Hello all you wonderful people!!!!!!!
Here is my new post and this time it is a poem but not on Prida. It is basically LNMDJ story so far but in the form of a poem. I wanted to do this for a long time but got busy. Hope you guyz will like it.
Meharbaan kadardaan
Aayiye suniye ek nayi dastaan
Dastaane ishq mein hain teen shehjaade
Jinke humsha ache the iraade
Sabse bada tha Prithvi
Jo karta tha ghodsawaari
Manzhla tha sameer
Jo patata tha ladki pyaari pyaari
Aur sabse chota varun
Jo padtha tha kitabe bharri bhaari
Dastaane ishq mein hain teen shehzaadi
Jinki har adaa thi taazi taazi
Sabse badi thi Damini
Maa Ila ke saath karti thi karobaar
Manzli thi Avni
Jise nahi tha khud pe aitbaar
Aur sabse choti thi Roshni
Jiska sapna tha paanaa sacha pyaar
Manaali tha teeno bhaion ka ghar
Aur behene rehthi thi bade se mumbai seher
Kesar doodh peeke kat raha tha ladkon ka safar
Hasi khushi bhari thi ladkion ke ghar
Kahaani mein aaya ek naya mod
Damini ki sagaai pe hui ek maut
Ladkon ke pita Blaraj ko hui jail
Prithvi sameer gaye mumbai karaane unki bail
Balraj aur police ne kaha ki ila hain iski zimmedaar
Suman aur varun se chipai yeh baat harbaar
Prithvi sameer pe chadha badle kaa bhoot
Karke ke bahanaa ki Ghode sambhalna ka hain kaam
Pahucha Prithvi gujeral mansion dhoondene saboot
Bachpan kaa saathi hoon Jai chawala mera naam
Kaha sameer ne avni se yeh bahut bada jhoot
Ila ko chahiye tha Damini ke liye bodyguard
Prithvi ne badhya madat kaa haath
Roj hoye prithvi damini mein ladaii
Damini ko nahi tha pasand Prithvi ka saath
Ek camp pe varun roshni ki hui mulaqaat
Khoob kare Roshni Varun ki badaii
Jail mein Balraj ne toda dum
Ladkon ko laga ila ki hain chaal
Suman ko hua ghum
Bharti karna pada use haspathaal
Ladkon ne bichya ek jaal
Karenege woh ladkiyon ka istemaal
Kismat ko tha kuch aur manjoor
Ladko ko hone walaa tha ladkiyon se pyaar
Hona tha badle se door
Chahe ho kitni bhi takraar
Shaitaan tha Damini ka mangetar
Prithvi ne kia parda faash
Damini ko hua bharam Prithvi hain insaan behtar
Pyaar mein Avni hui naash
Chupke se sameer ko diya pati ka haque
Jab damini prithvi ke shaadi pe kiya sabne shaque
sameer ne kiyaAvni ko bayizzat
kaha nahi hain uska bachaa
Prithvi ko sameer pe aayaa gusaa
varun ne kaha sameer nahi hain sachha
Bade bhaai ki baat maani
Sameer ne avni se shaadi ke liye bhari haami
Behno ne kara vida avni ko ek jagah anjaani
Mili Prithvi ko jaydaad saari
Damini ko dilaya ehsaas ki woh hain buri naari
To be continued............
Sorry if there are any mistakesđ
Edited by sistu - 15 years ago