairy will tell u that..:)
--------------------------------
heyya dairy...welcome to mumbai..tum shaayad pehli baar aayi hogi.aur haan yeh last time bhi hoga kyunki hum iske baad kabhi yahaan pe nahi aayenge..samjhi?..srry dairy mood thoda kharaab hai..actual mein mera mood kab thik raha hai..yeh sab philosophy chodo..aaj ka din mera bhayaanak tha...mujhe to lagta hai bhoot bhi darr jaaye iss din se..kyunki ek bhootni namely chaahat aa chuki hai..meri nayi p.a...aur voh mera dimaag ko jab se hum flight mein baithe hai..tab se chaat rahi hai..she is sooo irritating..tum soch rahi ho ki priyanka ,meri purani p.a ko kya hua..kuch bhi nahi hua use..bas job chod di hai..aur uske badle mein mujhe chaahat namak idiot,duffer se kaam chalaana pad raha hai...priyanka main tumhe iske liye maaf kabhi nahi karungi..huh..yeh sab chodo main tumhe kuch aur bataana chaahti hun dairy...
main jab airport se hotel mein jaa rahi thi tab maine kisiko dekha..unhe dekhte hi meri ankhein bhar aayi...hum ek signal pe ruke the...uss signal pe meri paas mein scooty thi...uspe di aur gudiya the..peeche maa bhi baithi thi...maa hamesha ki tarah traffic ko koas rahi thi...uss time aankhon se aansoon nikal aaye..itne saalon ke baad maa ,di ko dekha..man kar raha tha ki unke paas jaakar ek bada sa hug doon..but nahikar sakti thi yeh main..tumhe pata hai dairy gudiya kitni badi ho gayi hai..main jab usse last mili thi na tab ekdum choti si thi..ab shayad se 5 ya 6 yrs ki ho gayi hai..time flies yaar..main poore signal unhe dekhti rahi..purane din yaad aa gaye...
hotel pahunch gaye the hum..main fresh hoke aayi hi thi ki amar sir ka call aaya..unhone mujhe apne ghar milne ke liye bulaaya tha..main thodi thaki hui thi isiliye thode der ke baad milne ka plan banaya..humne decide kiya tha ki hum 4:00 inorbit mall mein milenge..maine thoda rest kiya fir dress choose kar rahi thi..maine ek cream colour ki dress nikaali which ended just above my knee..i paired it with whitecoloured heels..main soch rahi thi ki main kitni badal gayi thi na..5 saal pehle main sirf suits aur saaris hi pehanti thi..aur aaj unhe pehne hue hi zamaana ho gaya..maine to pehle skirts bhi nahi pehni thi kabhi..aur aaj skirts n dresses ke alaawa kuch pehanti hi nahi..mumbai ne purane din yaad dila diye..
so i was in the mall ..amar sir aur maam ko greet kiya..koi coffe shop ke paas thodi der baithe hue the..kuch baatein bhi ki..main koi brownie lene ke liye ccd se bahar nikli...tabhi maine anant ko dekha...i stood still seeing him..voh kahin jaa raha tha..voh aaj bhi utna hi smart lag raha tha...black formal shirt with blue jeans...he was luking perfect ...just perfect..fir meri nazar ek ladki pe padi...koi pink colour ki saari pehni thi..anant aur voh haath pakad ke chal rahe the..i still cldnt move..anant was married..he moved on in life..voh ladki ekdum nishi jaisi dikh rahi thi...shayad vohi thi..lekin main uska chehra clearly nahi dekh paayi...voh dono kahin jaa kar ruk gaye..thode der ke ranbir bhi aaya..aur mujhse usse zyaada dekha bhi nahi gaya..mujhe pata tha ki mere jaane ke baad yahi hone vaala hai...i was prepared for this...but fir bhi
meri aankhon se aansoon nikal gaye..main brownie liye bina hi ccd chali gayi..mera kuch khaane ka mood nahi tha..amar sir aur maam ko maine bol diya ki mera sar bohot dukh raha hai aur main vahaan se chal di...hotel aayi tab yeh chaahat maharani poochne lagi ki mera din kaisa tha..main udaas kyun hun..nd all n all stuff...man kar raha tha ki uske chehre pe ek mukka maar ke chup rahne ko bol dun...but yeh baat maine man mein hi rehne di..agar yeh execute karti to meri kya haalat hoti thi pata nahi...maine use shaant rahne ko kaha..fir usne mujhe ek baat boli..
C:maam mujhe pata hai aap bohot depressed hai..aur yeh pata hai ki aap mujhe koi reason nahi baatyenge..nd its ok..but ek baat main kehna chaahti hun ki dukh baantne se hi kam hota hai...agar aap apne paas ise rakhogi to yeh aur badh jaayega...gud night maam..
N: good night..
mujhe abhi bhi uske words yaad hai..chahaat main vohi karna chaahti hun..zor se cheekhna chaahti hun apne problems..but main yeh nahi kar sakti...maine apne aap ko ek aisi problem mein daala hai ki saari duniya ke saamne main mari hui hun but actual mein main zinda hun..main kya karoon..apni problem kise bolun..yeh mujhe kabhi samajh mein nahi aaya aur na hi aayega..chalo dairy good night..kal party hai..dekhte hain kya hoga kal..magar aaj ka din bohot ganda tha..:(
------------------------------------
ok guys i knw tum log mujhe joote maarogey..i m sooo srry but yes..anant married hai..srry!..nd i m soo srry agar yeh chapter short tha to..agar main long chapter update karungi to suspense kill ho jaayega..isiliye..;)
Edited by mussu - 12 years ago