Ramanand Sagar's Ramayan & Shri Krishna CC#2 DONE! - Page 100

Created

Last reply

Replies

1178

Views

361681

Users

21

Frequent Posters

arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
1 creation! Hope U all  will like!πŸ˜›
Hey bt have I posted it earlier???? If yes then ...plzzzzzzz forgive!
ShivangBuch thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Pranaam.πŸ‘
In taaliyon ke badle, haathon ko abhi judaa hua samajh lo.πŸ˜ƒ


@Arun-Deeps

Hame aapka sambodhan punah madhur laga aur dhanyavaad ke badle punah saadhuvaad. Waise yaadachhik roop se (RandomlyπŸ˜†) kabhi kabhi adhik anaupachaarikta aur premvash ham 'Tum' sambodhan par bhi aa hi jaayaa karte hain (Yadi hriday se nikala ho to - aur waise iska ye arth bhi nahi ki 'Aap' hriday se nahi nikala hota hai aur keval aupachaarik hi hota hai). Jaise kabhi ham Ram to kabhi Ramji likhte hain. Ek me prem hai to ek me aadar. Dono samruddh hain aur Gun ki khaan hain dono (Sambodhan - Love or Respect - both different yet equally rich - Ek me sakha bhaav aur ek me shishya bhaav 😊). Aap hamare kis gyaan ki baat kar rahe ho? Kya aapne mere koi vichaar Orkut ki kadi (link πŸ˜†) me padh kar aisa keh rahe ho? Yahan is Gapshap mandali (Chat club πŸ˜†) me to hamne abhi tak keval geeton ke yathavat bol hi prastut kiye hain aur keval ek Vali vadh ke sanvaad me chhota sa fakraa (Paragraph) hi hamaari tippani athva vishleshan ka prastut kiya hai. Kahin aap ye mat bolna ki "Aap shuddh Hindi ke sambhaashano dwara apne paanditya ka prabhaav jo ham par jama rahe the, ham to usi se darr gaye bhaiyaa." Phir hame kehna padega ki "Yahi to bhool ho gayee bhagini ki ek bhakt ne doosre bhakt ke saamne apne gyaan ka pradarshan kiya. Wahin bhakton ki mandali us par hansne lagti hai ki jaao aur apni gyaan aur vaktrutva (Debate) ki mandalion me jaa kar hamaari prastution ko dhundho aur hame wahin par sambodhit karo." 😊

Hamaare paas Darshandaayak (I have changed the word to make it more appropriate 😊) Sthaayee Chakra 'Sony music' ka hai aur usme bhi kai saaraa badlaav kiya gaya hai. Mere paas bhi 'Dekhan nagar bhoop sut aaye' geet nahi hai. Kya aapko yakeen hoga mere paas to 'Ram darbaar hai jag saaraa' bhi nahi. Keval 'Raja Ramji ki jay Siya Ramji ki jay' pankti ke baad seedha 'Hari Anant Hari katha ananta' aa jaata hai.😑😭 Ye dono hi geet mere darshan sangrah (Video Cassettes) me the. Vanvaas ke pashchaat ka Manthara aur Ram ke milan ka madhur prasang bhi usi me tha. Par dono hi Cassettes aur CDs me maine shuru se aaj tak suna hua Ahalya ka geet tha - "Shri Ram charan ke sukhad sparsh se" jo mool Door darshan par dikhaya gaya tha (Cassettes usi samay samaantar banaayee thi uske yantra VCR par). Vaastavikata ye hai. "Parasat pad paawan" shabdon wala geet hamne abhi tak kabhi jaanaa hi nahi tha. Wo to keval hamne Ramayan Chaahak Mandali ke Vishnu Stuti ke bol wale panne par hi hamne aankhon se drashya aur bolon ko saath me dekha jis din Lalitaji ne Vishnu ka chitra prastut kiya tha. Kuchh din pahele yahi bol ki MP3 hamko hamare Orkut Ramayan shreni vichaardhaaraa/sangh (community) ke mitra Harishprasad ne bheji thi tab mai dang reh gaya tha. Mujhe laga tha unse koi galti hui lagta hai. Ye geet to kahan Ramayan me hai hi???!!!! πŸ˜²πŸ˜•

Deepikaji ko maine ek do Hindi chalchitron me bhi dekha. Ek me Rajesh Khanna ki naayikaa ke roop me (Naam to gnyaat nahi) aur ek me Jeetendra tatha Gulshan Grover ki behen ban ke (Jiska naam aapke likhe hue pehle do naamo me se hi koi ek hoga kadaachit).

Aur abhi ki rachna bhi bahut sundar hai. Phoolon ke beech phoolmaalaa pehenaane ka drishya. Aur sundar baag ke path ke madhya me mangal vivaahjeevan ke path par pair rakhne se pehle ka drishya. πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘ Pativrataa mahaabhaagaa, chhaayevaam gataa sadaa. Lola ki agniparikshaa rachnaa se atyant susangat. Adbhoot. Kari lok Ved vidhaanu kanyaadaan nripbhooshan kiyo.

Aur haan. Arun Govil aur Mausami Chatterjee ki tasveer par to tippani karna mai bhool hi gaya. Sitaji (Of the movie Bajarangbali) with Ramji (Of the serial Ramayan). Mother in the movie 'Justice Choudhary' with the son in the same movie. Aur Ravan Ram ko congratulate karte hue.πŸ˜† Aur chunaav me Sitaji Ravan ke sath aur Ram ke khilaaf.


@Lola

Ham to jaan hi chuke hain ki aap kuchh kuchh samayaantar me vichaarpatra/prastuti kiye bina bhi nahi reh paaoge. Aur aap jaisi bhakti evam gyaan, bhaavna evam tark dono hi me sapramaan aur samtulit behen paa kar tatha Orkut ki samasya ka swayam samaadhaan hua dekh ham bhi bahut prasann hai. Usme se pehelewali prasannata sadaa ke liye hai. Aur aap apne har kaaryakshetra me uchcha sthaan praapt karo ye hamaare liye bhi atyant khushi aur garv ki baat hogi. Aap apne MR-MC, TR-TC-TFC-TVC aur dy/dx, dP/dQ ke khayaalon (Concepts[lol]) me bhi pragati praapt karo ye hamaari shubh kaamnaayen.

Aur aaj ki rachna bhi uttam hai. πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘ Muchkund ke darshan me Swapnil abhinay me bahut paripakva dikhaayee deta hai. Jarasandh ki sena ke sath ladate hue Saarang se baan chhodte samay bhi lagta hai waise hi. And brilliant selection and posting of Uttar Ramayan scene. Now same can be properly posted on Orkut also. I also liked this scene very much although I have seen that only once (Uttar Ramayan itself is watched at the most 3-4 times in parts as you know). In Orkut thread, some member also wanted to post Sumant-Lakshman dialog in Vashisth aashram regarding knowledge of future. That scene was also there in my memory to be very beautiful scene. But I couldn't post the dialogs as I had watched that scene only once before.


@Both

Kevat prasang wala drashya dekh paanaa sambhaavnaa ke ganit ke hisaab se atyant hi jooj (rare) akasmaat (coincidence) kahaa jaa sakta hai. Ek to Ramayan ke juth (Team) ka hamaare raajya Gujarat me aanaa. Wo bhi usi din hamaaraa usi tirth sthaan ke darshan ke liye jaanaa. Aur upar se tab to hamne keval Bal Kand tak ka hi shreni ka aanand liya tha. Phir bhi chaahnaa itni badi ho jaanaa hi badi baat hai.

Jee Ramayan Visheshaank ko Google dwara hamne kal hi apni prastuti ke pashchaat dhundhne ki koshish ki. Hame to keval abhi ka aakhri taazaa ank hi mil paayaa chitralekha.com par. Mai tab itna chhota tha ki ab usme se adhik smriti me hona aur uska ghar me mil pana bhi lagbhag asambhav hai. Mujhe Arun Govil, Mukesh Rawal (Vibhishan) aur Arvind Trivedi ka chitra bhojanaalay (Studio canteen) me khaate hue nazar ke saamne aa raha hai. Shyaam Sundar Kaalaani ke interview ki tasveer 'Har Har Mahadev' chillati hui thi. Rajshekhar (Jambuvan) ki parde ke peechhe ki tasveer thi. Sunil Lehri aur Dara Singh ke bhi panne bhar ke sawaal jawaab the. Phir Ravan ki Yahi Rat Antim wale ghaavon se bhari parantu off screen hansti hui - hath me dhanush liye bina mugut ki prasann chhabi thi. Hanumanji ki Refrigerator par khadi hui aur phir uske baaju ki hi Refrigerator gaayabwali tasveer thi ye samjhati hui ki kaise unko udaayaa gaya tha. Bandaron ke mukh ke mohare aur punchh rubber ke hote the aur chipakaaye jaate the. Apsarawala magarmachchh. Har chhoti badi nirmaan se judi hui baaten. Unka aur shastron aur faaltu (extra) sainikon ka andaajit aankadaa bhi kadaachit diya gaya tha. Ab kya karen? Hame kya pata tha ki wo kho jaayega.😭 Waise hamne Cassettes (useless now), dialog audio cassettes, songs audio cassettes, hamari khud ki recorded (selected songs-scenes) audio cassettes - wo sab abhi tak rakha hai. Ab jo kaam ka hai wo hai VCDs aur usme se mobile ke memory card me daalaa hua hai wo. Waise dimaag me hi ab to itna hai ki uski aavashyaktaa bhi nahi padti.


Waise nahi hamko adhik, swaabhaavik hi moh;
Ramayan shreni ko par, baat na laagu woh, baat na laagu woh.
Edited by ShivangBuch - 14 years ago
sitakshii thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
HAPPY HOLI to all on this fans club πŸ˜ƒ
 
& thanks a lottt...guniya for the wedding pics of ARUN GOVILS SON πŸ‘
the pics r awesome πŸ‘πŸ‘πŸ‘
wow !!! loving all the pics & moments sooooooooooooooo much !!!!!πŸ˜ƒπŸ‘
RamKiSeeta thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago

Hey Guys,

Found a few seconds to come online today...sorry to say it won't be frequent.😭  Will try to look over the past few pages late tonight after all my work is done and see if I can reply to all of you in detail. Love you guys, miss you so very much!πŸ€—πŸ˜­
 
HAPPY HOLI TO ALL OF YOU!!!!
 
Here are some new siggies I've been working on in my 5 min break periods the past few days....hope you guys like them......☺️
 
This is a Sitaji in Swayamvar siggie.....lovely Deepika, really love her a lot in this getup.πŸ˜ƒ
 
This is a Lord Krishna siggie from the gorgeous pic update Lola posted (thanks for that Loli!)....Swapnil...😍
 
Brighter Version
RamKiSeeta thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago
This is my latest request from Ssaba (lol, I request way too much avis, don't I?πŸ˜†)
 
The first avi is another sweet moment in the lovely Yashoda Maiyya feeding baby Krishna scene. LOVE the kid's expressions, such a heartbreaker!πŸ˜‰ The 2nd avi is another moment in the beautiful Soja Lalla song, with Devaki Maiyya looking very divine and natural and baby Krishna looking adorable! The 3rd avi is from Luv Kush's birth and Sitaji looking happy. Deepika is sooooo natural and motherly in this scene. From her expressions, it really seems like she's the mommy of those babies.😍 And finally, the 4th avi is a bit different, this time daddy/daughter themed with Janakji finding Sitaji in the Earth, another fav scene. The baby's adorable!πŸ˜ƒ
 
ShivangBuch thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
A VERY HAPPY AND COLOURFUL HOLI AND DHULETI TO ALL THE MEMBERSEdited by ShivangBuch - 14 years ago
RamKiSeeta thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago
@Gunia,
 
Hello dear?! Miss you soooooooooooooo much!πŸ€— Thanks so much for the sweet sweet sweet words, little sis! Love you!πŸ˜› 
Thanks a MILLION for the pics of Arun Govils' son's wedding, each and every one of them is so PRECIOUS and clear, esp the RavanRamji ones.πŸ˜†πŸ˜‰ I posted them in the NDTV Ramayan Forum, hope you don't mind.😳
Next, your creations are all so FABULOUS, can't name my favorites because I love each and every one of them.πŸ‘ Great job Gunia! Also, thank you thank you for the Deepika offscreen pics, they're so sweet and she looks so lovely!
Miss you so much, hope I will find time to come online some other time as well.😭
 
@Lola,
 
Thanks soooooooooooooooooooooooooo much for the Swapnil pic update Lollikins! LOVE them! Our Swapnil looks so Krishnaish in them.πŸ˜‰πŸ˜† And your creations are sooooo GORGEOUS! Starting with the multicouple one, to the Siyaram one, and then the ArunSwapnil one as well, they're all so magnificent that words cannot express how much I love them. Will def incorporate all of them into a slideshow, but until then I snagged your AgniPareeksha one.πŸ˜ƒ Love you! And by the way, did you get that long PM I sent you day before yesterday?
 
@Shivanng,
 
How have you been? Missed having the nice convos with you.πŸ€— By the way, Hindi isn't my mother tongue so I couldn't understand what you wrote to Lola and Gunia. Can you translate for me please? Because it sounds like whatever you wrote is really interesting.😊
 
@Sita,
 
Superb Rukminiji avi, Sita. LOVE it a loooot!πŸ‘ The frame and effects are all superb! And happy Holi to you too! hope you're enjoying your holiday.πŸ˜ƒ
 
Sooooooooooooooo sorry if I didn't reply to everyone or if I forgot a post....I tried to go back to every post I could.😳
arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
Hi evry1!
HAPPY HOLI TO ALL OF U!!!
May God fill d clours of happiness in ur life...n U enjoy all d colours of fame, luxury, success, joy n last but not d least d colour of devotion!
arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

@ Shivang bhaiya-

Pranaam bhratashree!
Sarvapratham Holi ki badhayi ke liye Kotish dhanyawaad! Aapki Holi bhi mangalmay ho!πŸ˜ƒAap hume kuch bhi kahein hume accha lagege! Aur gyan hum tak sampreshit karne ka dhanyawaad...wese hum aapke isi gyan ki baat kar rahe the...hum  Orkut pe kabhi gaye nahi.....insaan ki parakh uske samvaad se hoti hai..aur aapse vicharon ke aadaan pradaan me aap hume gyani prateet huye...Vaali vadh par apki tippani ya yu kahe fakre ne hume ati prabhavit kiya.....haan haan...satyam...πŸ˜†hum to aapke panditya bhare vachnon se hi dar gaye bhaiya....aur dekhiye aapne humare adharon ki baat cheen li....aur uska pratyuttar dekar hume stabd kar diya..... ye bhi to aapke agaadh gyan ka hi prateek hai. Pratyakhsham kim pramaanam!πŸ˜‰ Oh! Hume atyant khed hai ki aapke paas to humse bhi kam geet hainPar ye bhi tathyagat hai ki Ram katha jitni bhi sun ne ko mile wo humara saubhagya hai....par kya karien neeyati pyaas bujhat na bujhaye! Rahi Ahilya uddhar ki baat, to humein 'Ram charan ke sukhad sparsh' wala geet zyada priya lagta hai...uske ant me Ram Hari jai Ram hari...aata hai to man ke ashva dusre lok me ja pahunchte hai!
Deepika ji ke  Rajesh Khanna ke saath do chalchitra hain ek 'Rupaye Dus Karod' aur Doosra 'Ghar ka chirag' humne is chalchitra ka ek shyam-shwet (black n white)πŸ˜†  chitra isi chahak mandali me sampreshit kiya tha!πŸ˜‰ Aur jis chalchitra me wo Jeetendra ki behen bani hai uska naam 'Ghar sansaar' hai....unhone Arun Govil ke saath telefilm 'Shubhchintak' aur  'Izhaar' me bhi unki nayika ke roop me karya kiya hai 
Humari Naveen kritiyon ko sarahne ka kotishat dhanyawaad! Pativrataa mahaabhaagaa, chhaayevaam gataa sadaa...adi panktiyon ke liye dhanyavaad aap sada hi hume chitra se sambandhit panktiyan sujhate hain...humein aapki ye ada bahut bhati hai Bhratashree!πŸ˜†Aapki prashansha aur protsaahan hi humare srijano ka srot hai! Aur aapki cirton par ki gayi tippani humein ati priya lagi!😳 πŸ‘ Jee patrika ke bare me aapne jo bhi bataya hume accha laga, ab hum aapko kitne dhnyawaad de samajh nahi aata! Aapka bhi tark uchit hai aap to tab bahut chote the......to aapki smriti me jo tha aapne hum tak pahuncha diya!😳 Kash hum us vaqt bade hote....to aisi parde ke peeche ki halchal se vancit na rehte!Par aapne jo bataya hume is samay wo bhi bahut lag raa hai.....accha Jai Ram ji ki!
Edited by arun-deeps - 14 years ago
arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
@ sita11-
He Seete! Happy Holi 2 U too lol!Awwww....glad U like d pic updt. dear...thanx for praising....yyaaaayaa loving d moments toooo!