FF ~ Kitani Mohabbat Hai part 15 on p. 22 - Page 10

Created

Last reply

Replies

157

Views

31281

Users

45

Likes

211

Frequent Posters

suhana19 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#91
Hey thanx for the update and pm yaar πŸ€— really loved it... precap looks intersting 😍 pls jaldi update karna ...take care and seeu around πŸ‘ πŸ‘πŸΌ πŸ€—
zeekaytg thumbnail
Posted: 13 years ago
#92
NICE STORY......................BAJI TO LAGTA HAI NAKKU KI SAUTAN HAI.
pinks0986 thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#93
Hey very nicely written....................😊😊😊😊
 
waiting for ur next part............
shonapinky thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#94
Great update yaar..πŸ‘.and thank u loadz 4 ur pm...!! awesum precap....😍awaiting ur next update...!!!!
IrikaLovesKMH thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#95
wow awesome update yaar
update soon
SonyaBlade thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#96

What a great update. I'm finally catching up after ocming back from vacation. loved it!

poojaluvnbt thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#97

EPISODE 10

(sab khaane me lag jaate hai. khane ke beech me Dutta ko khansi aa jaati hai. wo khasne lagta hai Nakku paas me para glass utha kar Dutta ko apne haanth se paani pilati hai. NM ye sab bade gaur se dekhti hai. wo muskurati hai. ye sab dekh kar teeno behne bahut gussa hoti hai. Khan ke baad sab apne apne kamre me chale jaate hai. AS or NM dono apne kmre me jaakar aapus me baatein kar rahe hai)

 NM – main soch rahi thi ki kal ghar me Dutta or Nakku ke liye pooja rakh le.

AS – pooja………. Ye achanak pooja ka khyaal aapko kaise aa gaya?

NM – bus aise hi Dutta or Nakku ke beech ka pyaar dekh kar humare dil me hua ki hum unki khusiyo ki salamti ke liye uper wale se dua maang le taki unki khusiyo ko kisis ki nazar na lage.

NM – per aap to jaanti hai ki Dutta ko ye sab pasand nahi hai.

AS – haan per Nakku ke saath rehte rehte use shayad ye sab pasand aane laga ho. Wo Nakku ki wazah se kuch kuch badlne bhi lga hai.

AS – lekin ………. Aap nahi jaaanti ki Dutta ko in sab se kitni nfrat hai. Or waise bhi Dutta or Nakku ki shadi jin halato me huyee hai un halato ke baare me aap kuch nahi jaanti.

NM – to mujhe jaanana hai. Mujhe btao ki kya wazah hai jo tum hume ye sab karne se rok rahi ho.

            (AS, NM Dutta or Nakku ki shadi ki saari baatein batate chali gayee.)

NM – kya? To aise shadi ki hai Dutta ne Nakku ke sath.

AS – haan, or tab se Dutta koi khushi nahi jeeta. Maine uske chehre per muskurahat nahi dekhi.

NM – tum jo keh rahi ho wo apni jagah thik hai per hum jo dekh rahe hai wo tum nahi dekh pa rahi ho. Humne Dutta ki aankho me Nakku ke liye kuch dekha hai. Wo pyaar hai ……… pyaar. Hum nahi jaanante ki Dutta purani baato ko bhul paya hai ya nahi per hum itna zaroor samajh gaye hai ki Dutta ke dil me Nakku ke liye kuch jagah to zaroor hai. Agar hum milkar kosis kare to is rishte me pyaar ban sakta hai.

AS – pyaar or Nakku ke saath.

NM – haan kyun nahi. Kya khrabi hai Nakku me. Acchi hai. Or Dutta se bahut pyaar bhi karti hai. Tum kya chahti ho ki Dutta saari zindgi apni patni se nagfrat krta rahe. Kabhi bhi pyaar bhari zindgi na jiye.

AS – nahi hum to yahi chahte hai ki Dutta khush rahe. Uski zindgi me sukun ho.

NM – to phir hum jo ker rahe hai wo hume karne do. Yakeen maano hum jo bhi kar rahe hai wo Dutta ki bhalyee ke liye hai.

AS – thik hai. Hum jaante hai humse jyada aap Dutta ki prwah karti hai. Aap jo krna chahti hai wo kijiye. Bus humare Dutta ki zindgi sawar jaye hume or kuch nahi chahiye.

NM – thik hai to kal shaam ko pooja ka itzam kar lo. Or haan Dutta or Nakku dono ko keh dena ki unhe kal saara din bhokha rehna parega. Tabhi wo kal shaam ko puja me baith payenge.

            (AS Dutta ke kamre me jakar Dutta or Nakku ko saari batein batati hai. Dutta pehle to inkar karta hai per NM ke baare me soch kar haan kar deta hai. Agle din Dutta oe Nakku dono din bhar bhookhe rehte hai. Shaam ko puja suru hoti hai. )

NM – aao Nakku beta. Are tumne aaj bhi ye salwaar suit kyun pehna hai. Aaj to tumhe saari pehanani chahiye. Saari to shadi shuda ladkiyo ka sabse accha pehnawa hai. Or ek baat kahoo Patiyo ko apni Patni saree me bahut khoobsurat lagti hai. Agar apne pati ka dil jitna ho na to ek sundar si saari pehan kar uske saamne aao. Pati ki nazre hi nahi hatati. Waise koi baat nahi. Tum to her dress me acchi lagti ho. Ab puja ma baitho der ho rahi hai. Or haan sir per ye aanchal ……. Dupatta rah lo.

 (Nakku sir pr Dupatta rakh leti hai. Dutta or Nakku dono ek saath puja me bauthate hai.)

Pandit – Bhau….. ye phool lijiye or aap dono pati patni ek saath ise bhagwaan ko arpit kare.

(Dutta pandit ke haanth se phool leta hai. Phir Nakku apna haanth Dutta ke haanth me deti hai. Dono ek saath bhagwan ko phool chadhate hai. Dutta ka dhyaan Nakku ke uper hai. Jabki Nakku ka pura dhyaan puja me hai. Tabhi Nakku ke sir se dupatta gir jaata hai. Dutta ki nazar usper parti hai. Dutta apne haanth se Nakku ke sir per aanchal dalta hai. Nakku Dutta ko dekhti hai. Ye dekh kar NM bhi khush hoti hai. Lekin teeno behne bahut gussa hoti hai. Unhe Nakku or Dutta ka yu kareeb aana pasand nahi aata. Kuch der me puja khatam ho jaati hai. Pandit ji se Dutta or Nakku dono ek saath aashirwad lete hai. Puja ke baad )

NM – are Dutta Nakku tum dono ne subah se kuch nahi khaya isliye ye lo pehle kuch kha lo.

(Dutta Nakku ek plat dekhkar hairaan ho jaate hai.)

Dutta – are ye to ek hi plat hai. Mera khana kaha hai?

NM – yahi to hai. Ye puja tum dono ke liye thi isliye tum dono ko top ek hi plat se khana hoga.

Dutta – magar……..

NM – agar magar kuch nahi chalo khana shuru karo.

(Nakku plat se ek chanmach kheer uthati hai. Tabhi NM use rok deti hai.)

NM – are are ye kya kar rahi ho Nakku. Pehla niwala Dutta khayega. Uske baad apne haantho se tumhe khilayega.

Dutta – kya? Maasi ma……….. lekin…. Nahi ye main nahi karoonga.

NM – kyun nahi karoonga? Apni patni ko apne haantho se khilane me kya sharam. Or humse kya sharmana. Hum to tere bare hai……… accha ab der mat kar chal Nakku ko zaldi se khana khila de hum nahi dekh rahe. Chalo sab us taraf ghum jaao.

Dutta – usko kopi zaroorat nahi hai. Main khilata hoo.

(Dutta Nakku ko apne haantho se khilata hai. Nakku or Dutta ek dusre ko dekhte reh jaate hai. BG me Tasha flut music chlta hai. Kala ye dekh nahi pati or wo Dutta ko tok deti hai. Dutta ka dhyaan tootata hai. Khana khatam karne ke baad sab apne apne kamre me aaram karne chale jaate hai.)

(agle din ………. NM Nakku ko apne kamre me bulati hai.)

NM – Nakku hum jaanate hai ki tumhari or Dutta ki shadi kin halato me huyee hai. Lekin hum tumse sirf ek hi baat puchna chahte hai. Ki kya tum humare Dutta se pyaar karti ho? Kya use apna pati manti ho?

Nakku – main saab …………. Saab ki meri zindgi me kya jagah hai ye main kya kahoo. Rahi unko pati manane ki baat to jis din unhone meri maang me sindoor dala tha tabhi se main unko apna pati maanti hoo.

NM – hume tumse yahi sunana tha. Ab hume yakeen ho gaya hai I gusse me hi sahi per Dutta ne apne liye bilkul sahi faisla kiya hai. Ab humari ek baat dhyaan se suno Nakku aise chup chap Dutta ke ilzamo ko sehti rahogi to yumhara rishta kabhi bhi thik nahi hoga isliye apne pati ke liye laro. Apne pati ke pyaar ke liye apni ptni hone ke haque ke liye laro.

Nakku – ji ………. Main kuch samjhi nahi.

NM – are hum itna kehna chahte hai ki apne pati ko rijhao…. Use manao.

Nakku – lekin ……. Kaise?

NM – wo bhi hume hi karna parega. Thik hai aaj shaam ko tum taiyaar ho jaana hum tumhe ek jagah le jaayenge.

Nakku – ji thik hai.

(NM kuch der baad AS ke kamre me jaati hai. Un dono ke beech kuch baatein hoti hai. Phir AS sabko hall me ikatha karti hai.)

Kala- kya baat hai AS aapne hume yha kyun bulaya hai?

AS – kala wo tumhari NM chahti hai ki hum sab aaj sham ko unke shahr ke bahar wale outhouse me weekend manane chale.

Roop – wow……. Weekend. Kitna maza aayega.

Kala – lekin achanak se ye plaan…..

NM – beta ……. Main yha kitne din rahoongi. Isliye chahti hoo ki tum sabke saath kuch waqt bita loo isliye aaj sham ko hum sab out house jaayenge.

(Tabhi Dutta or Baji dono niche aate hai.)

NM – are Dutta beta kahin jaa rahe ho.

Dutta – haan wo kuch kaam hai isliye main or Baji dono bahr jaa rahe hai.

Roop – per Bhau hum sab ne to aaj Weekend per NM ke out house per jaane ka plaan banaya hai. Aap or Baji nahi honge to bilkul maza nahi aayega.

Dutta – thik hai tum sab chale jaao….. main or Baji udhar se hi aa jayenge.

AS – Baji…….. lekin hume to aaj bazar me kuch kaam tha or hum chahte the ki Baji bhi humare saath aaye.

Dutta – thik hai AS aap Baji ko apne saath le jaaiye main akela hi chla jaunga.

(Dutta akela hi bahr chla jaata hai. Shaam ko sab gari me baith kar out house ke liye nikalte hai. NM apni car me AS or sirf Nakku ko baithati hai. Kala ko kuch ajeeb lagta hai per wo kuch keh nahi pati. Raaste me NM driver ko car rokne ko kehti hai. NM Nakku or AS ke saath niche aati hai. )

scene shifted……. (Dutta apni car me out house ke liye aa raha hota hai ki tabhi use kisi ka phone aata hai.)

 

PRECAP – Nakku andhere kamre me candle jla rahi hai. Dutta use dekh raha hai. Background me song chal raha hai "kuch kum roshan hai roshni from the movie Dostana."   
swati2008 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#98
nice part........loved it too.........NM rocks......update soon.......
princessmithai thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#99
nice nice adventurous pm me once updated 😊
nazia.icycool thumbnail
Posted: 13 years ago
awesome part !..well done dear!..BTW two FF's at a time! wow thats great!πŸ˜ƒ