Chat Clubs

Ramanand Sagar's Ramayan & Shri Krishna CC#2 DONE! - Page 99

Created

Last reply

Replies

1178

Views

361354

Users

21

Frequent Posters

arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
Updt. contd.
Ravan congratulating RamπŸ˜†Arvind Trivedi n Arun Govil 
 
Arvind Trivediji
Arun with wife ShreeLekha, son n bahu
 
arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
Updt contd.........................πŸ˜›
Sunil Lahri with Arvind Trivediji dunno d name of 3rd one!
one more Ravan congratulating RamπŸ˜‰
a sweeeet giggle with BRC's MB teamπŸ˜†
That's all folks! Think so Arun ji z also saying d same thing!πŸ˜‰
Amor. thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 5
Posted: 14 years ago
wowwwwwwwwwwww thnx for the pics arun deep
purani yaadein taaza ho gyi
ShivangBuch thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Originally posted by: arun-deeps



</div>
<div><font color="#cc0099" size="7">Hi every1!</font>

<em></em>

<font color="#0099cc" size="4">@Shivang bhaiya!Hi!!!!</font>

<font color="#0099cc" size="4">Bhaiya!Hum to aapse ati tucch hain, aapki choti behna hain fir ye pranaam to hume hi karna chahiye. Aapka to humare sheesh par aashish rehna chahiye, fir ye prati namaskaar kyu? Aapko Kushal bhaiya ki smriti ho aayi to humein bhi isi chahak mandali ki Lola Di ki madhu smrti ho aayi....yadi aapne bhi dekha ho to hum purntah to nahi anshtah isi tarah ka vartalaap karte the! Aap humari rachnao ki sarahna kar rahein hain ye humare liye bahut garv ki baat hai. Humari vyastata samajhne aur humari vyastata ke chalte ekad Ramayan samvaad prastut karne ka ashvashan dene ke liye kotishat dhanyavaad! </font>

<font color="#0099cc" size="4">Accha accha.....bhaiya.....hum bi aupcharikta se parhez karte huye aapka aakhiri naam nahi likhenge!</font>

<font color="#0099cc" size="4">Bhaiya! Hum Arun Govil ji ke bahut bade prashanshak hain....Ramayan jab pehli baar prasaarit huyi tab kya aapko wo Ramayan dekhne ka sauhagya prapt hua tha? Kya Arun Govil ji ke baare me Ramayan se judi koi yaadgaar gatna ka aapko samaran hai....yadi unke baare me kuch bhi naya pata ho to kripya hume bataiye....hum anugraheet honge!</font>



Hame tumhari ye unaupachaarikta atyant madhur lagi. Aur tumhari to likhaai bhi rachnaatmak aur aananddaayak hai. Ham aapse hi prerana le kar ab hamaari likhaai ko bhi thodi bahut rangeeniyat pradaan karke dekhte hain.πŸ˜ƒ πŸ˜ƒ

Ab ek ek karke uttar deta hun. Pehli baat to yeh ki aap hamse tuchchh kaise ho gaye??? Ye to Ramayan shreni ke kisi bhi prashansak ke liye sambhav hi nahi. Doosri baat, ye sansaar ke kis ganit ne mujhe aapse bada bana diya? (Uttar mai jaantaa hun - "Aayu bhaiyaa"πŸ˜†) Waise Kushal bhi mujhse aayu me chhota hai aur woh bhi hame sada Pranaam bhraataashree kar ke hi vaartaalaap aarambh karta hai aur mai uttar me pranaam hi kehta hun. Iska kaaran Yudhishthir - Gajendra Chauhan - hai jo sada isi prakaar Bheem-Arjun sabko saamne pranaam se hi uttar deta hai. Aur kabhi kabhi mai chhoton ko bhi 'tum' ki jagah 'aap' keh kar sambodhit kartaa hun iska kaaran hamaari 'gnyaati ka rivaaj' aur is kaaran se hamaari bachpan se rahi aadat hai.

Ham bhi Arun Govil ke bahut hi bade prashansak hai aur unka abhinay chalchitra 'Saawan ko aane do' aur shreni 'Vikram Vetaal' me bhi bahut hi pasand karte hain. Waise maine unko sarv pratham Ramayan me hi dekhne ka saubhagya praapt kiya tha jab ham 5 baras ke the. Ramayan hamne apne pratham prastuti me hi door darshan par hi dekhi thi aur usi prastuti ke sath sath uska kiya hua Darshan sangrah (Video recording - Video cassettes πŸ˜† πŸ˜† πŸ˜† ) bhi ghar me bachpan se hazaaron baar dekhte aaye hain. Aur hamaare paas Ramayan ke Darshanpaatra Sthaayee Chakra (Video Compact DiskπŸ˜† πŸ˜† πŸ˜† ) hain. Arun Govil ke Ram ke roop me rote hue drashya hi hame keval thode kam pasand hain parantu hame unki shaant prakruti aur Ram ka paripakva abhinay atyant aahlaadkaari lagta hai. Adhik to nahi, parantu bachpan ki ek-do smriti avashya hai Ramayan se judi. Maine swayam apni aankhon se Kevat drishya ke baad ka sarjan (shooting) door se dekha hua hai (Nadi ke saamne ke tat se) - Ram-Sita-Lakshman ko nadi tat se vimukh avastha me door chalte jaate hue drishya upkaran (Camera) me bandh kiya ja raha tha. Ham unka chehra to nahi dekh paye the   πŸ˜­ par itni chhoti aayu me bahut hi utsaahit hue the. Wo Ganga nahi parantu Narmada ka kinaaraa tha. Chanod ke paas Badrikaashram mandir ke saamne. Phir hamne jahan par 'Vidhna tere lekh' drashya ka sarjan kiya gaya tha wo chalchitra nirmaan sthaan (Studio) bhi Mumbai me dekha tha jab wahi chhoti aayu me pura Mumbai darshan kiya tha. Us samay hame ye pankti yaad aayee thi wahan ki dharti ko dekh kar "Phoolon se charano me kaante".

Ramayan shreni puri hone ke pashchaat ek 'JEE' naamak Gujarati maasik (Monthly magazine) me Ramayan ke samast abhinetaon aur anya sabhyon ke sath ke vaartaalaap (Interview) - Shyaam Sundar Kaalaani - Rajshekhar - Bashir - jaise har chhote bade kalaakaar ki pasand - napasand - Parde ke peechhe ki tasveeren.

Phir Ramayan ke Hanumanji ke udne ke aur teeron ke takaraane ke drashya kis prakaar ki rachnaatmaktaa se liye gaye the uske bhi lekh maine tab padhe the. Par ab wo maasik hamaare paas nahi hai. 😭

Phir ek aur smriti ho aayee. 1988 ke aaspaas jab hamaare hi nagar me hamaare hi vistaar me chunaav tha tab Arvind Trivediji aur Deepikaji ka sath me hi jhulus niklaa tha hamaare ghar ke hi paas se. Dono hi BhaJaPa ke liye khade the aur Arun Govil ji Uttar Pradesh me Congress ke liye umedwaar ban kar khade the.πŸ˜ƒ Phir Arvind Trivedi ji hamaare vistaar me Sundar Kand ka path hota tha tab gaayak Ashwini Pathak ke baaju me Japiye ke jaise we bhi pathan karne logon ke gharon me athva sansthaaon me aate the. We swayam Ramji ke bahut bade sachmuch ke bhakt hai aur unko aur Deepika ji ko kuchh kuchh Gujarati chalchitron me kaam karte hue bhi maine dekha hai. Arvind Trivediji aur unke bhai Upendra Trivedi ne Kiran Kumar-Pran abhinit Hindi chalchitra 'Jangal me Mangal' me khalnaayak ki bhoomika ki thi.

Aur ab ant me aapke dhanyavaad ke uttar me kya likhen? Aapka swaagat hai???? (You are welcomeπŸ˜†). Waise ham aap par yeh vaartaalaap ke is prakaar ka pramaan thoda halka - anshatah rakhne ki bhi kripa kar sakte hain bhavishya me.😊

Agle mahine ki pariksha me saphal ho kar hame;
Parinaam sundar la ke dena suchanaa sankshep me;
Sanvaad prastut ham yahan karte rahenge prem se;
Seva me baheno ki sadaa anand dene ke nem se.

All the very best for the success in your academic career my little dear sister.



P.S.


WAISE AB BHOORIBATTI (TUBELIGHTπŸ˜†) HUI DIMAAG ME KI MERI BEHEN KI YAHAN PAR DRISHTIGOCHAR PEHCHAAN KA NAAM ARUN-DEEPS KYUN HAI. YE BAHUT PEHLE MAALUM PAD JANA CHAHIYE THA πŸ˜ƒ MAI SK FC1 KE 75-80VE PANNE TAK PAHUNCH PAYA HUN.
Edited by ShivangBuch - 14 years ago
MagadhSundari thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
@ Gunia - awwwww I'm also missing you soooooooooooo much behna... kya karein, yeh calculus 3 padhaai kam aur atyachaar adhik lag raha hai 😭 baaki sab theek hai, sirf yeh calc aur tumhaara virah hamein atyant peeda de rahe hain... but thanks a million bazillion for liking that couples creation, so happy you did cuz I felt it was too crowded at first πŸ˜† And your latest ones are toooooo sweet also, even if I don't have time to post I do check IF every morning for my daily dose of your posts... and you never let me down πŸ˜‰ The new "Lakshmi jaisi hamari..." Ramayan-SK combo is brilliant, as was the one you did with the Surpnakha pic updt SiyaRam pic...  you're really rocking at this, ek se badhkar ek banaati rehti ho... I LOVE LOVE LOVE them all πŸ‘ And can't thank you enough for those Ramji bane sasurji pics... they're brilliant... lol "Ravan congratulates Ram" 🀣 Tooooooo good, can't wait to see more offscreen gems you find... esp since no one else can find them like you!!! And lolz... lagta hai hamein ek aur shuddh bhaasha baanchne waala bhaiya mil gaya hai, yeh dekhkar hum ati prasanna huye ... kintu main thehri vilaayati baalika, sambhav hai mujhse sampurna samvaad mein is prakaar ka vartalaap karna kathin lage aur mujhse koi bhool bhi ho... aap dono mujhpar uphaas karke hi sahi kintu mujhe kshama bhi karein, to badi kripa hogi πŸ˜‰

@ Sita - thank you sooooooo much for liking the sig, honeybunch... made my day once again πŸ€— And your Rukmini Devi avi is soooo gorgeous, haven't seen your masterpieces in a while so it was a really sweet surprise... can't wait to see more πŸ‘

@ Shivang - haha Aapne sahi pahechaana bhaiya, mujhse apne RS CC/community waale bhaiyon aur behnon ka yantra-dwaara darshan kiye bina raha nahin jaata... pariksha ka samay ho, tab bhi aap sabke vichaar-patra (posts πŸ˜•) dekhe bina mujhe shanti nahin milti... aur aapka yeh pichla post dekhke maine aur bhi anand paaya... aapki jis prakar se apni Ramayan se judi huyi madhur smritiyaan prastut ki aur is baat se bhi augat karaaya ke aapne SWAYAM APNI AANKHON SE kevat  samvaad ke paschaat waala "sarjan" dekha 😲 What a surprise!!! Sounds like a huge highlight of your childhood... I'd be on cloud nine after seeing that 😍 Aur kabhi avsar mile to hamaare liye woh Jee maasik phir se haath karke hamaare saath chitra-pratikaarak yantra (scanner/ copy machine πŸ˜†) dwaara baantle... hamein isse itni prasannata milegi, aap kalpana bhi nahin kar sakte!!! vaise bhi aap hamaare in samvaadon mein sammilit hai aur hamein itne gyaani aur uchya-vichaaron waala bhraata mila hai, yeh koi kam prasannata ki baat nahin... can't wait to see/hear more from you!!! and yayyyyy the orkut problem's fixed I'll get a bunch of stuff together and post it tomorrow... can't wait to discuss!!!

@ Lali - first off those latest SiyaRam sigs were gorgeous honeybunch, I'm once again confused at what to snag for my upcoming slideshow... the new MB one and the Lakshmi-Vishnu ones are in for sure, but what else to choose when you're churning out one masterpiece after another πŸ˜• And awww we'll miss you a ton, but good luck with the seminar, I know you'll rock it πŸ˜‰
MagadhSundari thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
A quick dialogue update -this one is a favorite exchange of mine from Lav Kush, in which Sita Maa and Valmikiji discuss the power of astrology versus that of faith in God... I really really love it because I truly believe in what Sita Maa says in that scene! Enjoy:

Sita: Yeh aap saadharan jyotishon ki bhaanti kya bata rahe hai? Maine to suna hai ki aapko sab pata hota hai? Aapne to bhavishya ka bhi likh rakha hai!
           What is this you're telling me, like some ordinary astrologer? I've heard that you know everything, and you've even written about the future already!

Valmiki: Likh rakha hai, parantu usse samay par hi prakat hona chahiye.
            I've written about it, but it should only be revealed at the right time.

Sita: Phir jyotish ki bhavishya-vaani ka kya laabh?
            Then what's the point of an astrologer's forecast?

Valmiki: Itna hi, ke manushya mein saamna karne ka saahas rehta hai. Usse pata ho ke is andhere ke us paar roshni hai, to woh chalta rehta hai. Yeh vishwaas bada sahaara hai. Vishwaas ki laathi tekta hua maanav aage chalta rehta hai. Ghabraakar girta nahin.
            Just this, that it gives man the courage to face what it predicts. When he knows that at the other end of this dark tunnel there is indeed light, he keeps moving on. This faith can give him great support. Relying on it like a walking stick, man can move on instead of falling in fear.

Sita: Yahi vishwaas prabhu ki bhakti mein ho, to uska bhi yahi laabh hai.
            This kind of faith in devotion to God can also give the same benefit.

Valmiki: Putri, jinhe prabhu par vishwaas hai, un bhakton ko jyotish ki kya aavashyakta? Unke raksha to prabhu swayam ek maa ki bhaanti karte rehte hai!
            My child, for those who have faith in God, what need is there of astrologers? God himself takes care of them like a mother under all circumstances! πŸ‘
MagadhSundari thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
A small pic updt of Swapnil at his absolute best in SK, during his later epis when he's all grown up and divine'd up... the scenes they're from include his analysis of the events in Hastinapur after Akrur returns from there without their help against Jarasandh, his explanation to Balram of how he will use his bhakt Muchukund to destroy Kaalyavan, and his divine visit to Muchukund... there are actually many more pics but I have to try to clear them up more like these... until then, hope you like!

MagadhSundari thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
And last but not least, two new sigs - one is a Ramayan-SK combo of Arun and Swapnil with the Gita quote "dharma santhapanaarthaya, sambhavaami yuge yuge" in devnagari script, and one is SiyaRam banvaas pics and Agnipariksha chhand text - the most gorgeous line from it which describes the sight of their reunion as a golden lotus seated next to a budding blue one... such a beautiful description, I esp love how it echoes the many descriptions of RadheShyam by poets like Jayadev as a pair of lotuses gold (her) and blue (him)... here they are, hope you like!


arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
 
 
@ Shivang Bhaiya-
Saadar pranaam bhratashree! Humari lekhan shaili ki prashansha karne ke liye kotishat dhanyawaad! Aapki likhayi bhi sarvottam koti ki hai, atah aise sundar lekhan ko bhala koi prerna kaise de sakta hai, kyunki aapke lekhan me pehle se hi aganit rang apni upasthiti darz karwa chuke hain! Humara aayu ganit ka uttar apni or se dene ka dhanyawaad!Thik hai bhrata hum paraspar namaskaar  karenge Wese neetisangat rivaazon ki hum sada se hi prashansha kartein hain....aur aadatein agar acchi ho to nahi badalni chahiye...aap apne se 'aayu' me tucch...(ab to uchit hai?)πŸ˜† logon ko bhi bada maan dete hain ye ati gaurav aur harsh ki baat hai...is baat ke liye humara sadhuvaad!
Ye jaankar antar me ati aanand hua ki aap bhi Arun Govilji ke prashanshak hain...wese unke chalchitra 'Swan ko aane do' aur shreni 'Vikram aur Vetaal' to humne bhi ati priya hain...parantu humne bhi unhe sarvapratham Ramayan me hi  dekha aur fir dekhte reh gayeπŸ˜†  He bhrata aapke aho bhagya ki aapne Ramayan ko pratham prastuti me hi dekhaHumare paas bhi Ramayan ke Darshanpaatra Sthaayee Chakra sahej kar rakhe huye hain...parantu wo 'Moserbaer' wale hain aur sambhav hai aap jante honge ki usme kayi mahatvapurna drishyon ko sampaditπŸ˜† kar rakha hai- jaise Ram Lakhan Mithila me.....Kushdhwaj ji ka Mithila me aana aur Mandvi ShrutKirti ka Seeta-Urmila se milan.....Ahilya-uddhar bhajan me parivartan...Luv-Kush ke bhaut se madhur geeton ko sankuchit karna ya purnataya hata dena jaise 'Sita Ram daras' jo humara pasandeeda bhajan hai use hataya gaya hai....Manthara se Shri Ram ki bhent...Kaikeyi-Bharat ka punah vaartalaap aadi......to ShriRam charit ka purna roop se rasaaswadan karne se hum vanchit hain!   Ye baat hume bahut krodhit kar deti hai...fir hum Ramayan se hi seekh lete huye (Rosham karoti dosham) shaant ho jaate hain aur jo hai usi main santusht ho jaate hain! Hum shabdo me nahi batla sakte bhrata ki aap dwara varnit Ram-Lakhan-Siya (Arun-Deepika-Sunil) ke pratham darshan aur 'Mumbai' me van-gamanπŸ˜† ki ghtna ne hume kitna romanchit kiya hai?Humye kadaapi na jaan paate ki wo tat Gangaji ka nahi apitu Narmada nadi ka tha...Badrikashram.....Wah hum abhihuit huye!JEE namak patrika ke vishay me batlaakar aapne hume kritarth kiya um kab se aisa kuch shravan karna chahte the jisme parde ke peeche ki tasveere ya baate ho! Kya aapko Parde ke peeche ki koi baat ya kisi chitra ki smriti hai jisme Arun ji ya Deepika ji ho? Hum iska uttar paane ko utsuk hai ki koi to hume parde ke peeche ki koi ghatna ya baat bataye jisse hu  abhi tak anbhigya rahe ho?
Waaaaaahhhh.... Seeta-RavanπŸ˜† julus aapke vistaar se nikla tha...ye gaurav ka vishay hai! πŸ‘β­οΈJahaan tak chunaav ki baat hain humne bhi suna hai ki Arunji ne Sunil Shashtri ke liye Congress prachaar kiya tha....to kahin ye bhi padha hai ki wo apne kisi mitra ke sahyog hetu BJP rath me bhi aaseen huye the! Dhanya hain aap ki aapse Ramayan shreni ki bahut si smritiya judi hain!
Arvind Trivedi ji ko hune bhi kayi dharmik chalchitron me dekha hai jaise 'Mahasati Tulsi' jisme we Jalandhar bane the! Deepika ji ko hum matr Hindi chalchitron (Ghar-Sansaar, Ghar ka chiraag, Rupaye dus karod.... aadi....) me dekhne ka saubhagya prapt kar paaye. Parantu 'Raat ke andhere me'aisi unki ek daraavna chalchitra bhi hai Thik hai thik hai bhrata....aapse vartalaapchahe kaise bhi ho bhav to samaan hi honge... Bhavishya me aap aise vaartalaap ki kripa hum par kab barsayenge...yehi vichaar kar rahein hain! 
Aapki in sunhari, ati sundar panktiyon ka dhanyavaad 
Thax for giving ur Best wishes......I feel frm my soul that they r working on me bhaiya! Really so veryyyyyyy kind of U!
Aapki medha shakti ka kya kahein aapne gyat kar hi liya ki humara drishtigochar pehchaan ka naam Arun-Deeps kyun hain?????
arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
@ Lola Di!
Hi Loleshwari Di!Missing U too lol! But Ur exams r more important........   .n I know U'll do great.........becoz Ramji z with U!  Peeda ho tab Ram pukaro sab aasaan ho jayega.....Humein purna vishwaas hai ki humari behna apne karma path par agrasar hoti rahengi!
I dunno much abt Ur subject.........But I know that U r ossum in passion n if U decide 2 do a thing U do that.........So I'm confident  that U will score with flying colours in ur exams...
specially in calculous!All d veryyy Best! Awwwww...really ! Its amazing U come for Ur daily doze!!!πŸ˜† It'll help in Ur exams honnnn πŸ˜† U'll practice with more power!!!πŸ˜† Thanx for liking d sigs n pics Ramji bane sasurji....yaaaaaaaa fantastically said by U!!!!!πŸ˜† Awwww...U make me feel special with all that praise n support U provide with d off-screen pics! 😍My heart plays an accordianhearing all that! Ahhhhaaa...Thanx for all d claps n LOVESSSS hon
He bhagini! Humari priya Loleshwari! Aapne uchit kaha......Hume shuddh bhasha ke vakta pyaare Shivang bhaiya mil gaye hain.....aap Vilayti balikaπŸ˜† hain par fir bhi aapka is divya bhasha par niyantran prashansha ka patra hai!Aapki koi vyakran truti humein to spasht huyi nain....aur yadi umse koi aisi truti huyi to humare Shivang bhrata hai na.....πŸ˜‰ Laajawaab vakta, gyata, bhrata! Kshama ka to prashna hi kahaan??? Koi paraaya ho to use khshama kiya jaye na....aap jaisi abhinn sakhi aur pyari behna  se kshama sweekar karna humari dhrishtta hi hogi!  Wooooooooooooooooooooooooooooowwwwwiiiess...d pic updts. r beyond ossum! πŸ‘
Swapnil looks sooooooooooooooooo divine here!
Absolutely great creations..... n great texts used..... Swapnil n Arun combo z fabulous great imagination!πŸ‘ Both look sooooooooooooooo adorable!⭐️

I too luv whole of d lyrics n music in d Agnipareeksha scene! N U chose d best lines abt Seetaji!!!!
Lots of Luv n All d Best!
 
Edited by arun-deeps - 14 years ago