kya tumhe aaj bhi intezar hai uske laut aane ka
Mera dil muskura ke kehte hai
mujhe to ab tak yakin na hua uske chale jane ka
..........................................................................................
Likh Na Paaungi Teri Bewafaai Ki Daastaan,
Maine Meri Jaan Tujhe Chaha Thha Bahut,
Dil Dhadakta Thha Mera Tere Naam Ke Saath,
Maine Meri Jaan Tujhe Socha Thha Bahut,
Utha Jab Bhi Mera Haath Dua Ke Liye,
Apne Rab Se Meri Jaan Tujhe Maanga Thha Bahut,
Dasti Hai Tere Bin Yeh Chaandni Raatein,
Hoti Hai Tere Bin Aankhon Se Barsaat Bahut,
Maine Chaha Tujhe Bhool Jaaon Bewafaa Sanam,
Bhool Kar Bhi Meri Jaan Teri Yaad Aati Hai Bahut.
.................................................................................
Hum Ko Shouk Hai Itna Fareb Khaane Ka,
Dekh Hi Nahi Sakte Asal Rukh Zamane Ka,
Dhushmano Ki Mehfil Mein Ashna Se Chehre Hain,
Haa Yehi Hai Khamyaza Dosti Badhane Ka,
Woh Jo Chehre Pe Likhi Dastan Na Padh Paaye,
Faaida Nahi Hai Unko Haal-E-Dil Sunane Ka,
Qadar Ashar Jis Mein Ek Bhi Nahi Nikla,
Kyun Lihaaz Hai Humko Zamane Ka.
...................................................................................
Lakh Dukh Uthao,Tum Koshish Karte Rehna,
"Azeem" Isi Tarhan Toot Ke Use Chahte Rehna,
Wo Yaad Na Kare Tum Ko Yeh Us Ka Amall Hai,
Tum Khud Se Ziyada Use Yaad Karte Rehna,
Yeh Jan Lo Ke Rona Us Ko Aata Nahi Tum Par,
Khair Tum Aise Hi Ehed Nibhate Rehna,
Aansoo Ki Tumhare Koi Qimaat Nahi Hai,
Us Ki Yaad Mein Yu Hi Tum Ashk Bahate Rehna,
Kabhi Tadpegee Wo, Kabhi To Beqarar Hogee,
Dastaan Tum Us Ko Apni Yu Hi Sunate Rehna,
Din Bohat Kam Hain Tumhari Zindagi Ke "Azeem",
Aggar Nafrat Bhi Kare Tum Us Se Mohabbat Karte Rehna,
Zindagi Ke Kisi Mod Par Pashteegee Wo Bhi,
Tum Be Khuli Aankhoon Se Use Dekhte Rehna,
Khub Dil Lagea Hai "Molla" Is Be-Parwa Ke Saath,
Mar Jaonga Nahi Hota Mujh Se Jitey Rehna,
Jine Ki Baat Hai Is Mein Kia Kahoo "Azeem",
Qismaat Mein Hai Tumhari Us Ke Liye Tadappte Rehna.
..............................................................................................
Bewafai Ki Yeh Inteha Ho Gayi,
Ke Tujhse Juda Ho Kar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gayi,
Tum Laut Ke Aaogey Hum Say Milney,
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gayi.
Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay,
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gayi,
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke,
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gayi.
Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke,
Ke Ab To Tanha Safar Ki Aadat Ho Gayi,
Har Mod Par Mili Gham Ki Parchaiyaan,
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gayi.
Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari,
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gayi,
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom *Azeem*,
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gayi.
Hum Dur Jaye To Bulaneka Wada Kiya Tha,
Aaj Palkon Pe Aasu Bhar Diye,
Jisne Zindagi Bhar Hasane Ka Wada Kiya Tha.
.........................................................................................